Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday, 17 February 2021

Kaunse Sahabi ko apni Lakdi ke saath dafnaya gaya tha

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Kaunse Sahabi ko apni Lakdi ke saath dafnaya gaya tha

A: Abu Ubaidah Radi Allahu anhu
B: Sufiyan Radi Allahu Anhu
C: Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu
D: Abdullah bin Unais Radi Allahu Anhu
E: Utman Radi 
 Allahu Anhu
F: Zubair Radi Allahu Anhu
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
************
Sahi Jawab - D✅

Hadith: Syedna Abdullah bin Unais RadiAllahu Anhu ki fazilat

Reference📚:
------
Syedna Abdullah bin Unais RadiAllahu Anhu se riwayat hai, wo kehte hain Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne mujhe bulwa kar farmaya mujhe ittila mili hai ke Khalid bin Sufyan mujh par hamla karne ke liye logon ko jama kar raha hai, wo is waqt  Arna waadi mein hai, tum ja kar usse qatal kar do. mein ne arz kiya : Eh Allah ke Rasool! aap mujhse is ka huliya bayan farmaye taake mein usse pehchan sakoo. Aap ‌Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jab tum usse dekhoge to tum par kapkapi taari ho jayegi. pas mein ne apni talwar latkai aur chal pada, jab mein Arna mein is ke paas pouncha to dekha ke is ke sath aurtain bhi theen aur wo un ke liye jagah tayyar kar raha tha, ye Asar ka waqt tha jab mein ne usse dekha to Rasool-Allah ‌Sallallahu Alaihi wasallam ‌ke bayan ke mutabiq mujh par kapkapi taari ho gayi, mein is ki taraf badha, mujhe andesha huwa ke mumkin hain ke is ke aur mere darmiyan ladai shuru hojaye aur mein Namaz na padh sakoo, is liye mein ne is ki taraf chalte chalte namaz padh li aur ishare se ruku o sajda kar liye, jab mein is ke paas pouncha to is ne poocha tum kaun ho? mein ne kaha : mein ek arab hu, suna hain ke tum is yani Mohammad ( ‌Sallallahu Alaihi wasallam) ke muqable ke liye lashkar jama kar rahe ho, mein bhi isi maqsad ke liye aaya hu is ne kaha : haan haan isi mission par hu mein kuch durr tak is ke saath saath chala, jab mujhe mauqa mila to mein ne is par talwar se waar kar ke usse qatal kar diya aur wahan se nikal aaya, mein ne is ki aurton ko is haal mein wahan chorra ke wo is par jhuki huwi theen. jab mein Rasool-Allah ‌Sallallahu Alaihi wasallam ‌ke paas wapas aaya, aap Sallallahu Alaihi wasallam ne mujhe dekh kar farmaya : chehra kamyaab ho gaya hain mein ne arz kiya : Allah ke Rasool! mein ne usse qatal kar diya hain Aap ‌Sallallahu Alaihi wasallam ‌ne farmaya : bilkul tum theek kehte ho is ke baad Rasool-Allah ‌Sallallahu Alaihi wasallam mere saath uth kar chalay aur apne ghar tashreef le gaye, Aap ‌Sallallahu Alaihi wasallam ‌ne mujhe ek laathi inayat ki aur farmaya : Abdul Rahman bin Unais RadiAllahu Anhu ! usse apne paas mehfooz rakhna mein wo laathi le kar bahar logon mein aaya. unhon ne poocha : ye kaisi laathi hai? mein ne batlaya ke Allah ke Rasool ‌Sallallahu Alaihi wasallam ‌ne mujhe ye laathi inayat ki hain aur mujhe hukum diya hai ke mein usse mehfooz rakhon unhon ne kaha kya tum Rasool-Allah ‌Sallallahu Alaihi wasallam ‌ke paas wapas ja kar aap se is ke barre mein mazeed wazahat nahi kara lete? pas mein Rasool-Allah ‌Sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat mein dobarah gaya aur mein ne arz kiya Allah ke Rasool ‌Sallallahu Alaihi wasallam ‌aap ne ye laathi mujhe kis maqsad ke liye di hain? Aap ‌Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Qayamat ke din ye laathi mere aur tumahre darmiyan nishani hogi, Qayamat ke din bohat kam log aisse honge jin ke paas take lagane ke liye asa wagher hoga pas Syedna Abdullah RadiAllahu Anhu ne is asa ko apni talwar ke saath bandh liya aur wo hamesha unke paas raha, yahan tak ke jab un ka inteqaal huwa to is asa ko bhi un ke kafan ke saath rakh kar dono ko dafan kar diya gaya.
----
سیدنا عبداللہ بن انیس ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  سے روایت ہے، وہ کہتے ہیں: رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے مجھے بلوا کر فرمایا:  مجھے اطلاع ملی ہے کہ  خالد بن سفیان بن نبیح مجھ پر حملہ کرنے کے لیے لوگوں کو جمع کر رہا ہے، وہ اس وقت عرنہ وادی میں ہے، تم جا کر اسے قتل کر دو۔  میں نے عرض کیا: اے اللہ کے رسول! آپ مجھ سے اس کا حلیہ بیان فرمائیں تا کہ میں اسے پہچان سکوں۔ آپ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  جب تم اسے دیکھو گے تو تم پر کپکپی طاری ہو جائے گی۔  پس میں نے اپنی تلوار لٹکائی اور چل پڑا، جب میں عرنہ میں اس کے پاس پہنچا تو دیکھا کہ اس کے ساتھ عورتیں بھی تھیں اور وہ ان کے لیے جگہ تیار کر رہا تھا، یہ عصر کا وقت تھا۔ جب میں نے اسے دیکھا تو رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  کے بیان کے مطابق مجھ پر کپکپی طاری ہو گئی، میں اس کی طرف بڑھا، مجھے اندیشہ ہوا کہ ممکن ہے کہ اس کے اور میرے درمیان لڑائی شروع ہو جائے اور میں نماز نہ پڑھ سکوں، اس لیے میں نے اس کی طرف چلتے چلتے نماز پڑھی لی اور اشارے سے رکوع و سجود کر لیے، جب میں اس کے پاس پہنچا تو اس نے پوچھا: تم کون ہو؟ میں نے کہا: میں ایک عرب ہوں، سنا ہے کہ تم اس یعنی محمد( ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم ) کے مقابلے کے لیے لشکر جمع کر رہے ہو، میں بھی اسی مقصد کے لیے آیا ہوں۔ اس نے کہا: ہا ں ہاں اسی مشن پر ہوں۔ میں کچھ دور تک اس کے ساتھ ساتھ چلا، جب مجھے موقعہ ملا تو میں نے اس پر تلوار سے وار کر کے اسے قتل کر دیا اور وہاں سے نکل آیا، میں نے اس کی عورتوں کو اس حال میں وہاں چھوڑا کہ وہ اس پر جھکی ہوئی تھیں۔ جب میں رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  کے پاس واپس آیا، آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے مجھے دیکھ کر فرمایا: چہرہ کامیاب ہو گیا ہے۔  میں نے عرض کیا: اللہ کے رسول! میں نے اسے قتل کر دیا ہے۔ آپ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  بالکل تم ٹھیک کہتے ہو۔  اس کے بعد رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  میرے ساتھ اٹھ کر چلے اور اپنے گھر تشریف لے گئے، آپ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے مجھے ایک لاٹھی عنایت کی اور فرمایا:  عبدالرحمن بن انیس! اسے اپنے پاس محفوظ رکھنا۔  میں وہ لاٹھی لے کر باہر لوگوں میں آیا۔ انہوں نے پوچھا: یہ کیسی لاٹھی ہے؟ میں نے بتلایا کہ اللہ کے رسول  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے مجھے یہ لاٹھی عنایت کی ہے اور مجھے حکم دیا ہے کہ میں اسے محفوظ رکھوں۔ انہوں نے کہا: کیا تم رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  کے پاس واپس جا کر آپ سے اس کے بارے میں مزید وضاحت نہیں کرا لیتے؟ پس میں رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  کی خدمت میں دوبارہ گیا اور میں نے عرض کیا: اللہ کے رسول ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم ! آپ نے یہ لاٹھی مجھے کس مقصد کے لیے دی ہے؟ آپ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  قیامت کے دن یہ لاٹھی میرے اور تمہارے درمیان نشانی ہوگی، قیامت کے دن بہت کم لوگ ایسے ہوں گے جن کے پاس ٹیک لگانے کے لیے عصا وغیر ہ ہوگا۔  پس سیدنا عبداللہ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  نے اس عصا کو اپنی تلوار کے ساتھ باندھ لیا اور وہ ہمیشہ ان کے پاس رہا، یہاں تک کہ جب ان کا انتقال ہوا تو اس عصا کو بھی ان کے کفن کے ساتھ رکھ کر دونوں کو دفن کر دیا گیا۔ 
----
Musnad Ahmed#11770-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...