Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday, 7 August 2022

Roze qayamat Allah Subhanaahu in mein se kis bande ke mutalliq farishton se kahega ke iske badey badey gunah chupado ?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 910❗

Sawal : Roze qayamat Allah Subhanaahu in mein se kis bande ke mutalliq farishton se kahega ke iske badey badey gunah chupado ?

A. Namazi
B. Rozedaar
C. Shaheed
D. Muttaqi
E. Sabr karne wala
F. Amanatdaar
G. In mein se koi nahi to apna jawab likhein
H. Sahi jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab : G. Jahannum se sabse akhir mein nikalne aur jannat mein sabse akhir mein dakhil hone wale shakhs se  ✅

REFERENCE :📚
----------   
 Rasool Allah Sallellahu Alahi Wa Sallam ne farmaya : ”Jahannum se sab se aakhir mein niklne aur jannat mein sab se aakhir mein daakhil honay walay aadmi ko mein jaanta hon, aik aadmi ko laya jaye ga aur Allah Taala ( firshton se ) kahe ga : is se is ke chhootey chhootey gunaaho ke baray mein pucho aur is ke barray gunaaho ko chhupa do, is se kaha jaye ga : tum ne falan falan din aisay aisay gunah kiye thy, tum ne falan falan din aisay aisay gunah kiye thy? “, Aap ne farmaya : ”is se kaha jaye ga : tumahray har gunah ke badlay aik neki hai “. Aap ne farmaya : ”woh arz kere ga : Ae mere Rab! mein ne kuch aisay bhi gunah kiye thy jisay yahan nahi dekh raha hon“. Abu Zar Radi Allahu Anhu kehte hain : mein ne Rasool Allah Sallellahu Alahi Wa Sallam ko hanstay huye dekha hatta ke Aap ke androoni daant nazar anay lagey .
--------
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”جہنم سے سب سے آخر میں نکلنے اور جنت میں سب سے آخر میں داخل ہونے والے آدمی کو میں جانتا ہوں، ایک آدمی کو لایا جائے گا اور اللہ تعالیٰ  ( فرشتوں سے )  کہے گا: اس سے اس کے چھوٹے چھوٹے گناہوں کے بارے میں پوچھو اور اس کے بڑے گناہوں کو چھپا دو، اس سے کہا جائے گا: تم نے فلاں فلاں دن ایسے ایسے گناہ کئے تھے، تم نے فلاں فلاں دن ایسے ایسے گناہ کیے تھے؟“، آپ نے فرمایا: ”اس سے کہا جائے گا: تمہارے ہر گناہ کے بدلے ایک نیکی ہے“۔ آپ نے فرمایا: ”وہ عرض کرے گا: اے میرے رب! میں نے کچھ ایسے بھی گناہ کیے تھے جسے یہاں نہیں دیکھ رہا ہوں“۔ ابوذر رضی الله عنہ کہتے ہیں: میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو ہنستے ہوئے دیکھا حتیٰ کہ آپ کے اندرونی دانت نظر آنے لگے۔ 
امام ترمذی کہتے ہیں: یہ حدیث حسن صحیح ہے۔ 
-------
Abu Dharr narrated that the Messenger of Allah(s.a.w) said:
I know the last of the people of the Fire to depart from the Fire and the last of the people of Paradise to enter Paradise. A man will be brought forth and He (s.a.w) will say: 'Ask about his small sins and hide his large sins.' So it will be said to him: 'Did you do this and that on such and such a day, did you do this and that on such- and – such a day?'” He said: “Then it will be said to him; 'For each of your sins you shall have a reward.'” He (s.a.w) said: “So he will say: 'O Lord! I have done things that I do not see here.'” He (Abu Dharr) said: “I saw the Messenger of Allah (s.a.w) laugh until his molars were visible.” (Sahih) 
---------
Jam e Tirmazi#2596-Sahih

Kaunsa amal agar tum shumaar kar ke karoge to barkat khatam hojayegi

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 909❗

Sawal: Kaunsa amal agar tum shumaar kar ke karoge to barkat khatam hojayegi

A: Madad
B: Hadiya
C: Nikah
D: Sadqa
E: Qarz
F: Zakat
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likho)
H: Sahih jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - D✅

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Shumaar kar ke sadqa na karo warna Allah Subahnahu bhi shumaar karega aur barkat khatam kardega

Reference📚:
----------
Asma Bint Abi Bakr ne arz kiya: Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam mere ghar mein sirf Zubair ki kamaai hain, kya mein is mein se sadqa o khairaat karu? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne  farmaya ”Haan, Sadqa karo aur girah mat lagao warna tumahre upar girah laga di jaye gi“ 
 «لا توكي فيوكى عليك»
ka matlab ye hai ke Shumaar kar ke Sadqa na karo warna Allah Subahnahu bhi shumaar karega aur barkat khatam kardega
----------
Asma Bint Abi Bakr RadiAllahu Anhu said: O The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam I have nothing except what was given to me by (my husband) Az-Zubair, shall I give it (in charity)?'   It was said:   Do not hold (your wealth) so that Allah will hold against you.
------------ 
میں نے عرض کیا: اللہ کے رسول! میرے گھر میں صرف زبیر کی کمائی ہے، کیا میں اس میں سے صدقہ و خیرات کروں؟ آپ نے فرمایا: ”ہاں، صدقہ کرو اور گرہ مت لگاؤ ورنہ تمہارے اوپر گرہ لگا دی جائے گی“ ۱؎۔ «لا توكي فيوكى عليك» کا مطلب یہ ہے کہ شمار کر کے صدقہ نہ کرو ورنہ اللہ تعالیٰ بھی شمار کرے گا اور برکت ختم کر دے گا ۲؎۔
-------
Jam e Tirmazi Hadees # 1960-Sahih

hukar ada karne par Allah Subhanaahu ne kya cheez dene ka wada kiya hai ? Nashukre banne par kounsi waeed sunayi hai ?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 908❗

Al Quraan

Do Sawal Hai

Sawal 1 : Shukar ada karne par Allah Subhanaahu ne kya cheez dene ka wada kiya hai ?

A. Rizq
B. Aulaad
C. Lambi umar
D. Achi sehat
E. Maal
F. Izzat
G. In mein se koi nahi to apna jawab likhein

Sawal 2 : Nashukre banne par kounsi waeed sunayi hai ?

A. Maut ki sakht takleef
B. Allah ki narazgi
C. Qabar ka azaab
D.  Allah ki laanat
E. Duniya mein azaab
F. Farishton ki laanat
G. In mein se koi nahi to apna jawab likhein
H. Sahi jawab ka intezaar
****
Sahi Jawab : 1. G- Aur zyada dunga / 2. G- Allah ka azaab sakht hain✅

Al Quran: Agar tum shukar aada karoge to mein tumhe aur zayda dunga..aur agar tum...

Reference 📚
------
Surat No 14 : سورة إبراهيم - Ayat No 7 
وَ اِذۡ  تَاَذَّنَ  رَبُّکُمۡ  لَئِنۡ شَکَرۡتُمۡ لَاَزِیۡدَنَّکُمۡ  وَ لَئِنۡ کَفَرۡتُمۡ  اِنَّ عَذَابِیۡ لَشَدِیۡدٌ ﴿۷﴾
aur wo waqt bhi jab tumharay perwerdigar ne Elaan farma diya tha ke agar tum ne waqaee shukar ada kiya to mein tumhen aur ziyada dun ga , aur agar tum ne nashukri ki to yaqeen jano , mera azaab bada sakht hain .  
------
 اور جب تمہارے پروردگار نے تمہیں آگاہ  کر دیا کہ اگر تم شکرگزاری کرو گے تو بیشک میں تمہیں زیادہ  دونگا اور اگر تم ناشکری کرو گے تو یقیناً میرا عذاب بہت سخت ہے ۔ 
-------
  And [remember] when your Lord proclaimed, 'If you are grateful, I will surely increase you [in favor]; but if you deny, indeed, My punishment is severe.' " 
--------
Al Quraan : Surah Ibrahim#7

Namaz padhne ke irade se jo shakhs wazu karta hain to wo wazu ke wajah se usay kya ajar milta hain.

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 907❗

Sawal: Namaz padhne ke irade se jo shakhs wazu karta hain to wo wazu ke wajah se usay kya ajar milta hain.

A: gunaho aur galtiyon se paak hojata hain
B: uske darje buland kar diye jate hain
C: wazu ke har katare ke badle nekiya likhi jaati hain
D: Har qatre ke badle ek neki milti hain aur ek gunah maaf hota hain
E: wazu ke wajah se uska chehera noor se bhar jata hain
F: us wazu ke wajah se uske agale aur pichale gunah maaf kar diye jate hain
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likho)

H: Sahih jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - A✅

Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Namaz ke irade se jo shakhs wazu karta hain to wo  gunaho aur galtiyon se paak hojata hain

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : jo namaz ke irade se wazu ke liye khada hota hai aur wazu ke pani ko is ke maqamat tak pahunchata hain to wo apne gunaho ya galtiyon se paak ho jata hain, phir agar wo namaz ke liye khada hota hain to Allah taala is ka darja buland kar deta hain aur agar wo baith jata hain to gunaaho se paak ho kar baithta hain.
---
سیدنا عمرو بن عبسہ سلمیؓ بیان کرتے ہیں کہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  جو نمازکے ارادے سے وضو کے لیے کھڑا ہوتا ہے اور وضو کے پانی کو اس کے مقامات تک پہنچاتا ہے تو وہ اپنے گناہوں یا غلطیوں سے پاک ہو جاتا ہے، پھر اگر وہ نماز کے لیے کھڑا ہوتا ہے تو اللہ تعالیٰ اس کا درجہ بلند کر دیتا ہے اور اگر وہ بیٹھ جاتا ہے تو گناہوں سے پاک ہو کر بیٹھتا ہے۔
----
The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: He who stands for ablution with the intention of prayer and brings the water of ablution to its place, then he is cleansed from his sins or faults. Then if he stands up for prayers then Allah raises his rank/status and if he sits down then he sits free from sins
----
Musnad Ahmed#600-Sahih

Qayamat ke din sabse pahle in mein se kiska sawal hoga ? Aur uski kami kounse amal ke zariye se puri hogi ?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 906❗

Sawal 1 : Qayamat ke din sabse pahle in mein se kiska sawal hoga ?

Sawal 2 : Aur uski kami kounse amal ke zariye se puri hogi ?

A. Niyamat
B. Qatal 
C. Namaz 
D. Zulm
E. Qisas
F. Sila rahmi
G. Sadqa 
H. Sabar 
I. In mein se koi nahi to apna jawab likhein

J. Sahi jawab ka intezaar
***
Sahih jawab : 1. C/ 2. I. Nawafil Namaz  ✅

Bismillahirahmanirrahim

Hadith: Qayamat ke din Sabse pahle Namaz ka Sawal hoga agar Farz namaz mein kami huyi to nawafil se pura hoga

Reference : 📚

--------
Rasoolallah Sallallahu Alahi Wasallam ne farmaya sabse pahle bande se namaz ki baaz paras hogi (sawal hoga) agar usne use pura kiya ( to theek hai) warna Allah Azwajal farmega : Dekho mere bande ke paas koi nawafil (Namaz) hai ? Agar uske paas koi Nawafil mila to farmaega uske zariye farz pura kar do
---------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  سب سے پہلے بندہ سے نماز کی بازپرس ہو گی، اگر اس نے اسے پورا کیا ہے  ( تو ٹھیک ہے ) ورنہ اللہ عزوجل فرمائے گا: دیکھو میرے بندے کے پاس کوئی نفل ( نماز) ہے؟ اگر اس کے پاس کوئی نفل ملا تو فرمائے گا: اس کے ذریعہ فرض پورا کر دو ۔ 
---------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said: The first thing for which a person will be brought to account will be his Salah. If it is complete (all well and good), otherwise Allah will say: 'Look and see if My slave did any voluntary prayer.' If he is found to have done voluntary prayers, his obligatory prayers will be completed therewith. 
-------
Sunan Nisai#468-Sahih

Mardon ke liye sabse nuqsaan de fitna inmein se kaunsa hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 905❗

Sawal: Mardon ke liye sabse nuqsaan de fitna inmein se kaunsa hain

A: Tehband latkana
B: Jhooti baatein bayan karna
C: Aurton ki mushahibat karna
D: Jhoote khawab bayan karna
E: Aurton ka fitna
F: Karobaar/Tijaraat
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likho)
H: Sahih jawab ka intezaar 
*****
Sahih Jawab - E✅

Hadith: Mardon ke liye Aurton ke fitne se badh kar nuqsaar dene wala  fitna aur koi nahi

Reference📚:
---
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke mein ne apne baad mardon ke liye Aurton ke fitne se badh kar nuqsaan dene wala aur koi fitna nahi chorah hain
 ----
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ میں نے اپنے بعد مردوں کے لیے عورتوں کے فتنہ سے بڑھ کر نقصان دینے والا اور کوئی فتنہ نہیں چھوڑا ہے۔ 
----
Narrated Usama bin Zaid: The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said, After me I have not left any affliction more harmful to men than women. 
---
Sahih Bukhari#5096

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se ek martaba ek shakhs ne khassi hone ki ijazat mangi to unhone us shakhs ko kya jawab diya

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 904 ❗

❗Jawab ek se zayda hain

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se ek martaba ek shakhs ne khassi hone ki ijazat mangi to unhone us shakhs ko kya jawab diya

A: iss ummat ko khassi hone ki ijazat nahi hain
B: Ummat ka khassi pan Qiyam ul Lail hain
C: ummat ka khassi pan Jihad hain  
D: Ummat ka khassi pan sabr hain
E: Ummat ka khassi pan roza hain
F: Ummat ka khassi pan Hajj hain
G: Ummat ka khassi pan panch waqt ki Namaz hain
H: Sahih Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - BE✅

Hadith: Iss ummat ka khassi pan Roza aur Qiyam ul Lail hain

Reference📚:
----
Abdullah bin Umro bin Aas RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Ek aadmi Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ke paas aaya aur kaha ke kya Aap mujhe khassi hone ki ijazat dete hain? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Meri ummat ka khassi pan roze aur qiyam ul lail hain.
----
عبداللہ بن عمرو بن عاص رضی اللہ عنہما سے مروی ہے كہ ایك آدمی نبی صلی اللہ علیہ وسلم كے پاس آیا اور كہا كہ: كیا آپ مجھے خصی ہونے كی اجازت دیتے ہیں؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: میری امت كا خصی پن روزے اور قیام اللیل ہے۔
----
It is narrated on the authority of 'Abdullah ibn' Amr ibn 'Aas RadiAllahu Anhu that a man came to the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam and said: Do you allow me to be castrated? The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: The castration of my ummah is fasting and staying up at night.
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2236

Rasoolallah Sallellahu Alaihi Wa Sallam ne hume Namaaz Tahajjud padne ko kyun kaha ?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 903 ❗

Ek Se Zyada Jawab

Sawal : Rasoolallah Sallellahu Alaihi Wa Sallam ne hume Namaaz Tahajjud padne ko kyun kaha ?

A. Kyun ke nekiyan kamnane ka behtraeen zariya hai
B. Kyun ki Dil ka sukoon hasil karne wala amal hai
C. Kyun ke Allah Sabhanahu ne hukum kiya
D. Kyun ke Ashaab ka amal hai
E. Kyun ke Sahabiyon se pahele ke saaleheen ki guzargaah hai
F. Kyun ke Allah ka qurb hasil karne ka zariya hai
G. Kyun ke gunahon se maafi maangne ka ek zariya hai
H. Kyun ke gunahon se baaz aane ka ek zariya hai
I. Kyun ke darjaat buland karne ka zariya hai
J. Sahi jawab ka intezaar
****
Sahi jawab : EFGH ✅

Reference : 📚
--------
Abu Umamah bayan karte hain, Rasoolallah Sallellahu Alahi WaSallam farmaya namaaz tahajud parha karo kyun ke: 
wo tum se pehle saaleheen ki rawish (Guzargah) hai. Tumahre Rabb ka qurb haasil karne, gunaaho ki maafi aur gunaaho se baaz rehne ka zariya hai.
-------
حضرت ابوامامہ ؓ بیان کرتے ہیں ، رسول اللہ ﷺ نے فرمایا :’’ نماز تہجد پڑھا کرو ، کیونکہ وہ تم سے پہلے صالحین کی روش ہے ، تمہارے رب کا قرب حاصل کرنے ، گناہوں کی معافی اور گناہوں سے باز رہنے کا ذریعہ ہے ۔‘‘
---------
Miskaat Al Masabeeh#1227

Allah Subahanu in mein se kis ki nekiyon ko akhirat ke din udte huwe zarre ki tarah bana denge ?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 902 ❗

Sawal : Allah Subahanu in mein se kis ki nekiyon ko akhirat ke din udte huwe zarre ki tarah bana denge ?

A. Jisne dikhawe ke liye namaaz padhi 
B. Jisne nahaq qatal kiya
C. Jisne padosi ko takleef di
D. Jusne jhoot bola
E. Jisne dikhawe ke liye duniya mein amal kiya
F. Jisne apne maa baap ki kidmat nahi ki
G. Jisne sabke samne neik kaam kiye lekin akele mein haram kaam kiye
H. Jisne namaz ke baad dua nahi mangi 
I. Jisne apne baap ka inkaar kiya
J. Jisne yateem ka maal kha liya
K. In mein se koi nahi
L. Sahi jawab ka intezaar
***
Sahi jawab : G ✅

Reference : 📚
---------
Rasoolallah Sallellahu Alahi WaSallam ne farmaya main apni ummat mein se aise logo ko janta hu jo Qayamat ke din Tihmaha ke pahadon ke barabar nekiyan le kar ayenge Allah Subhanaahu unko fiza mein udte huye zarre ki tarha bana dega, Thawban Radi Allahu Anhu ne arz kiya Ya Rasoolallah Sallellahu Alahi WaSallam un logo ka haal humse bayan farmaye aur khol kar bayan farmaye taake hum lailmi aur jhahlat ki wajah se un mein se na ho jaye Aap Sallellahu Alahi WaSallam ne farmaya jaan lo ke wo tumahare bhaiyon mein se hi hain aur tumhari qaum mein se hain wo bhi raaton ko isi tarha ibadat karenge jaise tum ibadat karte ho lekin wo aise log hai ke jab tanhayi mein honge to haram kaamon ka irtekaab karenge
--------
ثوبان ؓ کہتے ہیں کہ  نبی اکرم ﷺ نے فرمایا:  میں اپنی امت میں سے ایسے لوگوں کو جانتا ہوں جو قیامت کے دن تہامہ کے پہاڑوں کے برابر نیکیاں لے کر آئیں گے، اللہ تعالیٰ ان کو فضا میں اڑتے ہوئے ذرے کی طرح بنا دے گا ، ثوبان ؓ نے عرض کیا: اللہ کے رسول! ان لوگوں کا حال ہم سے بیان فرمائیے اور کھول کر بیان فرمایئے تاکہ لاعلمی اور جہالت کی وجہ سے ہم ان میں سے نہ ہوجائیں، آپ ﷺ نے فرمایا:  جان لو کہ وہ تمہارے بھائیوں میں سے ہی ہیں، اور تمہاری قوم میں سے ہیں، وہ بھی راتوں کو اسی طرح عبادت کریں گے، جیسے تم عبادت کرتے ہو، لیکن وہ ایسے لوگ ہیں کہ جب تنہائی میں ہوں گے تو حرام کاموں کا ارتکاب کریں گے ۔  
-------
It was narrated from Thawban that the Prophet (ﷺ) said:
“I certainly know people of my nation who will come on the Day of Resurrection with good deeds like the mountains of Tihamah, but Allah will make them like scattered dust.” Thawban said: “O Messenger of Allah, describe them to us and tell us more, so that we will not become of them unknowingly.” He said: “They are your brothers and from your race, worshipping at night as you do, but they will be people who, when they are alone, transgress the sacred limits of Allah.” 
-------
Ibn Maja#4245-Sahih

Kaunse shaqs ko Qayamat ke din Izzat ka libaas pehnaya jayega

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 901❗

Sawal: Kaunse shaqs ko Qayamat ke din Izzat ka libaas pehnaya jayega

A: Bewa aur miskeen ki madad karne wala
B: Quran seekhne aur usper amal karne wala
C: Jo duniya mein achche aur mehange libaas nahi pehna ho
D: Jo kisi museebat mein mubtila momeen ki madad kare
E: Jo log Shaheed huwe
F: Jo kisi momeen ke kafan ka intezaam kare
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
*****
Sahi Jawab - D✅

Hadith: Museebat mein mubtila Momeen ki madad karne wale shakhs ko qayamat ke din izzat ka libaas pehnaya jayega

Reference📚:
---------
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo koi momeen kisi museebat mein apne momeen bhai ko tasalli (madad) deta hain is se taaziyat karta hain to Allah Subhanahu Ta’aala Qayamat ke din use izzat ka libaas pehnayega.
-------
محمد بن عمرو بن حزم رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے كہ نبی  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جو كوئی مومن كسی مصیبت میں اپنے مومن بھائی كو تسلی(مدد) دیتا ہے اس سے تعزیت کرتا ہے  تو اللہ تعالیٰ قیامت كے دن اسے عزت كا لباس پہنائے گا۔
--------
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3305

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo banda Allah Subhanahu se mangta nahi hain Allah Subhanahu ussay___?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 900 ❗

Ek Se Zyada Jawab

Sawal : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo banda Allah Subhanahu se mangta nahi hain Allah Subhanahu ussay___?

A: Gussa hota hain
B: Mohalat deta hain
C: Azaab deta hain
D: Naraaz hota hain
E: Intezaar karte hain
F: Na khush hota hain
G: Be parwah hota hain
H: Sahih Jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - DF✅

Hadith: Jo shakhs Allah subhabahu se dua nahi mangta Allah ussay naraz aur na khush hote hain

Reference📚:
-----
Rasool-AllahSallallahu Alahi wasallam ne farmaya "Jo Allah Subhanahu se sawal nahi karta..Allah Subahanhu isse naraz aur na khush hota hain
----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”جو اللہ سے سوال نہیں کرتا اللہ اس سے ناراض اور ناخوش ہوتا ہے“۔
----
Abu Hurairah (ra) narrated that the Messenger of Allah Sallallahu Alahi wasallam said: “Indeed, he who does not ask Allah, he gets angry with him.” 
----
Jam e Tirmazi#3373-Sahih

wo kaunsa amal hain jisko dajjal se bhi zayda khatarnaak kaha gaya hain?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 899 ❗

Sawal: wo kaunsa amal hain jisko dajjal se bhi zayda khatarnaak kaha gaya hain?

A: Dhikawe ke liye kisi ki madad karna
B: Maal hote huyee bhi zakat adda nahi karna
C: Amanat mein khayanat karna
D: Do rukha shakhs
E: kisi ka Aib zahir karna
F: waqt par namaz nahi padna
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likho)
H: Sahih Jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - G✅

Hadith: Posheeda Shirk wo hain ke jab koi shakhs namaz ke liye khada hota hain to srif bagal wale shakhs ko dhikhane ke liye khoobsurti se namaz padhta hain

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya kya main tumko aisi cheez ke bare mein na bata du jo mere nazdeek Maseeha Dajjal se bhi zyada khatarnaak hain? Hum ne Arz kiya: kyun nahi? Aap Sallallahu Alaihi ne farmaya: Wo posheeda (chupa huwa) shirk hain jo ye hain ke aadmi Namaz padhne khada hota hain, aur jab usay malum hota hain ke koi usay dehk raha hain to apni Namaz ko sirf is wajah se khoobsurti se ada karta hain
 ---
حضرت ابوسعید خدری رضی اللہ عنہ سے روایت ہے ، انہوں نے فرمایا : رسول اللہ ﷺ ہمارے پاس ( گھر سے ) باہر تشریف لائے جب کہ ہم مسیح دجال کا ذکر کر رہے تھے ۔ آپ نے فرمایا :’’ کیا میں تمہیں ایسی چیز نہ بتاؤں جو میرے نزدیک تمھارے لیے مسیح دجال سے بھی زیادہ خطرناک ہے ؟‘‘ ہم نے کہا کیوں نہیں ( فرمائیے ۔ ) رسول اللہ ﷺ نے فرمایا :’’ چھپا ہوا شرک ۔ ( وہ یہ ہے ) کہ آدمی نماز پڑھنے کھڑا ہوتا ہے ، جب اسے معلوم ہوتا ہے کہ کوئی اسے دیکھ رہا ہے تو اپنی نماز کو خوبصورت بناتا ہے ۔‘‘ 
--
 It was narrated that Abu Sa’eed said: “The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam came out to us when we were discussing Dajjal (False Christ) and said: ‘Shall I not tell you of that which I fear more for you than Dajjal?’ We said: ‘Yes.’ He said: ‘Hidden polytheism, when a man stands to pray and makes it look good because he sees a man looking at him.’” 
---
Sunnan e Ibn e Maja#4204-Sahih

Wo kaunsa amal hain jisko Allah Subhanahu ki taraf se hadiya kaha gaya hain?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 898❗

Sawal : Wo kaunsa amal hain jisko Allah Subhanahu ki taraf se hadiya kaha gaya hain?

A: Walidain 
B: Sila rehmi
C: Sadqa
D: Ilm
E: Naik Aulad
F: Salaam
G: In mein se koi nahi (apna jawab likhein)
H. Sahih Jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - F✅

Al Quran: Jab apne gharon mein dhakil ho to Salaam kiya karo kuynke...
----
Bismillahirrahmannirrahim
----
فَإِذَا دَخَلْتُم بُيُوتًا فَسَلِّمُوا عَلَىٰ أَنفُسِكُمْ تَحِيَّةً مِّنْ عِندِ اللَّهِ مُبَارَكَةً طَيِّبَةً ۚ
---
Phir jab tum gharon mein dhakhil huwa karo to apne logon ko Salaam karo, Allah Subhanahu ki taraf se bada ba barkat aur  pakeeza tohfa/hadiya hain
---
پھرجب تم گھروں میں داخل ہواکرو تو اپنے لوگوں کو سلام کرو، اللہ تعالیٰ کی طرف سے بڑا بابرکت اور پاکیزہ تحفہ ہے۔
----
But when you enter houses, give greetings of peace upon each other - a greeting from Allah, blessed and good.
----
Al Quran - Surah An Noor: (24:61)

Allah Subhanahu ko inmein se bande ka kaunsa amal sabse pyara lagta hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 897❗

Sawal: Allah Subhanahu ko inmein se bande ka kaunsa amal sabse pyara lagta hain

A: Musafir ki madad karna
B: Azan ke baad ki dua padna
C: Isha ki namaz ba jamaat padhna
D: ba wazu hone ke baad bhi fir se wazu karna
E: Chast ki Namaz padhna
F: Masjid ki taraf chal kar anna
G: inmein se koi nahi (apna jawab likhiye)
H: Sahih Jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - G✅

Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Allah Subhanahu ko insaan ka sabse pyara amal wo lagta hai jo mustaqil ho agarche thoda he ho

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya tum mein se kisi shakhs ko is ka amal Jannat mein daakhil nahi kar wa sakega (aur na he aag se nijaat dilaiga) sahaba ne kaha: Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! Kya aap ke sath bhi yahi surat e haal hain? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Haan mere sath bhi yahi surat e haal hain (aur apne haath ke sath, apne sir ki taraf ishara kiya) magar ye hain ke Allah Subhanahu taala apne fazal aur rehmat se usay dhaanp le (do martaba ya teen martaba kaha) (seedhay ho jao, qareeb ho jao) (aur khush ho jao) (subah o shaam aur raat ko Naik amal karo, miyana rawi ikhtiyar karo, maqsad ko pahonch jaoge) (aur jaan lo ke Allah Subhanahu ko tumhara sab se pyara amal wo lagta hain jo mustaqil ho agarche thoda he ho..
----
آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: تم میں سے كسی شخص كو اس كا عمل جنت میں داخل نہیں كر وا سكے گا( اور نہ ہی آگ سے نجات دلائے گا)صحابہ نے كہا: اے اللہ كے رسول ! كیا آپ كے ساتھ بھی یہی صورتحال ہے؟ آپ نے فرمایا: ہاں میرے ساتھ بھی یہی صورتحال ہے( اور اپنے ہاتھ كے ساتھ اپنے سر كی طرف اشارہ كیا) مگر یہ كہ اللہ تعالیٰ اپنے فضل اور رحمت سے اسے ڈھانپ لے( دو مرتبہ یا تین مرتبہ كہا) (سیدھے ہو جاؤ، قریب ہو جاؤ) ( اور خوش ہو جاؤ) (صبح و شام اور رات كو نیك عمل كرو، میانہ روی اختیار كرو، مقصد كو پہنچ جاؤ گے)( اور جان لو كہ اللہ تعالیٰ كو تمہارا سب سے پیارا عمل وہ لگتا ہے جو مستقل ہو اگرچہ تھوڑا ہی ہو)۔ یہ حدیث ....... سے مروی ہے
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: Anyone’s actions will not make them enter Paradise (nor save them from the Fire). The Companions said: O Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam! Is the same situation with you? He said: Yes, the situation is the same with me (and he pointed to his head with his hand), but May Allah Subhanahu cover it with His grace and Mercy (said twice or thrice) (Straighten up, Draw near) (and be happy) (do good deeds in the morning and evening and at night, adopt a moderate attitude, you will reach the goal) (and know that the most beloved of your deeds to Allah is that which is permanent). (even if done only little or slightly). 
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#3667

Allah Subhanahu kis amal ke sabab dono jahan mein bande ki madad karega ?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 896❗

Sawal : Allah Subhanahu kis amal ke sabab dono jahan mein bande ki madad karega ?

A: Farz namazon ki hifazat karne par
B: Allah Subhanahu ki raah mein kharch karne wale par
C: Logon ko Quran sikhane wale shakhs ko
D: Apne bhai ki madad uski gair maujudgi mein karne par
E: Nabi ki sunnat par chalne par
F: Zyada qadam chalkar masjid tak jane par
G: Ek namaz ke baad dusri namaz ka intezar karne par
H: inmein se koi nahi (apna jawab likhiye)

I: Sahih Jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - D✅

Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Jo shakhs apne bhai ki madad uske gair maujudgi mein karegaa Allah Subhanahu uski madad dono jahan mein karega..

Reference📚:
---- 
Anas RadiAllahu Anhu  se riwayat hain ke  jis shakhs ne apne bhai ki madad iski gair maujudgi (ya safar) mein ki Allah Subhanahu duniya o akhirat mein is ki madad karega
---
 انس‌رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہےکہ: جس شخص نے اپنے بھائی كی مدداس كی غیر موجودگی(یا سفر) میں كی اللہ تعالیٰ دنیا و آخرت میں اس كی مدد كرے گا
---
Anas Radi Allahu Anhu narrates that: Whoever helps his brother in his absence (or traveling), Allah will help him in this world and the Hereafter.
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#3701

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...