Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday, 22 November 2020

Fatah Makkah wale saal ek shaks ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke iqteda mein namaz padhi thi

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Fatah Makkah wale saal ek shaks ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke iqteda mein namaz padhi thi

Sawal: uss waqt Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam kaunsi dua kar rahe thy

A: Allaahummaghfir lee, warhamnee, wahdinee, wa 'aafinee warzuqnee.
B: Allahumma laa thukzini yaum Al-Qiyamah
C: Allahummastur awrati, wa amin raw'ati
D: Allahumma Rahmataka Arju Fala Takilni ila nafsi tarfata Aynin wa aslih li sha'ni kullahu, La ilaha ila anta
E: Allahummaghfirli, wahdini, warzuqni wa 'afini. A'udhu billahi min diqil-maqami yawmal-qiyamah
F: Allahumma inni auzubika min diqil duniya wa diqil yawmal-qiyamah
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi jawab ka intezaar
*********
Sahi Jawab - B✅

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki dua

Reference📚:
----
Yahya bin Hassan se riwayat hain ke banu kananah ke ek aadmi ne kaha Mein ne Fatah Makkah wale saal Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki iqteda Mein Namaz padhi aur Aap Sallallahu Alaihi wasallam ko ye dua karte huwe suna: 
اَللّٰھُمَّ لَا تُخْزِنِی یَوْمَ الْقِیَامَۃِ
Allahumma laa thukzini yaum Al-Qiyamah
(Eh Allah ! roz-e- Qayamat mujhe ruswa na karna)
----
 یحییٰ بن حسان سے مروی ہے کہ بنو کنانہ کے ایک آدمی نے کہا: میں نے فتح مکہ والے سال رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  کی اقتدا میں نماز پڑھی اور آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  کویہ دعا کرتے ہوئے سنا:  اَللّٰھُمَّ لَا تُخْزِنِی یَوْمَ الْقِیَامَۃِ (اے اللہ! روزِ قیامت مجھے رسوا نہ کرنا)۔ 
-----
Musnad Ahmed#5649-Sahih

Ek baar kuch sahabi ikathay hogaye aur aapas mein ek dusre se kehne lage ke Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam mujhse ziyada mohabbat karte hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Do Sawal hain!


Ek baar kuch sahabi ikathay hogaye aur aapas mein ek dusre se kehne lage ke Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam mujhse ziyada mohabbat karte hain


Sawal1: wo kaunse sahabi ke liye Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya ke app ka mujhse gehra talluq hai aur tum mujhe sab se ziyda mehboob ho


Sawal2: wo kaunse sahabi ke liye Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya ke app mujhse hai aur mere khandan mein se hain


A: Ali RadiAllahu Anhu

B: Jafar RadiAllahu Anhu

C: Umar RadiAllahu Anhu

D: Osama RadiAllahu Anhu

E: Zaid bin Harith RadiAllahu Anhu

F: Musaib Ibn Umair RadiAllahu Anhu

G: Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu

H: Inmein se koi nahi


I: Sahi Jawab ka Intezaar

********

Sahi Jawab - 1E/2B✅


Reference📚:

-------

Syedna Osama bin Zaid RadiAllahu Anhu se rivayat hai ke Syedna Jaffer, Syedna Ali aur Syedna Zaid bin Harith ikathay hogaye. Syedna Jaffer RadiAllahu Anhu ne kaha Allah ke Rasool ko tum mein sab se ziyada mohabbat mujhse hai. Syedna Ali RadiAllahu Anhu ne kaha Allah ke Rasool ko tum mein sab se ziyada mujhse mohabbat hai. aur Syedna Zaid RadiAllahu Anhu ne bhi kaha ke tum sab ki bah nisbat Aap Sallalahu Alaihi wasallam ko mujh se ziyada mohabbat hai. phir woh sab bolay ke chalo Allah ke Rasool Sallalahu Alaihi wasallam ke paas chaltay hain, pas un sab ne Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ki khidmat mein haazir honay ki ijazat talabb ki. Aap  Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya Osama bahar ja kar dekho kaun log hain? unhon ne batlaaiye ke Syedna Jaffer , Syedna Ali aur Syedna Zaid hain, mein ne yeh nahi kaha ke mere waalid hain (yaad rahay ke syedna Zaid, syedna Osama ke waalid thay), Aap Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya un logon ko anay ki ijazat dedo. so woh log aaye aur unhon neh daryaft kiya ke Aap ko hum mein se ziyada mohabbat kis ke saath hai? Aap Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya Fatima ke saath unhon ne kaha hum to Aap se mardon ke baray mein pooch rahay hain. Aap ne farmaya : Eh Jaffer ! tumhaarii shakal o soorat meri shakal o soorat se aur meri shakal o soorat tumhaarii shakal o soorat ke mushaba hai, Aap mujh se aur mere khandan mein se hain, Eh Ali ! Aap mere damaad aur meri aulaad ke baap hain, Mein tumhara hon aur tum mere ho aur Eh Zaid ! aap mere azad kardah ghulam ho aur mujh se hain, aap ka mujh se gehra talluq hai aur tum mujhe sab se ziyada mehboob ho.

--------------

Sahih Hadees

Musnad Ahmed Hadees # 11708

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...