❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Kaunse shaqs ke liye farnaya gaya goya wo Allah ke raha mein Jihad karta hai aur lagatar namaz aur roze rakhta hain
A: rozana tahajjud padne wala
B: subha aur shaam ke azkar padhne se
C: bewa aur muskeen ki madad karne se
D: din mein 70 baar astagfaar padhne se
E: Shawwal ke 6 roze rakhne se
F: har mahine 13, 14, 15 ke roze rakhne se
G: Jihad mein din raat pehrah dene wale
H: Inmein se koi nahi
I: Sahi Jawab ka intezaar
❗Note agar apka jawab H hai toh sahi jawab likhiye
**************
Sahi jawab - C✅
Bewa aur miskeen ki madad karne wale ko lagatar roze aur namaz padhne ka ajar
Reference📚:
---------------------
Abu Hurairah RadiAllahu Anhu se rivayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shaksh bewaon (widows) aur miskeen ke liye kamaye (ya mehnat karey) wo aisa hai jaise Allah ki raah mein Jihad karne wala, aur main sochta hu ye bhi farmaya ki wo aisa hai jaise jo namaz ke liye bina thake (continuesly) khada rahe aur jaise lagatar (continuesly) roza rakhe.
Sahih Muslim, Jild 6, 7468
-------------
Abu Huraira Radi Allahu Anhu reported that Allah's Messenger may peace be upon him said: One who makes efforts (for earning to be spent) on a widow and the poor , is like a striver in the cause of Allah, and I think he also said: He is like one who constantly stands for prayer and observes fast without breaking it.
Sahih Muslim, Book 42, 7107
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images

La Ilaha IllAllah
Subscribe to:
Posts (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...

-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: yh misal kis ke liye farmaye hain ke jab iss ki khushi dil mein sama jati hai toh phir is ko koi bura nah...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Kaunse Sahabi ko apni Lakdi ke saath dafnaya gaya tha A: Abu Ubaidah Radi Allahu anhu B: Sufiyan Radi Allah...
-
Bismillahirrahmanirrahim ✦ Kalma-e-Shahadat ki taqat aur uski ahmiyat --------------------- Abdullah bin amr bin aas...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Jab Momin ye amal karta hai uss waqt wo Momin nahi rehta hain ---- Un se Abu Huraira Radi Allahu Anhu ne k...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Do Sawal hain aur pehle sawal mein jawab ek se zaida hain! Sawal1: Mahfuhm e hadith ke mutabiq In mein se Ahl-e...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Inmein se kaunse amal ke bare mein farmaya gaya hain ke ye Momeen ka behtareen amal hain A: Namaz B: Sila R...
-
✅ Ramadan Check List ✅ Try to make all the following deeds your routine during these days of Ramadan. 1️⃣ Fasting (The fast in which ...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Hijama karne ki fazilat --------- Abdullah Bin Umar Radi Allahu Anhuma se marwi hai ke unho ne Nafe se ka...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Jawab ek se zaida من هم خيرُ الناس Sawal: Logo mein sab se Bahetrain kaun hain A) Quran seekha aur sikhaye ...
-
Bismillahirrahmannirrahim اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَتِي وَآمِنْ رَوْعَاتِي Allahummastur awrati, wa amin raw'ati ----- Eh Allah Mere A...