❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Wo kaun hai jiss per mohar laga di jayegi aur qayamat mein log usse uski khusbhu se pehchan lenge ke yh falah shaqs hai?
A: Muttaqqi
B: Shuhada
C: Muaazzin
D: Alim
E: Quran e Hafiz
F: Tahhajjud Guzaar
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
*****************
Sahi Jawab - B✅
Reference📚:
----------------
Syedna Abu Darda RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu ta’ala kisi aadmi ke pait mein raah e khuda ka gubhar aur jahannum ka dhuwan jama nahi karega, jis ke pav Allah ke rastay mein khaak alood ho gaye Allah Subahnahu ta’ala is ke baqi jism par bhi aag ko haraam kar dega, jis naay Allah Subahanhu ta’ala ke rastay mein ek roza rakha, Allah Subahnahu ta’ala is ko ek hazaar saal ki masafat aag se durr kar dega, jabkay is arsay mein masafate karne wala jaldi chalne wala sawaar ho, jis ko Allah Subahnahu ta’ala ke rastay mein zakham laga, is par Shuhada ki mohar laga di jayegi, woh zakham is ke liye qayamat ke din noor hoga, is ka rang zafran ki terhan ka aur khusbhoo kastoori ki terhan ki hogi, aglay pichalle is ko pehchan lenge, log kahin ge falan aadmi par Shuhada ki mohar hai aur jis naay Allah Subahnahu ke rastay mein oontni ke do baar dubne ki darmiyani muddat ke barabar jihaad kiya to is ke liye jannat wajib hogayi.
---------------
۔ سیدنا ابودرداء رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: اللہ تعالیٰ کسی آدمی کے پیٹ میں راہِ خدا کا غبار اور جہنم کا دھواں جمع نہیں کرے گا، جس کے پاؤں اللہ کے راستے میں خاک آلود ہو گئے، اللہ تعالیٰ اس کے باقی جسم پر بھی آگ کو حرام کر دے گا، جس نے اللہ تعالیٰ کے راستے میں ایک روزہ رکھا، اللہ تعالیٰ اس کو ایک ہزار سال کی مسافت آگ سے دور کر دے گا، جبکہ اس عرصے میں مسافت طے کرنے والا جلدی چلنے والا سوار ہو، جس کو اللہ تعالیٰ کے راستے میں زخم لگا، اس پر شہداء کی مہر لگا دی جائے گی، وہ زخم اس کے لیے قیامت کے دن نور ہو گا، اس کا رنگ زعفران کی طرح کا اور خوشبو کستوری کی طرح کی ہو گی، اگلے پچھلے اس کو پہچان لیں گے، لوگ کہیں گے: فلاں آدمی پر شہداء کی مہر ہے اور جس نے اللہ کے راستے میں اونٹنی کے دو بار دوہنے کی درمیانی مدت کے برابر جہاد کیا تو اس کے لیے جنت واجب ہو گئی۔
--------------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 4830
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmanirrahim Jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma ----------------- Rasool-Al...
-
Bismillahirahmanirrahim Wa antum fa JazakAllahu khairan --- Aur aapko bhi Allah aapko bhi achcha Sila ataa farmaye --- And you ...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmannirrahim اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَتِي وَآمِنْ رَوْعَاتِي Allahummastur awrati, wa amin raw'ati ----- Eh Allah Mere A...
No comments:
Post a Comment