Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 17 May 2020

Aala Akhlaq se momeen kaun kaunsa darja hasil kar sakta hai

 

Only-Quran-Hadith-Quiz

Jawab ek se ziyada hain

Sawal: Aala Akhlaq se momeen kaun kaunsa darja hasil kar sakta hai

A: sare din ke rozedaar aur sari raat tahajuud guzar ka sawab

B: Meezan e Amal mein bhari koi cheez nahi

C: Jannat mein ghar ki zamanat

D: iman ke aitbar se Kamil momeen ka darjah hasil kar sakta

E: Jannat wajib

F: logo mein mehboob ban jata hai

G: Jannat mein izzat ka libaas pehnaya jayega

 

H: Sahi Jawab ka intezaar

********************

Sahih Jawab - ABCDE

 Momeen Apne Aala Akhlaq se bahut se darje hasil kar sakta hai

Reference📚:

 -----------

Aisha radi Allahu anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya momeen Apne aala akhlaq se sare din ke rozedar aur sari raat ke tahajudguzar ka darja hasil kar leta hai

Sunan Abu dawud, Jild 3, 1370-sahih

----------

Abu Darda radi Allahu anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Meezan e aamal mein achche Akhlaq se bhari koi cheez nahi

Sunan Abu dawud, Jild 3, 1371-sahih

----------

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya main us shakhs ke liye aala Jannat mein ek ghar ki zamanat deta hu jiska akhlaq aala (bahut achcha) ho

Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1372-Hasan

----------

Rasool-Allah Sallallahu Alalhi wasallam ne farmaya Imaan ke aitbar se Kamil Momeen wo hain jinke Akhlaq behatreen hain

Sunan Abu Dawud, Jild 3 ,1257-Sahih

---------

Hani RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab woh Rasool-Allah Sallahu Alahi waSallam ke paas aaye to kaha Eh Allah ke Rasool Sallahu Alahi waSallam! konsa amal jannat wajib karta hai? Aap Sallahu Alahi waSallam ney farmaya : achcha Akhlaq aur khana khilana lazim karlo.

 

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 95

 

 

 

 


Ek Sayel ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam se sawal kiya ke Agar koi shakhs uss par ziyadati kare toh usse kya karna cahhaiye

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Ek Sayel ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam se sawal kiya ke Agar koi shakhs uss par ziyadati kare toh usse kya karna cahhaiye

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne usse kaunsa hukum irshad farmaya

A: Sabr se kaam le
B: usse teen martaba maaf kare aur wo na manne toh usse ladayi kare
C: usse teen martaba Allah ka khauf dilaye aur agar wo na manne toh usse ladayi kare
D: usse maaf karde aur khamosh rahe
E: usse ladayi karo aur uska qatal kardo
F: uski islah kare 
G: usse Salam kar ke waha se nikal jao

H: Sahi Jawab ka Intezaar

❗Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye

******************

Sahi Jawab - C✅

Mafhum e hadith - ziyadati karne wale shakhs ko teen martaba Allah ka khauf dilaye aur agar wo phir bhi na maane toh usse ladayi karo

Reference📚:
------
Ek sayel ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se sawal kiya Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam ‌agar koi shakhs mujh par ziyadati kare (toh mujhe kya karna chahiye) Nabi Sallallahu Alaihi Wasallan ne is se kaha usay teen martaba Allah ka khauf dilao, agar woh nah maane to is se ladai karo, agar woh tujhye qatal kar de toh tum Jannat mein ho aur agar tum usse qatal kar do to woh jahannum mein hai
-----
قہید غفاری رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے كہ ایك سائل نے نبی صلی اللہ علیہ وسلم سے سوال كیا: اے اللہ كے رسول ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌اگر كوئی شخص مجھ پر زیادتی كرے (تومجھے کیا کرنا چاہئے) ؟ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے اس سے كہا: اسے تین مرتبہ اللہ  کا خوف دلاؤ، اگر وہ نہ مانے تو اس سے لڑائی كرو، اگر وہ تجھے قتل كر دے تو تم جنت میں ہو اور اگر تم اسے قتل كر دو تووہ جہنم میں ہے
-------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha#1638

Mahfuhm e hadith ke mutabiq Eman ka mukammal hone ka sabab kaun kaunsa hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hain

Sawal: Mahfuhm e hadith ke mutabiq Eman ka mukammal hone ka sabab kaun kaunsa hai

A: Allah ke liye Mohabbat karna
B: Allah ke liye rokna
C: Neki ka hukum aur burai se rukna
D: Allah ke liye dene wala
E: Allah ke liye raat ko qiyam karna
F: Hidayat ki pairwi karna
G: Allah ke liye bughz karna

H: Sahi Jawab ka Intezaar

*******************

Sahi Jawab - ABDG✅

Emaan ka mukammal hone ka sabab

Reference📚:
------
Abu Amama se rivayat hai ke Rasool-Allah Sallalalhu Alaihi wasallam ne farmaya : jis shakhs ne Allah ke liye Mohabbat ki aur Allah ke liye bughz kiya, Allah ke liye diya aur Allah ke liye roka to is ne apna Emaan mukammal kar liya
------
ابو امامہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا : جس شخص نے اللہ کے لئے محبت کی اور اللہ کے لئے بغض کیا، اللہ کے لئے دیا اور اللہ کے لئے روکا تو اس نے اپنا ایمان مکمل کر لیا
------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 405

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...