Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 7 September 2020

Inmein se wo kaun kaun si cheezain hai jo Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ko aata ki gayi hain aur jo aur kisi Nabi ko nahi di gayeen hain?


❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se ziada hain!


Sawal: Inmein se wo kaun kaun si cheezain hai jo Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ko aata ki gayi hain aur jo aur kisi Nabi ko nahi di gayeen hain?



A: Zameen ki chabiya aata ki gayi

B: Ahmed naam rakha gaya

C: Matti ko paak kar di gayi

D: Ummat ko sab se behtareen banaya gaya

E: Shaffat aata ki gayi

F: tamam insano ke liye Nabi bana kar bheja gaya

G: tamam zameen ko sajda gaah bana diya hai 

H: Maal e Ganimat

I: Roab ke zariye madad ki gayi


J: Sahi Jawab ka Intezaar?


************

 Sahi Jawab - ABCDEFGHI✅


Reference📚:

----------------

Nabi Kareem Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya mujhe paanch cheeze aisi di gayi hain jo mujh se pehlay kisi ko nahi di gayi theen ek Mahine ki masafat se roab ke zareya meri madad ki gayi hai aur tamam zameen mere liye sajda gaah aur paki ke Laiq banai gayi pas meri ummat ka jo insaan namaz ke waqt ko (jahan bhi) paley usay wahan hi namaz ada kar leni chahiye aur mere liye ghanemat ka maal halal kiya gaya hai mujhse pehlay yeh kisi ke liye bhi halal nah tha aur mujhe Shafaat ataa ki gayi aur tamam Anbia apni apni qoum ke liye maboos hotay they lekin mein tamam insanon ke liye aam tor par nabi bana kar bheja gaya hon

------------

Sahih Hadees

Sahih Bukhari Hadees # 335

----------------

Sayedna Ali RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Rasool- Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya mujhe woh cheezian ataa ki gayi hain, jo kisi Nabi ko nahi di gayeen. hum nay kaha EH Allah ke Rasool Sallallahu Alahih Wasallam! woh kaun si hain? Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya roab ke sath meri madad ki gayi hai, mujhe zameen ki chabiyan ataa ki gayi hain, mera naam Ahmed rakha gaya hai, matti ko mere liye pakk karne wala bana diya gaya hai aur meri ummat ko sab se behtareen ummat banaya gaya hai.

---------------

Sahih Hadees

Musnad Ahmed Hadees # 991

Wo kaun kaunse azkar hai jinko ek daffa padne se 10 likha jaata hai aur dus (10) daffa padhne se sav (100) daffa padne ka sawab likha jata hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se ziyada hai

Sawal: Wo kaun kaunse azkar hai jinko ek daffa padne se 10 likha jaata hai aur dus (10) daffa padhne se sav (100) daffa padne ka sawab likha jata hain


A: SubhanAllah

B: Alhamdulillah

C: La ilaha illAllah 

D: Allahu Akbar

E: Astagfirullah

F. La Hawla wa La Quwwatailla billah

G: SubhanAllahi wa biHamdihi


H: Sahi Jawab ka intezaar


***************

Sahi Jawab BDG✅


Aise kalimat jinko ek dafa adda karne per dus ka sawab aata hota hain


Reference📚:


Sanaa ke Ek aadmi ayub ban Salman se riwayat hai, woh kehte hain : hum Makkah muakram mein Ata khurasani ke paas Masjid ki deewar ke sath baithy huwe thy, na hum ne un se sawal kiya aur nah unhon ne hamein kuch bayan kiya, phir Syedna Ibn Umar Radi Allahu Anhu ke paas is terhan baith gaye, jaisay tumahray paas baithy hain, un se bhi nah hum ne koi sawal kiya aur nah unhon ne hamein kuch bayan kiya, bil aakhir unhone kaha tum logon ko kya ho gaya hai, na tum baat karte ho, na Allah Subhanahu taala ka zikar karte ho, yeh zikar karo  اَللّٰہُ اَکْبَرُ، اَلْحَمْدُ لِلّٰہِ، سُبْحَانَ اللّٰہِ وَبِحَمْدِہِ، (Allah hu Akbar, Alhumduliah SubhanAllahi waBihumdehi) Allah taala Ek kalme ke badlay das (10) likhega aur das (10) ke badlay sav (100) likhega, jis ney ziyada zikar kiya, Allah Subahnahu taala is ko ziyada sawab dega aur jo khamosh hogaya, Allah taala is ko bakhash dega

------------

صنعاء کے ایک آدمی ایوب بن سلمان سے مروی ہے، وہ کہتے ہیں: ہم مکہ مکرمہ میں عطاء خراسانی کے پاس مسجد کی دیوار کے ساتھ بیٹھے ہوئے تھے، نہ ہم نے ان سے سوال کیا اور نہ انھوں نے ہمیں کچھ بیان کیا، پھر سیدنا ابن عمر  رضی اللہ عنہما کے پاس اس طرح بیٹھ گئے، جیسے تمہارے پاس بیٹھے ہیں، ان سے بھی نہ ہم نے کوئی سوال کیا اور نہ انھوں نے ہمیں کچھ بیان کیا، بالآخر انھوں نے کہا: تم لوگوں کو کیا ہو گیا ہے، نہ تم بات کرتے ہو، نہ اللہ تعالیٰ کا ذکر کرتے ہو، یہ ذکر کرو: اَللّٰہُ اَکْبَرُ، اَلْحَمْدُ لِلّٰہِ، سُبْحَانَ اللّٰہِ وَبِحَمْدِہِ، اللہ تعالیٰ ایک کلمے کے بدلے دس لکھے گا اور دس کے بدلے سو لکھے گا، جس نے زیادہ ذکر کیا، اللہ تعالیٰ اس کو زیادہ ثواب دے گا اور جو خاموش ہو گیا، اللہ تعالیٰ اس کو بخش دے گا، …۔

-----

Musnad Ahmed#5454-Sahih

Duniya ki khair aur bhalayi se kaunse shaqs ko nawaza jaata hai

 ❗Only-Quran-Hadees Quiz❗


Sawal: Duniya ki khair aur bhalayi se kaunse shaqs ko nawaza jaata hai


A: hikmat se kaam lene wale ko

B: Narmi ikhteyaar karne wale ko

C: Sadqa dene wale ko

D: Muttaqi shaqs ko

E: haq aur batil mein farq karne wale ko

F: hamesha sach bolne wale ko

G: Inmein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka Intezaar

**************

Sahi Jawab - B✅


Narmi ikhteyaar karne wale ko duniya ki khair aur bhalayi se nawaza jaata hai


Reference📚:

-----

Sayeda Aisha RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wa sallam ne un ko farmaya jis ko Narmi ataa ki gayi, uss ko duniya aur akhirat ki khair aur bhalai se Nawaz diya gaya aur Sila Rehmi, Husn Ikhlaq aur padosi se achcha sulooq karne (jaisay amwaarِ khair) gharon (aur qabeelon) ko aabad karte hain aur umaroh mein izafah karte hain.

------

 ۔ سیدہ عائشہ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہا سے روایت ہے کہ نبی کریم ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے اُن کو فرمایا : جس کو نرمی عطا کی گئی، اُس کو دنیا و آخرت کی خیر و بھلائی سے نواز دیا گیا اور صلہ رحمی، حسنِ اخلاق اور پڑوسی سے اچھا سلوک کرنے (جیسے امورِ خیر) گھروں (اور قبیلوں) کو آباد کرتے ہیں اور عمروں میں اضافہ کرتے ہیں۔ 

-----

Musnad Ahmed#9062-Sahih


Allah Subhanahu ke nazdeek in sab mein se ba-izzat wala shaqs kaun hai?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Allah Subhanahu ke nazdeek in sab mein se ba-izzat wala shaqs kaun hai?


A: Allah Subhanahu ka bahut ziada zikr karne wala

B: Allah Subhanahu se bahut ziada darne wala 

C: pakeezgi ki hifazat karne wala

D: pacho namazo ki hifazat karne wala

E: Allah Subhanahu ki ayato ka aiteraam karne wala

F: Haram cheezo se bachne wala

G: Tahajjud padhne wala

H: Inmein se koi nahi


I: Sahi Jawab ka Intezaar


**********

Sahi Jawab – B✅


Allah ke nazdeek sabse baizzat  woh shaqs hai joh Allah Subhanahu se darta hain


Reference📚:

-----

Bismillahirrahmannirrahim


یٰۤاَیُّہَا النَّاسُ  اِنَّا خَلَقۡنٰکُمۡ  مِّنۡ ذَکَرٍ وَّ اُنۡثٰی وَ جَعَلۡنٰکُمۡ شُعُوۡبًا وَّ قَبَآئِلَ لِتَعَارَفُوۡا ؕ اِنَّ  اَکۡرَمَکُمۡ  عِنۡدَ اللّٰہِ  اَتۡقٰکُمۡ ؕ اِنَّ اللّٰہَ عَلِیۡمٌ خَبِیۡرٌ

--------------

Eh logo! hum ne tum sab ko Ek ( he ) mard-o-aurat se paida kiya hai aur iss liye ke tum aapas mein ek doosre ko pehchano kunbay aur qabeelay bana diye hain Allah ke nazdeek tum sab mein se ba-izzat woh hai jo sab say ziyada darney wala hai yaqeen mano ke Allah dana aur ba-khabar hai.

--------------

O mankind, We have created you male and female, and appointed you races and tribes, that you may know one another. Surely the noblest among you in the sight of God is the most godfearing of you. God is All-knowing, All-aware.

---------------

اے لوگو! ہم نے تم سب کو ایک (ہی) مرد وعورت سے پیدا کیا ہے اور اس لئے کہ تم آپس میں ایک دوسرے کو پہچانو کنبے اور قبیلے بنا دیئے ہیں، اللہ کے نزدیک تم سب میں باعزت وه ہے جو سب سے زیاده ڈرنے واﻻ ہے۔ یقین مانو کہ اللہ دانا اور باخبر ہے

--------------

Al Quran – Surat ul Hujraat (49), Ayat No. 13

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...