❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se zyada hai!
Sawal: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke irshad ke mutabiq khana khate waqt kaunse amal karna chahiye?
A: Khana khate waqt koi luqma gir jaye to jo usey laga hai usey saf kar kay kha le
B: Bismillah kah kar dahine hath se khana khana chahiye
C: Jab tak apna haath chat na le rumal se saaf na kare
D: Palet jab tak chat na le ya chatwa na le na uthaye kyunki khane ke aakhri hisse mein barkat hoti hai
E. Khana khatam hone ke bad surah fatiha padhe
F. Khana apne samne se hi khana chahiye
G. Khana khate waqt shuru mein Bismillah kehna bhool jaye to Bismillah fi awwalihi wa akhirihi kahe
H. Sahi jawab ka intezar hai
/********
Sahi Jawab - ABCDFG✅
Reference📚:
Jabir Bin Abdulah Radi Allahu Anhu se rivayat hai unhone Nabi (ﷺ) se suna farma rahe thy jab tum mein se koi shakhs khana kaye aur luqmah gir jaye toh joh isse laga hai usay saaf kar ke kha le usay Shiatan ke liye nah chhorey, aur jab tak apna haath chaat nah le romal se saaf nah kuy na ke Insaan nahi jaanta ke kaunse konse luqmay mein is ke liye Barkat hai, Shaitan har cheez par Insaan ke rastay mein ghaat lagaye baitha hai hatta ke is ke iske khane ke waqt bhi, aur paleton jab tak chaat nah le ya chatva nah le na utaye kuyna ke khane ke aakhri hissay mein Barkat hoti hai.
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 810
---------
Umar bin abu Salmah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki main ek baar Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein hazir hua to aapke samne khana rakha hua tha Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya beta qareeb ho jao aur Bismillah kah kar apne dahine haath se aur apne samne se khao
Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1915-Sahih
---------
✦ Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar tum mein se koi khana khane lage to Bismillah kahe aur agar shuru mein kahna bhul jaye to ye kahe Bismillah Fi Awwalihi Wa Akhirihi ( Allah ke naam ke saath is ke shuru mein aur aakhir mein)
Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1917-Sahih
No comments:
Post a Comment