Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday, 29 January 2020

wo kaunsa Amal hain jo Allah Subhanahu ko sabse zayda mehboob hain aur jis se Allah Subhanahu ka Qurb hasil kiya jaata hain


Only-Quran-Hadith-Quiz


Sawal: wo kaunsa Amal hain jo Allah Subhanahu ko sabse zayda mehboob hain aur jis se Allah Subhanahu ka Qurb hasil kiya jaata hain?

A: Farz Ibadate
B: Nafl Ibadate
C: Tahhajud ki pabandi
D: Zikr Ilahi
E: Sila Rahmi
F: Achche Akhlaq
G: In mein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar



Sahi Jawab - A

Reference📚:
--------------
Abu Huraira bayan karte hain, Rasool Allah salle llahu alahi wassalam ne farmaya: 'Allahu tala ne farmaya:' Jo shakhs mere kisi pasandida shakhs se dushmani rakhe toh mera usse yelaan jung hai, aur mera banda Jin jin ibadat k zariye mera qurb hasil kerta hai un men se wo ibadat mujhe bohot mehboob hai jo main ne us per Farz ki hai.. Mera banda nawafil ke zariye mera qurb hasil kerta rehta hai hatta ki main usse mohbbat karne lagta hun, jub main us se mohbbat kerta hun toh main uska kaan ban jaata hun jisse wo sunta hai, uski aankh ban jaata hun jisse wo dekhta hai, uska haath ban jaata hun jisse wo pakadta hai, uska panv banjata hun jisse wo chalta hai, aur agar wo  mujhse koi cheez mangta hai toh main use ata ker deta hun, agar wo mujhse panah talab kerta hai toh main use panah de deta hun, main ne jo kaam kerna hota hai uske karne men mujhe kabhi utna terdid nahin hota jitna kisi momin ki jaan khabz karte waqt terdid hota hai wo maut ko na gawar jaanta hai aur main us ki yiza ko na gawar jaanta hun, halan ke wo (Maut) toh use zaroor aati hai"
--------------
وَعَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:   إِنَّ اللَّهَ تَعَالَى قَالَ: مَنْ عَادَى لِي وَلِيًّا فَقَدْ آذَنْتُهُ بِالْحَرْبِ وَمَا تَقَرَّبَ إِلَيَّ عَبْدِي بِشَيْءٍ أَحَبَّ إِلَيَّ مِمَّا افْتَرَضْتُ عَلَيْهِ وَمَا يَزَالُ عَبْدِي يَتَقَرَّبُ إِلَيَّ بِالنَّوَافِلِ حَتَّى أُحِبَّهُ فَإِذَا أَحْبَبْتُهُ كُنْتُ سَمْعَهُ الَّذِي يَسْمَعُ بِهِ وَبَصَرَهُ الَّذِي يُبْصِرُ بِهِ وَيَدَهُ الَّتِي يَبْطِشُ بِهَا وَرِجْلَهُ الَّتِي يَمْشِي بِهَا وَإِنْ سَأَلَنِي لَأُعْطِيَنَّهُ وَلَئِنِ اسْتَعَاذَنِي لَأُعِيذَنَّهُ وَمَا تَرَدَّدْتُ عَنْ شَيْءٍ أَنَا فَاعِلُهُ تَرَدُّدِي عَنْ نَفْسِ الْمُؤْمِنِ يَكْرَهُ الْمَوْتَ وَأَنَا أَكْرَهُ مُسَاءَتَهُ وَلَا بُدَّ لَهُ مِنْهُ  . رَوَاهُ البُخَارِيّ
--------------------
ابوہریرہ ؓ بیان کرتے ہیں ، رسول اللہ نے فرمایا :’’ اللہ تعالیٰ نے فرمایا :’’ جو شخص میرے کسی پسندیدہ شخص سے دشمنی رکھے تو میرا اس سے اعلان جنگ ہے ، اور میرا بندا جن جن عبادات کے ذریعے میرا قرب حاصل کرتا ہے ان میں سے وہ عبادت مجھے بہت محبوب ہے جو میں نے اس پر فرض کی ہے ۔ میرا بندہ نوافل کے ذریعے میرا قرب حاصل کرتا رہتا ہے حتیٰ کہ میں اس سے محبت کرنے لگتا ہوں ، جب میں اس سے محبت کرتا ہوں تو میں اس کا کان بن جاتا ہوں جس سے وہ سنتا ہے ، اس کی آنکھ بن جاتا ہوں جس سے وہ دیکھتا ہے ، اس کا ہاتھ بن جاتا ہوں جس سے وہ پکڑتا ہے ، اس کا پاؤں بن جاتا ہوں جس سے وہ چلتا ہے ، اور اگر وہ مجھ سے کوئی چیز مانگتا ہے تو میں اسے عطا کر دیتا ہوں ، اگر وہ مجھ سے پناہ طلب کرتا ہے تو میں اسے پناہ دے دیتا ہوں ، میں نے جو کام کرنا ہوتا ہے اس کے کرنے میں مجھے کبھی اتنا تردد نہیں ہوتا جتنا کسی مومن کی جان قبض کرتے وقت تردد ہوتا ہے وہ موت کو ناگوار جانتا ہے اور میں اس کی ایذا کو ناگوار جانتا ہوں ، حالانکہ وہ (موت) تو اسے ضرور آنی ہے ۔‘‘    رواہ البخاری (۶۵۰۲) ۔
------------
Sahih Hadees
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 2266

Goya jaise duniya aur tamam saman iska tha per wo usse cheen li gayi , Uss Khazane ki si hai jis ko Allah Subhanahu ke raste mein karch nahi kiya jata



Only-Quran-Hadith-Quiz


Jin ke liye jo misal di gaye hai uss hesab se sahi milan kijiye!

A: Goya jaise duniya aur tamam saman iska tha per wo usse cheen li gayi
B: Uss Khazane ki si hai jis ko Allah Subhanahu ke raste mein karch nahi kiya jata

1: Nashe ki wajah se ek namaz chodne wala
2: Kaffir
3: Jo log apna maal Allah ki rah mein kharch nahi karte hai
4: Maidan e jung se baagne wala
5: Munafiq
6: Ehsaan jatane wale
7: Jis Ilm se Faida hasil nahi kiya jaata
8: In mein se koi nahi

9. Sahi jawab ka intezar hai?


Sahi Jawab
A-1
B-7
Reference📚:
-------------------
Abdullah Bin Umar RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya jis shakhs ne nashay ki wajah se jisne ek namaz chorh di to woh aisa hai goya ke duniya aur is ka tamam samaan is ka tha aur yh is se cheen si gaya hain, aur jis shakhs ne nashay ki wajah se chaar martaba namaz chorh di toh Allah Subhananu Taa’ala par lazim hai ke usay Teenat-Al Khabal pilaaye poocha gaya yeh Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam Teenat-Al Khabal kya cheez hai? Aap Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya Ahal Jahannum ka peep.
----------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 732
----------------
Sayedna Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se hi riwayat hai, Nabi Kareem () ne farmaya Beshak jis ilm se faida hasil nahi kiya jata, is ki misal is khazane ki si hai jis ko Allah Ta'ala ke raste me kharch nahi kiya jata
-----------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 274

Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne baerares ke bagh mai kuch sahaba ko Jannat ki basharat di



Only-Quran-Hadith-Quiz


Jawab ek se zayda hai aur tarteeb se jawab de phele sahaba kaun fir unke baad kaun etc..!

Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne  baerares ke bagh mai kuch sahaba ko Jannat ki basharat di.

Sawal: Wo sahaba kaun thy?

A: Ali Radi Allahu anhu
B: Usman Radi Allahu anhu
C: Talha Radi Allahu anhu
D: Abu Baker Radi Allahu anhu
E: Umar Radi Allahu anhu
F: Ubai Bin Kaab Radi Allahu anhu
G: Maaz Bin Jabal Radi Allahu anhu
H: Abdullah Bin Masud Radi Allahu anhu

I. Sahi jawab ka intezar hai


Sahi Jawab - DEB

Reference📚:
-------------------
Mein Madinah ke ek baagh (Baerares) mein Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ke saath tha ke ek sahib ne aa kar darwaaza khulwaya, Aap Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya ke un ke liye darwaaza khol do aur inhen Jannat ki basharat suna do, mein ne darwaaza khoola to Abu Baker Radi Allahu anhu thy mein ne inhen Nabi Kareem Sallalahu Alaihi wasallam ke farmane ke mutabiq Jannat ki khushkhabri sunai to unhon ne is par Allah ki hamd ki, phir ek aur sahib aeye aur darwaaza khulwaya. Nabi Kareem Sallalahu Alaihi wasallam ne is mauqe par bhi yahi farmaya ke darwaaza un ke liye khol do aur inhen jannat ki basharat suna do, mein ne darwaaza khoola to Umar RadiAllahu anhu thy, inhen bhi jab Nabi Kareem Sallalahu Alaihi wasallam ke irshad ki ittila sunai to unhon ne bhi Allah taala ki hamd o Sana bayan ki phir ek teesray aur sahib ne darwaaza khulwaya un ke liye bhi Nabi Kareem Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya ke darwaaza khol do aur inhen Jannat ki basharat suna do un masaaib aur aazmayshon ke baad jin se inhen (duniya mein) vaastaa parrega woh Usman Radi Allahu anhu thy jab mein ne un ko Nabi Kareem Sallalahu Alaihi wasallam ke irshad ki ittila di to unhon ne Allah ki hamd o Sana ke baad farmaya ke Allah taala hi madad karne wala hain.
----------------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 3693

Mafuhm e hadith ke mutabiq in mein se kisko Rasool-Allah Salelahu Aalehi wa salaam ne Bukhal aur Buzdali ka baais kaha hai


Only-Quran-Hadith-Quiz


Sawal: Mafuhm e hadith ke mutabiq in mein se kisko Rasool-Allah Salelahu Aalehi wa salaam ne Bukhal aur Buzdali ka baais kaha hai ?

A: Gulam
B: Biwi
C: Jaldbaazi karne wala
D: Chugalkhor
E: Kanjoos
F: Jhoot bolne wala
G: In mein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar?



Sahi Jawab - G (Aulad ko Bukhal aur Buzdali ka baais kaha gaya hai)

Reference📚:
---------
Ya Ali bayan karte hain ke Hassan aur Hussain Radi Allahu Anhu Rasool-Allah ()  ki taraf tezi se daudte huwe aaye to Aap () ne un dono ko gale laga liya aur farmaya beshak Aulaad Bukhal aur Buzdali ka baais hote hai
---------------
عَن يعلى
قَالَ: إِنَّ حسنا وحُسيناً رَضِي الله عَنْهُم اسْتَبَقَا إِلَى رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَضَمَّهُمَا إِلَيْهِ وَقَالَ: «إِنَّ الْوَلَدَ مَبْخَلَةٌ مجبنَةٌ» . رَوَاهُ أَحْمد
---------------
یعلی ؓ بیان کرتے ہیں کہ حسن اور حسین ؓ رسول اللہ کی طرف تیزی سے دوڑتے آئے تو آپ نے ان دونوں کو گلے لگا لیا ، اور فرمایا :’’ بے شک اولاد بخل اور بزدلی کا باعث ہوتی ہے ۔‘‘
---------------
Sahih Hadees
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 4692

Allah ne sun li jis ne is ki hamd bayan ki, hamara RABB tamam humdo sataish tere liye he hain


Only-Quran-Hadith-Quiz


Do sawal hain!

Sawal: Yh kaunsi dua ka tarjuma hai

"Allah ne sun li jis ne is ki hamd bayan ki, hamara RABB tamam humdo sataish tere liye he hain"

A: سَمِعَ اللَّهُ لِمَنْ حَمِدَهُ رَبَّنَا لَكَ الْحَمْدُ

B: سُبْحَانَكَ اللهُمَّ وَبِحَمْدِكَ وَتَبَارَكَ اسْمُكَ وَتَعَالٰی جَدُّكَ وَلَا إِلَهَ غَيْرَكَ

C: سُبْحَانَ المَلِكِ القُدُّوسِ

D: رَبِّ الْمَلاَئِكَةِ وَالرُّوحِ

E: اللَّهُمَّ أَعِنِّي عَلَى ذِكْرِكَ وَشُكْرِكَ وَحُسْنِ عِبَادَتِكَ

F: اَ للَّهُـمَّ إِ نِّي أَعُـوْذُبِكَ أَنْ أُشْـرِكَ بِكَ شَيْئاً أَعْـلَمُ ، وَأَسْتَـغْفِرُ كَ لِمَا لَا أَعْـلَمُ

G: اَللَّهُـمَّ أَنْتَ السَّـلاَمُ ، وَمِنْـكَ السَّـلاَمُ ، تَبَـا رَكْتَ يَاذَ الْجَـلاَ لِ وَا لْإِكْـرَامِ

H: In mein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka Intezaar?

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu alaihi wasallam uss dua ko kab padha karte thy?

A: Farz Namaz ke baad
B: Salam pherne ke baad
C: Sajde mein
D: Ruku mein
E: Ruku se utte waqt
F: jab koi kush khabri sunte
G: Witr ki namaz ke baad
H: In mein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka Intezaar?



Sahi Jawab - AE

Ibn Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu alaihi wasallam jab namaz shuru karte, ruku ke liye Allah Akbar kehte, aur jab ruku se sir uthatay to rafayadain kiya karte thy, aur Aap Sallallahu alaihi wasallam ruku se uthte waqt farmatay “Allah ne sun li jis ne is ki hamd bayan ki, hamara RABB tamam humdo sataish tere liye he hain aur Aap Sallallahu alaihi wasallam sajdon ke mabain yeh rafayadain nahi kiya karte thy.
-----------
وَعَنِ ابْنِ عُمَرَ: أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كَانَ يَرْفَعُ يَدَيْهِ حَذْوَ مَنْكِبَيْهِ إِذَا افْتَتَحَ الصَّلَاةَ وَإِذَا كَبَّرَ لِلرُّكُوعِ وَإِذَا رَفَعَ رَأْسَهُ مِنَ الرُّكُوعِ رَفَعَهُمَا كَذَلِكَ وَقَالَ: سَمِعَ اللَّهُ لِمَنْ حَمِدَهُ رَبَّنَا لَكَ الْحَمْدُ وَكَانَ لَا يَفْعَلُ ذَلِكَ فِي السُّجُودِ
--------------
ابن عمر ؓ سے روایت ہے کہ رسول اللہ جب نماز شروع کرتے ، رکوع کے لیے اللہ اکبر کہتے ، اور جب رکوع سے سر اٹھاتے تو رفع الیدین کیا کرتے تھے ، اور آپ (رکوع سے اٹھتے وقت) فرماتے :’’ اللہ نے سن لی جس نے اس کی حمد بیان کی ، ہمارے رب تمام حمدو ستائش تیرے ہی لیے ہے ۔‘‘ اور آپ سجدوں کے مابین یہ (رفع الیدین) نہیں کیا کرتے تھے ۔    متفق علیہ ۔ 
--------------
Sahih Hadees
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 793

Mahfuhm e Hadith ke mutabiq Faristey bande ke liye kab tak yh dua karte rehte hai Allahuma Agfirli, Allahuma Ar-Rahamni.



Only-Quran-Hadith-Quiz


Sawal: Mahfuhm e Hadith ke mutabiq Faristey bande ke liye kab tak yh dua karte rehte hai Allahuma Agfirli, Allahuma Ar-Rahamni.

A: Namaz padhke masjid mein wahi baithne wale ke liye
B: Azan dene wale ke liye
C: Quran ki talim dene wale ke liye
D: Masjid tak chal kar jane wale ke liye
E: Jamat ke liye paidal chal kar jana
F: Juma ke din Surah Kahaf padhne wala
G: Takleef mein bhi achchi tarah wuzu karna
H: In mein se koi nahi

I: Sahi jawab ka intezaar?



Sahi Jawab - A

Reference📚:

Hazrath Abu Huraria RadiAllahu Anhu se unhone Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam se ki Aap Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya Jammat ke saath Namaz padhne mein ghar ke andar ya bazar (Dukan wagira) mein namaz padne se pachees (25) gunah sawab zayda milta hai kuyke jab koi shaqs tum mein se wudu kare aur is ke aadaab ka lehaaz rakhay phir masjid mein sirf namaz ki gharz se aeye to is ke har qadam par Allah Subahnahu taala ek darjah is ka buland karta hai aur ek gunah is se maaf karta hai is terhan woh masjid ke andar aeyega. Masjid mein anay ke baad jab taq namaz ke intezaar mein rahayga usay namaz hi ki haalat mein shumaar kiya jayega aur jab taq is jagah betha rahay jahan is ne namaz parhi hai to farishtay is ke liye Rahmat khuda wandi ki duayen karte hain «اللهم اغفر له ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏اللهم ارحمه» Allahuma Agfirli, Allahuma Ar-Rahamni Eh Allah! is ko bakhash dy, Eh Allah ! is par Raham kar jab tak ke ruht kharij kar ke (woh firshton ko) takleef nah dy.
------------
Narrated Abu Huraira:
The Prophet () said, "The prayer offered in congregation is twenty five times more superior (in reward) to the prayer offered alone in one's house or in a business center, because if one performs ablution and does it perfectly, and then proceeds to the mosque with the sole intention of praying, then for each step which he takes towards the mosque, Allah upgrades him a degree in reward and (forgives) crosses out one sin till he enters the mosque. When he enters the mosque he is considered in prayer as long as he is waiting for the prayer and the angels keep on asking for Allah's forgiveness for him and they keep on saying: 'O Allah! Be Merciful to him, O Allah! Forgive him, as long as he keeps on sitting at his praying place and does not pass wind. (See Hadith No. 620).
-------------
حضرت ابوہریرہ رضی اللہ عنہ سے ، انھوں نے رسول کریم صلی اللہ علیہ وسلم سے کہ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ، جماعت کے ساتھ نماز پڑھنے میں گھر کے اندر یا بازار ( دوکان وغیرہ ) میں نماز پڑھنے سے پچیس گنا ثواب زیادہ ملتا ہے ۔ کیونکہ جب کوئی شخص تم میں سے وضو کرے اور اس کے آداب کا لحاظ رکھے پھر مسجد میں صرف نماز کی غرض سے آئے تو اس کے ہر قدم پر اللہ تعالیٰ ایک درجہ اس کا بلند کرتا ہے اور ایک گناہ اس سے معاف کرتا ہے ۔ اس طرح وہ مسجد کے اندر آئے گا ۔ مسجد میں آنے کے بعد جب تک نماز کے انتظار میں رہے گا ۔ اسے نماز ہی کی حالت میں شمار کیا جائے گا اور جب تک اس جگہ بیٹھا رہے جہاں اس نے نماز پڑھی ہے تو فرشتے اس کے لیے رحمت خداوندی کی دعائیں کرتے ہیں «اللهم اغفر له ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏اللهم ارحمه» اے اللہ ! اس کو بخش دے ، اے اللہ ! اس پر رحم کر ۔ جب تک کہ ریح خارج کر کے ( وہ فرشتوں کو ) تکلیف نہ دے ۔
--------------------
Reference           : Sahih al-Bukhari 477
In-book reference           : Book 8, Hadith 125
USC-MSA web (English) reference           : Vol. 1, Book 8, Hadith 466

Mafhum e hadith k mutabiq jab Momin bande ki maut hoti hai toh woh inmein se kin cheezo se Allah Subahnahu ki rahmat mein najat pa leta hain



Only-Quran-Hadith-Quiz


Jawab ek se zayda hai!

Sawal: Mafhum e hadith k mutabiq jab Momin bande ki maut hoti hai toh woh inmein se kin cheezo se Allah Subahnahu ki rahmat mein najat pa leta hain?

A. Azmayesh
B. Zulm
C. Takleef
D. Ghum
E. Gunahon
F. Pareshani
G. Mushaqqat
H. Mohtaji 

I. Sahi jawab ka Intezar


Sahi Jawab - CG

Reference📚:
-------
Rasool-Allah () ke kareeb se log ek janaza lekar guzre to Rasool-Allah () Ne Farmaya ke «مستريح» یا «مستراح» yani use aaraam milgaya ya us se aaraam mil gaya. Sahaba ne arz kiya ya Rasool-Allah (مستريح» یا «مستراح» ka kiya matlab hain? Rasool-Allah () ne Farmaya ke Momin banda dunya ki mushaqqato aur takleefo se Allah Subahnahu  ki rahmat mein najaat pa jata hain wo «مستريح» hain. Aur «مستراح» wo hain ke faajir banda se Allah Subahnahu ke bande shehar daraqt aur chopaye sab aaraam paa jate hain
 ---------
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے قریب سے لوگ ایک جنازہ لے کر گزرے تو نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ «مستريح» یا «مستراح» ہے یعنی اسے آرام مل گیا، یا اس سے آرام مل گیا۔ صحابہ نے عرض کیا: یا رسول اللہ! ”المستریح او المستراح منہکا کیا مطلب ہے؟ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ مومن بندہ دنیا کی مشقتوں اور تکلیفوں سے اللہ کی رحمت میں نجات پا جاتا ہے وہ «مستريح» ہے اور «مستراح» منہ وہ ہے کہ فاجر بندہ سے اللہ کے بندے، شہر، درخت اور چوپائے سب آرام پا جاتے ہیں۔
-----
Narrated Abu Qatada bin Rib'i Al-Ansari: A funeral procession passed by Allah's Apostle who said,   Relieved or relieving?   The people asked,   O Allah's Apostle! What is relieved and relieving?   He said,   A believer is relieved (by death) from the troubles and hardships of the world and leaves for the Mercy of Allah, while (the death of) a wicked person relieves the people, the land, the trees, (and) the animals from him.
--------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 6512

Kis cheez se ya kaunse Amal se Musalman ki jaan aur uska maal Haram hojata hai




Only-Quran-Hadith-Quiz


Jawab ek se zyada hai!

Sawal: Kis cheez se ya kaunse Amal se Musalman ki jaan aur uska maal Haram hojata hai?

A. Jo gawahi de ke Allah ke siwa koi mabud nahi aur Muhammad Sal-Allahu Alaihi Wasallam Allah ke Rasool hai
B. Tamam Ambiyao par Imaan lane se
C. Qible ki taraf rukh kar ke hamari tarah namaz padne se
D. Sood se apni hifazat karne se
E. Padosi ko takleef na dene
F. Salam karne se

G. Sahi jawab ka intezar hai


Sahi Jawab - AC

Reference📚:

Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu se poocha Abu Hamzah kis cheez se musalman ki jaan, aur is ka maal haraam ho jatay hain? kaha jo gawahi de ke Allah ke siwa koi haqeeqi mabood nahi aur Mohammad Allah ke Rasool hain, aur hamaray Qible ki taraf rukh kare, hamari terhan namaz parhay aur hamara zabiha khaye to woh musalman hai, usay woh saaray haqooq milein ge jo musalmanoon ke hain aur is par har woh cheez lazim hogi jo musalmano par hoti hai.
--------------
Maimun bin Siyah asked Anas bin Malik: O Abu Hamzah, what makes the blood and wealth of a Muslim forbidden?  He said:  Whoever bears witness to La ilaha illallah (there is none worthy of worship except Allah) and that Muhammad is the Messenger of Allah [SAW], faces our Qiblah, prays as we pray, and eats our slaughtered animals, he is a Muslim, and has the same rights and obligations as the Muslims.
-----------
 انس بن مالک رضی اللہ عنہ سے پوچھا: ابوحمزہ! کس چیز سے مسلمان کی جان، اور اس کا مال حرام ہو جاتے ہیں؟ کہا: جو گواہی دے کہ اللہ کے سوا کوئی حقیقی معبود نہیں اور محمد اللہ کے رسول ہیں، اور ہمارے قبلے کی طرف رخ کرے، ہماری طرح نماز پڑھے اور ہمارا ذبیحہ کھائے تو وہ مسلمان ہے، اسے وہ سارے حقوق ملیں گے جو مسلمانوں کے ہیں اور اس پر ہر وہ چیز لازم ہو گی جو مسلمانوں پر ہوتی
--------------
Sahih Hadees
Sunnan e Nisai Hadees # 3973

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...