Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday, 16 February 2020

Aur Aapas mein ek doosray ko Aib na lagao aur na kisi ko buray laqab do





Bismillahirrahmannirrahim

وَلَا تَلْمِزُوا أَنفُسَكُمْ وَلَا تَنَابَزُوا بِالْأَلْقَابِ
------
Aur Aapas mein ek doosray ko Aib na lagao aur na kisi ko buray laqab do

 اور آپس میں ایک دوسرے کو عیب نہ لگاؤ اور نہ کسی کو برے لقب دو
-------
और आपस में एक दूसरे को ऐब ना लगाओ और ना किसी को बुरे लक़ब दो
--------
Do not Insult one another and do not call each other by (offensive) nicknames.
--------
Surah Al Hujurat: (49:11)

Radaitu billahi Rabban wa bil-Islami dinan wa bi Muhammadin nabiyyan 





Bismillahirrahmannirrahim

Jo is dua ko subah sham padhega toh Allah Subhanahu Qayamat ke din usko jarur khush farma denge
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Jo bhi Musalman Ya Insaan (ya banda) Subah Sham yh kalimat kahe

رَضِيتُ بِاللَّهِ رَبًّا وَبِالإِسْلاَمِ دِينًا وَبِمُحَمَّدٍ نَبِيًّا
Radaitu billahi Rabban wa bil-islami dinan wa bi Muhammadin Nabiyyan 

Toh Allah Subhanahu Qayamat ke din usko zarur khush farma denge

Tarjumah: Main raazi hu Allah ke RABB hone par, aur Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam ke NABI hone par

Sunan Ibn Majah, Jild3, 751- Hasan
Sahih Ibn Hibban, 870-Hasan
-----------
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جب کوئی مسلمان یا کوئی آدمی یا کوئی بندہ صبح و شام یہ کہتا ہے 
رَضِيتُ بِاللَّهِ رَبًّا وَبِالإِسْلاَمِ دِينًا وَبِمُحَمَّدٍ نَبِيًّا
میں راضی ہوں اللہ کے رب ہونے، اسلام کے دین ہونے، اور محمد صلی اللہ علیہ وسلم کے نبی ہونے سے تو اللہ تعالیٰ قیامت کے دن اس کو ضرور خوش فرما دینگے 
-----
Hadith: The one who says below dua in the morning and evening he will have a promise from Allah to make him pleased on the Day of Resurrection
-----
The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: "Any Muslim or Any person or Any slave (of Allah) who says in the morning and evening
رَضِيتُ بِاللَّهِ رَبًّا وَبِالإِسْلاَمِ دِينًا وَبِمُحَمَّدٍ نَبِيًّا
Radaitu billahi Rabban wa bil-islami dinan wa bi Muhammadin Nabiyyan

I am Happy with Allah as my Lord, Islam as my Religion and Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam as my Prophet. 
"He will have a promise from Allah to make him pleased on the Day of Resurrection"
 
Sunan Ibn Maja, Book 34, 3870- Hasan
Sahih Ibn Hibban, 870

Qayamat ke din ek “Shujaa” naam ka saanp nikala jayega wo kis shaqs ke liye hoga

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Qayamat ke din ek “Shujaa” naam ka saanp nikala jayega wo kis shaqs ke liye hoga?

A: Deen ke raha mein maal karch karne mein bhukuli karne wala
B: Geebat karne wala
C: Sood ka Maal khane wala
D: Maal hote huwe bhi zaroorat mand rishtedaro ki madad nahi karne wala
E: Haram maal se apne gharwalo ko khilane wala
F: Logo ki nahaq zameen le lene wale
G: Inmein se koi nahi 

H: Sahi Jawab ka intezaar?

******************

Sahi Jawab - D✅

Reference📚:
---------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya koi bhi rishtedar apne kisi rishtedar ke paas aata hai aur Allah Subhanahu ne usay jo ataa Kiya hai usmein se fazal (jo cheez jarurt se zyada ho) ka sawal karta hai aur wo bukhal se pesh aata hai qayamat ke din Uske liye dozakh se ek sanp nikala jaega jisko shujaa kaha jata hai wo phunkar raha hoga us se uski gardan mai tauk bana kar dal diya jaega 
-------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said when a person go to his relative and ask for giving him property which is surplus with him and he refuses or becomes miser to give it to him,  On the Day of resurrection a snake will brought out from the hell which is called Shujaa, and it would be made to wear around his neck 
---------
رسول اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کوئی بھی رشتہ دار اپنے کسی رشتے دار کے پاس آتا ہے اور اللہ تعالیٰ نے اسے جو عطا کیا ہے اس میں سے فضل (جو چیز ضرورت سے زیادہ ہو ) کا سوال کرتا ہے اور وہ بخیلی سے پیش آتا ہے تو قیامت کے دن اس کے لئے جنمو سے ایک سانپ نکالا جائے گا جسے شجاع کہا جاتا ہے۔ وہ پھنکار رہا ہوگا۔ اسے اس کی گردن میں طوق بنا کر ڈال دیا جائے گا۔
----------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 168

As Salamu Alekum and Walekum As Salam,






السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكَاتُهُ

Aap par Salamati ho aur Allah ki taraf se Rehmatein aur uski Barkatein aap par Nazil ho

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...