❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se zayda hai aur tarteeb se jawab de phele sahaba
kaun fir unke baad kaun etc..!
Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne baerares ke bagh mai kuch sahaba ko Jannat ki
basharat di.
Sawal: Wo sahaba kaun thy?
A: Ali Radi Allahu anhu
B: Usman Radi Allahu anhu
C: Talha Radi Allahu anhu
D: Abu Baker Radi Allahu anhu
E: Umar Radi Allahu anhu
F: Ubai Bin Kaab Radi Allahu anhu
G: Maaz Bin Jabal Radi Allahu anhu
H: Abdullah Bin Masud Radi Allahu anhu
I. Sahi jawab ka intezar hai
Sahi Jawab - DEB✅
Reference📚:
-------------------
Mein Madinah ke ek baagh (Baerares) mein Rasool-Allah
Sallalahu Alaihi wasallam ke saath tha ke ek sahib ne aa kar darwaaza khulwaya,
Aap Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya ke un ke liye darwaaza khol do aur
inhen Jannat ki basharat suna do, mein ne darwaaza khoola to Abu Baker Radi
Allahu anhu thy mein ne inhen Nabi Kareem Sallalahu Alaihi wasallam ke farmane
ke mutabiq Jannat ki khushkhabri sunai to unhon ne is par Allah ki hamd ki,
phir ek aur sahib aeye aur darwaaza khulwaya. Nabi Kareem Sallalahu Alaihi
wasallam ne is mauqe par bhi yahi farmaya ke darwaaza un ke liye khol do aur
inhen jannat ki basharat suna do, mein ne darwaaza khoola to Umar RadiAllahu
anhu thy, inhen bhi jab Nabi Kareem Sallalahu Alaihi wasallam ke irshad ki
ittila sunai to unhon ne bhi Allah taala ki hamd o Sana bayan ki phir ek
teesray aur sahib ne darwaaza khulwaya un ke liye bhi Nabi Kareem Sallalahu
Alaihi wasallam ne farmaya ke darwaaza khol do aur inhen Jannat ki basharat
suna do un masaaib aur aazmayshon ke baad jin se inhen (duniya mein) vaastaa
parrega woh Usman Radi Allahu anhu thy jab mein ne un ko Nabi Kareem Sallalahu
Alaihi wasallam ke irshad ki ittila di to unhon ne Allah ki hamd o Sana ke baad
farmaya ke Allah taala hi madad karne wala hain.
----------------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 3693
No comments:
Post a Comment