❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Teen tarah ke gunaho se bachne ka irsaad farma rahe thy phela shirk karna dusra ehad ka torna aur teesra Sunnat ko tark karna
Sawal: Mahfum e hadith ke mutabiq Sunnat ko tark karne se kya murad hain
A: Sachi baat par Iman nahi lana
B: Do rukha insaan
C: Musalmano mein ladayee lagwana
D: Ache aur burey dono aamal karna
E: Nawafil namaz Ghar mein nahi padna
F: Jammat se kharij hona
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*************************
Sahi Jawab - F✅
Reference📚:
------------
Syedna Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Namaz pichli Namaz taq kaffara hai, Jummay pichlle Jummay taq kaffara hai aur mahِ Ramadaan pichlle mahinay taq kaffara hai, magar teen gunaaho se hum ne pehchan liya ke koi nai surat_e_ haal waqay hui hai, magar Allah taala ke saath Shirk karna, muahiday (ehad) ko torna aur sunnat ko tark karna phir Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Muahiday ko torna yeh hai ke to kisi aadmi se ehad o Paiman kare, lekin phir to talwar ke saath is ke saath larna shuru kar de, aur Sunnat ko tark karne se murad Jamaat se kharij hona hai.
----------
سیدنا ابو ہریرہ ؓ سے مروی ہے کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: نماز پچھلی نماز تک کفارہ ہے، جمعہ پچھلے جمعہ تک کفارہ ہے اور ماہِ رمضان پچھلے مہینے تک کفارہ ہے، مگر تین گناہوں سے۔ ہم نے پہچان لیا کہ کوئی نئی صورتِ حال واقع ہوئی ہے، مگر اللہ تعالیٰ کے ساتھ شرک کرنا، معاہدے کو توڑنا اور سنت کو ترک کرنا۔ پھر آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: معاہدے کو توڑنا یہ ہے کہ تو کسی آدمی سے عہد و پیمان کرے، لیکن پھر تو تلوار کے ساتھ اس کے ساتھ لڑنا شروع کر دے، اور سنت کو ترک کرنے سے مراد جماعت سے خارج ہونا ہے۔
-----------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 1010
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmanirrahim Jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma ----------------- Rasool-Al...
-
Bismillahirahmanirrahim Wa antum fa JazakAllahu khairan --- Aur aapko bhi Allah aapko bhi achcha Sila ataa farmaye --- And you ...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmannirrahim اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَتِي وَآمِنْ رَوْعَاتِي Allahummastur awrati, wa amin raw'ati ----- Eh Allah Mere A...
No comments:
Post a Comment