Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday, 6 December 2020

kaunse amal ke liye farmaya gaya hain ke baatil log usse karne ki taaqat nahi rakhte

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: kaunse amal ke liye farmaya gaya hain ke baatil log usse karne ki taaqat nahi rakhte

A: Tahajud padhna 
B: Fajar ki namaz aada karna 
C: Surah Baqrah ki tilawat karna
D: Quran ko Fajar ke waqt padhna 
E: Namaz ke baad Zikr karna  
F: Asar ki namaz ki hiffazat karna
G: Inmein se koi nahi 
H: Sahi Jawab ka intezaar
*******
Sahi Jawab – C✅

Surah Al Baqarah ki tilawat karna baais e barkat hain aur baatil log usse padhne ki taaqat nahi rakhte

Reference📚:
Abu Amama RadiAllahu Anhu se riwayat hain kehte hain ke mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se suna farma rahe thy Quran padha karo kyunke ye qayamat ke din apne padhne walon ke liye sifarshi bankar aayega khilte huwe phoolon ki manind do suraten Surah Al Baqarah aur Surah Ale Imran padha karo, kyun ke ye dono qayamat ke din badliyon ki soorat mein ye dono parindon ki soorat mein ya par phelaaye huwe parindon ke do gulloh (group) mein ayengi aur apne padhne walon ke barre mein jhagdha karengi. Surat Al Baqrah padha karo kuyke iska padhna baais e barkat aur iska chodhna baais hasrat hain aur baatil log usse padhne ki taaqat nahi rakhte.
----
Abu Amama RadiAllahu Anhu said that he heard the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam saying that recite the Qur'an, for it will be an intercessor for those who recite it on the Day of Resurrection. Recite two Surahs like Surah Al-Baqarah and Surah Ale-Imran, because on the Day of Resurrection both of them will come in the form of changes or in the form of two birds or in two groups of birds spread out and will quarrel about their readers. Recite Surah Al-Baqarah because reciting it is a blessing and leaving it is a cause of regret and false people do not have the strength to recite it.
----
ابو امامہ باہلی رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہتے ہیں کہ میں نے رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم سے سنا فرما رہے تھے:قرآن پڑھا کرو کیوں کہ یہ قیامت کے دن اپنے پڑھنے والوں کے لئے سفارشی بن کر آئے گا۔کھلتے ہوئے پھولوں کی مانند دو سورتیں سورة البقرہ اور آل عمران پڑھا کرو، کیوں کہ یہ دونوں قیامت کے دن  بدلیوں کی صورت میں یایہ دونوں پرندوں کی صورت میں یا پر پھیلائے ہوئے پرندوں کے دو غولوں میں آئیں گی اور اپنے پڑھنے والوں کے بارے میں جھگڑا کریں گی۔ سورة البقرة پڑھا کرو کیوں کہ اس کا پڑھنا باعث برکت اور اس کا چھوڑ نا باعث حسرت ہےاور باطل لوگ اسے پڑھنے کی طاقت نہیں رکھتے۔ 
-----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2772

kaunsa amal karne per har cheez se kifayat karegi jo insaan ko duniya aur akhirat ke mamle mein gum zadaa karti hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: kaunsa amal karne per har cheez se kifayat karegi jo insaan ko duniya aur akhirat ke mamle mein gum zadaa karti hain

A: SubhanAllah Alhumdullilah La ilaha IllAllah Allahu Akbar 
B: SubhanAllahi wa bihamdihi
C: SubhanAllahil Azeemi wa bihamdihi
D: Namaz padh kar wahi baithe rahne wale ke liye
E: Logo ko Quran sikhane wala
F: La hawla wa la quwwata illah billah
G: Inmein se koi nahi 
H: Sahi Jawab ka intezaar
*****
Sahi Jawab - G✅

Jo shakhs apni dua ka waqt Durood behjne mein lagata hain to wo uske liye kifayat karegi jo duniya aur akhirat ke mamle mein gum zadaa karti hain
----
Syedna Abi bin Kaab RadiAllahu Anhu se rivayati hain ke ek Aadmi ne kaha Eh Allah ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam! Aap is ke bare mein batlaein ke agar mein apni dua ka waqt Aap par durood bhejne mein laga dun to? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya to Allah Subhanahu taala tujhe har is cheez se kifayat karega, jo tujhe duniya aur Akhirat ke mamle mein gum zadaa karti hain.
 ----- 
It is narrated on the authority of Syedna Abi bin Kaab RadiAllahu Anhu that a man said: O Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam! What if I spend my supplication (dua) sending blessings on you? He Sallallahu Alaihi wasallam said: Then Allah will suffice you with everything that makes you sad in this world and in the Hereafter.
-----
سیدنا ابی بن کعب رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ ایک آدمی نے کہا: اے اللہ کے رسول! آپ اس کے بارے میں بتلائیں کہ اگر میںاپنی دعا کا وقت آپ پر درود بھیجنے میں لگا دوں تو؟ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: تو اللہ تعالیٰ تجھے ہر اس چیز سے کفایت کرے گا، جو تجھے دنیا اور آخرت کے معاملے میں غمزدہ کرتی ہے۔
----
Musnad Ahmed#5719-Sahih

Mahfhum mukammal kijiye ...Afzal Ibadat kya hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mahfhum mukammal kijiye ...Afzal Ibadat kya hain

A: Sadqa dena
B: Sila Rehami
C: Sabr karna
D: ilm hasil karna
E: Salam karna
F: Dua karna
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
*****
Sahi Jawab - F✅

Afzal Ibadat Dua hain

Reference📚
-----
Ibne Abbas RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Afzal Ibadat Dua hain
----
It was narrated on the authority of Ibn 'Abbas (may Allaah be pleased with him) that: The best worship is  supplication (Dua)
---
ابن عباس رضی اللہ عنہما سے مرفوعا مروی ہےکہ: افضل عبادت دعا ہے
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#2761

Insan kab tak yani kis waqt tak bhalayee per rahenge

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Insan kab tak yani kis waqt tak bhalayee per rahenge  

A: jab tak wo sila rehami karte rahenge
B: jab tak wo hasad nahi karenge
C: jab tak wo sabr karte rahenge
D: Bhukhli se bachte rahenge
E: Namaz awal waqt mein adda karenge
F: Aulad mein na insafi se bachta rahenge
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*********
Sahi Jawab - B✅

Log uss waqt tak bhalayee per rahenge jab tak ek dusre se hasad na karenge

Reference📚:
--------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya log us waqt tak bhalayee per rahenge jab tak ek dusre se Hasad nahi karenge
-----
ضمرہ بن ثعلبہ سے مروی ہے انہوں نے کہا کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: لوگ اس وقت تک  بھلائی پررہیں گے جب تک ایک دوسرے سے حسد نہیں کریں گے
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#197-Sahih

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...