Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 21 September 2020

Abu Jabir Bin Saleem Radi Allahu Anhu ne ek baar Rasool-Allah (ﷺ) se naseehat mangi toh Rasool-Allah (ﷺ) ne unhe kya naseehat di?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se zayda hai!


Sawal: Abu Jabir Bin Saleem Radi Allahu Anhu ne ek baar Rasool-Allah (ﷺ) se naseehat mangi toh Rasool-Allah (ﷺ) ne unhe kya naseehat di?


A: Subah Shaam ke Azkar lazim padhna

B: kisi ko gaali mat dena

C: kisi naiki ko haqeer mat samjhna 

D: kisi ke raaz ko hargiz bayan nahi karna

E: apne bhai se hamesha kushadah chehre se baat karna 

F: takhnoh ke neeche taiband nahi latkana

G: har mahine teen roza rakna

H: Allah ki Ibadat karo 

I: Allah se kasrat se tauba kiya karo


J: Sahi jawab ka Intezaar?

*******

Sahi Jawab - BCEF✅


Reference📚:


Abu Jarry Jabir Bin Saleem Radi Allahu Anhu kehte hain ke mein ne ek aadmi ko dekha ke log is ki baat ko tasleem karte they woh jo bhi baat kehta log usay tasleem kar lete mein ney poocha yeh kaun hai logon ney kaha yh Allah ke Rasool (ﷺ) hain mein ne kaha Aap par Salam ho Eh Allah ke Rasool (ﷺ) do martaba kaha Aap (ﷺ) ne farmaya aap par Salam ho (Aalik Salam) nah kaho kyuke Aalik Salam Murdon ka  hai Assalam Alikum kaho mein ne kaha kya Aap waqai Allah ke Rasool hain? Aap (ﷺ) ney farmaya mein is Allah ka Rasool hon ke jab tumhe koi takleef puhanche aur tum usay madad ke liye bulaye to woh tumhaarii takleef dur kardega aur jab kisi saal qeht ho jaye aur tum is se dua karo to woh tumhaarii fasal ugaa dega aur jab tum kisi sehraa ya jungle mein ho tumharay sawari gum ho jaye aur tum is se dua karo to woh sawari tumhe lauta dega, mein ney kaha mujhe nasiyaat kijiye Aap (ﷺ) ne farmaya kisi ko Gaali mat dena, kisi neki ko haqeer mat samjhna, apne bhai se kushadah chehray se baat karna yeh bhi neki hai, nifs pindli tak apna teh band oopar kar lo, agar itna nah kar sako toh taknoh tak taknoh se neechay teh band latkanay se bachcho, kyunkay yeh taqqabur hai aur Allah taala ko taqqabur pasand nahi agar koi aadmi tumhe gaali de aur tumhe tumhaarii is khaami ka aar dilay jo usay maloom hain to usay is khaami ki aar nah dilao jisay tum jantay ho kyunkay yeh is par wabaal hoga ek riwayat mein is qoul ke kisi shakhs ko gaali mat dena ke baad yeh alfaaz ziyada hain ke is ke baad mein ney kabhi kisi azad, ghulam oont ya bakri ko bhi gaali nahi di

-------------

ابو جری جابر بن سلیم کہتے ہیں کہ میں نے ایک آدمی کو دیکھا کہ لوگ اس کی بات کو تسلیم کرتے تھے۔ وہ جو بھی بات کہتا لوگ اسے تسلیم کرلیتے۔ میں نےپوچھا: یہ کون ہے؟ لوگوں نے کہا :یہ اللہ کے رسول ہیں۔ میں نے کہا: آپ پر سلام ہو اے اللہ کے رسول! دو مرتبہ کہا: آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: آپ پر سلام ہو(علیک السلام) نہ کہو کیونکہ علیک السلام مُردُوں کا سلام ہے السلام علیک کہو۔ میں نے کہا کیا آپ واقعی اللہ کے رسول ہیں؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: میں اس اللہ کا رسول ہوں کہ جب تمہیں کوئی تکلیف پہنچے اور تم اسے مدد کے لئے بلاؤ تو وہ تمہاری تکلیف دور کردے گا اور جب کسی سال قحط ہو جائے اور تم اس سے دعا کرو تو وہ تمہاری فصل اگادے گا۔ اور جب تم کسی صحرا یا جنگل میں ہو تمہارے سواری گم ہو جائے اور تم اس سے دعا کرو تو وہ سواری تمہیں لوٹا دے گا، میں نے کہا: مجھے نصیحت کیجئے۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: کسی کو گالی مت دینا، کسی نیکی کو حقیر مت سمجھنا، اپنے بھائی سے کشادہ چہرے سے بات کرنا یہ بھی نیکی ہے، نصف پنڈلی تک اپنا تہہ بند اوپر کر لو، اگر اتنا نہ کر سکو تو ٹخنوں تک ، ٹخنوں سے نیچے تہہ بند لٹکانے سے بچو، کیونکہ یہ تکبر ہے اور اللہ تعالیٰ کو تکبر پسند نہیں۔ اگر کوئی آدمی تمہیں گالی دے اور تمہیں تمہاری اس خامی کا عار دلائے جو اسے معلوم ہیں تو اسے اس خامی کی عار نہ دلاؤ جسے تم جانتے ہو کیونکہ یہ اس پر وبال ہوگا۔ ایک روایت میں اس قول کہ کسی شخص کو گالی مت دینا کے بعد یہ الفاظ زیادہ ہیں کہ اس کے بعد میں نے کبھی کسی آزاد، غلام اونٹ یا بکری کو بھی گالی نہیں دی

----------

Sahih Hadees

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 442

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...