Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 30 December 2020

Iss Ummat mein wo kaunsi beemari ka zikr Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo phele ki ummat mein bhi thi

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz❗

Jawab ek se ziyada hai

Sawal: Iss Ummat mein wo kaunsi beemari ka zikr Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo phele ki ummat mein bhi thi 

A: Shirk 
B: Zulm 
C: Zina
D: Hasad
E  Jhooth bolna
F: Bughz 
G: Fahashee qalam
H: Sahi jawab ka intezar
*******
Sahi Jawab : DF✅

Iss ummat mein paye jane wali beemariya hain hasad aur bughz karna.

Reference📚:
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tumhare andar tumse pehle ummaton ki beemari aa jayegi aur wo beemari hasad aur bughz hain ye deen ko mundne wali hain ye baalon ko mundne wali nahi ( ye to Deen ka satyanash (khatam) kar deti hai) us zaat ki kasam jiske haath mein Mohammad Sallallahu Alaihi Wasallam ki jaan hai tum us waqt tak Momeen nahi ho sakte jab tak aapas mai Mohabbat na karne lag jao aur kya mein tumehin wo aamal na bataun ke jis par tum aamal kareoge to aapas mein Mohabbat karne lag jaoge to salam ko aapas mein aam karo
----
نبی کریم ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: تمہارے اندر تم سے پہلی والی امتوں کی بیماری سرایت کر جائے گی اور وہ بیماری حسد اور بغض ہے، یہ دین کو ٹنڈ منڈ کر دینے والی ہے، یہ بالوں کو مونڈنے والی نہیں ہے (یہ تو دین کا ستیاناس کر دیتی ہے)، اس ذات کی قسم جس کے ہاتھ میں محمد ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم کی جان ہے! تم اس وقت تک مومن نہیں ہو سکتے جب تک تم آپس میں محبت نہیں کرو گے اور کیا میں تمہیں وہ چیز نہ بتا دوں کہ جب تم اس پر عمل کرو گے تو باہمی محبت کرنے والے بن جاؤ گے، پس سلام کو آپس میں عام کرو۔ 
-----
Musnad Ahmed # 8252-Sahih

Kause shaks ko Allah Subhanahu tabah kar denge

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Kause shaks ko Allah Subhanahu tabah kar denge

A: kisi ke aibo ko zahir karne wale
B: ilm chupne wale ko
C: amanat mein khayanat karne wale ko
D: dhikhawe ke liye namaz padhne wale ko
E: dhikhawe ke liye sadqa karne wale ko
F: fuzool kharchi karne wale ko
G: inmein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezaar
********
Sahi Jawab-G ✅

Logo ka Maal le aur usko hadap karne wale shakhs ko Allah Subahnahu tabah kar dega

Reference📚:
----
Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaye jo logo ka Maal le aur usko hadap karna chahata ho to usko Allah Subhanahu tabah kar dega
---
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  جو لوگوں کا مال لے اور اس کو ہڑپ کرنا چاہتا ہو تو اس کو اللہ تباہ کر دے گا 
----
Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: “Whoever takes people's wealth with the intention of destroying it, Allah Subhanahu will destroy him.” 
----
Sunnan e Ibn Maja Hadees#2411-Sahih

kaunse amal karne wale ke liye Jannat mein ghar diya jayega

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hain!

Sawal: kaunse amal karne wale ke liye Jannat mein ghar diya jayega

A: Allah ke khatir Masjid ko aabad karne wale
B: Asar se pehle 4 rakat sunnat aada karne wale
C: 10 martaba surah Al Ikhlas padhne wale
D: Zohar se pehle ki 4 rakat sunnat adaa karne wale
E: Fajar aur Isha ki namaz jamat se adda karne wale
F: Chast ki 4 rakat adaa karne wale
G: Allah ke khatir dosti aur Allah ke khatir dusmani karne wale
H: Allah ke khatir Masjid tameer kiya jaha Allah ka zikr kiya jata ho
I: Sahi Jawab ka intezaar
*************
Sahi Jawab - CDFH✅

Jannat mein Ghar haasil karne wale Aamal
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaye jis shakhs ne Qul huwallahu Ahad (Surah Al-Ikhlas) 10 baar mukammal padhi to Allah Subhanahu uske liye Jannat mein ek Mahal tameer kar dega, Umar Radi Allahu Anhu ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam tab to hum bahut se mahal hasil kar lenge, to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu ziyada ataa karne wala aur paak hain
----
معاذ بن انس جہنی‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: جس شخص نے  سورۃ الاخلاص قُلۡ ہُوَ  اللّٰہُ  اَحَدٌ  ۚ﴿۱٠﴾ دس مرتبہ مکمل پڑھی، تو اللہ تعالیٰ اس کے لئے جنت میں ایک محل تعمیر کر دے گا۔ عمر‌رضی اللہ عنہ  نے کہا: اے اللہ کے رسول  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌تب تو ہم بہت سے محل حاصل کرلیں گے۔ آپ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: اللہ تعالیٰ زیادہ عطا کرنے والا اور پاک ہے
---------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said Whoever recites Qul huwallahu ahad (Surah Al-Ikhlas) 10 times, Allah will build for him a palace in the Paradise. Umar Radi Allahu Anhu said in this way we may get many palaces. Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said Allah is the most giver and better.
Al-Silsila-tus-Sahiha - 2979-Sahih
-----
Abu Musa RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke jis shaks ne (Ishraq/chasht) ki 4 rakat Namaz padhi aur zohr se pehle 4 rakat padhi uske liye Jannat mein Ghar diya jayega 
-----
ابوموسیٰ‌رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے كہ جس شخص نے اشراق كی چار ركعت نماز پڑھی، اور ظہرسے پہلے چار ركعت پڑھیں اس كے  لئے جنت میں گھر دیا جائے گا
-----
It is narrated on the authority of Abu Musa (may Allah be pleased with him) that whoever prays four rak'ahs of Ishraq/chast, and prays four rak'ahs before Zohar, he will be given a home in Paradise.
-----
Al-Silsila-As-Sahiha # 745-Sahih
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jis shakhs ne Allah ke liye aisi masjid banayi jis mein Allah ka zikr kiya jaaye to Allah iss ke liye iss ke badle Jannat mein ek ghar banaye ga
-----
سیّدنا عمر بن خطاب  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  سے مروی ہے کہ رسول اللہ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:   جس شخص نے اللہ کے لیے ایسی مسجد بنائی جس میں اللہ کا ذکر کیا جائے تو اللہ اس کے لیے اس کے بدلے جنت میں ایک گھر بنائے گا۔  
-----
It is narrated on the authority of Umar ibn al-Khattab RadiAllahu Anhu that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: Whoever builds a mosque for Allah in which Allah is mentioned, In return Allah will build for him a house in Paradise.
-----
Musnad Ahmed#1317-Sahih

Ek baar Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam apne ek sahaba ko kuch aise amal ke baare mein irshad farma rahe thy jo makhluq ka koi bhi dusra amal uske barabar nahi?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Ek baar Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam apne ek sahaba ko kuch aise amal ke baare mein irshad farma rahe thy jo makhluq ka koi bhi dusra amal uske barabar nahi?

Sawal: wo amal kausa hain?

A. SubhanAllahi wabihamdihi 
B. Husn e Akhlaq
C. Salam mein pehal karna
D. La ilaha illAllah kehna
E. Sila rahmi karna
F.  Zyada Khamosh rehna
G. Har Namaz ke baad 10 bar Subhan'Allaah, Allhmadullilah , La Ilaha illAllah kehna
H. Raasto se takleef dene wali cheeze hatana
I: Sahi Jawab ka Intezaar
***********
Sahi Jawab - BF✅

Makhluq ka koi dusra aamal uske barabar nahi Husn e Akhlaq aur ziyada Khamosh rehna
Reference📚:
-------
Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki ek baar Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam Abu Dharr Radi Allahu Anhu se mile aur farmaya Eh Abu Dharr kya main tumhe do khoobiyan na batau jo karne mein bahut halki hain aur tarazu mein bahut bhari hain unhone kaha kyu nahi Ya Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam jarur bataeeye,  Aap Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya tum apne upar achcha Akhlaq aur ziyada khamosh rahna  lazim karlo , kasam hai us zaat ki jiske hatah mein meri jaan hai makhluq ka koi dusra Amal unke barabar nahi
---------
انسرضی اللہ عنہ سے مروی ہے انہوں نے کہا کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم ابوذر رضی اللہ عنہ سے ملے تو فرمایا: ابو ذر ! کیا میں تمہیں دو خصلتوں کے بارے مںَ  نہ بتاؤں جو پشت پر ہلکی (یعنی کرنے میں آسان) اور (میزان میں)دوسروں سے بھاری ہونگی؟ ابو ذر نے کہا کیوں نہیں اے اللہ کے رسول۔آپ نے فرمایا: اچھا اخلاق اور طویل خاموشی کو لازم کر لو، اس ذات کی قسم جس کے ہاتھ میں میری جان ہے، مخلوق نے ان دونوں جیسا کوئی عمل نہیں کیا 
--------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 202

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya agar koi unhe in baaton ki zamanat dede to wo unhe Jannat ki zamanat denge

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

❗Jawab ek se ziyada hain

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya agar koi unhe in baaton ki zamanat dede to wo unhe Jannat ki zamanat denge

❗Sawal: Wo kaun kaunse amal hain jiske karne wale ko Jannat ki zammant mil jayegi


A: Baat kare to jhoot na bole

B: Neki ka hukum de aur burai se ruk jaye

C: Amanat mein khayanat na kare

D: wada kare to wada khilafi na kare

E: Nigahen neeche rakhe

F: Apne haath roke rakho 

G: apni Sharamgaah ki hifazat karo

H: Salam mein pehal kare


I: Sahi Jawab ka intezar

************

Sahi Jawab: ACDEFG✅


Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne in aamal karne walo ko Jannat ki zamanat di hain


Reference📚:

------

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: mujhe che (6) chizon ki zamanat do mein tumhen Jannat ki zamanat deta hu, jab tum mein se koi shakhs baat kare to jhoot mat bole, aur jab us ke paas Amanat rakhi jaye to khayanat na kare, aur jab wada kare to wada khilafi na kare, apni nigahen neeche rakho, apne haath roke rakho, aur apni sharamgaah ki hifazat karo.

-----

ابو امامہ باہلی  رضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: مجھے چھ چیزوں كی ضمانت دو میں تمہیں جنت كی ضمانت دیتا ہوں۔جب تم میں سے كوئی شخص بات كرے تو جھوٹ مت بولے، اور جب اس كے پاس امانت ركھی جائے تو خیانت نہ كرے، اور جب وعدہ كرے تو وعدہ خلافی نہ كرے، اپنی نگاہیں نیچی ركھو، اپنے ہاتھ روكے ركھو، اور اپنی شرمگاہوں كی حفاظت كرو۔

-----

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1329-Sahih

wo kaun kaunsa amal karne per shaitan uss shakhs se durr hojata hain ya uss shakhs ke pass apna thikhana nahi bana paata

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz ❗

❗Jawab ek se ziyada hain

Sawal: wo kaun kaunsa amal karne per shaitan uss shakhs se durr hojata hain ya uss shakhs ke pass apna thikhana nahi bana paata

A: Bazar mein dakhil hote waqt ye padhne se..
La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd, wa huwa Ala kulli shai'in qadir
B: Ghar se nikalte waqt ye padhne se..
Bismillahi tawakkaltu AlAllahi La hawla wa La quwwata illa billah
C: Subah aur Shaam ke waqt teen baar Surah Al Ikhlas, Surah Al Falaq aur Surah An Nas padne se..
D: Subah aur shaam ki namaz ke baad 10 baar ye padhne se..
La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd, wa huwa Ala kulli shai'in qadir
E: Subah ke waqt 3 baar ye padhne se...
Allahumma bika Asbahna wa bika Amsayna, wa bika nahya wa bika namutu wa ilaik An nushur
F: Masjid mein dakhil hote waqt ye padhne se..
Aawuzu billahil-Azim, Wa bi-Wajhihil-Karim, wa Sultanihil-qadim, minash-Shaytanir-rajim
G. Bistar per late te waqt Ayat al Kursi padne de
H: Ghar mein dhakil hote waqt aur Khana khate waqt Bismillah padhne se
I: Fajar ki namaz ke baad 10 baar ye padhne se..
La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd Yuhi wa Yumeet, wa huwa Ala kulli shayin qadir
J: Sahi jawab ka intezar
*************
Sahi Jawab - BDFGHI✅

Reference📚:

Hadith:1) Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab aadmi apne ghar se nikle aur ye dua padhe
بِسْمِ اللَّهِ تَوَكَّلْتُ عَلَى اللَّهِ لاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ
Bismillahi tawakkaltu AlAllahi La haula wa La quwwata illa billah
to usse (Allah ki taraf se) kaha jata hain ki tujhe hidayat di gayee, teri kifayat ki gayee aur teri hifazat ki gayee aur shaitan us se dur ho jata hai. Aur dusra shaitan us se kahta hai ki us aadmi ke saath tera kya haal ho sakta hai jise hidayat di gayee ho, jiski kifayat ki gayee ho aur jiski hifazat ki gayee ho
Sunan Abu Dawud, jild 3, 1654-Sahih
-----
Hadith:2) Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke jis shakhs ne subah ki Namaz ke baad dus (10) martaba ye kalma kaha:
لَا إِلٰه إِلَا الله، وَحْدَه لَا شَريك لَه، لَه الْمُلك، وَلَه الْحَمْد، وَهو عَلَى كُل شَيْء قَدِير
La ilaha illal-lah wahdahu la sharika lahu, lahu-l-mulk wa lahu-l-hamd wa huwa 'ala kulli shai'in qadir
-----
Allah ke siwa koi mabud nahi hain, Wo tanha hain uska koi sharik nahi hain, ussi ke liye baadshahi hain aur ussi ke liye tarifein hain Aur wo har cheez par kudrat rakhne wala hain
Allah taala is ke liye dus (10) nekiya likhega, is ki dus (10) buraiyan mitayega aur is ke dus (10) darjaat buland karega aur is ko Aulaad Ismael Alaihi Sallam mein se do (2) gardanein aazad karne ka sawab mileyga. agar is ne shaam ke waqt isi terhan kaha to iske liye isi terhan hai aur subah hone tak ye kalimaat shaitan se rukawat honge.
Al-Silsila-tus-Sahiha#2975-Sahih
----
Hadith:3) Amr bin aas Radi Allahu anhu se riwayat hai ki Rasool-Allah Sallallahau Alaihi wasallam jab masjid mein tashreef le jaate to farmate
أَعُوذُ بِاللَّهِ الْعَظِيمِ وَبِوَجْهِهِ الْكَرِيمِ وَسُلْطَانِهِ الْقَدِيمِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ 
Main Allah ki azmat ki aur uski zaat e kareem ki aur uski qadeem badshahat ki shaitan mardud se panah chahta hu
aur jab masjid mein dakhil hone wala aadmee ye kahta hai to shaitan kehta hain ab wo mere shar se din bhar ke liye mehfooz ho gaya
Sunnan Abu Dawood Jild 1, Hadith 463-Sahih
----
Hadith 4): Rasool-Allah SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya ki jab bistar par leto to Aayat Al Kursi (Allahu La ilaha illa huwa Alhayyu Qayyum) se aakhir tak puri padh lena . (iske padhne se) Allah subhanahu ki taraf se tum par ek nigaran farishta muqarrar rahega. aur subah tak shaitan tumare qareeb bhi nahi aa sakega.
Sahih Bukhari#2311Sahih
----
Hadith 5) Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jab aadmi apne ghar mein jata hai aur ghar mein dakhil hote waqt aur khate waqt Allah Subhanahu ka naam leta hai (yani Bismillah kehta hain) to shaitan kehta hain yaha na tumhare rahne ka thikana hain aur na khane ka. Aur jab ghar mein dakhil hote waqt Allah ka naam nahi leta to shaitan kahta hai tumhare rahne ka thikana mil gaya aur jab khate waqt bhi Allah ka naam nahi leta hai to shaitan kahta hai tumhare rahne ka bhi thikana mil gaya aur tumhare khane ka bhi
Sahih Muslim,Hadees#, 5262-Sahih
----
Hadith:6) Abu Dharr Radi Allahu Anhu se riwayat hain ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs fajr ki namaz ke baad do zanu hokar baitha rahe
(jis tarah tashahud mein baithta hai ) aur phir kisi se baat kiye bagair 10 baar ye padhe
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ يُحْيِي وَيُمِيتُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
To uske liye 10 nekiya likh di jayengi , 10 gunah maaf kar diye jayenge, 10 darjat buland kiye jayenge,
Aur us din har burayee se mehfooz rahega, Aur usko shaitan ki pahuch se dur kar diya jayega
aur usko us din shirk ke alawa koi gunah halaq nahi kar sakega
Jamia Tirmizi, Jild 2, 1399-Hasan

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...