❗Only-Quran-Hadees Quiz❗
Sawal: Inmein se wo kaunsa Amal hai jo Jahannum se azaadi ka baais hoga
A: Chupa kar sadqa karna
B: Gulam ka khayal rakhna
C: Bewa aur Miskeen ka khayal rakhna
D: Padosi ke saath husn akhlaqi karna
E: Gulam azad karna
F: kisi mohtaj ki madad karna
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye
*********
Sahi Jawab - E✅
kisi Musalman Gulam ko azaad karna Jahannum se azaadi ka baais hain
Reference📚:
-------
Syedna Malik bin Haris RadiAllahu Anhu se riwayet hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jis ne Maa Baap dono ki taraf se hojane wale yateem ko apne khane aur peene mein apne saath mila liya, yahan tak ke woh yateem is se ghanni hogaya to aisi aadmi ke liye qatai taur par Jannat wajib hojaye gi aur jis ne Musalman gulam azad kiya to woh is ke liye Jahannum se azaadi ka baais hoga, is gulam ka har uzoo azad karne wale ke har uzoo ko aag se kifayat karne wala hoga.
-----
سیدنا مالک بن حارث رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: جس نے ماں باپ دونوں کی طرف سے ہو جانے والے یتیم کو اپنے کھانے اور پینے میں اپنے ساتھ ملا لیا،یہاں تک کہ وہ یتیم اس سے غنی ہو گیا تو ایسے آدمی کے لیے قطعی طور پر جنت واجب ہو جائے گی اور جس نے مسلمان غلام آزاد کیا تو وہ اس کے لیے جہنم سے آزادی کا باعث ہو گا، اس غلام کا ہر عضو آزاد کرنے والے کے ہر عضو کو آگ سے کفایت کرنے والا ہو گا
------
Musnad Ahmed#9064-Sahih