Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 7 August 2022

Namaz padhne ke irade se jo shakhs wazu karta hain to wo wazu ke wajah se usay kya ajar milta hain.

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 907❗

Sawal: Namaz padhne ke irade se jo shakhs wazu karta hain to wo wazu ke wajah se usay kya ajar milta hain.

A: gunaho aur galtiyon se paak hojata hain
B: uske darje buland kar diye jate hain
C: wazu ke har katare ke badle nekiya likhi jaati hain
D: Har qatre ke badle ek neki milti hain aur ek gunah maaf hota hain
E: wazu ke wajah se uska chehera noor se bhar jata hain
F: us wazu ke wajah se uske agale aur pichale gunah maaf kar diye jate hain
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likho)

H: Sahih jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - A✅

Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Namaz ke irade se jo shakhs wazu karta hain to wo  gunaho aur galtiyon se paak hojata hain

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : jo namaz ke irade se wazu ke liye khada hota hai aur wazu ke pani ko is ke maqamat tak pahunchata hain to wo apne gunaho ya galtiyon se paak ho jata hain, phir agar wo namaz ke liye khada hota hain to Allah taala is ka darja buland kar deta hain aur agar wo baith jata hain to gunaaho se paak ho kar baithta hain.
---
سیدنا عمرو بن عبسہ سلمیؓ بیان کرتے ہیں کہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  جو نمازکے ارادے سے وضو کے لیے کھڑا ہوتا ہے اور وضو کے پانی کو اس کے مقامات تک پہنچاتا ہے تو وہ اپنے گناہوں یا غلطیوں سے پاک ہو جاتا ہے، پھر اگر وہ نماز کے لیے کھڑا ہوتا ہے تو اللہ تعالیٰ اس کا درجہ بلند کر دیتا ہے اور اگر وہ بیٹھ جاتا ہے تو گناہوں سے پاک ہو کر بیٹھتا ہے۔
----
The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: He who stands for ablution with the intention of prayer and brings the water of ablution to its place, then he is cleansed from his sins or faults. Then if he stands up for prayers then Allah raises his rank/status and if he sits down then he sits free from sins
----
Musnad Ahmed#600-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...