Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 4 August 2021

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke Mohar e Nabuwat kaisi thi?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 758❗

❗Jawab ek se ziyada hain

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke Mohar e Nabuwat kaisi thi?

A: Chand balon ke majmue ki tarah
B: Chappar khat ki ghundi ki tarah 
C: Seene par ubhre huwe gosh ki tarah
D: Kabootri ke ande ki tarah
E: Roti ki tarah
F: Laal rang ki gilti ki tarah
G: Ubhre huwe gosht ki manid 
H: Band mutthi ki tarah
I: Misheri ke lattu ki tarah
J: Sahi Jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - ABDFGHI✅

Hadith: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki Mohar e Nabuwat ki misaal
Reference📚:
----
Hadith 1:Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ” Eh Abu Zaid mere qareeb aao, aur meri pusht par haath phero. “ To mein ne Aap Sallallahu Alaihi wasallam ki pusht par haath phera, to meri ungelian Mohar Nabuwat par ja lagen. (Albah bin Ahmar shakri) kehte hain mein ne poocha Mohar Nabuwat kaisi hain? “ unhon ne kaha : “Chand balon ka majmuaa”
--- 
رسول اللہ ﷺ نے مجھے فرمایا : ” اے ابوزید ! میرے قریب آؤ ، اور میری پشت پر ہاتھ پھیرو ۔ “ تو میں نے آپ ﷺ کی پشت پر ہاتھ پھیرا ، تو میری انگلیاں مہر نبوت پر جا لگیں ۔ (علباء بن احمر شکری) کہتے ہیں : میں نے پوچھا : ” مہر نبوت کیسی ہے ؟ “ انہوں نے کہا : ” چند بالوں کا مجموعہ
----
Sahih ibn Hibban#2096-Sahih
Mustadrak Hakim#(602/02)-Sahih
**
Hadith 2: Meri khalaa mujhe Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat mein le gayeen aur arz kiya ke ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam mera ye bhanja bemaar hain, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne mere sir par apna haath phera aur mere liye barkat ki dua farmaie, phir Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne wazu kiya aur mein ne Aap Sallallahu Alaihi wasallam wazu ka bacha huwa pani piya phir mein Aap Sallallahu Alaihi wasallam ki kamar ke peeche khada ho gaya aur mein ne mohar nabuwat dekhi jo Aap Sallallahu Alaihi wasallam ke mohdon ke darmiyan aisi thi jaise Chappar khat ki ghundi (Ya kabutarri ka anda)
----
میری خالہ مجھے نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم کی خدمت میں لے گئیں اور عرض کیا کہ یا رسول اللہ! میرا یہ بھانجا بیمار ہے، آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے میرے سر پر اپنا ہاتھ پھیرا اور میرے لیے برکت کی دعا فرمائی، پھر آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے وضو کیا اور میں نے آپ صلی اللہ علیہ وسلم کے وضو کا بچا ہوا پانی پیا۔ پھر میں آپ صلی اللہ علیہ وسلم کی کمر کے پیچھے کھڑا ہو گیا اور میں نے مہر نبوت دیکھی جو آپ صلی اللہ علیہ وسلم کے مونڈھوں کے درمیان ایسی تھی جیسے چھپر کھٹ کی گھنڈی۔  ( یا کبوتر کا انڈا ) ۔
----
Sahih Bukhari#190
***
Hadith 3: Aap Sallallahu Alaihi wasallam ki peeth ke peeche khada huwa to mujhe Aap Sallallahu Alaihi wasallam ke dono kandho ke darmiyan aap ki Mohar (Nabuwat) Misehri ke lattu ki terhan nazar aayi
----
پھر میں آپ صلی اللہ علیہ وسلم کی پیٹھ کے پیچھے کھڑا ہوا تو مجھے آپ کے د ونوں کندھوں کے درمیان آپ کی مہر ( نبوت )  مسہری کے لٹو کی طرح نظر آئی ۔
Sahih Muslim#6087-Sahih (part)
***
Hadith 4: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki Mohar nabuwat yani jo aap ke dono shaanon ke darmiyn thi kabutar ke ande ke manind surkh (laal) rang ki ek gilti thi.
----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی مہر نبوت یعنی جو آپ کے دونوں شانوں کے درمیان تھی کبوتر کے انڈے کے مانند سرخ رنگ کی ایک گلٹی تھی۔ 
----
Jam e Tirmazi#3644-Sahih
***
Hadith 5: Abu Saeed Khadri RadiAllahu Anhu se Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki Mohar ke baare mein sawal kiya to kehne lagey Aap Sallallahu Alaihi wasallam ki Mohar Nabuwat aap ki pusht par ubhre huwe gosht ki shakal mein thi.
----
ابو نضرہ عوفی سے مروی ہے کہتے ہیں کہ میں نے ابو سعید خدریرضی اللہ عنہ سے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی مہر کے بارے میں سوال کیا تو کہنے لگے: آپ صلی اللہ علیہ وسلم کی مہر نبوت آپ کی پشت پر ابھرے ہوئے گوشت کی شکل میں تھی۔
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2182-Sahih
****
Hadith 6: Hazrat Abdullah bin Sirjis RadiAllahu Anhu bayan karte hain, mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko dekha aur aap ke sath gosht roti khayi, ya kaha Sareed khayi, phir mein ghoom kar aap ke pichli janib gaya aur mein ne Aap ke dono kaandhon ke darmiyan bayen kandhe ki naram haddi ke paas Mohar Nabuwat dekhi, wo band mutthi ki terhan thi is par do til they, jaisay masse hon.
----
حضرت عبداللہ بن سرجس   ؓ  بیان کرتے ہیں ، میں نے نبی صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کو دیکھا اور آپ کے ساتھ گوشت روٹی کھائی ، یا کہا : ثرید کھائی ، پھر میں گھوم کر آپ کے پچھلی جانب گیا اور میں نے آپ کے دونوں کندھوں کے درمیان بائیں کندھے کی نرم ہڈی کے پاس مہر نبوت دیکھی ، وہ بند مٹھی کی طرح تھی اس پر دو تل تھے ، جیسے مسّے ہوں ۔‘‘ رواہ مسلم ۔
----
Mishkat ul Masabeeh#5780-Sahih

Ek baar ek Sahabi ne farmaya ke 30martaba se bhi ziayda badkari karu tabhi mujhe ye amal iske aage halki mehsoos hogi

❗Only-Quran-Hadith-Quiz 757❗

Ek baar ek Sahabi ne farmaya ke 30martaba se bhi ziayda badkari karu tabhi mujhe ye amal iske aage halki mehsoos hogi

Sawal: wo kaunsa amal tha

A: Sharab ka ek katra peena
B: Junubi halat mein ek lamha guzarna
C: Jihad se peeth phair kar aajana
D: Juwa khelna
E: Jhoot bolkar bheek mangna
F: Chori ki kamayi se ek luqma khana
G: Inmein se koi nahi hain to apna sahi jawab likiye
H: Sahi jawab ka intezaar
*****
Sahi Jawab - G✅(Sood ka ek dhiram khane se jabki Allah Subhanahu jaante hain ke wo sood samajh kar kha raha tha)

Hadith: Sood ke baare mein sakhti ka bayan

Reference📚:
----
Sayedna Kaab RadiAllahu Anhu kehte hain agar mein 33 martaba Zina karu to mujhe ye buraiee sood ka ek dirham khane se halki mehsoos ho gi, jabke Allah Subhanahu taala jaanta ho ke mein is ko sood samajh kar he kha raha hu.
----
سیدنا کعب  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ کہتے ہیں: اگر میں تینتیس مرتبہ زناکروں تو مجھے یہ برائی سود کا ایک درہم کھانے سے ہلکی محسوس ہو گی، جبکہ اللہ تعالی جانتا ہو کہ میں اس کو سود سمجھ کر ہی کھا رہا ہوں۔
---
Sayedna Kaa'b RadiAllahu Anhu says: If I commit adultery thirty-three times, I will feel this evil by eating a dirham of usury (sood), while Allah Almighty knows that I am eating it as usury (sood).
---
Musnad Ahmed#5960-Sahih

Ek Baar ek Sahabi ke ghar kuch mehmaan aye us sahabi ne khana paish kiya par mehmanon ki farmaish thi ke unhe kuch aur bhi khaana hai tab us sahabi ne apna saman rahan rakhkar unki farmaish puri ki

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 756❗

Ek Baar ek Sahabi ke ghar kuch mehmaan aye us sahabi ne khana paish kiya par  mehmanon ki farmaish thi ke unhe kuch aur bhi khaana hai tab us sahabi ne apna saman rahan rakhkar unki farmaish puri ki

Sawal : Us sahabi ne apna kaunsa samaan rahan rakha tha ?

A : Sandook
B : Jutey
C : Talwar
D : Bartan
E : Chandi ka sikka
F : Lohe ki thaal
G : In mein se koi nahi
H : Sahi jawab ka Intezaar
******
Sahih Jawab -D✅

Hadith Salman RadiAllahu ne apne wazu ka bartan girwi rakh kar apne doston ki farmaish puri ki

Reference📚:
---
Shakik RadiAllahu Anhu kehte hain ke mein aur mera dost Salman RadiAllahu Anhu ke paas gaye to unhon ne roti aur namkeen cheez hamare samne kar di phir farmaya : Aap radi Allah Anhu ne farmaya agar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne hamein takalouf se mana na kiya hota to mein tumahre liye takalouf karta. Mere dost ne kaha agar hamari is namkeen dish mein pahadi pudina hota to kitna achcha hota unhon ne apne Wazu ka bartan sabzi farosh ki taraf bheja, usse girwi rakha aur pahadi pudina le aaeye aur is mein daal diya jab hum ne khana kha liya to mere dost ne kaha Alhumdullilah jis ne hamein hamare rizaq par Qanaat ki taufeeq di. Salman ne kaha agar tum is par Qanaat karte jo tumahre samne paish kiya gaya to mera bartan girwi na rakha hota .
---
شقیق کہتے ہیں کہ میں اور میرا دوست سلمان‌رضی اللہ عنہ کے پاس گئے تو انہوں نے روٹی اور نمکین چیز ہمارے سامنے کر دی۔پھر فرمایا:  آپ رضی اللہ عنہ  نے فرمایا: اگر رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نےہمیں تکلف سے منع نہ کیا ہوتا تو میں تمہارےلئےتکلف کرتا۔ میرے دوست نے کہا: اگر ہماری اس نمکین ڈش میں پہاڑی پودینہ ہوتا تو کتنا اچھا ہوتا۔ انہوں نے اپنے وضو کا برتن سبزی فروش کی طرف بھیجا ،اسے گروی رکھا اورپہاڑی پودینہ لے آئے۔ اور اس میں ڈال دیا۔ جب ہم نے کھانا کھا لیا تو میرے دوست نے کہا: الحمدللہ جس نے ہمیں ہمارے رزق پر قناعت کی توفیق دی۔ سلمان نے کہا: اگر تم اس پر قناعت کرتے جو تمہارے سامنے پیش کیا گیا تو میرا برتن گروی نہ رکھا ہوتا۔
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#433-Sahih

inmein se kise Afzal Sadqa kaha gaya hain

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 755❗

Sawal: inmein se kise Afzal Sadqa kaha gaya hain

A: Salam mein pehal karna 
B: Muslman ko Muskura kar dekhna 
C: Mehman nawazi karna 
D: Aapas mein sulah karwana 
E: Nikah karna
F: Kisi ke Aibo ko zahir na karna
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - D✅

Hadith: Afzal Sadqa aapas mein sulah karwana hain

Reference📚:
----
Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hain Afzal Sadqa Aapas mein sulah karwana hain.
--- 
عبداللہ بن عمرو‌رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ افضل صدقہ آپس میں صلح کروانا ہے۔
---
It is narrated from Abdullah bin Amr RadiAllahu Anhu that the best charity is to reconcile between the two
---
Al-Slisila-tus-Sahiha hadees#37-Sahih

Qayamat ke din Allah Subhanahu bande se kya sawal karega ke____

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 754❗

Mafhum e hadith Mukammal karo......

Qayamat ke din Allah Subhanahu bande se kya sawal karega ke____?

A: Jab tum se kaha gaya ke Ahle bait se Mohabbat rakho to tum ne unse kuyn bughz rakha
B: Jab tum ko hukm diya gaya ke halal rizq khao to tum ne haram ka rasta kuyn ikhtiyar kiya
C: Jab tum ko do naraz musalmano ke beech sulah ka hukm diya gaya to tum ne un ke beech judai kuyn dal di
D: Jab tum ko maal ata kiya gaya to zakat kuyn ada na ki
E: Jab tumhe jihad ka hukm huwa to tum ne jihad kuyn nahi kiya
F: Jab tum ne buraie dekhi to tumhe kis cheez ne mana kiya tha ke iska inkaar na karo
G:  Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
****
Sahi Jawab - F✅

Hadith: Qayamat ke din Allah Subhanahu bande se sawal karega ke jab tumne buraie dehki to tum kis wajah se usse mana nahi kar paaye

Reference📚:
-------
Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya Qayamat ke din Allah Subhanahu taala bande se yahan taq sawal karega ke jab tum ne buraiee dekhi to tumhe kis cheez ne mana kiya tha ke is ka inkaar na karo? Jab Allah Subhanhu taala bande ko is ki Hujjat sikha dega to wo banda kahega Eh mere parvardigaar! Mein ne tujh par bharosa kiya tha aur logon se darr gaya tha
--------------------
ابو سعید خدری رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ نے فرمایا: قیامت کے دن اللہ تعالیٰ بندے سے یہاں تک سوال کرے گا کہ: جب تم نے برائی دیکھی تو تمہیں کس چیز نے منع کیا تھا کہ اس کا انکار نہ کرو؟  جب اللہ تعالیٰ بندے کو اس کی حجت سکھا دے گا۔ تو وہ بندہ کہے گا:اے میرے پروردگار! میں نے تجھ پر بھروسا کیا تھا اور لوگوں سے ڈر گیا تھا
-----------
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2542-Sahih

Wo kounsa amal hai jo Allah subhanahu ki raza, gunah ki bakhshish aur gunah se durr rahne ka sabab hai ?

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 753❗

Sawal : Wo kounsa amal hai jo Allah subhanahu ki raza, gunah ki bakhshish aur gunah se durr rahne ka sabab hai ?

A : Sadqa karna
B : Zakaat dena
C : Sila rehmi karna
D : Salaam karna
E : Mukammal wazu karna
F : Masjidon ko abaad karna
G : Qayam ul lail karna
H : In mein se koi nahi
****
Sahi Jawab G ✅ (Raat ko Qiyam karna yani Tahhajud ki namaz padhna
Hadith: Tahajjud padhne ki fazilat..

Reference : 📚
---------
Hazrat Abu Amamah Radi Allahu Anhu bayan karte hain, RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya : Namaz Tahajjud padha karo, kyunke wo tum se pehle saliheen ki rosh hain, tumahre RABB ka qurb (raza) haasil karne, gunaahon ki muafi aur gunaahon se baaz (durr) rahne ka zariya hain
----------
حضرت ابوامامہ ؓ بیان کرتے ہیں ، رسول اللہ ﷺ نے فرمایا :’’ نماز تہجد پڑھا کرو ، کیونکہ وہ تم سے پہلے صالحین کی روش ہے ، تمہارے رب کا قرب حاصل کرنے ، گناہوں کی معافی اور گناہوں سے باز رہنے کا ذریعہ ہے ۔‘‘
----------
Hazrat Abu Amamah Radi Allahu Anhu narrates that the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: “Perform Tahajjud prayer, because it is the way of the righteous before you, the means of gaining nearness to your Lord, forgiveness of sins and abstinence from sins.
---------
Mishkat ul Masabeeh#1227-Sahih

Allah Subhanahu apne bande ko inmein se kis se zariye se azmata hain goya ke uss azmaish ke zariye uska har gunah mita deta hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 752❗

❗Sawal: Allah Subhanahu apne bande ko inmein se kis se zariye se azmata hain goya ke uss azmaish ke zariye uska har gunah mita deta hain

A: Hijrat
B: Maal
C: Beemari
D: Gurbat
E: Nikah
F: Jihad
G: Inmein se koi nahi
H: Sahih Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - C✅

Hadith: Allah Subhanahu apne bande ko beemari ke zariye azmata hain aur uske sare gunah mita deta hain

Reference📚:
----
Abu Huraira RadiAllahu Anhu kehte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Allah Subhanahu ta'ala apne bande ko beemari de kar aazmata hain hatta ke iss ke zariye is ke har gunah mita deta hain.
----
ابو ہریرہ‌رضی اللہ عنہ كہتے ہیں كہ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا:اللہ تعالیٰ اپنےبندےكوبیماری دےكرآزماتاہےحتی كہ اس کے ذریعے اس كےہرگناہ مٹادیتاہے۔ 
----
Abu Huraira RadiAllahu Anhu said: The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: Allah Almighty tests His servant by making him sick and even removes all his sins through it.
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#3244-Sahih

Wo kaunse sahabi hai jinke liye farmaya gaya hai ke wo islam ke darje par aise hai jaise chehere par kaan aur aankhe hoti hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 751❗

❗Jawab ek se zyada hain

Sawal: Wo kaunse sahabi hai jinke liye farmaya gaya hai ke wo islam ke darje par aise hai jaise chehere par kaan aur aankhe hoti hain

A: Umar RadiAllahu Anhu
B: Ali RadiAllahu Anhu
C: Jabir bin Talha RadiAllahu Anhu
D: Abu Bakr RadiAllahu Anhu
E: Othman RadiAllahu Anhu
F: Maaz bin Jabal RadiAllahu Anhu
G: Saad bin Maaz RadiAllahu Anhu
H: Sahih Jawab ka intezaar
*****
Sahi Jawab - AD✅

Hadith: Deen mein darje ke lehaz se Abu Bakr RadiAllahu Anhu aur Umar RadiAllahu Anhu sir mein kaan aur aankh ki terhan hain

Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Abu Bakr RadiAllahu Anhu o Umar RadiAllahu Anhu iss deen mein is darje par hain jis terhan sir mein kaan aur Aankhein  hoti hain.
----
جابر بن عبداللہ   رضی اللہ عنہما  سے مروی ہے كہ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: ابو بكرو عمر اس دین میں اس درجے پر ہیں جس طرح  سر میں كان اور آنكھیں ہوتی ہیں
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said : 
Abu Bakr RadiAllahu Anhu and Umar RadiAllahu Anhu is at the same level in this religion as the head has ears and eyes
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#3338-Sahih

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...