Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
Monday, 31 August 2020
Mujhe ye azkar un tamam cheezo se mehboob hai jis par suraj nikalta hai
ilm aur rizq mein barkat ki dua
Muttaqi shakhs ke liye Sehat daulat se behtar hai
Jo shakhs subha aur sham ko 100 baar SubhanAllahi wa Bihamdehi padhega to Qayamat ke din us se behtar amal koi lekar nahi aayega magar jo utna kare ya us se zyada kare
Momeen ke liye layaq nahi ke woh apne app ko zaleel kare...
Main Nazdeek hu, Dua karne walo ki dua qubul karta hu jab wo mujhe pukarta hai
Aur wahan un ke liye woh tamam cheezain hon gi jin ki dil mein khwahish ho.
Kaunse Amal ke wajah se Allah Subhanahu ghar mein bhalai aata karte hai
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Kaunse Amal ke wajah se Allah Subhanahu ghar mein bhalai aata karte hai
A: jis ghar meim Subah Shaam ke azkar padne jaate hai
B: Padosi ke saath husn salooq karne se
C: Biwi ke saath husn salooq karne se
D: Walidain ki khidmat karne se
E: Nafil namaze ghar mein padhne se
F: jis ghar mein subah shaam Quran ki tilawat ki jaati hai
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
❗Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye
**********
Sahi Jawab - E✅
Nafil namaze ghar mein aada karne se Allah Subhanahu ghar mein bhalai aata karte hain
Reference📚:
-------
Abu Saeed Khundari RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jab tum mein se koi shakhs Masjid mein apni (Farz) namaz poori kar le to apni Namaz ka kuch hissa apne Ghar mein padhe kuy na ke Allah Subhanahu taala ghar mein Namaz padhne ki wajah se bhalai ataa karta hai
-----
ابو سعید خدریرضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جب تم میں سے كوئی شخص مسجد میں اپنی( فرض) نماز پوری كر لے تو اپنی نماز كا كچھ حصہ اپنے گھر میں پڑھے۔ كیونكہ اللہ تعالیٰ گھر میں نماز پڑھنے كی وجہ سے بھلائی عطا كرتا ہے۔
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#525-Sahih
Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam intehayi Allah se darte huwe ek Namaz ada ki aur Allah Subhanahu se kuch duaien ki jinmein se Allah ne kuch duaien Kabul farmaye aur kuch nahi
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam intehayi Allah se darte huwe ek Namaz ada ki aur Allah Subhanahu se kuch duaien ki jinmein se Allah ne kuch duaien Kabul farmaye aur kuch nahi
Sawal 1: Wo kaunsi Namaz Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne adda ki thi
A: Salatul Tauba
B: Juma
C: Tahhajud
D: Isha
E: Chasth
F: Maghrib se pehle ki do rakat
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
Sawal 2: Kaunsi dua Allah Subhanahu ne Nahi Kabool farmaye
A: Ummat par Qahat kabhi nazil na ho
B: Ummat ke liye Tauba ke darwaze qayamat tak kulle rahe
C: Ummat per Qabr ka azaab na ho
D: Ummat per kabhi dushman galib na ho
E: Ummat mein apas mein ikhtelaf na ho
F: Ummat ke logo ka nahaq qatal na ho
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
***********
Sahi Jawab - EE✅
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki khass duwaien Ummat ke liye
Reference✅:
-----
Sayedna Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu se riwayat hai wo kehte hain mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko safar mein dekha ke Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne chasht ke waqt aath (8) rakaat namaz ada ki, Namaz se faraghat ke baad Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya aaj mein neh intehai raghbat aur Allah se darte huwe namaze padhi hai, mein neh apne RABB se teen duawaien ki hain, is ne meri do duaon ko qubool aur ek ko qubool nahi kiya, Mein ne dua ki ke woh Meri ummat ko Qahat mein mubtala na kare, is ne usse qubool kar liya, phir mein ne dua ki ke un ka dushman un par ghalib na aaye, is nay yeh dua bhi qubool kar li aur mein ne dua ki ke un ke aapas mein ikhtilafat na ho to Allah Subhanahu taala ne meri yeh dua qubool nahi ki.
-----------
سیدنا انس بن مالک رضی اللہ عنہ سے مروی ہے، وہ کہتے ہیں: میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کو سفر میں دیکھا کہ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے چاشت کے وقت آٹھ رکعت نماز ادا کی، نماز سے فراغت کے بعد آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: آج میں نے انتہائی رغبت اور اللہ سے ڈرتے ہوئے نما ز پڑھی ہے، میں نے اپنے رب سے تین دعائیں کی ہیں،اس نے میری دو دعاؤں کو قبول اورایک کو قبول نہیں کیا، میں نے دعا کی کہ وہ میری امت کو قحط میں مبتلا نہ کرے،اس نے اسے قبول کر لیا، پھر میں نے دعا کی کہ ان کا دشمن ان پر غالب نہ آئے، اس نے یہ دعا بھی قبول کر لی اور میں نے دعا کی کہ ان کے آپس میں اختلافات نہ ہوں، تو اللہ تعالیٰ نے میری یہ دعا قبول نہیں کی۔
--------------
Musnad Ahmed#12513-Sahih
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Inmein se kaunse amal ke bare mein farmaya gaya hain ke ye Momeen ka behtareen amal hain A: Namaz B: Sila R...
-
Bismillahirrahmanirrahim Jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma ----------------- Rasool-Al...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Namaz Mein khade hone se pehle padne ke azkar aur uska ajar ----- Umm Raafia RadiAllahu Anhu se riwayat ha...
-
Bismillahirrhamanirrahim Aasan hisab ki dua ----- اَللّٰهُمَّ حَاسِبْنِىْ حِسَا بًا يَّسِيْرًا Allahumma Haasibni Hisaban Yasira --------- ...