Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 11 May 2020

Sadqa e Fitr kuy farz kiya gaya hai aur Sadqaye Fitr kab nikalna magbool sadqe mein shumar hoga

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do sawal hai aur pehle sawal mein Jawab ek se ziyada hai

Sawal1: Sadqa e Fitr kuy farz kiya gaya hai

A: Roze ka kaffara 
B: Maal ka kaffara
C: Jaan ka sadqa 
D: Roze ko paak karne ke liye
E: Maal mein aur barakt ke liye
F: behooda baaton se paak karne ke liye
G: Musafiro ke khane ke liye
H: Miskeeno ke khane ke liye

Sawal2: Sadqaye Fitr kab nikalna magbool sadqe mein shumar hoga

✒️Apna jawab khud likiye..................?


J: Sahi Jawab ka Intezaar

************************

Sahi Jawab - DFH/Eid ki Namaz ke phele✅

Sadqaye Fitr farz hain kuyki...

Reference📚:
----------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne sadqa fitr saaum ko lagoo aur behuda baaton se paak karne ke liye aur Miskeeno ko khane ke liye farz kiya hai, lehaza jo usse (EID) ki namaz se pehle adda karega toh yh maqbool sadqa hoga aur jo isse namaz ke baad ke baad aada karega to wo Aam sadaqat mein se ek sadaqat hoga....
-------
The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam  prescribed the sadaqah (Alms) relating to the breaking of the fast as a purification of the fasting from empty and obscene talk and as food for the poor. If anyone pays it before the prayer (of Eidd), it will be accepted as zakat. If anyone pays it after the prayer, that will be a sadaqah like other sadaqahs (alms). 
-------
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے صدقہ فطر صائم کو لغو اور بیہودہ باتوں سے پاک کرنے کے لیے اور مسکینوں کے کھانے کے لیے فرض کیا ہے، لہٰذا جو اسے  ( عید کی )  نماز سے پہلے ادا کرے گا تو یہ مقبول صدقہ ہو گا اور جو اسے نماز کے بعد ادا کرے گا تو وہ عام صدقات میں سے ایک صدقہ ہو گا۔ 
--------
Sahih Hadees
Sunnan e Abu Dawood#1609

Eh Eman walo! Bohat badgumaaniyon se bachte raho kuy ki baaz gumaan toh Gunah hain.





Bismillahirrahmannirrahim

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اجْتَنِبُوا كَثِيرًا مِّنَ الظَّنِّ إِنَّ بَعْضَ الظَّنِّ إِثْمٌ ۖ
-----
Eh Eman walo! Bohat badgumaaniyon se bachte raho kuy ki baaz gumaan toh Gunah hain.
-----
اے ایمان والو بہت سی بدگمانیوں سے بچتے رہو کیوں کہ بعض گمان تو گناہ ہیں
-----
O Believers! Avoid being very Suspicious, surely some Suspicions are Sinful
-----
Surah Al Hujurat: (49:12)

Allahumma inni as aluka husnal khatimah







Bismillahirrahmanjirrahim

اللهم إني أسألك حسن الخاتمة
----
Allahumma inni as aluka husnal khatimah
----
Eh Allah main tujhse achche khatme ka sawal karta hu
----
O Allah, I ask You for a good end to my life.

Aise kalimat jiske padhne wala Allah Subhanahu se bakshish chahega toh Allah Subhanahu is ko bakhash dega






Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Aise kalimat jiske padhne wala Allah Subhanahu se bakshish chahega toh Allah Subhanahu is ko bakhash dega
---------
Ibn Umar Radi Allahu Anhu ne ek din Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne apne sahaba se farmaya

 سبحان اللہ وبحمدہ

(SubhanAllāh, wa biḥamdih) (Allah ki zaat paak hai aur usee ki hamd hai)

kaha karo, jis ne yeh kalma ek baar kaha is ke liye das naikian likhi jayen gi, aur jis ne das baar kaha is ke liye sau naikian likhi jayen gi, aur jis ne sau baar kaha is ke liye ek hazaar naikian likhi jayengi, aur jo zyada kahe ga Allah is ki nakiyon mein bhi izafah farma dega, aur jo Allah Subhanahu se bakhshish chahega Allah Subhanahu is ko bakhash dega“
------------
Ibn `Umar narrated that one day, The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam  said to his Companions: “Say ‘Glory is to Allah and with His Praise (Subḥān Allāh, wa biḥamdih)’ a hundred times. Whoever says [it] one time, it is written for him ten, and whoever says it ten (times), it is written for him a hundred, and whoever says it a hundred (times), it is written for him a thousand, and whoever increases, Allah will increase for him, and whoever seeks Allah’s forgiveness, [Allah] will forgive him.”
-------------
 ایک دن رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے اپنے صحابہ سے فرمایا: «سبحان الله وبحمده» کہا کرو، جس نے یہ کلمہ ایک بار کہا اس کے لیے دس نیکیاں لکھی جائیں گی، اور جس نے دس بار کہا اس کے لیے سو نیکیاں لکھی جائیں گی، اور جس نے سو بار کہا اس کے لیے ایک ہزار نیکیاں لکھی جائیں گی، اور جو زیادہ کہے گا اللہ اس کی نیکیوں میں بھی اضافہ فرما دے گا، اور جو اللہ سے بخشش چاہے گا اللہ اس کو بخش دے گا“۔
---------------
Jami` at-Tirmidhi 3470
In-book reference : Book 48, Hadith 101
English translation : Vol. 6, Book 45, Hadith 3470

Ya Allah, hamare rozo ko aur Qayam ko aur Rukoo ko aur Sajdo ko Qubul farma






Bismillahirrahmanirrahim

Dua: Ya Allah, hamare rozo ko aur Qayam ko aur Rukoo ko aur Sajdo ko Qubul farma
-------
اللهم تقبل صيامنا وقيامنا وركوعنا وسجودنا
---------
Allahumma Taqabbal Siyamana wa Qiayamana Wa RukooAna Wa Sujudana
--------
Ya Allah,  hamare rozo ko aur Qayam ko aur Rukoo ko aur Sajdo ko Qubul farma
---------
یا الله ہمرے روزوں کو اور قیام کو اور رکوع کو اور اور سجدوں کو قبول فرما
---------
O Allah, accept our fasting, our standing in worship, our bowing and our prostration

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...