❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Qayamat jab tak qayam nahi hogi jab tak sattar (70) hazar afraad Jihad karenge wo Jihad na toh teez andazi se karnege na he aslah se ladenge
Sawal: wo jihad kis tarah ladenge aur sehar mein dhakil honge aur usske baad Dajjal ka zahur hoga
A: Allah Subhanahu ka zikr buland awaz se kahenge
B: Kalma Shahadat kehne se
C: Allahu Akbar kehne se
D: La illaha illallaha Allahu Akbar kehne se
E: SubhanAllah Alhamdulillah laa illaha IllAllah Allahu Akbar kehne se
F: La hawla wa la Quwata illa Billah
G: Surah Al-Fatiha
H: Inmein se koi nahi
I: Sahi jawab ka intezaar
*******
Sahi Jawab - D✅
La illaha illallaha Allahu Akbar kehne ki taqat aur fazilat
Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya kya tum ne ek aise shehar ke mutaliq suna hai jis ki ek janib khushki hai aur ek taraf samandar hai, unhon ne arz kiya, Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! Jee haan, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Qayamat qaim nahi hogi hatta ke Banu Ishaq ke sattar hazaar afraad wahan Jihaad Karenge, jab woh wahan pahonch kar padao dalenge to woh nah to aslah se ladenge aur nah teer andazi karenge,' woh La illaha illallaha Allahu Akbar ' padhenge to is ki ek janib gir padegi.' ' Sore bin Yazid Ravi bayan karte hain, mein nahi jaanta magar Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Anhu ne is janib ke mutaliq farmaya jo samandar ki taraf hai' ' phir woh dusri martaba :' La illaha illallaha Allahu Akbar ' padhenge toh is ki dusri janib bhi gir padhegi, phir woh teesri martaba' ' La illaha illallaha Allahu Akbar' padhenge to woh (Shehar) un ke liye khol diya jayega to woh is mein daakhil honge aur maal ghanemat haasil karenge, woh maal ghanemat taqseem kar rahe honge ke ek zor daar aawaz inhen sunai degi ke Dajjal ka zahuur ho chuka hai, chunancha woh har cheez chodh kar wapas aa jayenge
-------
حضرت ابوہریرہ ؓ سے روایت ہے کہ نبی صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ کیا تم نے ایک ایسے شہر کے متعلق سنا ہے جس کی ایک جانب خشکی ہے اور ایک طرف سمندر ہے ؟‘‘ انہوں نے عرض کیا ، اللہ کے رسول ! جی ہاں ، آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ قیامت قائم نہیں ہو گی حتیٰ کہ بنو اسحاق کے ستر ہزار افراد وہاں جہاد کریں گے ، جب وہ وہاں پہنچ کر پڑاؤ ڈالیں گے تو وہ نہ تو اسلحہ سے لڑیں گے اور نہ تیر اندازی کریں گے ، ’’ وہ لا الہ الا اللہ و اللہ اکبر ‘‘ پڑھیں گے تو اس کی ایک جانب گر پڑے گی ۔‘‘ ثور بن یزید راوی بیان کرتے ہیں ، میں نہیں جانتا مگر حضرت ابوہریرہ ؓ نے اس جانب کے متعلق فرمایا جو سمندر کی طرف ہے ’’ پھر وہ دوسری مرتبہ :’’ لا الہ الا اللہ و اللہ اکبر ‘‘ پڑھیں گے تو اس کی دوسری جانب بھی گر پڑے گی ، پھر وہ تیسری مرتبہ ’’ لا الہ الا اللہ و اللہ اکبر ‘‘ پڑھیں گے تو وہ (شہر) ان کے لیے کھول دیا جائے گا تو وہ اس میں داخل ہوں گے اور مال غنیمت حاصل کریں گے ، وہ مال غنیمت تقسیم کر رہے ہوں گے کہ ایک زور دار آواز انہیں سنائی دے گی کہ دجال کا ظہور ہو چکا ہے ، چنانچہ وہ ہر چیز چھوڑ کر واپس آ جائیں گے ۔‘‘ رواہ مسلم ۔
--------
Mishkat ul Masabeeh#5423-Sahih