Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 16 August 2021

Beshak, Allah ki madad qareeb hain



Bismillahirrahmannirrahim

أَلَا إِنَّ نَصْرَ اللَّهِ قَرِيبٌ
--
Beshak, Allah ki madad qareeb hain
----
بے شک الله کی مدد قریب ہے
---
Indeed, The Help of Allah is near!
---
Surah Al Baqrah : (02:214)


 

Ghusal khane mein peshab karne se bacho kuynke...



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Ghusal khane mein peshab karne se bacho kuynke...
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne iss se mana farmaya ke aadmi ghusal khane mein peshaab kare, kuyn na ke aam waswase iss wajah se hote hain
--
رسول اللہ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم ‌ نے اس سے منع فرمایا کہ آدمی اپنے غسل خانے میں پیشاب کرے، کیونکہ عام وسوسے اسی وجہ سے ہوتے ہیں۔
---
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam prohibited that a man should urinate in his bathing area. And he said it will only cause misgivings.
----
Musnad Ahmed#486-Sahih
https://pin.it/33mEOVe


 

Surah Al-Ikhlas 10 baar padhne wale ke liye Allah Subhanahu Jannat mein ek Mahal tameer kar denge





Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : Surah Al-Ikhlas 10 baar padhne wale ke liye Allah Subhanahu Jannat mein ek Mahal tameer kar denge
-----------
Muaaz bin Anas Radi Allahu Anhu se riwayat hain ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaye jis shakhs ne Qul huwallahu Ahad (Surah Al-Ikhlas) 10 baar mukammal padhi to Allah Subhanahu uske liye Jannat mein ek Mahal tameer kar dega, Umar Radi Allahu Anhu ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam tab to hum bahut se mahal hasil kar lenge, to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu ziyada ataa karne wala aur paak hain
Al-Silsila-tus-Sahiha - 2979-Sahih
-------
بسم الله الرحمن الرحيم

قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ اللَّهُ الصَّمَدُ لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ
----
Kah do Wo ALLAH Ek hai, ALLAH beniyaz hain, Na uski koi Aulad hain aur na wo kisi ki Aulad hain, Aur uske barabar ka koi nahi hain
-----
Surah Al-Ikhlas 112
------
معاذ بن انس جہنی‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: جس شخص نے  سورۃ الاخلاص قُلۡ ہُوَ  اللّٰہُ  اَحَدٌ  ۚ﴿۱٠﴾ دس مرتبہ مکمل پڑھی، تو اللہ تعالیٰ اس کے لئے جنت میں ایک محل تعمیر کر دے گا۔ عمر‌رضی اللہ عنہ  نے کہا: اے اللہ کے رسول  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌تب تو ہم بہت سے محل حاصل کرلیں گے۔ آپ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: اللہ تعالیٰ زیادہ عطا کرنے والا اور پاک ہے
---------
Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : Whoever recites Surah Al-Ikhlas 10 times Allah Subhanahu will build for him a Palace in the Paradise.
------
Narrated by Muadh bin Anas Radi Allahu Anhu that Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said Whoever recites Qul huwallahu ahad (Surah Al-Ikhlas) 10 times, Allah will build for him a palace in the Paradise. Umar Radi Allahu Anhu said in this way we may get many palaces. Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said Allah is the most giver and better.
Al-Silsila-tus-Sahiha - 2979-Sahih
----
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ

قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ اللَّهُ الصَّمَدُ لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ

Say He is ALLAH , the One and Only ALLAH , the Eternal, He begets not, nor was He begotten.And there is none like unto Him.
Surah Al-Ikhlas, 112
https://youtube.com/shorts/DRQffKGdibI?feature=share



 

Munafiqeen har Saal Ek ya Do baar aazmaye jate hain



Bismillahirrahmannirrahim

Al-Quran: Munafiqeen har Saal Ek ya Do baar aazmaye jate hain
-----------
Kya wo nahi dekhte ke wo (yani munafiq) har Saal ek ya do martaba  imtehaan mein dale jate hain? Magar is par bhi na to wo tauba karte hain, na koi sabaq seekhte hain aur na koi naseehat he qubool karte hain.
---------
کیا وہ نہیں دیکھتے کہ وہ ہر سال ایک یا دو مرتبہ امتحان میں ڈالے جاتے ہیں؟ مگر اِس پر بھی نہ تو وہ توبہ کرتے ہیں   ،  نہ کوئی سبق سیکھتے ہیں اور نہ کوئی نصیحت ہی قبول کرتے ہیں ۔
--------
Do they (hypocrites) not see that they are tried every year once or twice but then they do not repent nor do they remember? 
---------
Surah Taubah: (9:126)
https://pin.it/33mEOVe


 

Museebat ya pareshani ke waqt padhne ki dua..Allahu, Allahu Rabbi La ushrika behi shayaa







Bismillahirrahmannirrahim

Museebat ya pareshani ke waqt padhne ki dua..Allahu, Allahu Rabbi La ushrika behi shayaa
------
 Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki kya main tumhe chand aise kalimat na sikhau jinhe tum Museebat ( ya pareshani) ke waqt ya Museebat mein kaha karo

اللَّهُ اللَّهُ رَبِي لاَ أُشْرِكُ بِهِ شَيْئًا
Allahu, Allahu Rabbi La ushrika behi shayaa
(ALLAH, ALLAH mera RABB hai aur main uske saath kisi ko sharik nahi karta)
Sunan Abu Dawood,1525-Sahih
----------------------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: کیا میں تمہیں چند ایسے کلمات نہ سکھاؤں جنہیں تم مصیبت کے وقت یا مصیبت میں کہا کرو 

الله الله ربي لا أشرك به شيئًا
یعنی اللہ ہی میرا رب ہے، میں اس کے ساتھ کسی کو شریک نہیں کرتی 
-----------
Bismillahirrahmanirrahim

Dua to read in distress - Allahu Allahu Rabbi La ushriku behi shayaa
----
Narrated Asma daughter of Umays Radi Allahu Anhu The Messenger Sallallahu Alaihi Wasallam said to me: May I not teach you phrases which you say in distress? (These are:) 

 اللَّهُ  اللَّهُ رَبِّي لَا أُشْرِكُ بِهِ شَيْئَاً
Allahu Allahu Rabbi La ushrika behi shayaa
(Allah , Allah is my Lord, I do not associate anything as partner with Him.) 
Sunan Abu Dawud, 1525-Sahih
https://youtube.com/shorts/OxakSYeOLzY?feature=share




 

Aisi cheez ya aisa kaam jo pasand na ho to us waqt padhne ki dua,,,Alhamdulillah Ala Kulli Haal





Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Aisi cheez ya aisa kaam jo pasand na ho to us waqt padhne ki dua
-----
Aisha Radi Allahu anha se rivayat hain ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam jab koi aisi cheez ya aisa kaam dekhte jo aap ko pasand na ho to farmate 
اَلْحَمْدُ لِلهِ عَلَى كُلِّ حَالٍ
Alhamdulillah Ala Kulli Haal
Har haal mein Allah subhanahu ka shukr hai
Al-Silsila As Sahiha, 2887-Sahih  
-----
عائشہ  رضی الله عنہا کہتی ہیں رسول الله ﷺ جب کوئی ایسی  چیز  یا  ایسا کام دیکھتے  جو آپ کو  پسند نہ ہو تو فرماتے 
اَلْحَمْدُ لِلهِ عَلَى كُلِّ حَالٍ
ہر حال میں اللہ کا شکر ہے
-----
Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Dua to be recited when you dislike something..

It was narrated that Aisha RadiAllahu Anhu said When the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam saw something he disliked, 
he would say: 
اَلْحَمْدُ لِلهِ عَلَى كُلِّ حَالٍ
Alhamdulillah Ala Kulli Haal
Praise be to Allah in all circumstances
Al-Silsila As Sahiha, 2887-Sahih
https://youtu.be/G22BRvhtU6U


 

SubhanAllah, Alhumdullilah La illaha illallaha Allahu Akbar behtareen kalaam hai joh Allah Subhanahu ko intehai pasand hain.




Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: SubhanAllah, Alhumdullilah La illaha illallaha Allahu Akbar behtareen kalaam hai joh Allah Subhanahu ko intehai pasand hain.
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wa sallam ne farmaya chaar kalme, SubhanAllah, Alhumdullilah La illaha illallaha Allahu Akbar behtareen kalaam hain. 
aur Allah Subhanahu ko chaar kalme intehai pasand hain, SubhanAllah, Alhumdullilah La illaha illallaha Allahu Akbar, un mein se jisse bhi pehle padho woh tumahray liye muzir nahi.
----
حضرت سمرہ بن جندب   ؓ  بیان کرتے ہیں ، رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ چار کلمے ، سبحان اللہ ، الحمدللہ ، لا الہ الا اللہ اور اللہ اکبر ، بہترین کلام ہیں 
اللہ کو چار کلمے انتہائی پسند ہیں ، سبحان اللہ ، الحمدللہ ، لا الہ الا اللہ اور اللہ اکبر ، ان میں سے جسے بھی پہلے پڑھو وہ تمہارے لئے مضر نہیں ۔‘‘ 
----
Mishkat ul Masabeeh#2294-Sahih




 

Allah Subhanahu se Dua maagne ki fazilat



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Allah Subhanahu se Dua maagne ki fazilat
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: "Allah Subhanahu ke Nazdik DUA se Muaziz aur Makrum (Bahut Aziz) koi Cheez (Ibadat) nahi hain
-----
 نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”اللہ کے نزدیک دعا سے زیادہ معزز و مکرم کوئی چیز  ( عبادت )  نہیں ہے“ ۱؎۔ 
_
Abu Hurairah narrated that: The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: “There is nothing more honorable with Allah [Most High] than supplication.”
----
JameTirmizi Hadith# 3370-Sahih
****
Syedna Abu Saeed RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo musalman aisi dua karta ho, jis mein gunah aur qata rehami wali baat na ho to Allah taala is ko teen mein se ek cheez ataa karta hai, ya uski dua jaldi jaldi qubool kar li jati hai, ya is ki dua ko akhirat ke liye zakheera kar liya jata hai, ya is ke koi takleef ya  buri cheez ko usse durr kar diya jata hai. Sahaba RadiAllahu Anhu ne kaha to phir hum bohat ziyada dua karen ge, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah Subhanahu ta’ala ziyada ataa karne wala hain
----
سیدنا ابو سعید  رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  جو مسلمان ایسی دعا کرتا ہو، جس میں گناہ او رقطع رحمی والی بات نہ ہو تو اللہ تعالیٰ اس کو تین میں سے ایک چیز عطا کرتا ہے، یا اس کی دعا جلدی جلدی قبول کر لی جاتی ہے، یا اس کی دعا کو آخرت کے لیے ذخیرہ کر لیا جاتا ہے، یا اس کے بقدر اس آدمی سے بری چیز کو دور کر دیا جاتا ہے۔  صحابہ نے کہا: تو پھر ہم بہت زیادہ دعا کریں گے، آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  اللہ تعالیٰ زیادہ عطا کرنے والا ہے۔  
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: If any Muslim who supplicates to Allah without sin or cutting family ties, Allah will grant him one of the three things his supplication is quickly accepted, or his supplication is stored for the Hereafter, or the evil thing is removed from this man accordingly. The companions said: Then we will supplicate a lot. The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: Allah is the bestower.
----
Musnad Ahmed#5585-Sahih
**
Sayedna Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya koi cheez nahi hain jo dua se badh kar Allah Subhanahu taala ke haan ziyada izzat wali ho
----
 ۔ سیدنا ابو ہریرہ  رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  کوئی چیز نہیں ہے، جو دعا سے بڑھ کر اللہ تعالیٰ کے ہاں زیادہ عزت والی ہو۔ 
----
It is narrated on the authority of Abu Huraira RadiAllahu Anhu that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: There is nothing that is more honorable in the sight of Allah than supplication.
----
Musnad Ahmed#5587-Sahih
***
Sayedna Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: jo Allah Subhanahu taala se dua nahi karta, Allah Subhanahu taala is se naraaz ho jata hain
-----
۔ سیدنا ابوہریرہ  رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  جو اللہ تعالیٰ سے دعا نہیں کرتا، اللہ تعالیٰ اس سے ناراض ہو جاتا ہے۔  
-----
It is narrated on the authority of Abu Huraira RadiAllahu Anhu that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: Whoever does not supplicate to Allah, Allah becomes angry with him.
----
Musnad Ahmed#5588-Sahih
*****
Syedna Salman Farsi RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Allah Subhanahu taala ne kaha jab banda Allah taala se sawal karne (dua) ke liye is ke samne apne dono haath daraaz karta hain to wo is se sharmaata hain ke un ko khaali wapas karde
----.
سیدنا سلمان فارسی  رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ اللہ تعالیٰ نے کہا: جب بندہ اللہ تعالیٰ سے سوال کرنے کے لیے اس کے سامنے اپنے دونوں ہاتھ دراز کرتا ہے تو وہ اس سے شرماتا ہے کہ ان کو خالی واپس کر دے۔
----
It is narrated on the authority of Salman Farsi (may Allah be pleased with him) that Allah Almighty said: When a servant raises his hands in front of him to ask Allah, he is ashamed to return them empty-handed.
----
Musnad Ahmed#5590-Sahih
***
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Jab tum Allah se mango to apni hateliyon ka rukh asmaan ki taraf kar ke mango aur is ke hatheliyon ki pusht ke rukh par na mango
---------
مالک بن یسار سکونی عوفی سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جب تم اللہ سے مانگو تو اپنی ہتھیلیوں کا رخ آسمان کی طرف کر کے مانگو اور اس سے ہتھیلیوں کی پشت کے رخ پر نہ مانگو
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: When you supplicate to Allah, turn your palms towards the sky, and do not ask Him towards the back of your palms.
------
Al-Silsila-tus-Sahiha#236-Sahih
https://pin.it/33mEOVe


 

Allahummagfirli Ma Qaddamtu Wa Ma Akhkhart





Bismillahirrahmanirrahim

اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي مَا قَدَّمْتُ وَمَا أَخَّرْتُ

Allahummagfirli Ma Qaddamtu Wa Ma Akhkhart
---------
Eh Allah, tu meri magfirat farma un tamam gunaho se jo main pahle kar chuka hu aur jo baad mein mujhse hone wale hain
---------
اے الله تو میری مغفرت فرما ان تمام گناہوں سے جو میں پہلے کر چکا ہوں اور جو بعد میں مجھ سے ہونے والے ہیں
-----
O Allah Forgive me and my sins that I did in the past or will do in the future
Sahih Bukhari# 7385
https://pin.it/33mEOVe


 

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...