❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se zyada hai!
Sawal: In mein se quran ki wo kaunsi surtey hai jin ke jaisi Tawrat Injeel aur Zabur mein bhi nazil nahi huwi aur na Furqan mein in jaise surtey hai?
A: Surah-Al-Baqara
B: Surah-Al-Kausar
C: Surah-Al-Nas
D: Surah-Al-Kafiroon
E: Surah-Al-Kahf
F: Surah-Al-Falaq
G: Surah-Al-Ikhlas
H: Surah-Al-Asr
I:Sahi jawab ka intezar hai
*********
Sahi Jawab - CFG✅
Reference📚:
Uqba Bin Amir Radi Allahu Anhu se rivayat hai ke mein Rasool-Allah (ﷺ) se mila to Aap (ﷺ) ne mujhe kaha Uqba Bin Amir jo tum se qata taluq kare is se Sila Rahmi karo, jo tumhe Mahroom kare use diya karo, jo tujh par zulm kare usay maaf kiya karo Uqba Radi Allahu Anhu ne kaha mein dobara Rasool-Allah (ﷺ) ke paas aaya to Aap (ﷺ) ne mujhe kaha Ukba Bin Amir apni zuban ko qaboo mein rakho, aur apni khata par roya karo, aur tumhare liye tumhara ghar hi kaafi ho phir mein Rasool-Allah (ﷺ) se mila to Aap (ﷺ) ne mujhe kaha Ukba Bin Amir kya mein tumhe aisi suraten nah shikhaoo jin ki misal Taurat o Injeel aur Zaboor mein bhi nazil nahi huien? aur nah Furqan mein un jaisi suraten hain har raat inhen parha karo الاخلاص (Ikhlas)، الفلق (Falaq)، الناس (Naas) Ukba ne kaha har raat mein inhen parha karta tha aur mere liye munasib hai ke mein inhen nah chhodu ke Rasool-Allah (ﷺ) ne mujhe un ka hukum diya hai Faroh Bin Mujahid jab yeh hadees bayan karte to kehte khabardaar kitney hi aisay aadmi hain jo apni zabaan ke maalik nahi, ya woh apni khato per nahi rotay aur nah un ka ghar un ke liye kaafi hai
---------
عقبہ بن عامررضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ میں رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے ملا تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے مجھے کہا: عقبہ بن عامر! جو تم سے قطع تعلقی کرے اس سے صلہ رحمی کرو، جو تجھے محروم کرے اسے دیا کرو، جو تجھ پر ظلم کرے اسے معاف کیا کرو۔ عقبہ نے کہا: میں دوبارہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس آیا تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے مجھےکہا: عقبہ بن عامر! اپنی زبان کو قابو میں رکھو،اور اپنی خطا پر رویا کرو،اور تمہارے لئے تمہارا گھر ہی کافی ہو۔پھر میں رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے ملا تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے مجھے کہا :عقبہ بن عامر! کیا میں تمہیں ایسی سورتیں نہ سکھاؤں جن کی مثل تورات و انجیل اور زبور میں بھی نازل نہیں ہوئیں؟ اور نہ فرقان میں ان جیسی سورتیں ہیں؟ ہر رات انہیں پڑھا کرو الاخلاص ، الفلق ، الناس ۔عقبہ نے کہا: ہر رات میں انہیں پڑھا کرتا تھا۔ اور میرے لئے مناسب ہے کہ میں انہیں نہ چھوڑوں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے مجھے ان کا حکم دیا ہے ۔ فروہ بن مجاہد جب یہ حدیث بیان کرتے تو کہتے : خبردار کتنے ہی ایسے آدمی ہیں جو اپنی زبان کے مالک نہیں، یا وہ اپنی خطاپر نہیں روتے اور نہ ان کا گھر ان کے لئے کافی ہے
--------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 465
No comments:
Post a Comment