Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
Tuesday, 10 November 2020
Allah Subhanahu se Maghfirat Mangne ki dua
Dusro ko hidayat karna par khud Aamal na karne wale ke liye Jahannum mein Azab
Bismillahirrahmannirrahim
❗Dusro ko hidayat karna par khud Aamal na karne wale ke liye Jahannum mein Azab
------
Hazrat Usama bin Zaid RadiAllahu Anhu ne bayan kiya ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko maine ye farmate huwe suna tha ke qayamat ke din ek shakhs ko laya jayega aur jahannam me daal diya jayega. Aag mein uski aantein baahar nikal ayengi aur wo shakhs is tarah chakkar lagane lagega jaisa gadha apni chakki par gardish kiya karta hain. Jahannam mein dale jane wale us ke qareeb aa kar jama ho jayenge aur usse kahenge 'Eh Falaan! Aaj tumhari ye kya haalat hain? Kya tum hume achche kaam karne ke liye nahi kehte thy aur kya tum bure kaamo se humko mana' nahi kiya karte thy?' Wo shakhs kahega ke haan! mein tumhe toh achche kaamo ka hukm deta tha lekin khud nahi karta tha. Bure kaamo se tumhe mana' bhi karta tha lekin khud kiya karta tha."
Isse Bukhari aur Muslim ne riwayat kiya hain
Al Lulu Wal Marjan h (2/1882)
📌Note: Is hadis se malum hua ke sirf dusro ko hidayt nahi karna chahiye balke khud bhi us par amal karna chahiye. Beshak! Har musalman par farz hai ke wo apne musalman bhai ko neki ki taraf bulaye aur bure kaame se roke lekin sirf dusro ko hidayt karna hi kafi nahi hai, balke har insaan ko pahle apne andar jhaank kar dekhna chahiye ke jis neki ki wo hidayt kar raha hai, kya wo khud us par amal karta hai? Aur jis burai se wo logo ko rok raha hai, kahi us burai me wo khud to molauwwis nahi hai? Agar aisa hai to wo apna thikana jahannam me bana raha hai. To aise logo ko sabse pahle apni islaah karna chahiye.
🌹ALLAH Subhanahu hum sab ko buraiyo se bacha kar nek aamal ki taufiq de aur jahannam ki aag se mahfooz rakhe. AMEEN.🌹
Mix Azkar
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam kasrat se yh dua padha karte
Kisi aisi cheez ke peeche na lago jiska tumhe ilm na ho
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo bhi (ek baar) Allahu Akbar kahega uske liye 20 nekiya likhi jayengi aur 20 gunah mita diye jayenge
Insan jab tak Astagfaar karta rehta hai Allah Subhanahu ke azaab se Aman mein rehta hain
Allahumma Salle Ala Muhammed
Allahumma Salle Ala Muhammed
Juma ki raat Surah Al-Kahaf padhne ki fazilat
Allah Subhanahu se Maghfirat Mangne ki dua
Jo ALLAH se darta hain, ALLAH uske liye nijaat ka rasta nikal deta hain
La hawla wa la Quwwata illa billah
Aur apni Aulad ko muflisi ke khauff se Qatl na karna, unko aur tumko hum he Rizq dete hain
Surah Al Ikhlas sawab mein ek teehaii Quran padne ke barabar hain
Surah Al Kafiroon aur Surah Al Ikhlas Fajar aur Magrib ki sunnat namazo mein padhna Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ki sunnat hain
Ek baar Subhan-Allahil Azeem, Wa Bihamdehi kehta hai toh uske liye Jannat mein ek Khajoor ka darkht laga diya jata hai
Jo 10 martaba ye kalimat padhega to 100 gulam aazad, 100 nekiya aur 100 burayee mita di jayegi
Kasrat se Astagfaar karne wale ki fazeelat
Yaqeenan mera Madadgar Allah Subhanahu hain.
Mix Azkar
100 baar SubhanAllahi wa bihamdihi kehne ki fazilat
Allahumma Salle Ala Muhammed
Juma ki raat Surah Al-Kahaf padhne ki fazeelat
Jo 10 martaba ye kalimat padhega to 100 gulam aazad, 100 nekiya aur 100 burayee mita di jayegi
Biwi ke huquq
HasbunAllah wa naimal wakeel
Afzal Zikr La illaha illAllah hain aur Afzal Dua Alhumdullilah hain
Jo Aap ka Mazaaq udatey hain hum un ke liye kaafi hain
Jis shaqs se Allah Subhanahu Mohabbat karta hain wo roye zameen per bhi maqbool hojata hain
Kasrat se Astagfaar karne wale ki fazilat
Burayi karne ke baat Naikiya karne wali ki misal.
Teen qisam ke Zulm hain jis mein se ek ko Allah Subhanahu nahi chorhega
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Inmein se kaunse amal ke bare mein farmaya gaya hain ke ye Momeen ka behtareen amal hain A: Namaz B: Sila R...
-
Bismillahirrahmanirrahim Jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma ----------------- Rasool-Al...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Namaz Mein khade hone se pehle padne ke azkar aur uska ajar ----- Umm Raafia RadiAllahu Anhu se riwayat ha...
-
Bismillahirrhamanirrahim Aasan hisab ki dua ----- اَللّٰهُمَّ حَاسِبْنِىْ حِسَا بًا يَّسِيْرًا Allahumma Haasibni Hisaban Yasira --------- ...