Bismillahirrahmannirrahim
Hadith: Jis shaqs se Allah Subhanahu Mohabbat karta hain wo roye zameen per bhi maqbool hojata hain
-------------
Abu Huraira Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya ke jab Allah Subhanahu ta’ala kisi bande se Mohabbat karta hai to Jibraiel Alaihi Salam se farmata hai ke Allah Subahnahu ta’ala falan shakhs se mohabbat karta hai tum bhi is se mohabbat rakho, chunancha Jibraiel Alaihi Salam bhi is se Mohabbat rakhe lagtay hain phir Jibraiel Alaihi Salam tamam ahal aasman ko pukaar dete hain ke Allah Subanahu ta’ala falan shakhs se Mohabbat rakhta hai is liye tum sab log is se Mohabbat rakho, chunancha tamam aasman wale is se Mohabbat rakhne lagtay hain is ke baad roye zameen wale bhi is ko maqbool samajte hain.
-------------
Narrated Abu Huraira: The Prophet said, If Allah loves a person, He calls Jabriel saying, 'Allah loves so and-so; O Jabriel! Love him.' Jabriel would love him and make an announcement amongst the inhabitants of the Heaven. 'Allah loves so-and-so, therefore you should love him also,' and so all the inhabitants of the Heaven would love him, and then he is granted the pleasure of the people on the earth.
-------
ابوہریرہ رضی اللہ عنہ نے بیان کیا کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ جب اللہ تعالیٰ کسی بندے سے محبت کرتا ہے تو جبرائیل علیہ السلام سے فرماتا ہے کہ اللہ تعالیٰ فلاں شخص سے محبت کرتا ہے۔ تم بھی اس سے محبت رکھو، چنانچہ جبرائیل علیہ السلام بھی اس سے محبت رکھنے لگتے ہیں۔ پھر جبرائیل علیہ السلام تمام اہل آسمان کو پکار دیتے ہیں کہ اللہ تعالیٰ فلاں شخص سے محبت رکھتا ہے۔ اس لیے تم سب لوگ اس سے محبت رکھو، چنانچہ تمام آسمان والے اس سے محبت رکھنے لگتے ہیں۔ اس کے بعد روئے زمین والے بھی اس کو مقبول سمجھتے ہیں۔
-----------
Sahih Bukhari Hadees # 3209-Sahih
No comments:
Post a Comment