Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
Wednesday, 26 August 2020
Is Azkar ko padhne par iske har kalme ke badle Jannat mein ek darakht laga diya jata hai
Nabuwat mein se kaunsi khush khabri abb bhi baaqi hai
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Nabuwat mein se kaunsi khush khabri abb bhi baaqi hai
A: Sila Rehami
B: Ilm hasil karna
C: Achcha khawab
D: Achcha Akhlaq
E: Haya
F: Nikah karna
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
****************
Sahi Jawab - C✅
Nabuwat mein se Achche Khawab abb taq baqi hain
Reference📚:
----
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya mere baad Nabuwat mein se koi cheez baqi nahi rahi, ma siwaye khush khabriyon ke. logon ny daryaft kiya Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam woh khush khabriya kya hain? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ny farmaya unse murad achche Khawab hain, jo aadmi daikhta hai ya is ke liye kisi ko dhikhaaye jaate hain
----
سیدہ عائشہ رضی اللہ عنہا بیان کرتی ہیں کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: میرے بعد نبوت میں سے کوئی چیز باقی نہیں رہی، ما سوائے خوشخبریوں کے۔ لوگوں نے دریافت کیا: اے اللہ کے رسول! وہ خوشخبریاں کیا ہیں؟ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: ان سے مراد اچھے خواب ہیں، جو آدمی دیکھتا ہے یا اس کے لیے کسی کو دکھائے جاتے ہیں۔
-----
Musnad Ahmed#7810-Sahih
Inmein se kaun kaunse amal ke liye farmaya gaya hai ke wo Jahannum ke amal hai?
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se ziyada hain
Sawal: Inmein se kaun kaunse amal ke liye farmaya gaya hai ke wo Jahannum ke amal hai?
A: Ziyada hasna
B: Jhooth bolna
C: Danton ko tarashna
D: Burai karna
E: Kufr karna
F: Naqli baal lagawana
G: kisi ko nahaq baddua dena
H: Bhukli karna
I: Gali dena
J: Sahi jawab ka intezaar
**************
Sahi Jawab - BDE✅
Jahannum mein le jane wale aamal
Reference📚:
Syedna Abdullah bin umro RadiAllahu Anhu se riwayat hain ek aadmi Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ke paas aaya aur kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam Jannat ke aamaal kaunse hain? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya sachaai, jab bandah sach boltaa hai to neki karta hai, jab neki karta hai to imaandaar ban jata hai aur jab imaandaar bantaa hai to Jannat mein daakhil ho jata hai logon ne kaha : Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! Aag ke aamaal kaun kaunse hain? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Jhoot, jab bandah Jhoot boltaa hain toh buraiee karta hai, jab buraiee karta hai to kufr karta hain aur jab kufr karta hai to Aag mein daakhil ho jata hain.
------
۔ سیدنا عبد اللہ بن عمرو رضی اللہ عنہماسے مروی ہے کہ آدمی، نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کے پاس آیا اور کہا: اے اللہ کے رسول! جنت کے اعمال کون سے ہیں؟ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: سچائی، جب بندہ سچ بولتا ہے تو نیکی کرتا ہے، جب نیکی کرتا ہے تو ایمان دار بن جاتا ہے اور جب ایماندار بنتا ہے تو جنت میں داخل ہو جاتا ہے۔ لوگوں نے کہا: اے اللہ کے رسول! آگ کے اعمال کون کون سے ہیں؟ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: جھوٹ، جب بندہ جھوٹ بولتا ہے تو برائی کرتا ہے، جب برائی کرتا ہے تو کفر کرتا ہے اور جب کفر کرتا ہے تو آگ میں داخل ہو جاتا ہے۔
----
Musnad Ahmed#9233-Sahih
Allah Subhanahu ke raste mein ek ghadi Qayam karne wale ke liye kaunsa ajar hai
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Allah Subhanahu ke raste mein ek ghadi Qayam karne wale ke liye kaunsa ajar hai
A: puri raat ibadat ka sawab
B: Qayamat ke din Allah Subhanahu usko khush farma denge
C: Jihad karne ke barabar
D: 70 saal ibadat ka sawab
E: Hajj karne ka sawab
F: Agle aur pichle gunah maaf kar diye jaate hai
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
***************
Sahi Jawab - G✅
Allah Subhanahu ke raste mein(ek ghadi) Qayam karna saath (60) saal ki ibadat se behtar hain.
Reference📚:
Imran bin Hussain RadiAllahu Anhu se riwayat hai kisi aadmi ki Allah Subhanahu ke raste mein(ek ghadi) Qayam karna saath (60) saal ki ibadat se behtar hain.
-----
عمران بن حصینرضی اللہ عنہ سے مرفوعاً مروی ہےکہ کسی آدمی کا اللہ کے راستے میں(ایک گھڑی )قیام کرنا ساٹھ(۶۰)سال کی عبادت سے بہتر ہے۔
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2117-Sahih
Ek maqam per kuch logo ne darakht ke neeche Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki bait ki thi tabhi Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke in sha Allah inmein se koi bhi shaqs dozak mein dhakil nahi hoga
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Ek maqam per kuch logo ne darakht ke neeche Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki bait ki thi tabhi Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke in sha Allah inmein se koi bhi shaqs dozak mein dhakil nahi hoga
Sawal: Wo kaunsa maqam tha
A: Ghazwa e Uhad
B: Jung e Karbala
C: Ghzwa e Badr
D: Jung e Yamama
E: Jung e Hudaibiya
F: Jung e Siffin
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi Jawab ka intezar hai
❗Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye
******************
Sahi Jawab - E✅
Muqaam E Hudaibiya ki fazilat
Reference📚:
------
Rasool Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : jin logon ne Hudebiya ke maqam par darakht ke neechay meri bait ki thi In sha Allah un mein se koi bhi dozakh mein daakhil nahi hoga.
----------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جن لوگوں نے حدیبیہ کے مقام پردرخت کے نیچے میری بیعت کی تھی، ان شاء اللہ ان میں سے کوئی بھی دوزخ میں داخل نہ ہو گا۔
-------
Musnad Ahmed#8674-Sahih Part1
wo kaun log honge jinhe ghutnoh ke baal dozak mein chodha jayega
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: wo kaun log honge jinhe ghutnoh ke baal dozak mein chodha jayega
A: Jhooth bolne wale
B: Burai karne wale
C: Tane dene wale
D: Gali galoj karne wale
E: Bhukli karna
F: Zulm karne wale
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
❗Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye
**************
Sahi Jawab - F✅
Zulm karne wale Dozak mein ghutnoh ke baal chodhe diye jayege
Reference📚:
------
Rasool Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah Subhanahu taala ne farmaya hain: {ثُمَّ نُنَجِّی الَّذِینَ اتَّقَوْا وَنَذَرُ الظَّالِمِینَ فِیہَا جِثِیًّا}… phir hum un logon ko jo parhaizgaar huwe, dozakh se nijaat denge aur Zaalimon ko hum is mein ghutnoh ke bal chode denge
----------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ تعالیٰ نے فرمایا ہے: {ثُمَّ نُنَجِّی الَّذِینَ اتَّقَوْا وَنَذَرُ الظَّالِمِینَ فِیہَا جِثِیًّا}… پھر ہم ان لوگوں کو جو پرہیز گار ہوئے، دوزخ سے نجات دیں گے اور ظالموں کو ہم اس میں گھٹنوں کے بل چھوڑ دیں گے۔
-------
Musnad Ahmed#8674-Sahih
Jiss din RABB ki nishaani aayegi toh kisi ka Imaan lana fayda nahi dega yaha kaunsi nishani ka zikr kiya hain
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Jiss din RABB ki nishaani aayegi toh kisi ka Imaan lana fayda nahi dega yaha kaunsi nishani ka zikr kiya hain
A: Yajuj majuj ka nikalna
B: Isa Alaihi Salam ka nuzul
C: Mahdi Alaihi Salam ja nuzul
D: Chand ka paschim se nikalna
E: Mushriko ka Jazeera Arab se nikaal dena
F: Suraj ka maghrib ki taraf se tulu hona
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
***********
Sahi Jawab - F✅
Suraj ka Maghrib ki taraf se tulu hone ke baad kisi shaqs ka Imaan usse fahida nahi dega
Reference📚:
-----
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne yh aayat tilawat ki..{یَوْمَیَاْتِیْ بَعْضُ اٰیٰتِ رَبِّکَ لَا یَنْفَعُ نَفْسًا اِیْمَانُہَا}.. jiss din tere RABB ki koi nishani aajayegi toh kisi shaqs ko iss ka Imaan fahida nahi dega phir farmaya yh nishani Suraj ka Maghrib ki taraf se tulu hona hain.
------
۔ سیدنا ابو سعید خدری رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے یہ آیت تلاوت کی: {یَوْمَیَاْتِیْ بَعْضُ اٰیٰتِ رَبِّکَ لَا یَنْفَعُ نَفْسًا اِیْمَانُہَا} … جس دن تیرے رب کی کوئی نشانی آ جائے گی تو کسی شخص کو اس کا ایمان فائدہ نہیں دے گا پھر فرمایا: یہ نشانی سورج کا مغرب کی طرف سے طلوع ہونا ہے۔
----
Musnad Ahmed#8601- Sahih
As Salamu Alekum and Walekum As Salam
ALLAH beniyaz hai
Wohi ALLAH hai jis ke siwa koi mabood nahi
Allah Anqareeb tangi k baad kushaadgi ata farmayega
Aur Mujhe us din ruswa na karna jab sab log Zinda karke uthaye jayenge
Aur Beshak ye (Quran) momeeno ke liye Hidayat aur Rahmat hai
Jab Allah koi kaam karna Chahata hai to usko irshad farmata hai Ho ja to wo Ho jata hain
Surah Al Ikhlas sawab mein ek teehaii Quran padne ke barabar hain
Astagfirullah
Subah aur Sham ko RasoolAllah ﷺ par 10 baar durud bhejne ki fazilat
Aise azkar jiska jawab Allah subhanahu khud dete hain
SubhanAllah Alhumdulilah La ilaha ilalah Allah hu Akbar
wo sabse badhe badbakht log hongey jinki zindagi mein Qayamat aayegi
Pareshani, Museebat ya duniya ki aazmayeesh ke waqt padhne ki dua La ilaha illa Anta subhanaka inni kuntu min Az-zalimeen
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Inmein se kaunse amal ke bare mein farmaya gaya hain ke ye Momeen ka behtareen amal hain A: Namaz B: Sila R...
-
Bismillahirrahmanirrahim Jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma ----------------- Rasool-Al...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Namaz Mein khade hone se pehle padne ke azkar aur uska ajar ----- Umm Raafia RadiAllahu Anhu se riwayat ha...
-
Bismillahirrhamanirrahim Aasan hisab ki dua ----- اَللّٰهُمَّ حَاسِبْنِىْ حِسَا بًا يَّسِيْرًا Allahumma Haasibni Hisaban Yasira --------- ...