Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 2 February 2020

yh kaun kahenge ke mein un mein majood tha toh unki nigrani karta raha lekin jab tune mujhe utha liya to tu he unka nigehbaan hain aur to har cheez par nigehbaan hain

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain!

Sawal: yh kaun kahenge ke mein un mein majood tha toh unki nigrani karta raha lekin jab tune mujhe utha liya to tu he unka nigehbaan hain aur to har cheez par nigehbaan hain

A: Adam Alaihi Salam
B: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam
C: Musa Alaihi Salam
D: Ibrahim Alaihi Salam
E: Isa Alaihi Salam
F: Yusuf Alaihi Salam
G: Nuh Alaihi Salam

H: Sahi Jawab ka Intezaar

*****************

Sahi Jawab - BE✅

Reference📚:
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya “(Qayamat ke din)” tum log nangay paon, nangay badan aur baghair khatna ke uthaye jaoge phir Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne is aayat ki tilawat ki ”jis terhan hum ne inhen pehli martaba paida kiya tha isi terhan hum dobarah lautayege, yeh hamari janib se wada hai aur beshak hum usay karne walay hain. “Phir sab se pehlay Ibrahim Alahi Salam ko kaprah pehnaya jayega phir mere ashaab ko dayen (Jannat ki) taraf le jaya jayega lekin kuch ko baen (Jahannum ki) taraf le jaya jayega mein kahoon ga ke yeh to mere ashaab hain lekin mujhe bataya jaye ga ke jab Aap un se judda huwe to isi waqt unhon ne irtedaad ikhtiyar kar liya tha mein yani (Rasool-Allah Sallahu Alahi wasallam) is waqt wahi kahoon ga jo Abdul Saleh Isa Ibn Maryam Alahi Salam ne kaha tha ke jab tak mein un mein mojood tha un ki nigrani karta raha lekin jab to ne mujhe utha liya to tu he un ka nigehbaan hai aur tu har cheez par nigehbaan hai. Aayat «‏‏‏‏العزيز الحكيم‏» tak. Mohammad bin Yusuf ne bayan kiya ke Abu Abdullah se rivayet hai aur un se Quaggas ne bayan kiya ke yeh woh murtadeen hain jinhon ne Abu Bakr RadiAllahu Anhu ke ehad khilafat mein kufar ikhtiyar kiya tha aur jin se Abu Bakr RadiAllahu Anhu ne jung ki thi.
-----------
Narrted Ibn `Abbas: Allah's Messenger (ﷺ) said, "You will be resurrected (and assembled) bare-footed, naked and uncircumcised." The Prophet (ﷺ) then recited the Divine Verse:-- "As We began the first creation, We shall repeat it: A promise We have undertaken. Truly we shall do it." (21.104) He added, "The first to be dressed will be Abraham. Then some of my companions will take to the right and to the left. I will say: 'My companions! 'It will be said, 'They had been renegades since you left them.' I will then say what the Pious Slave Jesus, the son of Mary said: 'And I was a witness over them while I dwelt amongst them; when You did take me up, You were the Watcher over them, and You are a Witness to all things. If You punish them, they are Your slaves, and if you forgive them, You, only You are the All-Mighty the All-Wise.' " (5.117-118) Narrated Quaggas, "Those were the apostates who renegade from Islam during the Caliphate of Abu Bakr who fought them".
------------
Sahih Bukhari Hadees # 3447 - Sahih

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne ek sahabi se kaha ke qayamat ke din tumhari garden par kisi aisi cheez ka nishaan na pao joh bulbula raha ho?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne ek sahabi se kaha ke qayamat ke din tumhari garden par kisi aisi cheez ka nishaan na pao joh bulbula raha ho?

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam kaunse amal ke liye yh irshad farma rahe thy ya wo nishaan kaunse amal karne par nazar ayega?

A: Maal e ganimat mein khayanat karna 
B: Chori karna
C: Zakat ke maal mein khayanat karna
D: Yateem ke maal mein khayanat karna
E: Jaidaad shariyat ke hesaab se takseem nahi karna 
F: Padosi ki biwi ke saath Zina karna 
G: Inmein se koi nahi (Apna jawab likhe)

H: Sahi Jawab ka Intezaar?

************

Sahi Jawab - C✅

Reference📚:
--------------
Abu Masood Ansari RadiAllahu Anhu kehte hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alahih Wasallam ne mujhe Zakat wusool karne ke liye bhejnay ka iradah kiya, phir farmaya Abu Masood jao mein Qayamat ke din thujhe is haal mein nah pau ke tumhari gardan par Zakat ka oont ho jo bulbula raha ho, jisay tum ney khayanat se haasil ki ho. Abu Masood RadiAllahu Anhu ne kaha tab to mein nahi jaooga, Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya mein tumhe majaboor nahi karooga.
------------
ابو مسعود انصاری رضی اللہ عنہ  كہتے ہیں كہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے مجھے زكاۃ وصول کرنے کے لئے بھیجنے کا ارادہ کیا، پھر فرمایا: ابو مسعود جاؤ، میں قیامت كے دن تجھے اس حال میں نہ  پاؤں كہ تمہاری گردن پر زكاۃ كا اونٹ ہو جو بلبلا رہا ہو، جسے تم نے خیانت سے حاصل كیا ہو۔ ابو مسعود  رضی اللہ عنہ نے كہا: تب تو میں نہیں جاؤں گا، آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: میں تمہیں مجبور نہیں كروں گا
--------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1741

Jab kisi ko namaz mein shak hojaye ke usne kitn namaz pardhi hai toh usse kya karna chahiye (tarteeb se jawab likhe)

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain!

Sawal: Jab kisi ko namaz mein shak hojaye ke usne kitn namaz pardhi hai toh usse kya karna chahiye (tarteeb se jawab likhe)

A: Namaz khatam hone ke baad ek sajda karle
B: Yaqeen par buniyad rakhe
C: Mazeed rakaat ada kare
D: Namaz ka mukammal hone ka yaqeen rakhe
E: ussi namaz ko fir se awal rakat se adda kare
F: Fir se dobara namaz padhe
G: Salam phairne se pehle 2 sajda sahu kare 
H: jab yaad aaye tab ek rakat sajda karle

I: Sahi Jawab ka intezaar

Sawal: Kaunsa Amal Shaitan ko khaak aloof kar deta hai?
(Apna Jawab khud likhe)

***********************

Sahi Jawab – BCDG/ Sahu ke do sajde✅

Reference📚:
------------
Syedna Abu Saeed Khundri RadiAllahu Anhu se yh riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jab tum mein se kisi ko namaz mein shak ho jaye aur woh yeh nah jaan sakay ke is ne kitni namaz parh li hai, to woh yaqeen par bunyaad rakhay (aur mazeed rakat ada kare) hatta ke usay namaz ke mukammal honay ka yaqeen hojaye, phir wo salam se pehlay do sajday kare agar is ki (parhi huwi zayed namaz) taaq rakate hongi to woh (sahu ke do sajdon) ki bana par juft ban jaye gi aur agar is ki namaz juft (yani poori hai) hogi to yeh sajday shaitan ko khaak alood kar denge.
--------------
سیدنا ابو سعید خدری رضی اللہ عنہ  سے یہ بھی روایت ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  جب تم میں سے کسی کو نماز میں شک ہو جائے اور وہ یہ نہ جان سکے کہ اس نے کتنی نماز پڑھ لی ہے، تو وہ یقین پر بنیاد رکھے (اور مزید رکعت ادا کرے) حتی کہ اسے نماز کے مکمل ہونے کا یقین ہو جائے، پھر وہ سلام سے پہلے دو سجدے کرے، اگر اس کی (پڑھی ہوئی زائد نماز) طاق رکعتیں ہوں گی تو وہ (سہو کے دو سجدوں) کی بنا پر جفت بن جائے گی اور اگر اس کی نماز جفت (یعنی پوری ہی) ہو گی تو یہ سجدے شیطان کو خاک آلود کریں دیں گے۔ 
-------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 1981

Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Teen tarah ke gunaho se bachne ka irsaad farma rahe thy phela shirk karna dusra ehad ka torna aur teesra Sunnat ko tark karna

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Teen tarah ke gunaho se bachne ka irsaad farma rahe thy phela shirk karna dusra ehad ka torna aur teesra Sunnat ko tark karna

Sawal: Mahfum e hadith ke mutabiq Sunnat ko tark karne se kya murad hain 

A: Sachi baat par Iman nahi lana 
B: Do rukha insaan 
C: Musalmano mein ladayee lagwana  
D: Ache aur burey dono aamal karna 
E: Nawafil namaz Ghar mein nahi padna  
F: Jammat se kharij hona
G: Inmein se koi nahi 

H: Sahi Jawab ka intezaar

*************************

Sahi Jawab - F✅

Reference📚:
------------
Syedna Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Namaz pichli Namaz taq kaffara hai, Jummay pichlle Jummay taq kaffara hai aur mahِ Ramadaan pichlle mahinay taq kaffara hai, magar teen gunaaho se hum ne pehchan liya ke koi nai surat_e_ haal waqay hui hai, magar Allah taala ke saath Shirk karna, muahiday (ehad) ko torna aur sunnat ko tark karna phir Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Muahiday ko torna yeh hai ke to kisi aadmi se ehad o Paiman kare, lekin phir to talwar ke saath is ke saath larna shuru kar de, aur Sunnat ko tark karne se murad Jamaat se kharij hona hai.
----------
سیدنا ابو ہریرہ ؓ سے مروی ہے کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  نماز پچھلی نماز تک کفارہ ہے، جمعہ پچھلے جمعہ تک کفارہ ہے اور ماہِ رمضان پچھلے مہینے تک کفارہ ہے، مگر تین گناہوں سے۔  ہم نے پہچان لیا کہ کوئی نئی صورتِ حال واقع ہوئی ہے،  مگر اللہ تعالیٰ کے ساتھ شرک کرنا، معاہدے کو توڑنا اور سنت کو ترک کرنا۔  پھر آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  معاہدے کو توڑنا یہ ہے کہ تو کسی آدمی سے عہد و پیمان کرے، لیکن پھر تو تلوار کے ساتھ اس کے ساتھ لڑنا شروع کر دے، اور سنت کو ترک کرنے سے مراد جماعت سے خارج ہونا ہے۔ 
-----------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 1010

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne ek sahabi se kaha ke qayamat ke din tumhari garden par kisi aisi cheez ka nishaan na pao joh bulbula raha ho?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne ek sahabi se kaha ke qayamat ke din tumhari garden par kisi aisi cheez ka nishaan na pao joh bulbula raha ho?

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam kaunse amal ke liye yh irshad farma rahe thy ya wo nishaan kaunse amal karne par nazar ayega?

A: Maal e ganimat mein khayanat karna 
B: Chori karna
C: Zakat ke maal mein khayanat karna
D: Yateem ke maal mein khayanat karna
E: Jaidaad shariyat ke hesaab se takseem nahi karna 
F: Padosi ki biwi ke saath Zina karna 
G: Inmein se koi nahi (Apna jawab likhe)

H: Sahi Jawab ka Intezaar?


************

Sahi Jawab - C✅

Reference📚:
--------------
Abu Masood Ansari RadiAllahu Anhu kehte hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alahih Wasallam ne mujhe Zakat wusool karne ke liye bhejnay ka iradah kiya, phir farmaya Abu Masood jao mein Qayamat ke din thujhe is haal mein nah pau ke tumhari gardan par Zakat ka oont ho jo bulbula raha ho, jisay tum ney khayanat se haasil ki ho. Abu Masood RadiAllahu Anhu ne kaha tab to mein nahi jaooga, Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya mein tumhe majaboor nahi karooga.
------------
ابو مسعود انصاری رضی اللہ عنہ  كہتے ہیں كہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے مجھے زكاۃ وصول کرنے کے لئے بھیجنے کا ارادہ کیا، پھر فرمایا: ابو مسعود جاؤ، میں قیامت كے دن تجھے اس حال میں نہ  پاؤں كہ تمہاری گردن پر زكاۃ كا اونٹ ہو جو بلبلا رہا ہو، جسے تم نے خیانت سے حاصل كیا ہو۔ ابو مسعود  رضی اللہ عنہ نے كہا: تب تو میں نہیں جاؤں گا، آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: میں تمہیں مجبور نہیں كروں گا
--------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1741

Hadith Mukammal kijiye.....Jisne apni Zaban ki hifazat ki____

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Hadith Mukammal kijiye.....Jisne apni Zaban ki hifazat ki____

A: Allah Subhanahu usko logo mein Mehboob bana dega 
B: Allah Subhanahu uski parda poshi karega
C: Allah Subhanahu uske darje buland karega
D: Allah Subhanahu uski Izzat bada dega 
E: Allah Subhanahu usko Jannat mein baizzat dakheel farmayega
G: Inmein se koi nahi 

H: Sahi Jawab ka Intezaar

*************

Sahi Jawab - B✅

Reference📚:

Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu rivayat hai ke jis shakhs ney apne ghusse per kabu paa liya Allah Subhanahu ta’ala is se apna azaab roke le ga aur jis shakhs ney apni zabaan ki hifazat ki Allah Subhanahu ta’ala is ki parda poshi karega aur jo shakhs Allah se Mozzart karega Allah Subhanahu is se is ki mozzart qubool karega .
-------------
انس بن مالکرضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ جس شخص نے اپنے غصےپر قابوپالیا، اللہ تعالیٰ اس سے اپنا عذاب روک لے گا اور جس شخص نے اپنی زبان کی حفاظت کی اللہ تعالیٰ اس کی پردہ پوشی کرے گا اور جو شخص اللہ سے معذرت کرے گا اللہ اس سے اس کی معذرت قبول کرے گا۔ 
----------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 418

Logo mein sab se Bahetrain kaun hain

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida

من هم خيرُ الناس

Sawal: Logo mein sab se Bahetrain kaun hain

A) Quran seekha aur sikhaye
B)  Jis se sab raazi ho
C) Jis ke Akhlaq behtar ho
D) Jo Adaigi mein sab se behtar ho
E) Jin se khair ki umeed ki jaye aur un ke shar se Amaan ho 
F) Apne ghar walon ke liye achay ho
G) Jis ki Umar lambi ho aur is ka amal naik ho 
H) Jo logon ko sab se ziyada faida dainay walay ho

I)Sahi Jawab ka intezar


*********************
Sahi Jawab: ACDEFGH✅

Reference📚:


 من هم خيرُ الناس؟ 
لوگوں میں سب سےبہترکون ہیں؟
-------------------------------
 قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:
 رسول الله صلى الله عليه وسلم نے فرمایا:

( خيركم من تعلم القرآن وعلمه ) 
تم میں سے بہتر وہ ہے جس نے قرآن سیکھا اور سکھایا۔
tum mein se behtar woh hai jis ne quran seekha aur sikhaya .
صحيح البخاری:5027


 ( خياركم أحاسنكم أخلاقا ) 
تم میں بہتر وہ ہیں جن کے اخلاق تم میں سب سے بہتر ہیں۔
Tum mein behtar woh hain jin ke Akhlaq tum mein sab se behtar hain .
 صحيح البخاری:6035


( خيركم أحسنكم قضاء ) 
أي عند رد القرض.
تم میں بہتر وہ ہیں جو تم میں ادائیگی میں سب سے بہتر ہیں۔
Tum mein behtar woh hain jo tum mein adaigi mein sab se behtar hain .
 صحيح البخاری::2305


( خيركم من يُرجى خيره ويُؤمٓن شره ) 
 تم میں بہتر وہ ہیں جن سے خیر کی امید کی جائے اور ان کے شر سے امان ہو۔
Tum mein behtar woh hain jin se kher ki umeed ki jaye aur un ke shur se Amaan ho .
 صحيح الترمذی:2263


( خيركم خيركم لأهله ) 
 تم میں بہتر وہ ہیں جو اپنے گھر والوں کے لئے اچھے ہیں۔
Tum mein behtar woh hain jo –apne ghar walon ke liye achay hain .
صحيح ابن حبان:4177


( خيركم من أطعم الطعام وردَّ السلام ) 
تم میں بہتر وہ ہیں جو کھانا کھلاتے ہیں اور سلام کا جواب دیتے ہیں۔
Tum mein se behtar woh hain khana khilata hain aur Salaam ka jawab deta hain
صحيح الجامع:3318 


( خياركم ألينُكم مناكب في الصلاة ) 
أي: يفسح لمن يدخل الصف في الصلاة .
 تم میں بہتر وہ ہیں جو نماز میں کندھے نرم رکھیں 
یعنی: جو نماز کے دوران صف میں داخل ہو اس کو جگہ دیں۔
tum mein behtar woh hain jo namaz mein kandhay naram rakhen
yani : jo namaz ke douran saf mein daakhil ho is ko jagah den
الترغيب والترهيب:234/1


( خير الناس من طال عمره وحسن عمله ) 
 تم میں بہتر وہ ہے جس کی عمر لمبی ہو اور اس کا عمل نیک ہو۔
Tum mein behtar woh hai jis ki Umar lambi ho aur is ka amal naik ho.
صحيح الجامع:3297


( خير الناس أنفعهم للناس ) 
 لوگوں میں سب سے بہتر وہ ہیں جو لوگوں کو سب سے زیادہ فائدہ دینے والے ہیں 
logon mein sab se behtar woh hain jo logon ko sab se ziyada faida dainay walay hain
صحيح الجامع:3289

( خيرالأصحاب عند الله خيركم لصاحبه، وخير الجيران عند الله خيركم لجاره ) 
  اللہ کے ہاں سب سے بہتر ساتھی وہ ہے جو اپنے ساتھی کے لئے بہترین ہے اور اللہ کے ہاں سب سے بہتر ہمسایہ وہ ہے جو اپنے ہمسائے کے لئے بہترین ہے۔
Allah ke haan sab se behtar saathi woh hai jo –apne saathi ke liye behtareen hai aur Allah ke haan sab se behtar hamsaaya woh hai jo –apne hamsaye ke liye behtareen hai .
صحيح الأدب المفرد/84


( خير النَّاس ذوالقلب المَخْمُوم واللِّسان الصَّادق ) قالوا : صدوق اللسان نعرفه ، فما مخموم القلب ؟ قال : 
(  هو النقي، التقي، لا إثم عليه، ولا بغي، ولا غل، ولا حسد ) .
 لوگوں میں سب سے بہتر مخموم دل والے اور سچی زبان والے ہیں
صحابہ نے کہا : سچی زبان تو ہم جانتے ہیں مخموم دل سے کیا مراد ہے؟ 
فرمایا: وہ (دل) جو صاف ، بچنے والا ، جس پر کوئی گناہ نہ ہو ، باغی نہ ہو ، نہ اس میں دھوکہ ہو اور نہ حسد۔
logon mein sab se behtar مخموم dil walay aur sachhi zabaan walay hain
sahaba ne kaha : sachhi zabaan to hum jantay hain مخموم dil se kya morad hai ?
farmaya : woh ( dil ) jo saaf, bachney wala, jis par koi gunah nah ho, baaghi nah ho, nah is mein dhoka ho aur nah hasad .
صحيح الجامع:3291

Inmein se Kufr kis kis ko kaha gaya hai?



❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hai!

Sawal: Inmein se Kufr kis kis ko kaha gaya hai?

A: Jo Allah ke diye huwe rizaq se razi nahi hota
B: Musalman se ladna
C: Dhikhawe ke liye Amal karne wala
D: Quran ke bare mein jhagarna
E: Namaz ka tark karna
F: kisi ko nahaq baddua dena
G: Jo marne se pehle Allah se tauba nahi karta

H: Sahi Jawab ka intezaar
********************

Sahi jawab - BDE✅

Reference📚:
------------
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke Musalman ko gaali dene se Aadmi fasik ho jata hai aur Musalman se ladna Kufar hain.
--------
Narrated 'Abdullah: The Prophet (ﷺ) said, "Abusing a Muslim is Fusuq (an evil doing) and killing him is Kufr (disbelief)."
Sahih Bukhari Hadees # 48
-------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Qur'an ke baray mein jhagarna kufar hai.
-------
Narrated Abu Hurairah: The Prophet (ﷺ) said: Controverting about the Quran is disbelief.
-----
Sunnan Abu Dawood Hadith 4603
-----
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: ”Kufr aur Imaan ke darmiyan farq karne wali cheez Namaz ka tark karna hai
-----
Narrated Jabir: that the Prophet (ﷺ) said:   Between disbelief and faith is abandoning the Salat.
Jam e Tirmazi Hadees # 2618

Mahfhum e Hadith ke mutabiq inmein se kaun kaunse logo ko yh cheezo ko badd dua nahi karni cahhaiye?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain

Sawal : Mahfhum e Hadith ke mutabiq inmein se kaun kaunse logo ko yh cheezo ko badd dua nahi karni cahhaiye?

A: Marhoom
B: Padosi
C: Baarish
D: Buri Nazar
E: Khadim (Naukar)
F: Biwi
G: Apna Maal
H: Aulad
I: Apni Jaan
J: Waledain

K: Sahi Jawab ka Intezaar

***************

Sahi Jawab : EGHI✅

Reference📚:
---------
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya tum log na apne liye baddua karo aur na hi apni Aulad ke liye na apne khadimo ke liye na hi apne maalo ke liye kahin aisa na ho ke wo ghadi aise ho jis main dua Qubul Hoti ho aur Allah Subhanahu taala baddua Qubul karle 
---------------
رسول اللہ (ﷺ) نے فرمایا: تم لوگ نہ اپنے لیے بد دعا کرو اور نہ اپنی اولاد کے لیے، نہ اپنے خادموں کے لیے اور نہ ہی اپنے  مالوں کے لیے،* کہیں ایسا نہ ہو کہ وہ گھڑی ایسی ہو جس میں دعا قبول ہوتی ہو اور اللہ تمہاری بد دعا قبول کر لے ۔
----------------
RasoolAllah (ﷺ) said Do not invoke curse on yourselves, and do not invoke curse on your children, and do not invoke curse on your servants, and do not invoke curse on your property, lest you happen to do it at a time when Allah is asked for something and grants your request.
-------------------
Sahih Hadees
Sunan Abu Dawood Hadees # 1532

Ya Muqallib Qulub thabbit Qalbi Ala Deenak






Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam kasrat se yh dua padha karte

يَا مُقَلِّبَ الْقُلُوبِ ثَبِّتْ قَلْبِي عَلَى دِينِكَ
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam kasrat se ye dua kiya karte thy

يَا مُقَلِّبَ الْقُلُوبِ ثَبِّتْ قَلْبِي عَلَى دِينِكَ

Ya Muqallib Qulub thabbit Qalbi Ala Deenak
-----
Eh dilo ko phenrne wale mere dil ko tere deen par qayam rakh

Aap Sallallahu Alaihi wasallam ke sahaba aur ahal o Ayal ne kaha : Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam kya Aap ko humare bare mein koi darr hain, jabke hum Aap par aur Aap ki layi ho Shariyat par Emaan laaye hain? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Beshak tamam dil Allah Subhanahu taala ke haath mein hain wo inko alat palat kar deta hain
Musnad Ahmed#8939-Sahih
-----
 ۔ سیدنا انس بن مالک ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم کثرت سے یہ دعا کیا کرتے تھے: … یَا مُقَلِّبَ الْقُلُوْبِ! ثَبِّتْ قَلْبِیْ عَلٰی دِينِكَ۔(اے دلوں کو پھیرنے والے میرے دل کو تیرے دین پر قائم رکھ)۔ آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم کے صحابہ اور اہل و عیال نے کہا: اے اللہ کے رسول! کیا آپ کو ہمارے بارے میں کوئی ڈر ہے، جبکہ ہم آپ پر اور آپ کی لائی ہو شریعت پر ایمان لائے ہیں؟آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: بیشک تمام دل اللہ تعالیٰ کے ہاتھ میں ہیں، وہ ان کو الٹ پلٹ کر دیتا ہے۔ 
------
It is narrated on the authority of Anas bin Malik RadiAllahu Anhu that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam used to pray: 

يَا مُقَلِّبَ الْقُلُوبِ ثَبِّتْ قَلْبِي عَلَى دِينِكَ

Ya Muqallib Qulub thabbit Qalbi Ala Deenak
----
O Changer of the hearts, make my heart firm upon Your religion

The companions and family of the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: O Messenger of Allah! Do you have any fear about us, while we believe in you and in the law (Shariya) that you have brought? Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: Verily, all hearts are in the hands of Allah, He turns them upside down.
-----
Musnad Ahmed#8939-Sahih


 

kaunsa amal karne per kaha gaya hain ke aisa karna musalman ki khoon ki hurmat ki terhan hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: kaunsa amal karne per kaha gaya hain ke aisa karna musalman ki khoon ki hurmat ki terhan hain?

A: padosi ki biwi ke saath zina karna
B: Nahaq kisi musalman ka maal lena
C: musalman bhai ko gaali dena
D: musalman se ladna
E: padosi ko takleef dena
F: wada khilafi karna 
G: Inmein se koi nahi 

H: Sahi Jawab ka Intezaar

*******************


Sahi Jawab - B✅

Reference📚:
----
Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu se riwayat hai unhone kaha ke Rasool-Allah Sallahu Alahi waSallam ne farmaya : Apne Musalman bhai ko gaali dena fasiq hain, aur is se ladna kufar hain aur is ke Maal ki hurmat (yani nahaq maal lena) is ke khoon ki hurmat ki terhan hain.
----------
عبداللہ بن مسعود‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے انہوں نے کہا کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اپنے مسلمان بھائی کو گالی دینا فسق ہے ، اور اس سے لڑنا کفر ہے ، اور اس کے مال کی حرمت اس کے خون کی حرمت کی طرح ہے
------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 119

Sab isi ke (Allah Subhanahu ke) farmanbardar hain.





Bismillahirrahmannirrahim

كُلٌّ لَّهُ قَانِتُونَ
---
Sab isi ke (Allah Subhanahu ke) farmanbardar hain.
---
 سب اسی کے فرمانبردار ہیں
---
सब इसी के (अल्लाह के) फरमंबरदार हैं.
---
And all are obedient to Allah.
---
Surah Al Baqara: 902:116)

Allahumma innaka afuwwun tuhibbul-Aafu, faafu anni













Ya Hayyu Ya Qayyum Bi-Raḥmatika Astagith,






Bismillahirrahmannirrahim

Sakhti aur pareshani ke waqt padhne ki dua

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko jab koi kaam sakht takleef o pareshani mein daal deta to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ye dua padhte: 

يَا حَىُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيثُ 
Ya Hayyu Ya Qayyum, Bi-Raḥmatika Astagith
Eh Zinda Hamesha Rehne wale teri rehmat ke waseele se teri madad chahta hu

Jam e Tirmazi#3524-Sahih 
---------- 
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کو جب کوئی کام سخت تکلیف و پریشانی میں ڈال دیتا تو آپ یہ دعا پڑھتے: «يا حي يا قيوم برحمتك أستغيث» ”اے زندہ اور ہمیشہ رہنے والے! تیری رحمت کے وسیلے سے تیری مدد چاہتا ہوں“۔ 
---------------
Bismillahirrahmanirrahim

Dua when in distress
---------------
Anas bin Malik RadiAllahu Anhu said  Whenever a matter would distress him, the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam would say: 

يَا حَىُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيثُ
Ya Hayyu Ya Qayyum, Bi-Raḥmatika Astagith
‘Oh Alive and everlasting one! In Your Mercy do I seek relief
Jam e Tirmazi#3524-Sahih 


 

 


Karz ki adayeegi aur haram se bachne ki dua







Allahumma Salli Ala Muhammed



As Salamu Alekum and Walekum As Salam,





As Salamu Alekum and Walekum As Salam,





As Salamu Alekum and Walekum As Salam,





Surah An Nas


Aameen































Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...