❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Wo kaunsa Amal hai joh bande ko Jannat ke Qareeb kar deta hai
A: Neik Aulad
B: Ilm hasil karna
C: Sunnatoh ko zinda karne se
D: Padosi ke saath husn suluk karne se
E: Jo Tahajjud ki Namaz padhte hai
F: Waliden ke saath husn suluk karne se
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
*********
Sahi Jawab - F✅
Maa baap ke saath husn e suluk Jannat se Qareeb karta hai
-----
Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu se riwayat hai maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se pocha Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam kaunsa aamal Jannat se zyada Nazdik karta hai farmaya Namazein apne apne Auqat par padhna maine pocha Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam aur kaunsa aamal faramaya Waliden ke saath husn e suluk maine pocha Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam aur kya Farmaya Allah Subhanahu ki rah main Jihad karna
------
حضرت عبد اللہ بن مسعود رضی اللہ عنہ سے روایت کی ، انہوں نے کہا : میں نے پوچھا : اے اللہ کے نبی !کون سا عمل جنت سے زیادہ قریب ( کردیتا ) ہے ؟ فرمایا : ’’نمازیں اپنے اپنے اوقات پر پڑھنا ۔ ‘ ‘ میں نے پوچھا : اے اللہ کے نبی ! اور کیا ؟ فرمایا : ’’ والدین کے ساتھ حسن سلوک کرنا ۔ ‘ ‘ میں نے پوچھا : اے اللہ کے نبی ! اور کیا ؟ فرمایا : ’’ اللہ کی راہ میں جہاد کرنا
-----
Abdullah b. Mas'ud reported: I said: Messenger of Allah, which of the deeds (takes one) nearer to Paradise? He (the Holy Prophet) replied: Prayer at its proper time, I said: What next, Messenger of Allah? He replied: Kindness to the parents. I said: What next? He replied: Jihad in the cause of Allah.
---
Sahih Muslim hadees#253