Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday, 21 September 2020

Iss Ummat ke kuch log in mein se kaun kaun si cheezo ko halal kar lenge?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ 


Jawab ek se zyada hai!


Sawal: Iss Ummat ke kuch log in mein se kaun kaun si cheezo ko halal kar lenge?


A: Sharab

B: Gheebat 

C: Zina

D: Resham

E: Gaana bajana

F: Sood lena aur dena

G: Matam 

H: Zakat adda nahi karna 


I: Sahi Jawab ka Intezaar?

********

Sahi Jawab - ACDE✅


Reference📚:


Abu Aamir ya Abu Malik Ashri Radi Allahu Anhu se rivayat hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaya meri ummat mein kuch log honge jo sharmgah (yani zina), Resham, Sharab aur Gane bajane ke alaat ko halal kar lenge aur kuch log pahar ki chouti par (apne bangloon mein rahaish ke liye) ayenge un ke charwahay un ke maweshi subah o shaam layein le jayen ge un ke paas koi faqeer zaroorat se aeye ga to woh kahenge hamaray paas kal aana, Allah taala raat ke waqt un par azaab nazil karega un par pahar ko gira dega aur dosray logon ko qayamat taq bandaron aur kinziron ki shakal mein tabdeel kar dega

----------

ابو عامر یا ابو مالک اشعری رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ نبی  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: میری امت میں کچھ لوگ ہوں گے جو شرمگاہ (یعنی زنا)، ریشم، شرا ب اور گانے بجانے کے آلات کو حلال کر لیں گے۔ اور کچھ لوگ پہاڑ کی چوٹی پر (اپنے بنگلوں میں رہائش کے لئے) آئیں گے۔ ان کے چرواہے ان کے مویشی صبح و شام لائیں لے جائیں گے۔ ان کے پاس کوئی فقیر ضرورت سے آئے گاتو  وہ کہیں گے:ہمارے پاس کل آنا، اللہ تعالیٰ رات کے وقت ان پر عذاب نازل کر ے گا۔ان پر پہاڑ کو گرا دے گا اور دوسرے لوگوں کو قیامت تک بندروں اور خنزیروں کی شکل میں تبدیل کر دے گا

---------

Sahih Hadees

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2686

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...