Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday, 24 August 2020

Ye misal kis ke liye bayan ki gayi hai "Us manos oont ki tarha jise roka jaye to ruk jaye,chalaya jaye to chal pade aur agar tum usey kisi chattan par bithao toh baith jaye."

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗


Sawal: Ye misal kis ke liye bayan ki gayi hai "Us manos oont ki tarha jise roka jaye to ruk jaye,chalaya jaye to chal pade aur agar tum usey kisi chattan par bithao toh baith jaye."


A: Naik biwi ke liye

B: Achche padosi ke liye

C: Naik awlad ke liye

D: Mujaheed ke liye

E: Momineen ke liye

F: Salam main pahel karne wale ke liye

G: In mai se koi nahi 


H: Sahi jawab ka intezar hai

***********

Sahi jawab hai - E✅


📚Reference:


Momineen, ba wiqar sanjida aur narm kho hote hain, us manos oont ki tarha jise roka jaye to rok jaye,chalaya jaye to chal pade aur agar tum usey kisi chattan par bithao to baith jaye.

--------------

 عبداللہ بن عمر سے مرفوعا مروی ہے کہ : مومنین ،باوقار سنجید ہ اور نرم خو ہوتے ہیں، اس مانوس اونٹ کی طرح جسے روکا جائے تو رک جائے ،چلایا جائے تو چل پڑے اور اگر تم اسے کسی چٹان پر بٹھاؤ تو بیٹھ جائے۔

------------

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 185

In Mein Se kounse Ammal hain jo karne se jannat me dakhil ho jayenge ?

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗


Ek Se Ziada Jawab 


Sawal : In Mein Se kounse Ammal hain jo karne se jannat me dakhil ho jayenge ?


A. Namaz ada karna

B. Allah se darna

C. Ramzan k roze rakna

D. Yateem aur Bewaa ki madad karna 

E. Ameer ki itaat karna

F. Miskeeno ko khana khilana

G. Zakat ada karna

H. Allah k naam ki hifazat karna

I. Apni Qasmon ko poora karna

J. Halal ko halal aur haram ko haraam smjhana 


K. Sahi Jawab ka Intezaar

******

Sahi jawab : ABCEFGHJ ✅


REFERENCE


حَدَّثَنَا أَبُو بَكْرِ بْنُ أَبِي شَيْبَةَ، وَأَبُو كُرَيْبٍ، وَاللَّفْظُ لِأَبِي كُرَيْبٍ، قَالَا: حَدَّثَنَا أَبُو مُعَاوِيَةَ، عَنِ الْأَعْمَشِ، عَنْ أَبِي سُفْيَانَ، عَنْ جَابِرٍ، قَالَ: أَتَى النَّبِيَّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ النُّعْمَانُ بْنُ قَوْقَلٍ، فَقَالَ: يَا رَسُولَ اللهِ أَرَأَيْتَ إِذَا صَلَّيْتُ الْمَكْتُوبَةَ، وَحَرَّمْتُ الْحَرَامَ، وَأَحْلَلْتُ الْحَلَالَ، أَأَدْخُلُ الْجَنَّةَ؟ فَقَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «نَعَمْ»

----------------------------------------------------

 ابومعاویہ نے اعمش سے حدیث سنائی ، انہوں نے ابو سفیان سے اور انہوں نے حضرت جابر رضی ‌اللہ ‌عنہ  سے روایت کی کہ رسول اللہ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وسلم ‌  کے پاس نعمان بن قوقل  رضی ‌اللہ ‌عنہ  آئے اور کہا : اے اللہ کے رسول ! آپ کیا فرماتے ہیں کہ جب میں فرض نماز ادا کروں، حرام کو حرام اور حلال کو حلال سمجھوں تو کیا میں جنت میں داخل ہو جاؤں گا ؟ نبی  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وسلم ‌  نے فرمایا : ’’ہاں!‘‘

----------------------------------------------------

Abu Muawiya ne Aamesh se hadees sunaee,  unhone Abu Sufyan se aur unhone Hazrath Jabir Radi allahu anhu se riwayat ki ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam ke pass niaman bin qauqal radi Allahu anhu aaye aur kaha : A allah ke Rasool! Ap kya farmate hin ke jab Maine farz namaz ada karoo ,haram ko haram aur halal ko halal samjho to kya mai jannat me dakhil hojaonga? Nabi sallalahu alaihi wasallam ne farmaya :" *"Haan!"

----------------------------------------------------


Sahih Muslim Hadees #108


----------------------------------------------------


حَدَّثَنَا عَمْرٌو النَّاقِدُ وَزُهَيْرُ بْنُ حَرْبٍ وَابْنُ أَبِي عُمَرَ جَمِيعًا عَنْ سُفْيَانَ وَاللَّفْظُ لِعَمْرٍو حَدَّثَنَا سُفْيَانُ بْنُ عُيَيْنَةَ عَنْ أَبِي الزِّنَادِ عَنْ الْأَعْرَجِ عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ عَنْ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ لِلَّهِ تِسْعَةٌ وَتِسْعُونَ اسْمًا مَنْ حَفِظَهَا دَخَلَ الْجَنَّةَ وَإِنَّ اللَّهَ وِتْرٌ يُحِبُّ الْوِتْرَ وَفِي رِوَايَةِ ابْنِ أَبِي عُمَرَ مَنْ أَحْصَاهَا

----------------------------------------------------

Hazarat Abu-hurera razi Allah anho se aur unhon ney nabi sale Allah aleh wasallam se rivayet ki ke Aap sale Allah aleh wasallam ney farmaya : Allah taala ke ninanway naam hain, jis ney un ki hifazat ki woh jannat mein daakhil ho jaye ga aur Allah vitar ( taaq ) hai, vitar ko pasand karta hai. aur Ibn abi Umar ki rivayet mein hai : jis ney un ko shumaar kya .

----------------------------------------------------

 عمرو ناقد، زُہیر بن حرب اور ابن ابی عمر نے ہمیں سفیان سے حدیث بیان کی ۔۔ الفاظ عمرو کے ہیں ۔۔ انہوں نے کہا: ہمیں سفیان بن عیینہ نے ابوزناد سے حدیث بیان کی، انہوں نے اعرج سے، انہوں نے حضرت ابوہریرہ رضی اللہ عنہ سے اور انہوں نے نبی صلی اللہ علیہ وسلم سے روایت کی کہ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:   اللہ تعالیٰ کے ننانوے نام ہیں، جس نے ان کی حفاظت کی وہ جنت میں داخل ہو جائے گا اور اللہ وتر  ( طاق )  ہے، وتر کو پسند کرتا ہے۔   اور ابن ابی عمر کی روایت میں ہے:    جس نے ان کو شمار کیا۔   

----------------------------------------------------

Sahih Muslim Hadees # 6809

----------------------------------------------------


حَدَّثَنَا مُوسَى بْنُ عَبْدِ الرَّحْمَنِ الْكِنْدِيُّ الْكُوفِيُّ، حَدَّثَنَا زَيْدُ بْنُ الْحُبَاب، أَخْبَرَنَا مُعَاوِيَةُ بْنُ صَالِحٍ، حَدَّثَنِي سُلَيمُ بْنُ عَامِرٍ، قَال:‏‏‏‏ سَمِعْتُ أَبَا أُمَامَةَ، يَقُولُ:‏‏‏‏ سَمِعْتَ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَخْطُبُ فِي حَجَّةِ الْوَدَاعِ، ‏‏‏‏‏‏فَقَالَ:‏‏‏‏    اتَّقُوا اللَّهَ رَبَّكُمْ وَصَلُّوا خَمْسَكُمْ وَصُومُوا شَهْرَكُمْ وَأَدُّوا زَكَاةَ أَمْوَالِكُمْ وَأَطِيعُوا ذَا أَمْرِكُمْ تَدْخُلُوا جَنَّةَ رَبِّكُمْ   . قَالَ:‏‏‏‏ فَقُلْتُ لِأَبِي أُمَامَةَ مُنْذُ كَمْ سَمِعْتَ مِنْ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ هَذَا الْحَدِيثِ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ سَمِعْتُهُ وَأَنَا ابْنُ ثَلَاثِينَ سَنَةً. قَالَ أَبُو عِيسَى:‏‏‏‏ هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ.


----------------------------------------------------


Meine Abu Umamah razi allah anho ko kehte suna : meine Rasool Allah sale Allah alaihi wasalam ko jab ’alvidah’ ke mauqa par khutba dete suna, aap ney farmaya : ”tum –apne rab Allah se daron, paanch waqt ki namaz parho, mah ramadaan ke rozay rakho, –apne maal ki zakat ada karo, aur Ameer ki itaat karo, is se tum –apne rab ki jannat mein daakhil ho jao ge “. mein ney Abu Umamah razi allah anho se poocha : aap ney kitney baras ki Umar mein yeh hadees rasool Allah sale Allah alaihi wasalam se suni hai? to unhon ney kaha : mein ney aap se yeh hadees is waqt suni jab mein tees baras ka tha..

----------------------------------------------------


میں نے ابوامامہ رضی الله عنہ کو کہتے سنا: میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو حجۃ الوداع کے موقع پر خطبہ دیتے سنا، آپ نے فرمایا: ”تم اپنے رب اللہ سے ڈرو، پانچ وقت کی نماز پڑھو، ماہ رمضان کے روزے رکھو، اپنے مال کی زکاۃ ادا کرو، اور امیر کی اطاعت کرو، اس سے تم اپنے رب کی جنت میں داخل ہو جاؤ گے“۔ میں نے ابوامامہ رضی الله عنہ سے پوچھا: آپ نے کتنے برس کی عمر میں یہ حدیث رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے سنی ہے؟ تو انہوں نے کہا: میں نے آپ سے یہ حدیث اس وقت سنی جب میں تیس برس کا تھا۔ 

----------------------------------------------------

Jam e Tirmazi Hadees # 616

----------------------------------------------------


عَنْ حُذَيْفَةَ قَالَ دَخَلْتُ عَلىَ رَسُوْلِ اللهِﷺفِي مَرَضِهِ  فَرَأَيْتُه يَهُمَّ بِالْقُعُوْد وَعَلِيِّعِنْدَهُ يمِيْدُ يَعْنِي مِنَ النُّعَاس فَقُلْتُ: يَا رَسُوْلَ اللهِ مَا أَرَى عَلِيًّا إِلًّا قَدْ سَاهرَكَ فِي لَيْلَتِه هَذِهِ أَفَلاَ أَدْنُوْ  مِنْكَ؟ قَالَ: عَلِيّ أَوْلَى بِذَلِك. فَدَنَا مِنْهُ عَلِي فَسَاندُه فَسَمِعْتُه يَقُوْل: مَنْ خَتَمَ لَهُ بِإِطْعَام مِسْكِيْنَ مُحْتَسِباً عَلَى اللهِ عَزَّوَجَلَّ دَخَلَ الجَنَّة مَنْ خَتَمَ لَهُ بِصَوْمٍ يَوْم مُحْتَسِباً عَلىَ اللهِ دَخَلَ الْجَنَّة مَنْ خَتَمَ لَهُ بِقَوْلٍ لَاإِلَه إِلَّااللهُ مُحْتَسِباً عَلَى اللهِ دَخَلَ الْجَنَّة.

----------------------------------------------------


 Rasool Allah ke (ﷺ) paas un ke marz ulmaut mein aaya, mein naay dekha aap baithna chaah rahay they, Ali aap ke paas mojood they aur neend ki wajah se un ki ankhen boujhal ho rahi theen, mein naay kaha : ae Allah ke rasool mera khayaal hai Ali aap ke paas saari raat jagtay rahay hain, kya ab mein ( aap ko sahara dainay ke liye ) aap ke qareeb ho jaau, Aap (ﷺ) ne farmaya : Ali tum se ziyada haqdaar hai, Ali ? aap ke qareeb ho gaye aur aap ko sahara diya. mein naay Aap (ﷺ) se suna farma rahay they : jis shakhs ka khtama kisi maskeen ko ajar ki niyat se khana khilanay par huwa woh jannat mein daakhil hoga, jis shakhs ka khtama laa elah illalah ke qoul par huwa woh jannat mein daakhil hoga .

----------------------------------------------------

 حذیفہسے مروی ہے کہتے ہیں کہ میں رسول اللہ ﷺکے پاس ان کے مرض الموت میں آیا، میں نے دیکھا آپ بیٹھنا چاہ رہےتھے،علی ، آپ کے پاس موجود تھے اور نیند کی وجہ سے ان کی آنکھیں بوجھل ہو رہی تھیں، میں نے کہا: اے اللہ کے رسول میرا خیال ہے علی آپ کے پاس ساری رات جاگتے رہے ہیں، کیا اب میں  ( آپ کو سہارا دینے کے لئے )  آپ کے قریب ہوجاؤں،آپ ﷺنے فرمایا: علی تم سے زیادہ حقدار ہے، علی  آپ کے قریب ہو گئےاورآپ کو سہارادیا۔میں نے آپﷺ سے سنا فرما رہے تھے: جس شخص کا خاتمہ کسی مسکین کو اجر کی نیت سے کھانا کھلانے پر ہوا وہ جنت میں داخل ہوگا، جس شخص کا خاتمہ لا الہ الااللہ کے قول پر ہوا وہ جنت میں داخل ہوگا۔ 

----------------------------------------------------

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1862

Rasool-Allah (ﷺ) ne ye aayat «يثبت الله الذين آمنوا بالقول الثابت في الحياة الدنيا وفي الآخرة»Ki tafisir mai sabit qadam rakhne se kya murad farmaya hain?

 ❗Only-Quran Hadith-Quiz❗


Sawal: Rasool-Allah (ﷺ) ne ye aayat

«يثبت الله الذين آمنوا بالقول الثابت في الحياة الدنيا وفي الآخرة»

Ki tafisir mai sabit qadam rakhne se kya murad farmaya hain?


A. Qayamat ke qarib insano se baat karne wale janwar ka nikalna 

B. Dajjal ke aane ke baad sabit khadam rahna

C. Pul sirat ko par karna

D. Qayamat ke din jab har insan apne aamal ke mutabiq paseene mein dooba hoga

E. Jung ke maidan mai jama rahna

F. Qabar mai poche jane wale sawal

G. In mai se koi nahi


H. Sahi jawab ka intezar hai

**************

Sahi Jawab - F✅


Reference📚:


Nabi Akram Sallellahu alaihi wassalam ne «يثبت الله الذين آمنوا بالقول الثابت في الحياة الدنيا وفي الآخرة» "Allah in logon ko jo Imaan laye hain' qaul saabit (Mohkam baat) ke zariye duniya wo aqhirat dono men saabit qadam rakhta hai" (Surah Ibrahim 65) ki tafseer mein farmaya: "Saabit rakhne se murad qabr mein us waqt saabit rakhna hai jub qabar mein pucha jaye ga:«من ربك؟» Tumhara Rab, Mabood kaun hai? «وما دينك؟» Tumhara deen kya hai? «ومن نبيك؟» Tumhara Nabi kaun hain?

--------

حَدَّثَنَا مَحْمُودُ بْنُ غَيْلَانَ، حَدَّثَنَا أبُو دَاوُدَ، حَدَّثَنَا شُعْبَةُ، أَخْبَرَنِي عَلْقَمَةُ بْنُ مَرْثَدٍ، قَال:‏‏‏‏ سَمِعْتُ سَعْدَ بْنَ عُبَيْدَةَ يُحَدِّثُ، ‏‏‏‏‏‏عَنِ الْبَرَاءِ، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فِي قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى:‏‏‏‏ يُثَبِّتُ اللَّهُ الَّذِينَ آمَنُوا بِالْقَوْلِ الثَّابِتِ فِي الْحَيَاةِ الدُّنْيَا وَفِي الآخِرَةِ سورة إبراهيم آية 27 قَالَ:‏‏‏‏    فِي الْقَبْرِ إِذَا قِيلَ لَهُ مَنْ رَبُّكَ وَمَا دِينُكَ وَمَنْ نَبِيُّكَ   ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ أَبُو عِيسَى:‏‏‏‏ هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ.

--------

 نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے آیت «يثبت الله الذين آمنوا بالقول الثابت في الحياة الدنيا وفي الآخرة» ”اللہ ان لوگوں کو جو ایمان لائے ہیں، قول ثابت  ( محکم بات )  کے ذریعہ دنیا و آخرت دونوں میں ثابت قدم رکھتا ہے“  ( ابراہیم: ۲۷ ) ، کی تفسیر میں فرمایا: ”ثابت رکھنے سے مراد قبر میں اس وقت ثابت رکھنا ہے جب قبر میں پوچھا جائے گا: «من ربك؟» ‏‏‏‏ تمہارا رب، معبود کون ہے؟ «وما دينك؟» ‏‏‏‏ تمہارا دین کیا ہے؟ «ومن نبيك؟» ‏‏‏‏ تمہارا نبی کون ہے؟“ 

-------

Sahih Hadees

Jam e Tirmazi Hadees # 3120

Wo kaunse sahabi thy jinho ne apni walida ke inteqal baad Makhraf naam ka ek bagh unki taraf se sadqa kiya?

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

Sawal: Wo kaunse sahabi thy jinho ne apni walida ke inteqal baad Makhraf naam ka ek bagh unki taraf se sadqa kiya?

A: Dahya Kalbi Radi Allahu

B: Tamim Dari Radi Allahu anhu

C: Salman Farsi Radi Allahu anhu

D: Saad Bin 'Ubada radi Allahu anhu

E: Suhaib Radi Allahu anhu

F: Abu Bakr Radi Allahu anhu

G: In mai se koi nahi

H: Sahi jawab ka intezar hai

************

Sahi jawab hai - D✅

Reference📚:

------------------

Saad bin 'Ubada Radhi allahu anhu ki Maa ka jab inteqal hua to wo unki khidmat mein mojud nahi they unhoney aakar Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se farmaya, ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam meri walida ka jab inteqal hua to main unki khidmat mein hazir nahi tha, agar main koi cheez sadqa karu to us sey unhey fayda pahunch sakta hai Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Haan, unhoney kaha main Aapko gawah banata hun mera Makhraf naam ka baag unki taraf se sadqa hai.

--------------

Sahih Bukhari, Vol 4, 2756

Jab sone aur chandi ke baare mein ayat nazil huwi tab ek sahabi ne poocha ke kaun sa maal hum apne liye rakhe tab yh sawal ek sahabi RadiAllahu Anhu ne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam se kiya ke kaunsa maal hum rakhe?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Do sawal hai aur pehel sawal mein jawab ek se zayda hai?


Jab sone aur chandi ke baare mein ayat nazil huwi tab ek sahabi ne poocha ke kaun sa maal hum apne liye rakhe tab yh sawal ek sahabi RadiAllahu Anhu ne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam se kiya ke kaunsa maal hum rakhe?


Sawal 1: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne kya irshad farmaya? 


A: Sadaqah karne wala haath

B: Maal e ganimat ka maal

C: Dua karna 

D: Shukar karne wala dil

E: Zikr karne wali zubaan

F: Neik Aulaad 

G: Iman wali Biwi

H: Achcha Akhlaq


I: Sahi Jawab ka Intezaar?


Sawal 2: Wo Sahabi kaun thy jisne yh sawal Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam se kiya tha?


A: Abu bakar Radi Allahu Anhu 

B: Maaz bin Jabal Radi Allahu Anhu 

C: Uthman Radi Allahu Anhu 

D: Ubai bin Kab Radi Allahu Anhu 

E: Saad bin Maaz Radi Allahu Anhu 

F: Umar Radi Allahu Anhu  

G: Inmein se koi nahi 


H: Sahi jawab ka intezar hai?


**********


Sahi Jawab – DEG/F✅


Reference📚: 


Jab sonay aur chandi ke barey mein aayat utri to log kehnay lagey ke ab kon sa maal hum apne liye rakhen? Umar RadiAllahu Anhu ne kaha mein usay tumahray liye maloom kar ke kar aata hon, aur apne oont par sawaar ho kar usay taiz dorhaya aur Nabi Akram Sal-Allahu Alaihi wasallam ke paas puhanche, mein bhi aap ke peechay tha, unhon ne arz kiya Allah ke Rasool Sal-Allahu Alaihi wasallam! hum kaun sa maal rakhen? Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya : tum mein har koi shukar karne wala dil, zikar karne wali zabaan, aur imaan wali biwi rakhay jo is ki akhirat ke kamon mein madad kere

------------

It was narrated that: Thawban said: “When the Verse concerning silver and gold was revealed, they said: 'What kind of wealth should we acquire?' Umar said: 'I will tell you about that.' So he rode on his camel and caught up with the Prophet, and I followed him. He said: 'O Messenger of Allah what kind of wealth should we acquire?' He said: 'Let one of you acquire a thankful heart, a tongue that remembers Allah and a believing wife who will help him with regard to the Hereafter.' 

----------------

 جب سونے اور چاندی کے بارے میں آیت اتری تو لوگ کہنے لگے کہ اب کون سا مال ہم اپنے لیے رکھیں؟ عمر رضی اللہ عنہ نے کہا: میں اسے تمہارے لیے معلوم کر کے کر آتا ہوں، اور اپنے اونٹ پر سوار ہو کر اسے تیز دوڑایا اور نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس پہنچے، میں بھی آپ کے پیچھے تھا، انہوں نے عرض کیا: اللہ کے رسول! ہم کون سا مال رکھیں؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  تم میں ہر کوئی شکر کرنے والا دل، ذکر کرنے والی زبان، اور ایمان والی بیوی رکھے جو اس کی آخرت کے کاموں میں مدد کرے

-------------

Grade : Hasan (Darussalam)

English reference : Vol. 3, Book 9, Sunana Ibn E Maja - Hadith 1856

Arabic reference : Book 9, Hadith 1929

Qayamat ke din jab Suraj maqlooqat ke nazdik aa jayega hatta ke unse ek meel ke fasle par hoga. Uss waqt log apne aamal ke mutabiq paseene mein dube rahege. Iss baat ko Nabi (ﷺ) ne kis tarah bayan farmaya?

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗


Jawab ek se zaida hai


Sawal: Qayamat ke din jab Suraj maqlooqat ke nazdik aa jayega hatta ke unse ek meel ke fasle par hoga. Uss waqt log apne aamal ke mutabiq paseene mein dube rahege. Iss baat ko Nabi (ﷺ) ne kis tarah bayan farmaya?


A. Koi apne dono takhno tak

B. Koi aisa hoga jaise paseene mein ghota kha raha hoga

C. Koi apne dono ghutno tak

D. Koi aisa hoga jo sir ke baal paseene mein duba hoga

E. Koi apne dono koloh tak

F. Koi aisa hoga jise farishte paseene mai dubo rahe hoge

G.Koi aisa hoga jise paseene nay lagam dal rakhi hogi

H. Koi apne dahne mubarak tak


I. Sahi jawab ka intezar hai


*********

Sahi Jawab - ACEGH✅


 Reference📚:

------------------

Abdul Rehman bin Jaber se rivayat hai kaha mujhe Sulaim bin Aamer ne ye hadees bayan ki, kaha:

Mujhe Miqdad Bin Aswad Radi Allahu Ta'ala Anhu ne hadees bayan ki, kaha: Qayamat ke din suraj maqlooqat ke bhot nazdik aa jayega hatta ke un se ek meel ke fasle par hoga.

Sulaim Bin Aamer ne kaha: Allah ki qasam! mujhe malom nahi ke meel se un (Miqdad Radi Allahu Ta'ala Anhu) ki murad musafat hai ya wo silaye jis se aankh mai surma dala jata hai?

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya :"log apne aamal ke mutabiq paseene mai (dube) hoge un mai se koi apne dono takhno tak koi apne dono ghotno tak koi apne dono koloh tak aur koi aisa hoga jise paseene nay lagam dal rakhi hogi."(miqdad radi Allahu Ta'ala anhu)kaha: aur (aisa farmate howe) Rasool Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne apne hath se apne dahne mubarak ki taraf ishara farmaya.

-------

Sahih Hadees

Sahih Muslim Hadees # 7206

Allah Subhanahu Taalaa ney Iman ko tumharay liye mehboob bana diya hai aur issay tumharay dilon mein zeenat dey rakhi hai aur ____ ko aur ____ ko aur _____ ko tumhari nighaon mein napasandeedah bana diya hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Aayat ka tarjuma mukammal karo...


Sawal: Allah Subhanahu Taalaa ney Iman ko tumharay liye mehboob bana diya hai aur issay tumharay dilon mein zeenat dey rakhi hai aur ____ ko aur ____ ko aur _____ ko tumhari nighaon mein napasandeedah bana diya hain


A: Kufur

B: Hasad

C: La parwah dil

D: Gunah

E: Nafarmaani

F: Ilm ka chupana

G: Zulm


H: Sahi Jawab ka Intezaar?

*****************

Sahi Jawab - ADE✅


Reference📚:


Bismillahirrahmannirrahim


وَ اعۡلَمُوۡۤا  اَنَّ  فِیۡکُمۡ رَسُوۡلَ اللّٰہِ ؕ لَوۡ یُطِیۡعُکُمۡ فِیۡ کَثِیۡرٍ مِّنَ الۡاَمۡرِ لَعَنِتُّمۡ وَ لٰکِنَّ اللّٰہَ حَبَّبَ  اِلَیۡکُمُ  الۡاِیۡمَانَ وَ زَیَّنَہٗ  فِیۡ  قُلُوۡبِکُمۡ وَ کَرَّہَ  اِلَیۡکُمُ الۡکُفۡرَ وَ الۡفُسُوۡقَ وَ الۡعِصۡیَانَ ؕ اُولٰٓئِکَ ہُمُ  الرّٰشِدُوۡنَ

-----------


 Aur jaan rakho kay tum mein Allah kay rasool mojood hain agar woh tumhara kaha kertay rahey boht umoor mein, to tum mushkil mein par jao lekin Allah Taalaa ney eman ko tumharay liye mehboob bana diya hai aur issay tumharay dilon mein zeenat dey rakhi hai aur kufur ko aur gunah ko aur nafarmaani ko tumhari nighaon mein napasandeedah bana diya hai, yehi log raah yaafta hain.

---------------

 And know that among you is the Messenger of Allah . If he were to obey you in much of the matter, you would be in difficulty, but Allah has endeared to you the faith and has made it pleasing in your hearts and has made hateful to you disbelief, defiance and disobedience. Those are the [rightly] guided. 

---------------

اور جان رکھو کہ تم میں اللہ کے رسول موجود ہیں  اگر وہ تمہارا کہا کرتے رہے بہت امور میں تو تم مشکل میں پڑ جاؤ لیکن اللہ تعالٰی نے ایمان کو تمہارے  لئے محبوب بنادیا ہے اور تمہارے  دلوں میں زینت دے رکھی ہے اور کفر کو اور گناہ کو اور نافرمانی کو تمہاری نگاہوں میں ناپسندیدہ بنا دیا ہے ،  یہی لوگ راہ یافتہ ہیں ۔  

----------------

Al-Quran Surat tul Hujraat - (49) Ayat No. 007.

Jo shaqs Allah aur Akhirat ke din per Imaan rakhta ho usse in mein se kaun kaunsi batoh ka khayal rakhna cahiye?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se zayda hai!


Sawal: Jo shaqs Allah aur Akhirat ke din per Imaan rakhta ho usse in mein se kaun kaunsi batoh ka khayal rakhna cahiye?


A: Padosi ke saath acha sulooq karna

B: Mehman ka ehtram karna

C: Achi baat kahe ya khamosh rahe

D: Sohar ke alawa teen din se zayda kisi ke liye shog mannana

E: Bagair Mehram ke 1 din se zayda safar karna 

F: Ansar se bughz rakhna

G: Raste se takleef de cheez ko na hatana

H: Salam mein pehal karna 


I: Sahi Jawab ka Intezaar?

*************

Sahi Jawab - ABCDEF✅


Reference📚:

-------------

Nabi Akram Sal-Allahu Alaihi wasallam! farmaya: Jo shakhs Allah aur Akhirat ke din par Imaan rakhta ho usay chahiye ke woh apne padosi ke saath naik sulooq kare aur jo shakhs Allah aur Akhirat ke din par Imaan rakhta ho usay chahiye ke woh apne mehman ka ehtram aur is ki khatardari kare, aur jo shakhs Allah aur Akhirat ke din par Imaan rakhta ho usay chahiye ke achi baat kahe ya khamosh rahe


Sahih Hadees

Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 3672

-------------

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam! ne farmaya jo Aurat Allah aur Akhirat ke din par imaan rakhti ho is ke liye halal nahi ke shohar ke ilawa kisi maiyat par teen din se ziyada shog manaye.

Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 2086

------------------

Nabi Akram Sal-Allahu Alaihi wasallam! ne farmaya kisi aurat ke liye jo Allah aur yaum Akhirat par imaan rakhti ho, yeh durust nahi hai ke woh ek din ki masafat ka safar kare, aur is ke saath koi Mehram nah ho

Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 2899

---------------------

Nabi Akram Sal-Allahu Alaihi wasallam! ne farmaya : ”koi shakhs jo Allah aur yaum Akhirat par imaan rakhta ho Ansar se bughz nahi rakh sakta“

Jam e Tirmazi Hadees # 3906

Ek sahabi ne ek sahabi se ye hadees bayan ki kay teen martaba ijazat chahne par agar andar jane ki ijazat na mile to wapas lout jana chahiye. Sunne wale sahabi ne kaha k isper gawah lao to un sahabi ne ek gawah laye.

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Ek sahabi ne ek sahabi se ye hadees bayan ki kay teen martaba ijazat chahne par agar andar jane ki ijazat na mile to wapas lout jana chahiye. Sunne wale sahabi ne kaha k isper gawah lao to un sahabi ne ek gawah laye.


Sawal 1: Hadees bayan karne wale sahabi kaun they?

Sawal 2: Jin sahabi ko hadees sunaye gaye wo sahabi kaun they?

Sawal 3: Jo sahabi gawah thy hadees ke wo kaun they?


A: Abu Huraira Radi Allahu anhu

B: Ammar Radi Allahu anhu

C: Abu Musa Ashri Radi Allahu anhu

D: Abu Qahafa radi Allahu anhu

E: Ali Radi Allahu anhu

F: Umar Radi Allahu anhu

G: In mai se koi nahi


H: Sahi jawab ka intezar hai

*********

Sahi Jawab - C/F/G✅


Reference📚:

------------

Abu Musa Ashri Radi Allahu anhu ne Umar Bin Khattab Radi Allahu Anhu se milnay ki ijazat chahi lekin ijazat nahi mili ghaliban Aap is waqt kaam mein mashgool they is liye Abu Musa Radi Allahu anhu wapas laut gaye phir Umar Radi Allahu Anhu farigh huwe to farmaya kya mein ny Abdullah Bin Qais (Abu Musa Radi Allahu Anhu) ki aawaz nahi suni thi inhen andar anay ki ijazat dedo kaha gaya woh lout kar chale gaye toh Umar Radi Allahu Anhu ny inhen bulaa liya. Abu Musa Radi Allahu Anho ny kaha ke hamein isi ka hukum (Nabi Kareem Sal-Allahu Alaihi wasallam se) tha (ke teen martaba ijazat chahanay par agar andar jaany ki ijazat na miley to wapas lout jana chahiye) is par Umar Radi Allahu Anhu ny farmaya, is hadees par koi gawah laoo. Abu Musa Radi Allahu Anhu Ansar ki majlis mein gaye aur un se is hadees ke mutaliq poocha (ke kya kisi ny usay Nabi Kareem Sal-Allahu Alaihi wasallam se suna hai) un logon ny kaha ke is ki gawahi to tumahray saath woh dega jo hum sab mein bohat hi kum Umar hai woh Abu Sa`id Al-Khudri Radi Allahu Anhu ko apne saath le gaye. Umar Radi Allahu Anhu ny yeh sun kar farmaya ke Nabi Kareem Sal-Allahu Alaihi wasallam ka ek hukum mujh se posheeda reh gaya afsos ke mujhe baazaaron ki khareed o farokht ny mashgool rakha. Aap ki morad tijarat se thi.

--------------

Narrated 'Ubaid bin `Umair: Abu Musa asked `Umar to admit him but he was not admitted as `Umar was busy, so Abu Musa went back. When `Umar finished his job he said, "Didn't I hear the voice of `Abdullah bin Qais? Let him come in." `Umar was told that he had left. So, he sent for him and on his arrival, he (Abu Musa) said, "We were ordered to do so (i.e. to leave if not admitted after asking permission thrice). `Umar told him, "Bring witness in proof of your statement." Abu Musa went to the Ansar's meeting places and asked them. They said, "None amongst us will give this witness except the youngest of us, Abu Sa`id Al-Khudri. Abu Musa then took Abu Sa`id Al-Khudri (to `Umar) and `Umar said, surprisingly, "Has this order of Allah's Messenger (ﷺ) been hidden from me?" (Then he added), "I used to be busy trading in markets."

------------------

Sahih Hadees

Sahih Bukhari Hadees # 2062

Rasool-Allah (ﷺ) ke irshad ke mutabiq "Jannat mein aisa bala khane hai jin ka baironi hissa andar se aur andruni hissa bahar se nazar aayega."Yh niyamat kaunse logo ke liye hain?

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗


Jawab ek se ziada hai


Sawal: Rasool-Allah (ﷺ) ke irshad ke mutabiq "Jannat mein aisa bala khane hai jin ka baironi hissa andar se aur andruni hissa bahar se nazar aayega."Yh niyamat kaunse logo ke liye hain?


A: Jo kisi musalman se Allah Ta'ala  ke liye mohabbat aur Allah Ta'ala ke liye bughz rakhe

B: Jo achchi baat kare

C: Khana khilaye

D: Wo nawjawan jo apne RABB ki ibadat mein jawani mein bhi masroof raha

E: Jo kisi musalman ke janaze mai jaye aur tadfeen tak qabrastan mein ruke

F: Khoob roze rakhe wale

G: Aisa shakhs jisney aisa chupa ke sadqa diya ki bahiney hath ko khabar nahi huwi ki dahiney haath ne kya diya

H: Allah Subhanahu ki raza ke liye raat mai namaz padhe jab log soye ho


I: Sahi jawab ka intezar hai

*************

Sahi Jawab - BCFH✅


Reference📚:

------------------

Nabi Akram (ﷺ)  ne farmaya :"Jannat mein aise bala khane hai jin ka baironi hissa andar se aur androni hissa bahar se nazar aaye ga. " (ye soon kar) ek aarabi ne khade ho kar arz kiya: Allah kay Rasool! Kis ke liye hai? Aap (ﷺ) ne farmaya : "jo achchi baat kare, khana khilaye, khoob roze rakhe aur Allah ki raza ke liye raat mai namaz padhe jab log soye ho."

------------------

 قَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏    إِنَّ فِي الْجَنَّةِ غُرَفًا تُرَى ظُهُورُهَا مِنْ بُطُونِهَا، ‏‏‏‏‏‏وَبُطُونُهَا مِنْ ظُهُورِهَا   ، ‏‏‏‏‏‏فَقَامَ أَعْرَابِيٌّ، ‏‏‏‏‏‏فَقَالَ:‏‏‏‏ لِمَنْ هِيَ يَا رَسُولَ اللَّهِ ؟ قَالَ:‏‏‏‏    لِمَنْ أَطَابَ الْكَلَامَ، ‏‏‏‏‏‏وَأَطْعَمَ الطَّعَامَ، ‏‏‏‏‏‏وَأَدَامَ الصِّيَامَ، ‏‏‏‏‏‏وَصَلَّى لِلَّهِ بِاللَّيْلِ وَالنَّاسُ نِيَامٌ   

------------------

 نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”جنت میں ایسے بالاخانے ہیں جن کا بیرونی حصہ اندر سے اور اندرونی حصہ باہر سے نظر آئے گا“،  ( یہ سن کر )  ایک اعرابی نے کھڑے ہو کر عرض کیا: اللہ کے رسول! کس کے لیے ہیں؟ آپ نے فرمایا: ”جو اچھی طرح بات کرے، کھانا کھلائے، خوب روزہ رکھے اور اللہ کی رضا کے لیے رات میں نماز پڑھے جب کہ لوگ سوئے ہوں“ ۱؎۔ 

---------

Sahih Hadees

Jam e Tirmazi Hadees # 1984


https://sunnah.com/tirmidhi/27/90

Allah Subhanhau apne bande se sab se ziyada qareeb hota hai aur Jo shaqs chahata hai ke Allah Subhanhu ke aur ziyada qareeb hojaye toh wo kaunsa amal kare?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Allah Subhanhau apne bande se sab se ziyada qareeb hota hai aur Jo shaqs chahata hai ke Allah Subhanhu ke aur ziyada qareeb hojaye toh wo kaunsa amal kare?


A: Apni Zuban ko Zikr se tar rakhe

B: Quran padh kar sone wale

C: Surah Baqarah ki akhiri do ayat ko raat mein padh kar sone wale

D: Tahajjud padhne wale

E: Gusse ko Qabu karne wale

F: Khamosh rehne wale

G: Paani peelane wale

H: In mein se koi nahi


I: Sahi Jawab ka Intezaar

*******


Sahi Jawab - D✅


Reference📚:

-----------

Amr bin `Abasah RadiAllahu Anhu ka bayan hai ke unhon ne Nabi Akram Sal-Allahu Alaihi wasallam ko farmate huwe suna RABB Taa’la apne bande se sab se ziyada qareeb raat ke aakhri nisf hissay ke darmain mein hota hai, to agar tum un logon mein se ho sako jo raat ke is hissay mein Allah ka zikar karte hain to tum bhi is zikar mein shaamil ho kar un logon mein se hojao (yani Tahajjud parho) “

-----------

Abu Umamah [may Allah be pleased with him] said: `Amr bin `Abasah reported to me that he heard the Prophet (ﷺ) say: “The closest that the Lord is to a worshipper is during the last part of the night, so if you are able to be of those who remember Allah in that hour, then do so.”

---------------

عمرو بن عنبسہ رضی الله عنہ کا بیان ہے کہ انہوں نے نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کو فرماتے ہوئے سنا: ”رب تعالیٰ اپنے بندے سے سب سے زیادہ قریب رات کے آخری نصف حصے کے درمیان میں ہوتا ہے، تو اگر تم ان لوگوں میں سے ہو سکو جو رات کے اس حصے میں اللہ کا ذکر کرتے ہیں تو تم بھی اس ذکر میں شامل ہو کر ان لوگوں میں سے ہو جاؤ ( یعنی تہجد پڑھو )

--------------

Sahih Hadees

Jam e Tirmazi Hadees # 3579

Kaunse shaqs ke liye qayamat ke din ek farishta bheja jayega joh uske gosht ko Jahanam ki agg se bacahyega?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Kaunse shaqs ke liye qayamat ke din ek farishta bheja jayega joh uske gosht ko Jahanam ki agg se bacahyega?


A: Yateem ki parwarish karne wale

B: Jamat ke saath 40 din tak namaz padne wale

C: Ilm seekne ke liye apne gahr se nikalne wale

D: Quran ki ek ayat logo tak pahochne wala

E: jisne kabhi sood na liya na diya ho

F: Zakat dene wala

G: Jisne apni doh betiyo ki achi tarah parwarish ki 

H: In mein se koi nahi


I: Sahi Jawab ka Intezaar

*********

Sahi Jawab - H✅


Momeen ko munafiq ke shar (zulm) se bachane wale ko ALLAH Subhanahu Qayamat ke din ek farishta bhejega joh usse Jahannum ke aag se bacahyega


Reference📚:

------------------

Hazrat Muaaz bin anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya

Jisne kisi Momeen ko munafiq ke shar (zulm) se bachaya to ALLAH subhanahu Qayamat ke din ek farishta bhejega jo uskey gosht ko jahanamma ki aag se bachayega aur jisney kisi musalman par tohmat lagayee jis sey uska maqsad us musalman ki burayee ho to Allah subhanahu usey jahannam ke pool par rok dega yahan tak ki wo us tohmat ke gunaah se paak hokar nikal jaye


Sunan Abu Dawud, Vol 3, 1453-Hasan

------------------------------------------------------------

Narrated Mu'adh ibn Anas Radiallahu anhu :

The Prophet (peace_be_upon_him) said: If anyone guards a believer from a hypocrite, Allah will send an angel who will guard his flesh on the Day of Resurrection from the fire of Jahannam if anyone attacks a Muslim saying something by which he wishes to disgrace him, he will be restrained by Allah on the bridge over Jahannam till he is acquitted of what he said.

Sunan Abu Dawud, Book 41, 4865- Hasan

Inme se kin ki misal Ek chattan ki tarah hai jis per kuch mitti ho, phir us per zor ki Barish padhe Aur wo use bilkul saaf kerde?

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗


Jawaab Ek se zyada hai


Sawal: Inme se kin ki misal Ek chattan ki tarah hai jis per kuch mitti ho, phir us per zor ki Barish padhe Aur wo use bilkul saaf kerde?


A. Jo Allah se nahi darte

B. Jo Allah ki raha me kharch Na kare

C. Jo Allah per Iman Nahi rakhe

D. Jo Qayamat per Iman Nahi rakhe

E. Jo apne maal mein sood ka maal mila le

F. Jo dikhawe ke liye Namaz padhte hain

G. Jo apna maal dikhawe ke liye kharch kare

H. Jo Yateem ka maal kha jaye

I. Jo RasoolAllah ke ahkaam ko Nahi mante

J. Sahi jawaab ka intezaar

*************

Sahi Jawab -  CDG✅ 

--------------------------------------------

2 : سورة البقرة 264

یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تُبۡطِلُوۡا صَدَقٰتِکُمۡ بِالۡمَنِّ وَ الۡاَذٰی ۙ کَالَّذِیۡ یُنۡفِقُ مَالَہٗ رِئَآءَ النَّاسِ وَ لَا یُؤۡمِنُ بِاللّٰہِ وَ الۡیَوۡمِ الۡاٰخِرِؕ فَمَثَلُہٗ  کَمَثَلِ صَفۡوَانٍ عَلَیۡہِ تُرَابٌ فَاَصَابَہٗ وَابِلٌ فَتَرَکَہٗ صَلۡدًا ؕ لَا  یَقۡدِرُوۡنَ عَلٰی شَیۡءٍ مِّمَّا کَسَبُوۡا ؕ وَ اللّٰہُ  لَا یَہۡدِی الۡقَوۡمَ الۡکٰفِرِیۡنَ ﴿۲۶۴﴾


Eh Eman walon apni kheyraat ko ehsan jata ker aur ezza phoncha ker barbad na kero! Jiss tarah woh shaks apna maal logon kay dikhaway kay liye kharach keray aur na Allah Taalaa per eman rakhay na qayamat per uss ki misal uss saaf pathar ki tarah hai jiss per thori si mitti ho phir uss per zor daar meenh barsay aur woh issay bilkul saaf aur sakht chor dey inn riya kaaron ko apni kamaee mien say kuch cheez haath nahi lagti aur Allah Taalaa kafiron ki qom ko ( seedhi ) raah nahi dikhata. 

---------------------------

O you who have believed, do not invalidate your charities with reminders or injury as does one who spends his wealth [only] to be seen by the people and does not believe in Allah and the Last Day. His example is like that of a [large] smooth stone upon which is dust and is hit by a downpour that leaves it bare. They are unable [to keep] anything of what they have earned. And Allah does not guide the disbelieving people. 

Surah Al Baqarah, 264


Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya ke kuch khaslate baais e Mojab hain?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se ziada hai!


Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya ke kuch khaslate baais e Mojab hain?


Sawal: Inmein se baais e Mojab kise kaha gaya hai?


A: Haram aur Halal ki fikar karne wale

B: Allah ke saath shirk karte huye kisi ko maut ho aur wo jahannam mein jaye

C: Apne maal aur nafs ke saath Jihad karne wale

D: Allah ke saath kisi ko shareek na kare aur us par maut ho aur jannat mein jaye

E: Jung ke dauran faut hone wale

F: Hamal ke dauran faut hone wale

G: Beemari main faut ho aur uska ilaj na kiya ho

H: Qata taluq ki halat main faut hone wala


I: Sahi Jawab ka Intezaar?


***********

Sahi Jawab - BD✅

Reference📚:

-----------

Jabir RadiAllahu Anhu bayan karte hain, Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ny farmaya do khaslate baais Mojab hain kisi shakhs ny arz kiya Allah ke Rasool Sal-Allahu Alaihi wasallam woh do Mojab kya hain? Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ny farmaya jo shakhs Allah ke sath shirk karta huwa faut ho jaye, to woh jahannum mein daakhil hoga aur jo shakhs is haal mein faut ho ke woh Allah ke sath kisi ko shareek nah banata ho to woh jannat mein dakhil ho

------------

Sahih Hadees

Mishkat ul Masabeeh Hadees # 38

Wo kaun se sahabi thy joh namaz ke liye masjid mein baithy rehtay aur miswaak har waqt unke kaan par hoti thi jaise katib ke kaan par qalam rehta hai?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Wo kaun se sahabi thy joh namaz ke liye masjid mein baithy rehtay aur miswaak har waqt unke kaan par hoti thi jaise katib ke kaan par qalam rehta hai?


A: Abu Huraira Radi Allahu anhu

B: Ammar Radi Allahu anhu

C: Abu Musa Ashri Radi Allahu anhu

D: Zaid Bin Khalid RadiAllahu

E: Ali Radi Allahu anhu

F: Umar Radi Allahu anhu

G: In mai se koi nahi


H: Sahi Jawab ka Intezaar?

**********


Sahi Jawab - D✅


Reference📚:


Zaid Bin Khalid RadiAllahu Anhu kehte hain ke mein naay Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ko farmatay suna agar mein apni ummat par dushwari mehsoos nahi karta to har namaz ke waqt inhen miswaak karne ka hukum deta “Abu Salma (Abu Salma Bin Abdul Rahman) kehte hain mein naay Zaid bin Khalid RadiAllahu Anhu ko dekha ke woh namaz ke liye masjid mein baithy rehtay aur miswaak un ke kaan par hoti jaisay katib ke kaan par qalam laga rehta hai, jab namaz ke liye kharray hotay to miswaak kar letay (phir kaan ke oopar rakh letay)

-----------

Narrated Zayd ibn Khalid al-Juhani:

I heard the Messenger of Allah (ﷺ) say: Were it not hard on my ummah, I would order them to use the tooth-stick at the time of every prayer. AbuSalamah said: Zayd ibn Khalid used to attend the prayers in the mosque with his tooth-stick on his ear where a clerk carries a pen, and whenever he got up for prayer he used it.



Grade : Sahih (Al-Albani)  

Reference : Sunan Abi Dawud 47

In-book reference : Book 1, Hadith 47

English translation : Book 1, Hadith 47

Kaunsa Aamal sone chandi kharch karne se bhi behtar hai joh Allah Subhanahu ke nazdeek sabse pakizza aur bulad darje wala Aamal hai?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Kaunsa Aamal sone chandi kharch karne se bhi behtar hai joh Allah Subhanahu ke nazdeek sabse pakizza aur bulad darje wala Aamal hai?


A: Allah Subahnahu ka Zikr

B: Jihad

C: Waledain ki farma bardari karna

D: Padosi ko takleef na dena

E: Taqwa

F: Sabr

G: Sadqa

H: In mein se koi nahi


I: Sahi Jawab ka Intezaar?

***********

Sahi Jawab - A✅


Reference📚:

--------------

RasoolAllah (ﷺ) e farmaya kya mai tumhare Rabb ke nazdeek sab se pakiza aur sab se buland darjay walay amal ki khabar na dun? Wo amal tumhare liye sonay chandi kharch karne se behtar hai. Wo amal tumhare liye is se behtr hai ke tum maidan e jung mai apne dushman se takraao wo tumhari gardanein kaatay aur tum unki yaani jihad Logon ne kaha jee haan Aap (ﷺ) ne farmaya wo Allah SubahnahuTaala ka zikr hai Maaz Bin Jabal RadiAllahu Anhu kehte hain Allah ke zikr se badh kar Allah ke azaab se bachanay wali koi aur cheez nahi hai

---------------------------------

Abu Ad-Darda [may Allah be pleased with him] narrated that : The Prophet (ﷺ) said: “Should I not inform you of the best of your deed, and the purest of them with your Master, and the highest of them in your ranks, and what is better for you than spending gold and silver, and better for you than meeting your enemy and striking their necks, and they strike your necks?” They said: “Of course.” He said, “The remembrance of Allah [Most High].” [Then] Mu’adh bin Jabal [may Allah be pleased with him] said: “There is nothing that brings more salvation from the punishment of Allah than the remembrance of Allah.”

-----------------

‎رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”کیا میں تمہارے سب سے بہتر اور تمہارے رب کے نزدیک سب سے پاکیزہ اور سب سے بلند درجے والے عمل کی تمہیں خبر نہ دوں؟ وہ عمل تمہارے لیے سونا چاندی خرچ کرنے سے بہتر ہے، وہ عمل تمہارے لیے اس سے بھی بہتر ہے کہ تم ( میدان جنگ میں ) اپنے دشمن سے ٹکراؤ، وہ تمہاری گردنیں کاٹے اور تم ان کی ( یعنی تمہارے جہاد کرنے سے بھی افضل ) “ لوگوں نے کہا: جی ہاں، ( ضرور بتائیے ) آپ نے فرمایا: ”وہ اللہ تعالیٰ کا ذکر ہے“، معاذ بن جبل رضی الله عنہ کہتے ہیں: اللہ کے ذکر سے بڑھ کر اللہ کے عذاب سے بچانے والی کوئی اور چیز نہیں ہے ۱؎۔ امام ترمذی کہتے ہیں: بعض نے یہ حدیث عبداللہ بن سعید اسی طرح اسی سند سے روایت کی ہے، اور بعضوں نے اسے ان سے مرسلاً روایت کیا ہے۔

--------------------

Grade: Hasan (Darussalam)

Reference : Jami` at-Tirmidhi 3377

In-book reference : Book 48, Hadith 8English translation : Vol. 6, Book 45, Hadith 3377

Rasool-Allah (ﷺ) ne apne marizull wafaat ke waqt kaun kaunsi batoh ki yaa kiske bare mein wasiyat ki thi?

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗


Jawab ek se ziada hai


Sawal: Rasool-Allah (ﷺ) ne apne marizull wafaat ke waqt kaun kaunsi batoh ki yaa kiske bare mein wasiyat ki thi?


A. Namaz 

B. Dajjal

C. Ghulam

D. Mushriko ko jazeera arab se nikal dena

E. Wafad ke sath isi tarah khatir tawaza ka mamla karna jis  tarah mai karta tha

F. Apni zaban ki hifazat karna

G. Yahud Nasara ki tarah Ambiyao ki Qabro ko Masjid na banana

H. Ansar

I. Maut ke waqt Allah Ta'ala se husn zan rakhna


J. Sahi jawab ka intezar hai

******************


Sahi Jawab - ACDEGHI✅


Reference📚:

------------------

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi ki aakhri baat(inteqal ke mauqe par)ye thi ke namaz ka khayal rakhna namaz ka khayal rakhna, aur jo tumhari milkiyat mai (ghulam aur laundi) hai un ke mamlat mai Allah se darte rehna.


Sunnan e Abu Dawood Hadees # 5156


https://sunnah.com/abudawud/43/384

------------------

Unho ne Ibne Abbas Radi Allahu Anhuma se suna aap ne jumerat ke din ka zikar karte huwe kaha,tumhe malum hai ke jumerat ka din,haye !ye kaunsa din hai? iss ke bad wo itna roye ke un ke aansowo se kankariya tar ho gaye Saeed ne arz kiya,ya Abu Abbas! Jumerat ke din se kya matlab hai? unho ne kaha ke isi din Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki taklif (marzul maut)mai shiddat paida huwi thi aur Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya tha ke mujhe(likhne ka)ek kaghaz dey do take mai tumhare liye ek aise kitab likh jao,jis ke bad tum kabhi gumrah na ho.iss par logo ka ikhtilaf ho gaya.Nabi sallalahu alaihi wasallam ne khud hi farmaya ke Nabi ki maujudgi mai jhagadna ghair munasib hai,dosre log kahne lage,bhala kya Aan hazrat sallalahu alaihi wasallam be kar bate farmaye ge achcha,phir poch lo,ye soon ker Aanhazrat sallalahu alaihi wasallam ne farmaya ke mujhe meri halat par chod do,kiyonki iss waqt mai jis aalam mai ho,wo iss se bahter hai jis ki taraf tum mujhe bula rahe ho.iss ke bad Aanhazrat sallalahu alaihi wasallam ne teen baton ka hukam farmaya,ke mushriko ko jazeera arab se nikal dena aur wafad ke sath isi tarah khatir tawaza ka mamla karna, jis tarha mai karta tha. teesri bat kuch bhali si thi,ya to saeed ne usko bayan na kiya,ya mai bhool gaya.sufiyan ne kaha ye jumla(teesri bat kuch bhali si thi)Sulaiman ka kalam hai.


Reference : Sahih al-Bukhari 3168

In-book reference : Book 58, Hadith 10

USC-MSA web (English) reference : Vol. 4, Book 53, Hadith 393

------------------

Abu baker aur abbas radi Allahu anhuma Ansar ki ek majlis se guzre, dekha ke tamam ahle majlis ro rahe hai,pocha aap log kiyo ro rahe hai?majlis walo ne kaha ke abhi hum Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki majlis ko yaad kar rahe they jis mai hum baitha karte they(ye Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke marzul wafat ka waqia hai)iss ke bad ye Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mai hazir huwe aur aap ko waqia ki ittala di,bayan kiya ke iss per Aap Sallallahu Alaihi Wasallam baher tashrif laye,sir mubarak par kapde ki patti bandhi howi thi,rawi ne bayan kiya ke phir aap membar par tashrif laye aur uske bad phir kabhi menbar par tashrif na la sake,Aap ne Allah ki hamd o sana ke bad farmaya mai tumhe Ansar ke bare mai wasiyat karta ho ke wo mere jism o jaan hai,unho ne apni tamam zimmedariya pori ki hain laikin iska badla jo unhe milna chahye tha,wo milna abhi baqi hai,iss liye tum log bhi un ke naik logo ki naikiyo ki qadar karna aur un ke khata karo se dar guzar karte rahna.


Sahih Bukhari Hadees # 3799

------------------

Jab Nabi kareem sallalahu alaihi wasallam marzul wafta mai mubtila huwe to aap Sallallahu Alaihi Wasallam apni chadar ko bar bar chahre par dalte jab kuch afaqa hota to apne mubarak chehre se chadar hata detey.Aap sallalahu alaihi wasallam ne isi izterab o pareshani ki halat mai farmaya, yahood o nasara par Allah ki phatkar ho ke unho ne apne ambiya ki qabro ko masjid bana liya. Aap sallalahu alaihi wasallam ye farma ker ummat ko aise kamo se darate they.


Sahih Bukhari Hadees # 436

------------------

Jabir Radi Allahu Ta'ala anhu se rivayat ki unho ne kaha :mai ne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ko aap ki wafat se teen deen pahle ye farmate howe suna: "tum mai se her shakhs ko isi halat mai maut aaye ke wo Allah ke mutalliq husn zan rakhta ho (Yani khatma ke waqt Allah Ta'ala ki rahmat se na ummed na ho balke ummed rakhe apne malik ke fazl o karam par aur guman rakhe apni nijat aur maghfirat ka)."


Sahih Muslim Hadees # 7229

Kounse Ammal karne se buri mout se nijaat ya bacha jaa sakta hain..?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Ek Se Ziada Jawab


Sawal : Kounse Ammal karne se buri mout se nijaat ya bacha jaa sakta hain..?


A. Allah k liye muhabbath

B. Allah k liye nafarath

C. Yateem ki kifalat (Parwarish)

D. Allah k liye jihaad

E. Allah ka khauf

F. Namaz ki pabandi

G. Sadqa dena

H. Waldein ki khidmat

I. Sila Rehmi karna

J. Allah k liye Nikah karna

K. Neki karna burai se rokna


L. Sahi jawab ka intezaar

************

Sahi Jawab : E I G (EGI) ✅


Reference:

RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : ”Sadqa rab ke ghusse ko bujha deta hai aur buri mout se bachata hai “

-----------

Anas bin Malik narrated that : The Messenger of Allah said: "Indeed charity extinguishes the Lord's anger and it protects against the evil death."

------------

 رسول اللہ (ﷺ) نے فرمایا: ”صدقہ رب کے غصے کو بجھا دیتا ہے اور بری موت سے بچاتا ہے“۔ 

-----------

Sahih Hadees

Jam e Tirmazi Hadees # 664

-----------

 ۔ (۹۰۴۹)۔ عَنْ عَلِیٍّ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ ‌ عَنِ النَّبِیِّ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  قَالَ: ((مَنْ سَرَّہُ اَنْ یُمَدَّ لَہُ فِیْ عُمُرِہِ وَیُوْسَعَ لَہُ فِیْ رِزْقِہِ، وَیُدَفَعَ عَنْہُ مِیْتَۃُ السُّوْئِ، فَلْیَتَّقِ اللّٰہَ، وَلْیَصِلْ رَحِمَہُ۔)) (مسند احمد: ۱۲۱۳)

-----------

Syedna Ali ‌Radi Allahu Anhu bayan karte hain ke RasoolAllah ‌(ﷺ) ne farmaya : jis ko yeh baat achi lagti hai ke is ki Umar lambi kar di jaye aur is ke rizaq mein izafah kar diya jaye aur buri mout ko is se dafaa kar diya jaye to woh Allah taala se darre aur sila rehmi kare.

-----------

 ۔ سیدنا علی ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ بیان کرتے ہیں کہ رسول اللہ  ‌‌(ﷺ) نے فرمایا:  جس کو یہ بات اچھی لگتی ہے کہ اس کی عمر لمبی کر دی جائے اور اس کے رزق میں اضافہ کر دیا جائے اور بری موت کو اس سے دفع کر دیا جائے تو وہ اللہ تعالیٰ سے ڈرے اور صلہ رحمی کرے۔ 

------------

Sahih Hadees

Musnad Ahmed Hadees # 9049

Mushrikeen se jihad kerne ke liye hame Inme se kin kin cheezon ka istemal kerne ko kaha gaya?

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗


Sawal:: Mushrikeen se jihad kerne ke liye hame Inme se kin kin cheezon ka istemal kerne ko kaha gaya?


A. Hijrat ka

B. Jaan ka

C. Gharwalo ka

D. Janwaro ka

E. Maal ka

F. Zuban ka

G. Dua ka

H. Sahi jawaab ka intezaar

*****

Sahi Jawab -BEF ✅

-------------------------------------------

حَدَّثَنَا مُوسَى بْنُ إِسْمَاعِيلَ، حَدَّثَنَا حَمَّادٌ، عَنْ حُمَيْدٍ، عَنْ أَنَسٍ، أَنَّ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏:‏ ‏ "‏ جَاهِدُوا الْمُشْرِكِينَ بِأَمْوَالِكُمْ وَأَنْفُسِكُمْ وَأَلْسِنَتِكُمْ ‏"‏ ‏.‏

--------------------------------

Anas radhi Allahu anhu kehte hain ke Nabi akram sale Allah aleh wasallam ne farmaya : ”Mushrikoon se apne amwal, apni jaanun aur zabanon se jihaad karo

------------------------

Narrated Anas ibn Malik:

The Prophet (ﷺ) said: Use your property, your souls and your tongues in striving against the polytheists.

---------

Grade : Sahih (Al-Albani)   صحيح   (الألباني) حكم     :

Reference : Sunan Abi Dawud 2504

Ek baar ek bail insano se baate karne laga aur us par Rasool-Allah Sallaahu Alaihi wasallam ne kuch sahaba ka naam lekar farmaya ki is baat ke haq hone par mere saath saath .................... ka bhi imaan hai , wo sahaba kaun they ?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se ziada hain


Sawal : Ek baar ek bail insano se baate karne laga aur us par Rasool-Allah Sallaahu Alaihi wasallam ne kuch sahaba ka naam lekar farmaya ki is baat ke haq hone par mere saath saath .................... ka  bhi imaan hai , wo sahaba kaun they  ?


A. Ali Radi Allahu anhu

B. Hassan Bin Sabit Radi Allahu anhu

C. Abu Baker Radi Allahu anhu

D. Abu Ubaida Bin Jarrah Radi Allahu anhu

E. Umar Bin Khattab Radi Allahu anhu

F. Usama Bin Zaid Radi Allahu anhu

G. Hasan Bin Ali Radi Allahu anhu

H. Abu Huraira Radi Allahu anhu


I. Sahi jawab ka intezar hai


*****


Sahi Jawab - CE✅


Reference📚:

---------------

Syedna Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ny hamein namaz parhai, phir Aap Sallallahu Alahih Wasallam ny hamari taraf mutwajjah ho kar farmaya ek dafaa ek aadmi bail ko hanke ja raha tha ke woh is par sawaar hogaya aur is ny usay mara, agay se bail ny bol kar kaha ke hamein sawari ke liye to paida nahi kiya gaya, hamein to kheti baari ke liye paida kiya gaya hai logon ny yeh baat sun kar Azrah taajjub kaha Subhan Allah! bail bate karne laga to Aap Sallallahu Alahih Wasallam ny farmaya is baat ki sadaqat par mera, Abu Bakr aur Umar ka bhi Imaan hai halaanke syedna Abu Bakr aur Syedna Umar RadiAllahu Anhu wahan maujood nahi thy phir Aap Sallallahu Alahih Wasallam ny farmaya ek dafaa ek aadmi apni bakriyon ke raywar mein tha ke ek bhediye ny hamla karkay ek bakri ko uchak liya, is ny is ka peecha karkay usay ja liya aur is se bakri ko churra liya, to bhediye ny bol kar kaha arrey to ny aaj to usay mujh se churra liya, fitnon ke dinon mein jab log maweshion ko yuhn chore kar bhaag jayen ge aur is din mere siwa un ka koi charwaha (Muhafiz) nahi hoga, tab un ko mujh se kaun bachaaye ga? Logon ny yeh sun kar bhi Azzrah taajjub kaha Subhan Allah! Behdiya Insanon ki terhan baate karne laga lekin Aap Sallallahu Alahih Wasallam ny farmaya is baat ki sadaqat par mera, Abu Bakr ka aur Umar ka bhi Imaan hai halaanke woh dono is waqt wahan mojood nah they.

-----------------

سیدنا ابو ہریرہ رضی اللہ عنہ  سے روایت ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے ہمیں نماز پڑھائی، پھر آپ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے ہماری طرف متوجہ ہو کر فرمایا :  ایک دفعہ ایک آدمی بیل کو ہانکے جا رہا تھا کہ وہ اس پر سوار ہوگیا اور اس نے اسے مارا، آگے سے بیل نے بول کر کہا کہ ہمیں سواری کے لیے تو پیدا نہیں کیا گیا، ہمیں تو کھیتی باڑی کے لیے پیدا کیا گیا ہے۔  لوگوں نے یہ بات سن کر ازراہ تعجب کہا: سبحان اللہ! بیل باتیں کرنے لگا۔ تو آپ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  اس بات کی صداقت پر میرا، ابو بکر اور عمرکا بھی ایمان ہے۔  حالانکہ سیدنا ابو بکر اور سیدنا عمر  رضی اللہ عنہما  وہاں موجود نہیں تھے۔ پھر آپ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  ایک دفعہ ایک آدمی اپنی بکریوں کے ریوڑ میں تھا کہ ایک بھیڑیئے نے حملہ کرکے ایک بکری کو اچک لیا، اس نے اس کا پیچھا کرکے اسے جا لیا اور اس سے بکری کو چھڑا لیا، تو بھیڑیئے نے بول کر کہا: ارے تو نے آج تو اسے مجھ سے چھڑا لیا، فتنوں کے دنوں میں جب لوگ مویشیوں کو یونہی چھوڑ کر بھاگ جائیں گے اور اس دن میرے سوا ان کا کوئی چرواہا (محافظ) نہ ہوگا، تب ان کو مجھ سے کون بچائے گا؟  لوگوں نے یہ سن کر بھی ازراہ تعجب کہا: سبحان اللہ! بھیڑیا انسانوں کی طرح باتیں کرنے لگا۔ لیکن آپ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  اس بات کی صداقت پر میرا، ابو بکر کا اور عمر کا بھی ایمان ہے۔  حالانکہ وہ دونوں اس وقت وہاں موجود نہ تھے۔ 

--------------

Sahih Hadees

Musnad Ahmed Hadees # 11573

Allah Subhanahu ta’ala kis ke liye farmayega ke tere liye duniya ke dus guna hain?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Allah Subhanahu ta’ala kis ke liye farmayega ke tere liye duniya ke dus guna hain?


A: jo ilm ki dawat dete hai

B: jo sood maaf kar de

C: jo paanch waqt ki namaz ba jamat adda karta tha

D: Allah ke liye dosti aur Allah ke liye dusmani karne wale

E: joh kisi aur mulk mein intekaal hogaye

F: tangii mein bhi khushalli se guzara karne wale

G: tangii mein bhi sadqa karne wale

H: In mein se koi nahi


I: Sahi Jawab ka intezaar?

*********

Sahi Jawab – H✅ 


(Jannat mein sab se baad mein daakhil honay wala aur dozakh se sab se baad mein nikalny wale shaqs)


Reference📚:

--------------

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya ”Jannat mein sab se baad mein daakhil honay wala aur dozakh se sab se baad mein nikalny wala woh shakhs hoga jo ghisat kar niklay ga, is se is ka RABB kahe ga Jannat mein daakhil ho ja, woh kahe ga mere RABB! Jannat to bilkul bhari huwi hai, phir Allah Subahnahu ta’ala farmaiyega tairay liye duniya ke das gunna hain.

--------------

 Narrated `Abdullah: Allah's Apostle said,   The person who will be the last one to enter Paradise and the last to come out of Hell (Fire) will be a man who will come out crawling, and his Lord will say to him, 'Enter Paradise.' He will reply, 'O Lord, Paradise is full.' Allah will give him the same order thrice, and each time the man will give Him the same reply, i.e., 'Paradise is full.' Thereupon Allah will say (to him), 'Ten times of the world is for you.' 

----------------

 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”جنت میں سب سے بعد میں داخل ہونے والا اور دوزخ سے سب سے بعد میں نکلنے والا وہ شخص ہو گا جو گھسٹ کر نکلے گا، اس سے اس کا رب کہے گا جنت میں داخل ہو جا، وہ کہے گا میرے رب! جنت تو بالکل بھری ہوئی ہے، پھر اللہ تعالیٰ فرمائے گا تیرے لیے دنیا کے دس گنا ہے۔“

--------------

Sahih Hadees

Sahih Bukhari Hadees # 7511

Qayamat ke din Rasool Allah(ﷺ) ki sifarish kisey milegi..?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Ek Se Ziada Jawab


Sawal : Qayamat ke din Rasool Allah(ﷺ) ki sifarish kisey milegi..?


A. Imaan k saat shahadat ki gawahi dene wale

B. Neki ka hukum aur burayi se rokne wale

C. Allah aur Imaan k qatir shaheed hone wale

D. Madine me faut hone wale

E. Hajj ke dauran faut hone wale

F. Masjid me namaz ka intezar karke baithe rehne wale

G. Azan ke baad ki Dua padhne wale


H. Sahi Jawab ka Intezaar

*****

Sahi Jawab : A D G ✅


REFERENCE


حَدَّثَنَا عَبْدُ الْعَزِيزِ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ حَدَّثَنِي سُلَيْمَانُ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ عَمْرِو بْنِ أَبِي عَمْرٍو، ‏‏‏‏‏‏عَنْ سَعِيدِ بْنِ أَبِي سَعِيدٍ الْمَقْبُرِيِّ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، ‏‏‏‏‏‏أَنَّهُ قَالَ:‏‏‏‏ قِيلَ يَا رَسُولَ اللَّهِ، ‏‏‏‏‏‏مَنْ أَسْعَدُ النَّاسِ بِشَفَاعَتِكَ يَوْمَ الْقِيَامَةِ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏ ""لَقَدْ ظَنَنْتُ يَا أَبَا هُرَيْرَةَ، ‏‏‏‏‏‏أَنْ لَا يَسْأَلَنِي عَنْ هَذَا الْحَدِيثِ أَحَدٌ أَوَّلُ مِنْكَ لِمَا رَأَيْتُ مِنْ حِرْصِكَ عَلَى الْحَدِيثِ، ‏‏‏‏‏‏أَسْعَدُ النَّاسِ بِشَفَاعَتِي يَوْمَ الْقِيَامَةِ، ‏‏‏‏‏‏مَنْ قَالَ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ خَالِصًا مِنْ قَلْبِهِ أَوْ نَفْسِهِ"". 

---------------------------------------------------------------

unhon ne arz kya, ya RasoolAllah  (ﷺ)! qayamat ke din Aap (ﷺ) ki Shafaat se sab se ziyada Saadat kisay miley gi? to RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya, Aye Abu-hurera razi Allah anho mujhe yaqeen tha ke tum se pehlay koi is ke barey mein mujh se daryaft nahi kere ga. kyunkay mein ne hadees ke mutaliq tumharee hiras dekh li thi. suno! Qayamat mein sab se ziyada Faiz yab meri Shafaat se woh shakhs ho ga, jo sachey dil se ya sachey jee se « laa إله إلا allah » kahe ga.

------------------------------------------------------------------

 انہوں نے عرض کیا، یا رسول اللہ (ﷺ)! قیامت کے دن آپ (ﷺ) کی شفاعت سے سب سے زیادہ سعادت کسے ملے گی؟ تو رسول اللہ (ﷺ) نے فرمایا، اے ابوہریرہ رضی اللہ عنہ مجھے یقین تھا کہ تم سے پہلے کوئی اس کے بارے میں مجھ سے دریافت نہیں کرے گا۔ کیونکہ میں نے حدیث کے متعلق تمہاری حرص دیکھ لی تھی۔ سنو! قیامت میں سب سے زیادہ فیض یاب میری شفاعت سے وہ شخص ہو گا، جو سچے دل سے یا سچے جی سے «لا إله إلا الله» کہے گا۔

--------------------------------------------------------------

Sahih Bukhari Hadees # 99

---------------------------------------------------------------

حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ عَيَّاشٍ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ حَدَّثَنَا شُعَيْبُ بْنُ أَبِي حَمْزَةَ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ الْمُنْكَدِرِ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ جَابِرِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ، ‏‏‏‏‏‏أَنّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ:‏‏‏‏ ""مَنْ قَالَ حِينَ يَسْمَعُ النِّدَاءَ، ‏‏‏‏‏‏اللَّهُمَّ رَبَّ هَذِهِ الدَّعْوَةِ التَّامَّةِ وَالصَّلَاةِ الْقَائِمَةِ آتِ مُحَمَّدًا الْوَسِيلَةَ وَالْفَضِيلَةَ وَابْعَثْهُ مَقَامًا مَحْمُودًا الَّذِي وَعَدْتَهُ، ‏‏‏‏‏‏حَلَّتْ لَهُ شَفَاعَتِي يَوْمَ الْقِيَامَةِ"". 

-----------------------------------------------------------------

Jo shakhs Azaan sun kar yeh kahe «اللهم رب هذه الدعوة التامة والصلاة القائمة آت محمدا الوسيلة والفضيلة وابعثه مقاما محمودا الذي وعدته» usay qayamat ke din meri Shafaat miley gi.

------------------------------------------------------------------

 جو شخص اذان سن کر یہ کہے «اللهم رب هذه الدعوة التامة والصلاة القائمة آت محمدا الوسيلة والفضيلة وابعثه مقاما محمودا الذي وعدته» اسے قیامت کے دن میری شفاعت ملے گی۔ 

-----------------------------------------------------------------

Sahih Bukhari Hadees # 614

------------------------------------------------------------------

حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ بَشَّارٍ، حَدَّثَنَا مُعَاذُ بْنُ هِشَامٍ، حَدَّثَنِي أَبِي، عَنْ أَيُّوبَ، عَنْ نَافِعٍ، عَنِ ابْنِ عُمَرَ، قَالَ:‏‏‏‏ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏    مَنِ اسْتَطَاعَ أَنْ يَمُوتَ بِالْمَدِينَةِ فَلْيَمُتْ بِهَا، ‏‏‏‏‏‏فَإِنِّي أَشْفَعُ لِمَنْ يَمُوتُ بِهَا   ، ‏‏‏‏‏‏وَفِي الْبَابِ عَنْ سُبَيْعَةَ بِنْتِ الْحَارِثِ الْأَسْلَمِيَّةِ. قَالَ أَبُو عِيسَى:‏‏‏‏ هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ غَرِيبٌ مِنْ هَذَا الْوَجْهِ مِنْ حَدِيثِ أَيُّوبَ السَّخْتِيَانِيِّ.

----------------------------------------------------------------

RasoolAllah (ﷺ) ney farmaya : ”jo madinah mein mar sakta ho to usay chahiye ke wahein maray kyunkay jo wahan maray ga mein is ke haq mein sifarish karoon ga“

-------------------------------------------------------------------

 رسول اللہ (ﷺ) نے فرمایا: ”جو مدینہ میں مر سکتا ہو تو اسے چاہیئے کہ وہیں مرے کیونکہ جو وہاں مرے گا میں اس کے حق میں سفارش کروں گا“

------------------------------------------------------------------

Jam e Tirmazi Hadees # 3917

Allah ne Momin ki Konsi cheezein haram ki hai?

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

Jawaab Ek se zyada

Sawal:: Allah ne Momin ki Konsi cheezein haram ki hai?

A. Unki beizzati

B. Unke liye bugz

C. Unke liye Badgumani

D. Un per zulm

E. Unki biwiya

F. Unka Maal

G. Unka guroor

H. Unka khoon

I. Unki ibadatgah

J. Unka maal e Ganeemat

K. Sahi jawaab ka intezaar

***********

Sahi Jawab - CFH ✅

-------------------------------------------

Abdullah bin Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hain Jab Rasool-Allah Sal-Allahu Alahai Wasallam ne kabe ki tarf Dekha toh farmaye iss Ghar Ko Marhaba tum kitne Azeem aur tumari hurmat kitni Azeem hain Jab ke Allah Subhanahu Ke Nazdik Momeen tumse bhi zyada hurmat wala hain Allah Subhanahu ne tumari ek Cheez haram ki aur Momeen ki teen cheezein haram kiye uska Khoon, uska Maal, aur Uske bare Mai Bura guman

Al-Silsila-As-Sahiha  # 3572

------------------------

Narretd by Abdullah bin Abbas Radi Allahu Anhu Once  Rasool-Allah Sal-Allahu Alahai Wasallam looked at the kaba and said How delightful you are,  How magnificent you are, and how great is your sanctity ! But in the sight of Allah subhanahu  the sanctity of a believer is greater than your sanctity.

Verily, Allah sanctified your one thing but He sanctified the three thing of the believer, his blood, his wealth, and to assume evil about him.

Al-Silsila-As-Sahiha  # 3572

Us khushnaseeb Sahabi ka kya naam hai jinke liye Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya tha فَدَاكَ أَبِي وَأُمِّي Tum par mere Maa Baap Qurban ho

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗


Sawal: Us khushnaseeb Sahabi ka kya naam hai jinke liye Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya tha

فَدَاكَ أَبِي وَأُمِّي

Tum par mere Maa Baap Qurban ho??

A. Abu bakr siddiq Radi Allahu anhu

B. Maaz bin jabal Radi Allahu Anhu

C. Saad bin Abi Waqas Radi Allahu Anhu

D. Khalid bin walid Radi Allahu Anhu

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai

-------

Sahi Jawab - C✅

--------------

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith:Eh Saad teer chalao tum par mere maa baap Qurban ho

--------------------------------

Hazrat Ali Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ko kisi ke liye apne maa baap ko Qurban karne ka lafz nahi suna siwaye saad bin abi waqas radi allahu anhu ke , maine Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam se suna aap farma rahe they Eh Saad , Teer chalao tum par mere maa baap Qurban ho aur mera khayal hai ki ye Ghazwa e uhad ke moqe par farmaya

Sahih Bukhari, Jild 7, 6184

---------

Saad bin Abi Waqqas Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne Uhad wale din apne tarkash mein se teer nikal kar mujhe diye aur farmaya ki teer chalao tum par mere maa baap Qurban ho

Sahih Bukhari, Jild 6, 4055



Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...