Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 30 December 2020

kaunse amal karne wale ke liye Jannat mein ghar diya jayega

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hain!

Sawal: kaunse amal karne wale ke liye Jannat mein ghar diya jayega

A: Allah ke khatir Masjid ko aabad karne wale
B: Asar se pehle 4 rakat sunnat aada karne wale
C: 10 martaba surah Al Ikhlas padhne wale
D: Zohar se pehle ki 4 rakat sunnat adaa karne wale
E: Fajar aur Isha ki namaz jamat se adda karne wale
F: Chast ki 4 rakat adaa karne wale
G: Allah ke khatir dosti aur Allah ke khatir dusmani karne wale
H: Allah ke khatir Masjid tameer kiya jaha Allah ka zikr kiya jata ho
I: Sahi Jawab ka intezaar
*************
Sahi Jawab - CDFH✅

Jannat mein Ghar haasil karne wale Aamal
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaye jis shakhs ne Qul huwallahu Ahad (Surah Al-Ikhlas) 10 baar mukammal padhi to Allah Subhanahu uske liye Jannat mein ek Mahal tameer kar dega, Umar Radi Allahu Anhu ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam tab to hum bahut se mahal hasil kar lenge, to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu ziyada ataa karne wala aur paak hain
----
معاذ بن انس جہنی‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: جس شخص نے  سورۃ الاخلاص قُلۡ ہُوَ  اللّٰہُ  اَحَدٌ  ۚ﴿۱٠﴾ دس مرتبہ مکمل پڑھی، تو اللہ تعالیٰ اس کے لئے جنت میں ایک محل تعمیر کر دے گا۔ عمر‌رضی اللہ عنہ  نے کہا: اے اللہ کے رسول  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌تب تو ہم بہت سے محل حاصل کرلیں گے۔ آپ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: اللہ تعالیٰ زیادہ عطا کرنے والا اور پاک ہے
---------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said Whoever recites Qul huwallahu ahad (Surah Al-Ikhlas) 10 times, Allah will build for him a palace in the Paradise. Umar Radi Allahu Anhu said in this way we may get many palaces. Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said Allah is the most giver and better.
Al-Silsila-tus-Sahiha - 2979-Sahih
-----
Abu Musa RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke jis shaks ne (Ishraq/chasht) ki 4 rakat Namaz padhi aur zohr se pehle 4 rakat padhi uske liye Jannat mein Ghar diya jayega 
-----
ابوموسیٰ‌رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے كہ جس شخص نے اشراق كی چار ركعت نماز پڑھی، اور ظہرسے پہلے چار ركعت پڑھیں اس كے  لئے جنت میں گھر دیا جائے گا
-----
It is narrated on the authority of Abu Musa (may Allah be pleased with him) that whoever prays four rak'ahs of Ishraq/chast, and prays four rak'ahs before Zohar, he will be given a home in Paradise.
-----
Al-Silsila-As-Sahiha # 745-Sahih
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jis shakhs ne Allah ke liye aisi masjid banayi jis mein Allah ka zikr kiya jaaye to Allah iss ke liye iss ke badle Jannat mein ek ghar banaye ga
-----
سیّدنا عمر بن خطاب  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  سے مروی ہے کہ رسول اللہ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:   جس شخص نے اللہ کے لیے ایسی مسجد بنائی جس میں اللہ کا ذکر کیا جائے تو اللہ اس کے لیے اس کے بدلے جنت میں ایک گھر بنائے گا۔  
-----
It is narrated on the authority of Umar ibn al-Khattab RadiAllahu Anhu that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: Whoever builds a mosque for Allah in which Allah is mentioned, In return Allah will build for him a house in Paradise.
-----
Musnad Ahmed#1317-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...