Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 7 August 2022

Roze qayamat Allah Subhanaahu in mein se kis bande ke mutalliq farishton se kahega ke iske badey badey gunah chupado ?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 910❗

Sawal : Roze qayamat Allah Subhanaahu in mein se kis bande ke mutalliq farishton se kahega ke iske badey badey gunah chupado ?

A. Namazi
B. Rozedaar
C. Shaheed
D. Muttaqi
E. Sabr karne wala
F. Amanatdaar
G. In mein se koi nahi to apna jawab likhein
H. Sahi jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab : G. Jahannum se sabse akhir mein nikalne aur jannat mein sabse akhir mein dakhil hone wale shakhs se  ✅

REFERENCE :📚
----------   
 Rasool Allah Sallellahu Alahi Wa Sallam ne farmaya : ”Jahannum se sab se aakhir mein niklne aur jannat mein sab se aakhir mein daakhil honay walay aadmi ko mein jaanta hon, aik aadmi ko laya jaye ga aur Allah Taala ( firshton se ) kahe ga : is se is ke chhootey chhootey gunaaho ke baray mein pucho aur is ke barray gunaaho ko chhupa do, is se kaha jaye ga : tum ne falan falan din aisay aisay gunah kiye thy, tum ne falan falan din aisay aisay gunah kiye thy? “, Aap ne farmaya : ”is se kaha jaye ga : tumahray har gunah ke badlay aik neki hai “. Aap ne farmaya : ”woh arz kere ga : Ae mere Rab! mein ne kuch aisay bhi gunah kiye thy jisay yahan nahi dekh raha hon“. Abu Zar Radi Allahu Anhu kehte hain : mein ne Rasool Allah Sallellahu Alahi Wa Sallam ko hanstay huye dekha hatta ke Aap ke androoni daant nazar anay lagey .
--------
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”جہنم سے سب سے آخر میں نکلنے اور جنت میں سب سے آخر میں داخل ہونے والے آدمی کو میں جانتا ہوں، ایک آدمی کو لایا جائے گا اور اللہ تعالیٰ  ( فرشتوں سے )  کہے گا: اس سے اس کے چھوٹے چھوٹے گناہوں کے بارے میں پوچھو اور اس کے بڑے گناہوں کو چھپا دو، اس سے کہا جائے گا: تم نے فلاں فلاں دن ایسے ایسے گناہ کئے تھے، تم نے فلاں فلاں دن ایسے ایسے گناہ کیے تھے؟“، آپ نے فرمایا: ”اس سے کہا جائے گا: تمہارے ہر گناہ کے بدلے ایک نیکی ہے“۔ آپ نے فرمایا: ”وہ عرض کرے گا: اے میرے رب! میں نے کچھ ایسے بھی گناہ کیے تھے جسے یہاں نہیں دیکھ رہا ہوں“۔ ابوذر رضی الله عنہ کہتے ہیں: میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو ہنستے ہوئے دیکھا حتیٰ کہ آپ کے اندرونی دانت نظر آنے لگے۔ 
امام ترمذی کہتے ہیں: یہ حدیث حسن صحیح ہے۔ 
-------
Abu Dharr narrated that the Messenger of Allah(s.a.w) said:
I know the last of the people of the Fire to depart from the Fire and the last of the people of Paradise to enter Paradise. A man will be brought forth and He (s.a.w) will say: 'Ask about his small sins and hide his large sins.' So it will be said to him: 'Did you do this and that on such and such a day, did you do this and that on such- and – such a day?'” He said: “Then it will be said to him; 'For each of your sins you shall have a reward.'” He (s.a.w) said: “So he will say: 'O Lord! I have done things that I do not see here.'” He (Abu Dharr) said: “I saw the Messenger of Allah (s.a.w) laugh until his molars were visible.” (Sahih) 
---------
Jam e Tirmazi#2596-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...