Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday, 28 October 2020

Ek Amal aisa hain jiske bare mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasalam ne farmaya ke ye amal Arsh ke pass tumhari yaad dilaata rehta hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Ek Amal aisa hain jiske bare mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasalam ne farmaya ke ye amal Arsh ke pass tumhari yaad dilaata rehta hain


A: Namaz qayam karne wale

B: jo rizaq Allah ne diya usmein se karch karne wale

C: jab Allah Subhanahu ka naam liya jata hai toh unke dil darr jate hain

D: jab Allah Subhanahu ki ayaton ka zikr hota hain toh unka imaan aur badh jata hain

E: jo tanhai mein Allah Subhanahu ko yaad karte hain aur unke aankh se aansoo jari hojate hain

F: SubhanAllahi wa biHamdihi, Subhan-Allahil-azeem kehne par

G: Inmein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka intezaar

********

Sahi Jawab - G✅


Ye Azkar arsh ke ird grid jakar uske padhne wale ka tazkira (Zikr) karte hain.....SubhanAllah Alhamdulillah Laa illaha IllAllah Allahu Akbar


Reference📚:

------

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : jab log Tasbeeh (SubhanAllah), Tamheed Alhumdulilah ), Takbir (Allahu Akbar) aur Tehleel (La illaha IllAllah) ki surat mein Allah Subhanahu ke jalal ka zikr karte hain, to ye (azkar) Arsh ke ird gird aajizi karte hain, Shehad ki makhi ki bhinbhinahat ki terhan unki aawaz hoti hai aur ye apne (zikr karne wale) sahib ka tazkara karte hain. to ab kya tum log nahi chahte ke tumhara koi aisa amal ho jo (Arsh ke paas) tumhari yaad dilaata rahe.

-----

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  جب لوگ تسبیح (سُبْحَانَ اللّٰہ)، تحمید (اَلْحَمْدُ لِلّٰہ)، تکبیر (اَللّٰہُ اَکْبَر) اور تہلیل (لَا اِلٰہَ اِلَّا اللّٰہ) کی صورت میں اللہ تعالیٰ کے جلال کا ذکر کرتے ہیں، تو یہ (اذکار) عرش کے اردا گرد عاجزی کرتے ہیں، شہد کی مکھی کی بھنبھناہٹ کی طرح ان کی آواز ہوتی ہے اور یہ اپنے (ذکر کرنے والے) صاحب کا تذکرہ کرتے ہیں۔ تو اب کیا تم لوگ نہیں چاہتے کہ تمہارا کوئی ایسا عمل ہو جو (عرش کے پاس) تمھاری یاد دلاتا رہے۔ 

----

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said when you recite Tasbeeh (SubhanAllah), Tamheed (Alhumdulilah), Takbir (Allahu Akbar) and Tehleel (La illaha IllAllah) it revolves around the throne buzing like bees, reminding for the one who recited it. So anyone of you like to have or continue to have something which reminds of him revolving around the throne in the presence of Allah Subhanahu

----

Musnad Ahmed#5464-Sahih

Shaitaan ke nifaq se kya murad hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Shaitaan ke nifaq se kya murad hain


A: Gussa

B: shar

C: junoon

D: hasad

E: Takkabur

F: Zulm

G: Inmein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka Intezaar

*****

Sahi Jawab - E✅


Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasalalm Shaitan ki humz, nafs aur nifaq se panah talab kiya karte thy


Reference📚:

------

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam shaytan ke humz, nafs aur nifaq se panah talab kiya karte thy, humz se murad uska Junoon hain, nafs se murad us ka shar hain aur nifaq se murad us ka takabbur hai

-----

The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam used to seek refuge from the devil's hamz, nafs and nifaq. Hamz means his Madness, nafs means his poetry and nifaq means his arrogance.

-----

 سیدنا عبد اللہ بن مسعود رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم شیطان کے ہَمْز، نَفْث اور نَفْخ سے پناہ طلب کیا کرتے تھے، ہَمْز سے مراد اس کا جنون ہے، نَفْث سے مراد اس کا شعر ہے اور نَفْخ سے مراد اس کا تکبر ہے۔ 

---- 

Musnad Ahmed#5682-Sahih

Mumkin hai tum kissi cheez ko buri jano aur wohi tumhare liye bhali ho aur ye bhi Mumkin hai ke tum kissi cheez ko achchi samjho halanke wo tumhare liye buri ho haqeeqi ilm Allah he ko hai tum mehaz be khabar ho.





Bismillahirrahmannirrahim

وَعَسَىٰ أَن تَكْرَهُوا شَيْئًا وَهُوَ خَيْرٌ لَّكُمْ ۖ وَعَسَىٰ أَن تُحِبُّوا شَيْئًا وَهُوَ شَرٌّ لَّكُمْ ۗ وَاللَّهُ يَعْلَمُ وَأَنتُمْ لَا تَعْلَمُونَ

------

Mumkin hai tum kissi cheez ko buri jano aur wohi tumhare liye bhali ho aur ye bhi Mumkin hai ke tum kissi cheez ko achchi samjho halanke wo tumhare liye buri ho haqeeqi ilm Allah he ko hai tum mehaz be khabar ho.

------

ممکن ہے تم کسی چیز کو بھول ہی جانا اور وہ تمہارے لئے بھی ہو اور یہ بھی ممکن ہے کہ تم کسی چیز کو اچھی سمجھو حالانکہ وہ تمہارے لیے بری ہوں حقیقی علم اللہ ہی کو ہے تم محض بے خبر ہو

----

Perhaps you may dislike something which is good for you, and like something which is bad for you. Allah knows and you do not.

------

Surah Al Baqarah (2:216)

 

Quran majid ke baad ye chaar kalimat afzal hain....SubhanAllah wa Alhamdulillah wa lailaha illallah wa Allahu Akbar



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Quran majid ke baad ye chaar kalimat afzal hain....SubhanAllah wa Alhamdulillah wa lailaha illallah wa Allahu Akbar
----
Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Quran majid ke baad chaar kalimat Afzal kalam hain aur ye bhi Quran kareem se hi hain wo char kalmat ye hain SubhanAllah wa Alhamdulillah wa lailaha illallah wa Allahu Akbar , jis kalme se chahe shuru karo is se koi farq nahi padhega
Musnad Ahmed-5455-Sahih
------
 رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  قرآن مجید کے بعد چار کلمات افضل کلام ہیں اور یہ بھی قرآن کریم سے ہیہیں، تو جس کلمہ سے مرضی شروع کردے، اس سے کوئی فرق نہیںپڑے گا، وہ چار کلمات یہ ہیں: سُبْحَانَ اللّٰہِ، وَالْحَمْدُ لِلّٰہِ، وَلَا اِلٰہَ إِلَّا اللّٰہُ، وَاللّٰہُ أَکْبَرُ۔
------
Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: After Quran these four words are the best...SubhanAllah wa Alhamdulillah wa lailaha illallah wa Allahu Akbar

RasoollAllah Sallallahu Alaihi wasallam said after the Quran these four words are the best and these are from the Quran also, SubhanAllah wa Alhamdulillah wa lailaha illallah wa Allahu Akbar ,  you can start to recite any of the word you like,  it will be same
Musnad Ahmed-5455-Sahih


 

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...