Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Thursday 23 September 2021

kaunsa amal hai jiske liye Allah Subhanahu ne farmaya hain ke mein iss amal ka sawab Jannat se kam par raazi nahi honga

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 813❗

Sawal: kaunsa amal hai jiske liye Allah Subhanahu ne farmaya hain ke mein iss amal ka sawab Jannat se kam par raazi nahi honga

A: Yateem ki kifalat karne wale aur sawab ki niyyat rakhne wale
B: Museebat padhte he sabr karne wale aur sawab ki niyaat rakhne wale
C: Allah ki raaza ke liye kisi ko maaf karne wale aur sawab ki niyaat rakhne wale
D: Ilm deen sikhne wale aur sawab ki niyaat rakhne wale
E: Awwal waqt mein namaz adda karne wale aur sawab ki niyaat rakhne wale
F: Qarzdaar ko moholat dene wale aur sawab ki niyyat rakhne wale
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - B✅

Hadith: Jo shakhs Museebat padhte he sabr kare aur sawab ki niyyat rakhe to Allah Subhanahu Jannat se kam sawab par razi nahi hoga....SubhanAllah

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu farmata hai Eh Adam agar tum museebat padte he Sabr karo aur sawab ki niyat rakho to main Jannat se kam sawab par tumare liye raazi nahi honga
Sunan Ibn Maja-Hadees#1597-Sahih
-----
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ تعالیٰ فرماتا ہے: اے ابن آدم! اگر تم مصیبت پڑتے ہی صبر کرو، اور ثواب کی نیت رکھو، تو میں جنت سے کم ثواب پر تمہارے لیے راضی نہیں ہوں گا ۔
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: “Allah says: ‘O son of Adam! If you are patient and seek reward at the moment of first shock, I will not approve of any reward for you less than Paradise.’” 
Sunan ibn Maja-Hadees#1597-Sahih

Mahfum e hadith ke mutabiq Allah ko razi karne ka sabab inmein se kise kaha gaya hain

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 812❗

Sawal: Mahfum e hadith ke mutabiq Allah ko razi karne ka sabab inmein se kise kaha gaya hain

A: Quran ke zariye
B: Waliden 
C: Tahhajud ke zariye
D: Sunnato ko zinda karne se 
E: 4 rakat Chast ki aada karne se
F: Miswak karne se
G: Inmein se koi nahi 
H:Sahi Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - F✅

Hadith:Miswak muh ko saaf karne aur RABB ki raza hasil karne ka sabab hain

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Miswak Muh ko saaf karne wali aur RABB ki raza mandi ka baais hain
Mishkat ul Masabeeh 381- Sahih
----
حضرت عائشہ   ؓ  بیان کرتی ہیں ، رسول اللہ صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا :’’ مسواک منہ کو صاف کرنے والی اور رب کی رضا مندی کا باعث ہے
----
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said, Siwaak (Miswak) cleanses the mouth and pleases the Lord.
Mishkat ul Masabeeh 381-Sahih

Hadith mukammal kare yahood wa nasara mein se jab koi imaan lata hai to usko_____ milega?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 811❗

Sawal : Hadith mukammal kare yahood wa nasara mein se jab koi imaan lata hai to usko_____ milega?

A : Jannat mein ghar 
B : Jannat ke beech mein mahal 
C : Jannat mein motiyon ka ek mahal
D : Allah Subhanahu ki raza 
E : Dohra sawab 
F : Bahut zyada sawab
G : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki shafaat
H : in mein se koi nahi to apna jawab likhein
I : Sahi jawab ka intezaar
****
Sahi jawab E ✅

Hadith: Agar Ahle Kitab wale Emaan le aaye to unhe dohra ajar milega aur...

Reference: 📚
------------
Abu Imaamah Habli Radi Allahu Anhu kahte hai ke Main Hajjtul widah mein Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam ki oontni ke saath khada tha Aap ne achchi baatein kahi Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya : Ahle Kitaab mein se jo Islaam le aya iske liye do gunah ajar hai aur is ke liye wahi kuch hai jo hamare liye hai aur is par wahi zimmedari hai jo hum par hai aur mushrikeen mein se jo musalmaan huwa iske liye is ka ajar hai is ke liye wahi kuch hai jo hamare liye hai aur is ke zimme wahi hai jo hamare zimme hai
----------
ابو امامہ باہلی رضی اللہ عنہ  كہتے ہیں كہ میں حجۃ الوداع میں رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌كی اونٹنی كے ساتھ كھڑا تھا۔ آپ نے اچھی باتیں كہیں ۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نےفرمایا: اہل كتاب میں سے جو اسلام لے آیا اس كے لئے دو گنا اجر ہے اور اس كے لئے وہی كچھ ہے جو ہمارے لئے ہے اور اس پر وہی ذمہ داری ہے جو ہم پر ہے۔ اور مشركین میں سے جو مسلمان ہوا اس كے لئے اس كا اجر ہے۔ اس كے لئے وہی كچھ ہے جو ہمارے لئے ہے اور اس كے ذمے وہی كچھ ہے جو ہمارے ذمے ہے۔( )
----------
Al-Silsila-tus-Sahiha#1102-Sahih

Mafhoom e hadith ke mutabiq agar bande gunah nahi karenge to Allah subhanahu kya karinge

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 810❗

Sawal : Mafhoom e hadith ke mutabiq agar bande gunah nahi karenge to Allah subhanahu kya karinge

A :Jahannum ke sare darwaze band kardenge
B : Jannat ke sare darwaze khol denge
C : Bahut zyada khush honge
D : Jannat ke jis darwaze se chahe us darwaze se jane ka hukm denge
E : Jannat ko aur wasi kardenge
F : Apna deedar naseeb karenge
G : In mein se koi nahi to apna jawab likhein
H : Sahi jawab ka intezaar
******
Sahi jawab G. Aisi makhlooq paida karenge jo gunah karenge pir Allah Subhanahu inhe muaff farma dega ✅

Hadith: Beshak Allah Subhanahu bahut Maaf karne wala Raham karne wala hain...SubhanAllah

Reference : 📚
----------
Abdullah Bin Umar Radi Allahu Anhuma se riwayat hai ke agar ye bande gunah na kare to Allah Subhanahu aisi makhlooq paida karenge jo gunah karenge pir Allah Subhabahu inhe muaff farma dega, aur wo muaff karne wala , raham karne wala hai.
---------
عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہماسے مرفوعا مروی ہے كہ اگر یہ بندے گناہ نہ كریں تو اللہ تعالیٰ ایسی مخلوق پیدا كریں گے جو گناہ كریں گے پھر اللہ تعالیٰ  انہیں معاف فرما دے گا، اور وہ معاف كرنے والا، رحم كرنے والا ہے
---------
It is narrated on the authority of Abdullah Bin Umar Radi Allahu Anhu that if these slaves do not sin, then Allah will create creatures who will sin, then Allah will forgive them, and He is the Forgiver, the Most Merciful.
---------
Al-Silsila-tus-Sahiha#1373

Hadith mukammal kare___ rahmat hai aur__ azaab

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 809❗

Sawal : Hadith mukammal kare___ rahmat hai aur__ azaab

A: Sila rahmi
B: Ache akhlaq
C: Dua
D: Qata talluqi
E: Ristedaari
F: Nikah
G: Taubah
H: Talaq
I: Padosi
J: Alaidgi
K: In mein se koi nahi to apna jawab
L: Sahi jawab ka intezaar
****
Sahi jawab 1) K Jamaat / 2) J✅

Hadith: Jammat rahmat hai aur tanhayi azaab hai

Reference : 📚
--------
Nouman Bin Basheer RadiAllahu Anhu kahte hai ke Rasool-Allah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya : Jamaat rahmat hai aur tanhayi (alaidgi) azaab hai.
----------
نعمان بن بشیر كہتے ہیں كہ نبی  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: جماعت رحمت ہے اور تنہائی (علیحدگی )عذاب ہے
---------
Nouman bin Bashir says that the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: Congregation is a mercy and loneliness is a torment.
------
Al-Silsila-tus-Sahiha#1357

Inmein se kisko Jannat ki kunji kaha gaya hai ?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 808❗

Sawal: Inmein se kisko Jannat ki kunji kaha gaya hai ?

A: La hawla wala quwata illah billah
B: La ilaha illAllah
C: SubhanAllahi wa bihumdehi
D: La ilaha illa Anta subhanaka inni kuntu min Az-zalimeen
E: Ya Hayyu Ya Qayyum, Bi-Raḥmatika Astagith
F: SubhanAllah, La ilaha illAllah
G: Allahummaghfir li warhamni wa afini warzuqni
H: Alhamdulillahi Rabbil Aalamin
I: Allahumma innaka afuwwun tuhibbul-Aafu, faafu anni
J: Inmein se koi nahi (apna jawab likhiye)
K: Sahi Jawab ka intezaar
******
Sahih Jawab - B✅

Hadith: La ilaha illAllah Jannat ki chabi hain...SubhanAllah

Reference📚:
-----
Hazrat Wahab bin Munabbia Radi Allahu Anhu se riwayat hain unhein kaha gaya kya "Laa illaha IllAllah " Allah ke siwa koi mabud barhaq nahi, Jannat ki chabi nahi hai, unhone kaha kyun nahi lekin har chabi ke dandane hote hain agar tum dandane wali chabi laoge to Aap ke liye usse khol diya jayega warna nahi khola jayega...(chabi ke dandane se murad hain ke La ilaha illAllah ka iqrar aur uske saath he neik amal, namaz, roza, zakat, hajj, sila rehami....)
---
 حضرت وہب بن منبہ   ؓ  سے روایت ہے ، انہیں کہا گیا ، کیا لا الہ الا اللہ ’’ اللہ کے سوا کوئی معبود برحق نہیں ۔‘‘ جنت کی چابی نہیں ؟ انہوں نے کہا : کیوں نہیں ، لیکن ہر چابی کے دندانے ہوتے ہیں ، اگر تم دندان والی چابی لاؤ گے تو آپ کے لیے اسے کھول دیا جائے گا ، ورنہ نہیں کھولا جائے گا ۔ 
---
Wahab bin Munabbia, on being asked whether La ilaha illAllah (‘There is no God but Allah’) was not the key of paradise, said, “Yes, but every key has wards. If you bring a key with wards the door will be opened for you, otherwise I it will not.”
----
Mishkat ul Masabeeh - 43 Sahih

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke wo Jannat ke darwaze par khade huwe they aur usmein se andar jaane wale logon mein se kuch logon ko rokaa jaa raha tha

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 807❗

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke wo Jannat ke darwaze par khade huwe they aur usmein se andar jaane wale logon mein se kuch logon ko rokaa jaa raha tha

Sawal: wo kaun log they jinhe rokaa jaa raha tha?

A: Jhaad phoonk karne wale
B: Taaweez pehne wale
C: Nabi ki shafaat paane wale
D: Badshaguni ko manne wale
E: Tehband neeche latkake ghoomne wale
F: Safed baalon ko kala karne wale
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likhiye)
H: Sahi Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - G✅ (Maaldaar logon ko)

Hadith: Jannat mein zayda tar log dhakil hone wale miskeen honge..aur  Maaldaar logon ko hisaab ke liye Jannat ke darwaze par rok liya jayega..

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Main Jannat ke darwaze par khada huwa to isme dakhil hone walon ki akasiriat gharibion ki thi Maaldaar (Jannat ke darwaze par hisaab ke liye) rok liye gaye thy albattah Jahannum walon ko Jahannum mein jane ka hukm de diya gaya tha aur main Jahannum ke darwaze par khada huwa to is mein dakhil hone wali zyada aurtein thi...
----
میں جنت کے دروازہ پر کھڑا ہوا تو اس میں داخل ہونے والوں کی اکثریت غریبوں کی تھی۔ مالدار  ( جنت کے دروازے پر حساب کے لیے )  روک لیے گئے تھے البتہ جہنم والوں کو جہنم میں جانے کا حکم دے دیا گیا تھا اور میں جہنم کے دروازے پر کھڑا ہوا تو اس میں داخل ہونے والی زیادہ عورتیں تھیں۔ 
----
 Narrated Usama: The Prophet said,   I stood at the gate of Paradise and saw that the majority of the people who entered it were the poor, while the wealthy were stopped at the gate (for the accounts). But the companions of the Fire were ordered to be taken to the Fire. Then I stood at the gate of the Fire and saw that the majority of those who entered it were women. 
----
Sahih Bukhari#5196

kaunsi cheez ke liye farmaya gaya hain ke ye uss shakhs ke liye Allah ki taraf se rizq hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 806❗

Sawal :kaunsi cheez ke liye farmaya gaya hain ke ye uss shakhs ke liye Allah ki taraf se rizq hain
 
A. Kasrat se Allah ka zikr karna
B. Sadqa dena 
C. Logon mein mehboob hona
D. Ristedaar ka ehtram karna
E.  Betiya
F. Maal e ghanimat
G. Walidain 
H. Inmein se koi nahi (apna jawab likiye)
I. Sahih Jawab ka intezaar hain
****
Sahih Jawab - H✅ apne muslam bhai se bagair hiris kiye ya maange hadiya milna

Hadith: Jo shakhs ko bina maange ya hiris kiye koi tofah mile to wo usse rakh le kuyke wo Allah Subhanahu ki taraf se uske liye rizq hain jo us ki taraf bejha gaya hain

Reference📚:
----
Rasool-Allah ‌Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : jisay bin mangay aur baghair hiras ke apne musalman bhai ki taraf se (Hadiya , atiyah, hiba waghera jaisi) koi cheez milay to wo usay qubool kar le aur wapas na loutay, kyunke wo Allah Subhanahu ka rizaq hain, jo wo is ki taraf kheech kar laya hain
----
 سیدناخالد بن عدی جہنی ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  بیان کرتے ہیں کہ رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا :  جسے بن مانگے اور بغیر حرص کے اپنے مسلمان بھائی کی طرف سے (ہدیہ، عطیہ، ہبہ وغیرہ جیسی) کوئی چیز ملے تو وہ اسے قبول کر لے اور واپس نہ لوٹائے، کیونکہ وہ اللہ کا رزق ہے، جو وہ اس کی طرف کھینچ کر لایا ہے۔ 
----
Rasool-Allah ‌Sallallahu Alaihi wasallam said: Whoever receives something from his Muslim brother (such as a gift, donation, gift, etc.) If he finds something, he should accept it and not return it, because that is the provision of Allah, which He has drawn towards Him.
----
Musnad Ahmed#3544-Sahih

In mein se kounsa shakhs bulandi tak nahi pahunch sakega ?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 805❗

Sawal : In mein se kounsa shakhs bulandi tak nahi pahunch sakega ?

A : Jisne riyakari ki
B : Jisne jhoot bola
C : Jisne jhuti gawahi di
D : Jisne amanat mein khayanat ki
E : Jisne khabron ko sajda gah banaya
F : Jisne jhaad phunk ki
G : Jisne kahanat ki
H : Jisne qatal kiya 
I : Jisne chori ki
J : Jisne dhoka diya
K : Jisne gheebat ki
L : In mein se koi nahi to apna jawab likhein
M : Sahi jawab ka intezaar
*****
Sahi Jawab G ✅

Hadith: Jis ne kahanat ki wo kabhi buland darjaat tak nahi pahuch sakta

Reference : 📚
----------
Abu Darda Radi Allahu Anhu se marfuwa marwi hai ke wo shakhs kabhi bhi buland darjaat tak nahi pagunch sakta jisne kahanat ki ya iske liye kahanat ki gayi ya badshaguni karte huwe safar se wapis palat aya 
-----------
ابو درداء  رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے كہ وہ شخص كبھی بھی بلند درجات تك نہیں پہچ سكتا جس نے كہانت كی یا اس كے لئے كہانت كی گئی یا  بدشگونی كرتے ہوئے سفر سے واپس پلٹ آیا۔( )
-----------
Al-Silsila-tus-Sahiha#1080

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...