Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 10 January 2021

Ek aisa amal hain jisne usse aada kiya to isse pehle aur iske baad koi iske amal tak nahi pahonch sakta siwaye uske jis ne isse Afzal amal kiya

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz ❗

Ek aisa amal hain jisne usse aada kiya to isse pehle aur iske baad koi iske amal tak nahi pahonch sakta siwaye uske jis ne isse Afzal amal kiya

Sawal: Wo kaunsa amal hain

A: Subah aur Sham ko 100 martaba ye padhne se.. SubhanAllah, Alhumdullilah, La ilaha illAllah Allah hu Akbar kehne per
B: Subah aur Sham ko 100 martaba ye padhne se.. SubhanAllahi wa bihamdihi kehne per
C: Subah aur Sham ko 100 martaba Astagfirullah padhne se..
D: Subah aur Sham ko 100 martaba ye padhne se…
La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd, wa huwa Ala kulli shai'in qadir
E: Fajar aur Maghrib ki namaz ke baad 10 baar ye padhne se..
La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd Yuhi wa Yumeet, wa huwa Ala kulli shayin qadir
F: Subah aur Sham ko Ayat Al Kursi padhne se..
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezaar
*******
Sahi Jawab - D✅

Subah Shaam 100 martaba La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd, wa huwa Ala kulli shai'in qadir padhne ki fazeelat

Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: jis shakhs ne (subah ke waqt 100 martaba aur shaam ke waqt 100 martaba) 200 martaba kaha
لَا إِلٰه إِلَا الله، وَحْدَه لَا شَريك لَه، لَه الْمُلك، وَلَه الْحَمْد، وَهو عَلَى كُل شَيْء قَدِير
La ilaha illal-lah wahdahu la sharika lahu, lahu-l-mulk wa lahu-l-hamd wa huwa 'ala kulli shai'in qadir
Allah ke ilawa koi saccha mabud nahi, Wo akela hain iska koi sharik nahi hain, ussi ke liye baadshahi hain aur ussi ke liye tarifein hain Aur wo har cheez par qadir hain.
to isse pehle aur iske baad koi is ke amal tak nahi pahonch sakta siwaye is shakhs ke jis ne is se afzal amal kiya (yani aur ziyada dafa isse padha)
Al-Silsila-tus-Sahiha#2973-Sahih
-----
The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: Whoever recites (a hundred times in the morning and a hundred times in the evening) two hundred times
لَا إِلٰه إِلَا الله، وَحْدَه لَا شَريك لَه، لَه الْمُلك، وَلَه الْحَمْد، وَهو عَلَى كُل شَيْء قَدِير
La ilaha illal-lah wahdahu la sharika lahu, lahu-l-mulk wa lahu-l-hamd wa huwa 'ala kulli shai'in qadir
None has the right to be worshipped but Allah. He is the Only One and has no partners . For Him is the Kingdom and all the praises are due for Him. 
Then No one can reach his deeds before and after, except the one who has done better than him. (or recited more then him)
Al-Silsila-tus-Sahiha#2973-Sahih
-----
عمرو بن شعیب اپنے والد سے وہ ان کے دادا(عبداللہ بن عمرورضی اللہ عنہما) سے بیان کرتے ہیں کہ رول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس شخص نے (صبح کے وقت سو مرتبہ اور شام کے وقت سو مرتبہ)دو سو مرتبہ کہا: اللہ کے علاوہ کوئی سچا معبود نہیں، وہ اکیلا ہے اس کا کوئی شریک نہیں، اسی کے لئے بادشاہت ہے اور اسی کے لئے تعریف ہے اور وہ ہر چیز پر قادر ہے۔ اس سے پہلے اور اس کے بعد کوئی اس کے عمل تک نہیں پہنچ سکتا سوائے اس شخص کے جس نے اس سے افضل عمل کیا
------
Al-Silsila-tus-Sahiha#2973-Sahih

Tawakkal ke zariye se Allah Subhanahu kya khatam kar dete hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Tawakkal ke zariye se Allah Subhanahu kya khatam kar dete hain

A: har mushkil kaam mein assani kar dete hain
B: tangi mein khushali 
C: gussa per kabu
D: uski neiki mein izafa kar dete hain
E: uske rizaq mein barkat kar deta hain
F: uski museebat ko durr farma deta hain
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*********
Sahi Jawab - G✅

Tawakkal ke zariye se Allah Subhanahu waswase ko khatam kar dete hain

Reference📚: 
------------
Abdullah Bin Masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai ke badshaguni shirk hain aur hum mein se koi nahi is ke zahan mein waswase aate hain lekin Allah Subhanahu ta'ala usse tawakkal ke zariye se khatam kar deta hain
------------
عَنْ عَبْدِ اللهِ بْنِ مَسْعُودٍ رضی اللہ عنہ  مَرفُوعا: الطِّيَرَةُ شِرْكٌ وَمَا مِنَّا إِلَّا... وَلَكِنَّ اللهَ يُذْهِبُهُ بِالتَّوَكُّلِ. 
-----------
عبداللہ بن مسعود  رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے كہ بدشگونی شرك ہے، اور ہم میں سے كوئی نہیں مگر۔۔۔(اس کے ذہن میں وسوسے آتے ہیں) لیكن اللہ تعالیٰ اسے توكل كے ذریعے ختم کردیتا ہے
-----------
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1055-Sahih

Kaunse qaum ke liye Allah subhanahu ne ek muqammal surat nazil ki thi jismein srif unhe ka zikr kiya gaya hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do Sawal hain❗

Sawal: Kaunse qaum ke liye Allah subhanahu ne ek muqammal surat nazil ki thi jismein srif unhe ka zikr kiya gaya hain

A: Bani israeel
B: Qaum e Aad
C: Qaum e Samood
D: Qaum e Noah
E: Qaum e Loot
F: Qaum e Saleh
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar

Sawal2: wo kaunsa surah tha?

A: Surah Al-Bani Isra
B: Surah Al-Kahaf
C: Surah An-Anbiya
D: Surah Al-Quraish
E: Surah Al-Fil
F: Surah Al-Ankaboot
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezar hai
******
Sahi Jawab - GD✅

Quraish ke logo ki fazilate

Reference📚:
-----
Umm Hani RadiAllahu Anhu se rivayat hain ke Allah Subhanahu ne Quresh ko saath baaton ki wajah se fazilat di
1. Iss baat se fazilat di ki unhone dus saal Allah ki ibadat ki jabke Quresh ke alawa koi aur Allah ki ibadat nahi karta tha
2. Iss baat ki wajah se fazilat di ki Allah Subhanahu ne haati wale din inki madad ki halake wo mushrik thy
3. Unke baare mein Quran ki ek mukammal surat nazil huwi ke unke ilawa is mein kisi aur ka zikr nahi kiya gayi (لِاِیۡلٰفِ قُرَیۡشٍ) (Surah Al Quresh)
4. Un mein Nabuwat rakhi
5. Khilafat rakhi
6. Bait Allah ki hifazat ki zimme daari
7. Hajion ko pani pilane ki zimmedari rakhi.
------
ام ہانی  رضی اللہ عنہ سے مرفوعاً مروی ہے کہ: اللہ تعالیٰ نے قریش کو سات باتوں کی وجہ سے فضیلت دی:۱۔اس بات سے فضیلت دی کہ انہوں نے دس سال اللہ کی عبادت کی جبکہ قریش کے علاوہ کوئی اور اللہ کی عبادت نہیں کرتا تھا۔ ۲۔ اس بات کی وجہ سے فضیلت دی کہ اللہ تعالیٰ نے ہاتھی والے دن ان کی مدد کی حالانکہ وہ مشرک تھے۔۳۔ ان کے بارے میں قرآن کی ایک مکمل سورت نازل ہوئی کہ ان کے علاوہ اس میں کسی اور کاتذکرہ نہیں کیاگیا : لِاِیۡلٰفِ قُرَیۡشٍ ۙ﴿۱﴾  (قریش: ۱) ۔۴۔ان میں نبوت رکھی۔۴۔ خلافت رکھی۔۶۔بیت اللہ کی حفاظت کی ذمہ داری۔۷۔حاجیوں کو پانی پلانے کی ذمہ داری رکھی۔
-----
Al-Silsila-tus-Sahiha#3522-Sahih

Ek Sahabi ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wa sallam se pucha ke Qayamat mein wo apko kaha kaha talaash kare to app Sallallahu Alaihi wasallam ne kya irshad farmaya?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hain

Sawal: Ek Sahabi ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wa sallam se pucha ke Qayamat mein wo apko kaha kaha talaash kare to app Sallallahu Alaihi wasallam ne kya irshad farmaya? 

A: Jannat ke darwaze ke pass
B: Maqam e Mahmood ke pass
C: Pool sirat ke pass
D: Hauz e Kauther ke pass
E: Meezan ke pass
F: Sidratul Muntaha ke pass
G: Allah Subhanahu ke Arsh ke kareeb
H: Maidan e Mahshar mein
I: Sahi Jawab ka intezaar
*******
Sahi Jawab - CDE✅

Qayamat ke din Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko talash karne ke maqammat

Reference📚:
----
Nadr  bin Anas RadiAllahu Anhu apne walid se riwayat karte hain ki maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se sawal kiya ke aap Qayamat ke din meri sifarish karenge? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya zaroor karoonga mein ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam mein Qayamat ke din mein aap ko kahan talaash karu? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya sabse pehle tum mujhe Pool Siraat par talaash karna, mein ne kaha agar mein aap se Pool Siraat par na mil saku? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya tab Meezan ke paas mujhse milna, mein ne kaha agar mein aap ko Meezan ke paas na pauu to? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya to Hauz e Kauther par dehk lena kuyke un teen maqamat mein se kahi na kahin zaroor paooge
----
An-Nadr bin Anas bin Malik narrated from his father who said: "I asked the Prophet (s.a.w) to intercede for me on the Day of Judgement. He said: 'I am the one to do so.'" [He said:] "I said: 'O Messenger of Allah! Then where shall I seek you?' He said: 'Seek me, the first time you should seek me is on the Sirat.'" [He said:] "I said: 'If I do not meet you upon the Sirat?' He said: 'Then seek me at the Meezan.' I said:'And if I do not meet you at the Meezan?' He said: 'Then seek me at the Hauz, for indeed I will not me missed at these three locations.'"
-----
نضر بن انس بن مالک اپنے والد رضی اللہ عنہ  سے بیان کرتے ہیں، کہتے ہیں کہ میں نے نبی صلی اللہ علیہ وسلم سے سوال کیا: کہ آپ قیامت کے دن میری سفارش کریں گے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:ضرور کروں گا ۔میں نے کہا: اے اللہ کے رسول صلی اللہ علیہ وسلم قیامت کے دن میں آپ کو کہاں تلاش  کروں ؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: سب سے پہلے تم  مجھے پل صراط پر تلاش کرنا، میں نے کہا:  اگر میں آپ سے پل صراط پر نہ مل سکوں ؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: تب میزان کے پاس مجھ سے ملنا، میں نے کہا: اگر میں آپ کو میزان کے پاس نہ پاؤں تو؟آپ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:تو حوض پر پاؤ گے،ان تین مقامات میں سے کہیں نہ کہیں ضرور پاؤ گے ۔
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2524-Sahih

Ek Nabi ka zikr quran ki ek ayat mein kiya gaya to Qaum ke log Khushi se zor zor se chillane lage

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do Sawal hain! Pehle sawal mein jawab ek se ziyada hain

Ek Nabi ka zikr quran ki ek ayat mein kiya gaya to Qaum ke log Khushi se zor zor se chillane lage

Sawal1:Wo kaun kaunse Nabi thy

A: Ibrahim Alaihi Salam 
B: Yusuf Alaihi Salam
C: Yayah Alaihi Salam 
D: Musa Alaihi Salam
E: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam
F: Isa Alaihi Salam
G: Zakariya Alaihi Salam
H: Sahi Jawab ka Intezaar

Sawal2: Wo kaunsi qaum ke log thy

A: Bani israeel
B: Ansar
C: Quresh
D: Muhajireen
E: Banu Tamim
F: Banu Qurayza
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*********
Sahi Jawab - EF/C✅

Yaqeenan (Isa Alaihi Salaam) qayamat ki alamat mein se ek alamat hain
Reference📚:
-----
Abdullah bin Abbas RadiAllahu Anhu razi Allah anhuma se riwayat hain kehte hain ke mujhe Quran ki ek aayat ke bare mein maloom hai jis ke bare mein kisi shakhs ne kabhi bhi mujhse sawal nahi kiya mujhe nahi maloom ke logon ko iska ilm hain is liye sawal nahi kiya, ya wo usse samjhe he nahi is liye sawal nahi kiya? phir humein hadees bayan karne lage jab aap uth gaye to hum ne ek dusre ko malamat ki ke hum ne unse is aayat ke bare mein poocha nahi mein (Ravi) ne kaha kal jab wo (Ibn Abbas RadiAllahu Anhu) ayenge to mein unse sawal karoonga dusre din jab wo aaye to mein ne kaha Eh Ibn Abbas RadiAllahu Anhuma! kal aap ne zikar kiya tha ke quran ki ek aayat ke bare mein kabhi kisi ne aap se sawal nahi kiya, aap ko ye bhi nahi maloom ke logon ko iska ilm hain is liye sawal nahi kiya ya usse samjhe he nahi? Mujhe is aayat aur isse pehle wali ayaton ke bare mein batlaye jo aap ne padhi hain? unhon ne kaha theek hain Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne Quresh se kaha : Eh Quresh ki jamaat! Allah ke ilawa jis ki bhi ibadat ki jaye is mein khair nahi. Quresh ko maloom tha ke Isaai Isa bin Maryam Alaihi Salam ki ibadat karte thy, aur Mohammad (Sallallahu Alaihi wasallam) ke baare mein baatein karte thy. Quresh kehne lage Eh Mohammad (Sallallahu Alaihi wasallam)! kya aap ko yaqeen nahi ke Isa Alaihi Salaam Allah ke Nabi aur is ke Naik Saleh bande thy? tab Allah Subahnahu taala ne ye ayaat nazil ki : ( الزخرف : ۵۷ ) Tarjuma : Aur Jab Ibn Mariyam ki misaal bayan ki gayi to isse teri qaum ( khushi se) cheekhne lagi mein ne kaha uska ka kya matlab hain? kehne lage cheekh wa pukaar karte hain ( الزخرف : 61 ) ”aur yaqeenan (Isaa Alaihi Salaam) qayamat ki alamat hain“. Ye qayamat se pehle Isa Alaihi Salaam ka niklana hain (aur ek riwayat mein hain utarna hain)
-----
عبداللہ بن عباس رضی اللہ عنہما سے مروی ہے کہتے ہیں کہ مجھے قرآن کی ایک آیت کے بارے میں معلوم ہے جس کے بارے میں کسی شخص نے کبھی بھی مجھ سے سوال نہیں کیا۔ مجھے نہیں معلوم کہ لوگوں کو اس کا علم ہے اس لئے سوال نہیں کیا، یا وہ اسے سمجھے ہی نہیں اس لئے سوال نہیں کیا؟ پھر ہمیں حدیث بیان کرنے لگے۔ جب آپ اٹھ گئے تو ہم نے ایک دوسرے کو ملامت کی کہ ہم نے ان سے اس آیت کے بارے میں پوچھا نہیں ۔میں (راوی) نے کہا کل جب وہ (ابن عباس رضی اللہ عنہ) آئیں گے تو میں ان سے سوال کروں گا ۔ دوسرے دن جب وہ آئے تو میں نے کہا: اے ابن عباس رضی اللہ عنہما! کل آپ نے ذکر کیا تھا کہ قرآن کی ایک آیت کے بارے میں کبھی کسی نے آپ سے سوال نہیں کیا، آپ کو یہ بھی نہیں معلوم کہ لوگوں کو اس کا علم ہے اس لئے سوال نہیں کیا یا اسے سمجھے ہی نہیں ؟ مجھے اس آیت اور اس سے پہلے والی آیتوں کے بارے میں بتلایئے جو آپ نے پڑھی ہیں؟ انہوں نے کہا: ٹھیک ہے۔ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے قریش سے کہا: اے قریش کی جماعت! اللہ کے علاوہ جس کی بھی عبادت کی جائے اس میں خیر نہیں۔قریش کو معلوم تھا کہ عیسائی عیسیٰ بن مریم علیہ السلام کی عبادت کرتے تھے، اور محمد ( صلی اللہ علیہ وسلم )کے بارے میں باتیں کرتے تھے۔ قریش کہنے لگے:اے محمد( صلی اللہ علیہ وسلم )! کیا آپ کو یقین نہیں کہ عیسیٰ علیہ السلام اللہ کے نبی اور اس کے نیک صالح بندے تھے؟ تب اللہ تعالیٰ نے یہ آیات نازل کیں:(الزخرف:۵۷) ترجمہ :”اورجب ابن مریم کی مثال بیان کی گئی تو اس سے تیری قوم(خوشی سے)چیخنے لگی“۔میں نے کہا: ﯞ کاکیامطلب ہے؟کہنےلگے:چیخ وپکارکرتےہیں۔ (الزخرف:۶۱) ”اور یقیناً(عیسی)قیامت کی علامت ہیں“۔یہ قیامت سے پہلے عیسی کا نکلنا ہے(اور ایک روایت میں ہے:اترنا ہے)
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2638-Sahih

Inmein se wo kaun kaun si cheezain hai jo Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ko aata ki gayi hain aur jo aur kisi Nabi ko nahi di gayeen hain?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziada hain!

Sawal: Inmein se wo kaun kaun si cheezain hai jo Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ko aata ki gayi hain aur jo aur kisi Nabi ko nahi di gayeen hain?

A: Zameen ki chabiya aata ki gayi
B: Ahmed naam rakha gaya
C: Matti ko paak kar di gayi
D: Ummat ko sab se behtareen banaya gaya
E: Shaffat aata ki gayi
F: tamam insano ke liye Nabi bana kar bheja gaya
G: tamam zameen ko sajda gaah bana diya hai 
H: Maal e Ganimat
I: Roab ke zariye madad ki gayi
J: Sahi Jawab ka Intezaar?
*******
Sahi Jawab - ABCDEFGHI✅

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki Shaan

Reference📚:
----------------
Nabi Kareem Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya mujhe paanch cheeze aisi di gayi hain jo mujh se pehlay kisi ko nahi di gayi theen ek Mahine ki masafat se roab ke zariya meri madad ki gayi hai aur tamam zameen mere liye sajda gaah aur paki ke Layaq banai gayi pas meri ummat ka jo insaan namaz ke waqt ko (jahan bhi) pa le usse wahan he namaz ada kar leni chahiye aur mere liye ghanemat ka maal halal kiya gaya hai mujhse pehle ye kisi ke liye bhi halal nahi tha aur mujhe Shafaat ataa ki gayi aur tamam Anbia apni apni qoum ke liye maboos hote thy lekin mein tamam insanon ke liye aam taur per Nabi bana kar bheja gaya hon
------------
Sahih Bukhari Hadees # 335-Sahih
----------------
Sayedna Ali RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Rasool- Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya mujhe wo cheezian ataa ki gayi hain, jo kisi Nabi ko nahi di gayeen. hum ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alahih Wasallam! wo kaun si hain? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya roab ke saath meri madad ki gayi hai, mujhe zameen ki chabiyan ataa ki gayi hain, mera naam Ahmed rakha gaya hai, matti ko mere liye pakk karne wala bana diya gaya hain aur meri ummat ko sab se behtareen ummat banaya gaya hain.
---------------
Musnad Ahmed Hadees # 991-Sahih

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke pass jab koi aata aur poochta apne RABB se kya sawal karu to wo kya farmate

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke pass jab koi aata aur poochta apne RABB se kya sawal karu to wo kya farmate 

A: Allaahummaghfir lee, warhamnee, wahdinee, warzuqnee.
B: Allahumma Aainni Ala Zikrika Wa Shukrika Wa Husni ibadatika
C: Allahummastur awrati, wa amin raw'ati
D: SubhanAllah Walhumdullilah wa la illah illAllah Allah hu Akbar, Allaahummaghfir lee, warhamnee, wahidinee , wa aafinee warzuqnee
E: Allahummaghfirli, wahdini, warzuqni wa 'afini. A'udhu billahi min diqil-maqami yawmal-qiyamah
F: Allahumma inni auzubika min diqil duniya wa diqil yawmal-qiyamah
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezaar
**********
Sahi Jawab - A✅

Jab apne RABB se sawal karo to ye kalimaat kaha karo

Reference📚:
----
Syedna tarek bin Hashim RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke jab koi Aadmi Rasool-Allah   Sallallahu ke paas aata aur wo puchta Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam jab mein apne RABB se sawal karu to kaise aur kya kaha karu? to Aap ‌Sallallahu Alaihi wasallam farmate tu is terhan kaha kar
اَللّٰھُمَّ اغْفِرْ لِی وَارْحَمْنِی وَاہْدِنِی وَارْزُقْنِی
Allaahummaghfir lee, warhamnee, wahidinee, warzuqnee
Eh Allah ! tu mujhe bakhash de, mujh per reham farma, mujhe hidayat de aur mujhe rizaq ataa kar
Saath he Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne anguthe ke ilawa chaar unglio ko jama kiya aur farmaya ye kalimaat tere liye duniya o akhirat (ki bhalai) ko jama kar denge
-----
سیدنا طارق بن اشیم  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  سے مروی ہے کہ جب کوئی آدمی رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  کے پاس آتا اور وہ پوچھتا: اے اللہ کے رسول! جب میں اپنے ربّ سے سوال کروں تو کیسے اور کیا کہا کروں؟ تو آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  فرماتے:  تو اس طرح کہا کر: اَللّٰھُمَّ اغْفِرْ لِی وَارْحَمْنِی وَاہْدِنِی وَارْزُقْنِی (اے اللہ! تو مجھے بخش دے، مجھ پر رحم فرما، مجھے ہدایت دے اور مجھے رزق عطا کر)۔  ساتھ ہی آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے انگوٹھے کے علاوہ چار انگلیوں کو جمع کیا اور فرمایا:  یہ کلمات تیرے لیے دنیا و آخرت (کی بھلائی) کو جمع کر دیں گے۔  
------
Syedna tarek bin Hashim RadiAllahu Anhu reported that when a person used to come to Allah's Messenger Sallallahu Alaihi wasallam and asked him as to how he should beg to his Lord, then Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said that he should utter these words: 
اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي وَارْحَمْنِي وَعَافِنِي وَارْزُقْنِي
Allaahummaghfir lee, warhamnee, wahidinee, warzuqnee
O Allah, grant Me pardon, have Mercy upon Me, protect Me, provide Me sustenance
and he collected his fingers together except his thumb and said: It is in these words (that there is supplication) which sums up for you (the good) of this world and that of the Hereafter. 
Musnad Ahmed#5674-Sahih

Bait Allah ke 7 chakkar lagana aur uss dauran ek aisa amal kare jo kisi se baat kare bagair kare to usko har kalme ke badle 10 gunah maaf kar diye jaate hain 10 nekiya likhi jaati hai aur 10 darjaat buland kar diye jaate hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Bait Allah ke 7 chakkar lagana aur uss dauran ek aisa amal kare jo kisi se baat kare bagair kare to usko har kalme ke badle 10 gunah maaf kar diye jaate hain 10 nekiya likhi jaati hai aur 10 darjaat buland kar diye jaate hain

Sawal: Wo amal kaunsa hain

A: Sayyad-Al-Astigfar
B: SubhaAllahi wa Bihamdihi, SubhanAllahi Azeem
C: Radaitu billahi Rabba wa bil-Islami dina wa bi Muhammadin ﷺ nabiyya
D: SubhanAllah walhamdullilah wa la ilaha illahu waAllahu Akbar
E: SubhanAllah walhamdullilah wa la ilaha illahu waAllahu Akbar, la hawla wala quwwata illah billah
F: La ilaha illAllah, wa Allahu Akbar, wa La Hawla wa La Quwwata illa Billah
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
***********
Sahi Jawab - E✅

Bait Allah ka Tawaf karne ke baad ye azkar padhne se 10 gunah maaf, 10 nekiya, 10 darjaat buland kardiye jaate hain

Reference📚:
---
Hazrat Abu Huraira RadiAllahu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Allaihi wasallam ne farmaya jo shakhs bait Allah ke 7 chakkar lagaye aur is dauran
سُبحـان اَللّه
والحَمدُ لِلّه
ولَا إِلَهَ إِلا اَللّه 
واللّهُ أَكبَر
ولاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللّه
SubhanAllah
Walhamdulillah
Wa lailaha illAllah
WallahuAkbar
Wa La hawla wa la Quwwata illa Billah
Allah ki zaat paak hain
aur tamam tarifein Allah ke liye hain
aur Allah ke siwa koi ibadat ke layaq nahi
aur Allah sabse bada hain
aur Allah ki madad ke bagair gunah se bachne ki taqat aur Neki karne ki quwwat nahi hain
ke siwa koi baat na kare to is ke 10 gunah maaf kar diye jate hain, is ke liye 10 nekiya likhi jati hain aur is ke 10 darjaat buland kar diye jate hain. aur jo shakhs tawaf kare aur is douran baatein kare to wo is haal mein aisa hai ke is ke pav (feet) to rehmat mein hain (lekin upar ka hissa rehmat mein nahi) jaisse kisi ne apne pav (feet) pani mein duubo rakkhe ho
----
حضرت ابوہریرہ   ؓ  سے روایت ہے کہ نبی صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا :’’ جو شخص بیت اللہ کے سات چکر لگائے اور اس دوران سبحان اللہ ........ الا باللہ ’’ اللہ پاک ہے ، ہر قسم کی تعریف اللہ کے لیے ہے ، اللہ کے سوا کوئی معبود برحق نہیں ، اللہ سب سے بڑا ہے ، گناہ سے بچنا اور نیک عمل کرنا محض اللہ تعالیٰ کی توفیق کے ساتھ ہے ۔‘‘ کے سوا کوئی بات نہ کرے تو اس کے دس گناہ معاف کر دیے جاتے ہیں ، اس کے لیے دس نیکیاں لکھی جاتی ہیں اور اس کے دس درجات بلند کر دیے جاتے ہیں ۔ اور جو شخص طواف کرے اور اس دوران باتیں کرے تو وہ اس حال میں ایسے ہے کہ اس کے پاؤں تو رحمت میں ہیں (لیکن اوپر کا حصہ رحمت میں نہیں) جیسے کسی نے اپنے پاؤں پانی میں ڈبو رکھے ہوں ۔‘‘ ، رواہ ابن ماجہ ۔
-----
Mishkat ul Masabeeh#2591-Sahih

Allah Subhanahu Qayamat ke din dozak ki aag kis per haram kar denge

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Allah Subhanahu Qayamat ke din dozak ki aag kis per haram kar denge

A: Tahajjud ki char rakat padhne walo par
B: Asar se phele char rakat padhne walo par
C: Mehman nawazi karne walo par
D: Sila Rehmi karne walo par
E: jiska Akhlaq bahut achcha ho
F: Har Peer aur Jumerat ka roza rakhne walo par
G: Inmein se koi nahi
H: Sahih jawab ka intezaar
*******

Sahih Jawab - G✅

Allah Subahnahu ki khushnadi hasil karne ke liye sache dil se La illaha  illAllah ka iqrar karne walo per dozakh ki aag haram kar di jayegi

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam mere yahan tashreef laaye aur farmaya ”koi bandah jab Qayamat ke din is haalat mein paish hoga ke is ne kalma Laa Ilaha illAllah ka iqraar kiya hoga aur isse is ka maqsood Allah Subahnahu ki khushnadi haasil karna hogi to Allah Subhanahu taala dozakh ki aag ko is par haram kar dega.
-------
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم میرے یہاں تشریف لائے اور فرمایا ”کوئی بندہ جب قیامت کے دن اس حالت میں پیش ہو گا کہ اس نے کلمہ «لا إله إلا الله» کا اقرار کیا ہو گا اور اس سے اس کا مقصود اللہ کی خوشنودی حاصل کرنا ہو گی تو اللہ تعالیٰ دوزخ کی آگ کو اس پر حرم کر دے گا۔“ 
-----
Narrated `Utban bin Malik Al-Ansari: who was one of the men of the tribe of Bani Salim: Allah's Apostle came to me and said,   If anybody comes on the Day of Resurrection who has said: La ilaha illal-lah, sincerely, with the intention to win Allah's Pleasure, Allah will make the Hell-Fire forbidden for him. 
-----
Sahih Bukhari Hadees # 6423-Sahih

Wo kaunsa amal hai jiske karne wale ke liye farmaya gaya hain ke wo Allah Subhanahu ki raah mein Jihaad karne wale ki terhan hain jab tak wo ghar laut ke na aaye

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗

Sawal: Wo kaunsa amal hai jiske karne wale ke liye farmaya gaya hain ke wo Allah Subhanahu ki raah mein Jihaad karne wale ki terhan hain jab tak wo ghar laut ke na aaye

A: Allah ki raza ke khatir mareez ki ayadat karne wale
B: Allah ki raza ke khatir sadqat vasuli karne wale
C: Allah ki raza ke khatir apne maa baap ke liye mehnat karne wale
D: Allah ki raza ke khatir bewa aur miskeen ki madad ke liye ghar se nikalne wale
E: Allah ke raza ke khatir apne nafs ko paak karne le liye mehnat karne wale
F: Allah ke raza ke khaitr kheti baadi mein mehnat karne wale
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
********
Sahih Jawab - B✅

Allah Subhanahu ke khatir Sadqat ki vasuli karne wala Allah ki raah mein Jihaad karne wale ki terhan hain

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya, Allah Subhanahu ki Raza ki khatir sadqat ki vasuli karne wala Allah Subhanahu ki raah mein Jihaad karne wale ki terhan hain, yahan tak ke wo ghar laut aaye.
Musnad Ahmed#3466-Sahih
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: The one who receives alms for the sake of Allah is like the one who fights in the way of Allah until he returns home.
----
 ۔ سیدنارافع بن خدیج رضی اللہ عنہ  سے روایت ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  اللہ تعالیٰ کی رضا کی خاطر صدقات کی وصولی کرنے والا اللہ تعالیٰ کی راہ میں جہاد کرنے والے کی طرح ہے، یہاں تک کہ وہ گھر لوٹ آئے۔ 
Musnad Ahmed#3466-Sahih

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...