Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 31 August 2020

Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam intehayi Allah se darte huwe ek Namaz ada ki aur Allah Subhanahu se kuch duaien ki jinmein se Allah ne kuch duaien Kabul farmaye aur kuch nahi

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam intehayi Allah se darte huwe ek Namaz ada ki aur Allah Subhanahu se kuch duaien ki jinmein se Allah ne kuch duaien Kabul farmaye aur kuch nahi


Sawal 1: Wo kaunsi Namaz Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne adda ki thi


A: Salatul Tauba

B: Juma

C: Tahhajud

D: Isha 

E: Chasth

F: Maghrib se pehle ki do rakat 

G: Inmein se koi nahi 


H: Sahi Jawab ka Intezaar


Sawal 2: Kaunsi dua Allah Subhanahu ne Nahi Kabool farmaye


A: Ummat par Qahat kabhi  nazil na ho

B: Ummat ke liye Tauba ke darwaze qayamat tak kulle rahe 

C: Ummat per Qabr ka azaab na ho

D: Ummat per kabhi dushman galib na ho

E: Ummat mein apas mein ikhtelaf na ho

F: Ummat ke logo ka nahaq qatal na ho 

G: Inmein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka intezaar

***********


Sahi Jawab - EE✅


Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki khass duwaien Ummat ke liye


Reference✅:

-----

Sayedna Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu se riwayat hai wo kehte hain mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko safar mein dekha ke Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne chasht ke waqt aath (8) rakaat namaz ada ki, Namaz se faraghat ke baad Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya aaj mein neh intehai raghbat aur Allah se darte huwe namaze padhi hai, mein neh apne RABB se teen duawaien ki hain, is ne meri do duaon ko qubool aur ek ko qubool nahi kiya, Mein ne dua ki ke woh Meri ummat ko Qahat mein mubtala na kare, is ne usse qubool kar liya, phir mein ne dua ki ke un ka dushman un par ghalib na aaye, is nay yeh dua bhi qubool kar li aur mein ne dua ki ke un ke aapas mein ikhtilafat na ho to Allah Subhanahu taala ne meri yeh dua qubool nahi ki.

-----------

سیدنا انس بن مالک  رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے، وہ کہتے ہیں: میں نے رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  کو سفر میں دیکھا کہ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے چاشت کے وقت آٹھ رکعت نماز ادا کی، نماز سے فراغت کے بعد آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا: آج میں نے انتہائی رغبت اور اللہ سے ڈرتے ہوئے نما ز پڑھی ہے، میں نے اپنے رب سے تین دعائیں کی ہیں،اس نے میری دو دعاؤں کو قبول اورایک کو قبول نہیں کیا، میں نے دعا کی کہ وہ میری امت کو قحط میں مبتلا نہ کرے،اس نے اسے قبول کر لیا، پھر میں نے دعا کی کہ ان کا دشمن ان پر غالب نہ آئے، اس نے یہ دعا بھی قبول کر لی اور میں نے دعا کی کہ ان کے آپس میں اختلافات نہ ہوں، تو اللہ تعالیٰ نے میری یہ دعا قبول نہیں کی۔  

--------------

Musnad Ahmed#12513-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...