❗Only-Quran-Hadith-Quiz 807❗
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke wo Jannat ke darwaze par khade huwe they aur usmein se andar jaane wale logon mein se kuch logon ko rokaa jaa raha tha
Sawal: wo kaun log they jinhe rokaa jaa raha tha?
A: Jhaad phoonk karne wale
B: Taaweez pehne wale
C: Nabi ki shafaat paane wale
D: Badshaguni ko manne wale
E: Tehband neeche latkake ghoomne wale
F: Safed baalon ko kala karne wale
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likhiye)
H: Sahi Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - G✅ (Maaldaar logon ko)
Hadith: Jannat mein zayda tar log dhakil hone wale miskeen honge..aur Maaldaar logon ko hisaab ke liye Jannat ke darwaze par rok liya jayega..
Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Main Jannat ke darwaze par khada huwa to isme dakhil hone walon ki akasiriat gharibion ki thi Maaldaar (Jannat ke darwaze par hisaab ke liye) rok liye gaye thy albattah Jahannum walon ko Jahannum mein jane ka hukm de diya gaya tha aur main Jahannum ke darwaze par khada huwa to is mein dakhil hone wali zyada aurtein thi...
----
میں جنت کے دروازہ پر کھڑا ہوا تو اس میں داخل ہونے والوں کی اکثریت غریبوں کی تھی۔ مالدار ( جنت کے دروازے پر حساب کے لیے ) روک لیے گئے تھے البتہ جہنم والوں کو جہنم میں جانے کا حکم دے دیا گیا تھا اور میں جہنم کے دروازے پر کھڑا ہوا تو اس میں داخل ہونے والی زیادہ عورتیں تھیں۔
----
Narrated Usama: The Prophet said, I stood at the gate of Paradise and saw that the majority of the people who entered it were the poor, while the wealthy were stopped at the gate (for the accounts). But the companions of the Fire were ordered to be taken to the Fire. Then I stood at the gate of the Fire and saw that the majority of those who entered it were women.
----
Sahih Bukhari#5196
No comments:
Post a Comment