❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se zyada hai!
Sawal: Joh shaqs Jannat mein dakhil hona chahta hai woh in mein se kaun kaun si batoh per amal kare?
A: Salam ko aam karna
B: Khana Khilana
C: Takkabur se bachna
D: Jhooth se bachna
E: Rishtedaron se acha suluq karna
F: Tahajjud ki namaz padhe
G: Achi baat karna
H: Sabr
I: Bukhl se bache
J: Yateem ki parwarish karna
K: Sahi Jawab ka Intezaar?
************
Sahi Jawab - ABEFG✅
Reference📚
Abdullah bin salam Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki jab Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam madina tashreef laaye to log Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam kay istaqbal ke liye daudhte huye aaye aur kahne lage ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam tashreef la chuke hain (aisa teen baar kaha). main bhi dekhne ke liye aaya Maine jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ka chehra mubarak wazeh dekha to maine kaha ye kisi jhoote shakhs ka chehra nahi ho sakta. pahli baat jo mai ne Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se suni wo ye thi ki Eh logo Salam ko aam karo, Khana khilao, Rishtedariyan milao (yani ristedaro ke saath achcha suluq karo), Raato ko namaz padho jab log so rahe hon (Tahajjud), (ye sare amal karne se) tum jannat mai salamati ke sath dakhil ho jaoge.
--------
Sahih Hadees
Sunan Ibn majah, Jild 3, 132 -Sahih
---------
Hani Bin Yazid se rivayat hai ke mein ney kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam mujhe kisi aise amal ki rehnumai kijiye jo mujhe Jannat mein dakhil kar de Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ney farmaya yaqeenan maghfirat ko wajib karne wali cheezon mein se Salam phelana aur Achi baat karna hai
-----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 299
No comments:
Post a Comment