Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday, 5 September 2021

Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne 2 baar se ziyada qasam kha kar farmaya ke wo amal karne wala shakhs Momeen nahi hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 802❗

Sawal: Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne 2 baar se ziyada qasam kha kar farmaya ke wo amal karne wala shakhs Momeen nahi hain

A: Chugalkhor
B: jis ke shar se uska padosi mehfuz na ho
C: Jhooti qasam kha ke maal bechne wala
D: Waledain ka nafarman
E: Yateem ka maal kha jane wala
F:  Choori karne wala
G: Inmein se koi nahi 
H: Sahih Jawab ka intezaar:
****
Sahih Jawab - B✅

Hadith: Allah ki Qasam wo Emaan wala nahi (Momeen nahi) jiske shar se uska padosi mehfuz nahi
-------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah ki qasam Wo Emaan wala nahi (yani wo Momeen nahi) , Wo Emaan wala nahi , Wo Emaan nahi Wo Emaan nahi arz kiya gaya kaun YA Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam farmaya Wo jiske shar se uska padosi Mehfuz na ho
------
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے بیان کیا ”واللہ! وہ ایمان والا نہیں۔ واللہ! وہ ایمان والا نہیں۔ واللہ! وہ ایمان والا نہیں۔ عرض کیا گیا کون: یا رسول اللہ؟ فرمایا وہ جس کے شر سے اس کا پڑوسی محفوظ نہ ہو۔
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Said said, By Allah, he does not believe! By Allah, he does not believe! By Allah, he does not believe! It was said, Who is that, O Allah's Apostle? He said, That person whose neighbor does not feel safe from his evil. 
------
Sahih Bukhari 6016

Rasoolallah Sallelahu Alaihi Wasallam sara waqt kya kiya karte thy ?

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 801❗

Sawal : Rasoolallah Sallelahu Alaihi Wasallam sara waqt kya kiya karte thy ?

A : Ghar ke kaamo mein madad kiya karte thy
B : Deen ki dawat dete thy
C : Sahaba se guftagu karte thy
D : Padosi ka haal daryat karte thy
E : Sahaba ka haal chaal puchne unke ghar jaya karte thy
F : Sabr se sabki baat sunte thy
G : Masjid mein bythe rahte thy
H : Apni biwiyon ke ghar jaya karte thy
I : Nafil namaz padha karte thy
J : In mein se koi nahi to apna jawab likhein
K : Sahi jawab ka Intezaar
*****
Sahi Jawab J. Allah Subhanahu ka zikr karte thy ✅

Reference : 📚
---------
Hazrat Ayesha Radi Allahu Anha se riwayat hai, inhone kaha ke RassolAllah Sallelahu Alaihi Wasallam apne tamaam auqaat mein Allah Taala ka zikr karte thy
-----------
حضرت عائشہؓ سے روایت ہے ، انہوں نے کہا کہ رسول اللہ ﷺ اپنے تمام اوقات میں اللہ تعالیٰ کا ذکر کرتے تھے ۔
-----------
A'isha said:
The Apostle of Allah ( ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وسلم ‌ ) used to remember Allah at all moments. 
-----------
Sahih Muslim#826

Akhirat ke din ek shakhs ko laya jayega wo shakhs kahega ki maine apni daulat Allah ki raah mein kharch ki hai par use aag mein dal diya jayega

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 800❗
 
Sawal : Akhirat ke din ek shakhs ko laya jayega wo shakhs kahega ki maine apni daulat Allah ki raah mein kharch ki hai par use aag mein dal diya jayega

Wo kaunsa gunah tha jiske sabab usey aag mein dala jayega

A: Log usey bakheel na samjhe
B: Log uski tareef kare
C: Log usey yaad rakhe
D: Log usey daulatmand kahe
E: Log uski izzat kare
F: Log usey faragh dil wala kahe
G: In mein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
****
Sahi Jawab : F✅

Jisne dikhawe ke liye Allah ke raaste mein maal kharch kiya usey jahannum mein phaink diya jayega

Reference📚:
-------
Sulaiman Bin Yasar se marwi hai ke jab log Abu Hurairah  Radi Allahu Anhu ke paas se muntashir hogaye un se ahal shaam ne kaha : Ya Sheikh hamein koi hadees bayan kijiye  Jo aapne Rasool Allah ‌Sallellahu Allah alaihi wasallam ‌se suni ho. Abu Hurairah Radi Allahu Anhu  ne kaha : haan mein ne Rasool Allah Sallelahu Alaihi  wasallam se suna farma rahay they : sab se pehla shakhs jis ke khilaaf qayamat ke din faisla kiya jaye ga, woh shakhs hoga jisay ( duniya main ) shaheed samjha jata hoga . Usay laya jaye ga, Allah Taala usay apni naematain gawaega woh un ka aitraaf kare ga. Allah farmaye ga : un ke badlay tum nay kya kiya? woh kahe ga mein shaheed honay tak teray rastay mein qitaal kar ta raha. Allah Taala farmaye ga : Tu jhoot bolta hai, tum nay to is liye qitaal kiya takey tumhe bahadur kaha jaye, aur yeh baat duniya mein kah di gayi . Pir is ke barey mein hukum diya jaye ga to isey muh ke bal ghaseet kar jahannum mein phaink diya jaye ga. Dosra woh shakhs hoga jis nay ilm ( deen ) sikha aur sikhaya hoga, aur quran parha hoga usay laya jaye ga Allah taala usay apni naematain ganwaye ga aur WO iska aitraaf kare ga. Allah Taala farmaye ga : tunay un ke badlay kya amal kiya? woh kahe ga : mein nay ilm sikha aur sikhaya aur teray liye quran parhta raha. Allah Taala farmaye ga. Tu jhoot bolta hai tum nay to ilm is liye sikha takey  tumhe aalim kaha jaye aur quran is liye parha takey tumhe qaari kaha jaye. toh ye baat duniya mein kah di gayi. phir is ke barey mein hukum diya jaye ga to isey ghaseet kar muh ke bal jahannum mein phaink diya jaye ga. Aur teesra woh shakhs hoga jisay Allah taala nay maal daulat ki farawani di hogi usay laya jaye ga, Allah Taala usay apni naematain gawaega woh un ka aitraaf karega. Allah Taala farmaye ga : tunay un ke badlay kya kiya? woh kahe ga : mein nay teray har is rastay mein kharch kiya jis mein tu chahta tha ke kharch kiya jaye. Allah Taala farmaye ga : Tu jhoot bolta hai, tunay to ye kam is liye kiya tha, takey tujhe sakhi (Faragh dil wala) kaha jaye aur yeh baat duniya mein kah di gayi hai. phir is ke baray mein hukm diya jaye ga to isey bhi ghaseet kar jahannum mein phaink diya jaye ga.
------
سلیمان بن یسار سے مروی ہے كہ جب لوگ ابوہریرہ‌رضی اللہ عنہ كے پاس سے منتشر ہوگئے ان سے اہل شام نے كہا: یا شیخ ہمیں كوئی  حدیث بیان كیجئے، جوآپ نے رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌سے سنی ہو۔ ابوہریرہ‌رضی اللہ عنہ نے كہا: ہاں میں نے رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌سے سنا فرما رہے تھے: سب سے پہلا شخص جس كے خلاف قیامت كے دن فیصلہ كیا جائے گا، وہ شخص ہوگا جسے(دنیامیں)شہید سمجھا جاتا ہوگا۔ اسے لایا جائے گا، اللہ تعالیٰ اسے اپنی نعمتیں گنوائے گا وہ ان كا اعتراف كرے گا۔ اللہ فرمائے گا: ان كے بدلے تم نے كیا كیا؟ وہ كہے گا میں شہید ہونے تك تیرے راستے میں قتال كر تا رہا۔ اللہ تعالیٰ فرمائے گا: توجھوٹ بولتا ہے، تم نے تواس لئے قتال كیا تاكہ تمہیں بہادر كہا جائے، اور یہ بات دنیا میں كہہ دی گئی۔ پھر اس كے بارے میں حكم دیا جائے گا تواسے منہ كے بل گھسیٹ كر جہنم میں پھینك دیا جائے گا۔ دوسرا وہ شخص ہوگا جس نے علم(دین) سیكھا اور سكھایا ہوگا، اور قرآن پڑھا ہوگا اسے لایا جائے گا اللہ تعالیٰ اسے اپنی نعمتیں گنوائے گا اور كا اعتراف كرے گا۔ اللہ تعالیٰ فرمائے گا: تونے ان كے بدلے كیا عمل كیا ؟ وہ كہے گا: میں نے علم سیكھا اور سكھایا اور تیرے لئے قرآن پڑھتا رہا۔ اللہ تعالیٰ فرمائے گا: توجھوٹ بولتا ہے تم نے توعلم اس لئے سكھاا تاكہ تمہیں عالم كہا جائے اور قرآن اس لئے پڑھا تاكہ تمہیں قاری كہا جائے۔ تویہ بات دنیامیں كہہ دی گئی ۔ پھر اس كے بارے میں حكم دیا جائے گا تواسے گھسیٹ كر منہ كے بل جہنم میں پھینك دیا جائے گا۔ اور تیسرا وہ شخص ہوگا جسے اللہ تعالیٰ نے مال ودولت كی فراوانی دی ہوگی اسے لایا جائے گا، اللہ تعالیٰ اسے اپنی نعمتیں گنوائے گا وہ ان كا اعتراف كرے گا ۔اللہ تعالیٰ فرمائے گا: تونے ان كے بدلے كیا كیا؟ وہ كہے گا: میں نے تیرے ہر اس راستے میں خرچ كیا جس میں توچاہتا تھا كہ خرچ كیا جائے۔ اللہ تعالیٰ فرمائے گا: توجھوٹ بولتا ہے، تونے تویہ كام اس لئے كیا تھا، تاكہ تجھے سخی كہا جائے اور یہ بات دنیا میں كہہ دی گئی ہے۔پھر اس كے بارے میں حكم دیا جائے گا تواسے بھی گھسیٹ كر جہنم میں پھینك دیا جائے گا۔( )
------
Al-Silsila-tus-Sahiha# 990

Wo kaunsi sahabiya thi jo sabse ziyada sakhawat kiya karti thi...jo kal ke liye bhi kuch nahi rakhti thi

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 799❗

Sawal: Wo kaunsi sahabiya thi jo sabse ziyada sakhawat kiya karti thi...jo kal ke liye bhi kuch nahi rakhti thi

A: Safiya RadiAllahu Anha
B: Hafsa RadiAllahu Anha
C: Ayesha RadiAllahu Anha
D: Khatija RadiAllahu Anha
E: Asma RadiAllahu Anha
F: Sawdah Radi Allahu Anha
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
****
Sahi Jawab - E✅

Hadith: Ayesha RadiAllahu Anha aur Asma RadiAllahu Anha sabse zayda sakhawat kiya karti thi aur dono ki kafiyat juda juda thi...

Reference📚:
---
Sayyedana Abdullah Bin Zubair Radi Allahu Anhu se riwayat hain wo farmate hain Maine Aurton mein se Sayyeda Ayesha   Radi Allahu Anha aur Sayyeda Asma Radi Allahu Anha se zyada sakhi Aurat nahi dekhi aur unki sakhawat ki kaifiyat juda juda thi .Sayeeda Ayesha Radi Allahu Anha maal jama karti thi. Jab inke pass kuch maal jama hojata to use kharch kar deti jab ke Sayyeda Asma Radi Allahu Anha kal ke liye kuch nahi rokti thi (Jo hota kharch kardete)
----
الادب المفرد --- كتاب --- دلی سخاوت کا بیان [الادب المفرد]
حدیث نمبر: 280 --- حکم البانی: صحيح... سیدنا عبداللہ بن زبیر ؓ سے مروی ہے ، وہ فرماتے ہیں : میں نے عورتوں میں سے سیدہ عائشہ اور سیدہ اسماء ؓ سے زیادہ سخی عورت نہیں دیکھی اور ان کی سخاوت کی کیفیت جدا جدا تھی ۔ سیدہ عائشہ ؓ مال جمع کرتی تھیں ، جب ان کے پاس کچھ مال جمع ہو جاتا تو اسے خرچ کر دیتیں جبکہ سیدہ اسماء ؓ کل کے لیے کچھ نہیں روکتی تھیں ۔ (جو ہوتا خرچ کر دیتیں)
----
Aladab Almafrad----kitaab----Dili Shakhawat Ka Bayaan (Aladab Almafrad)
Hadees No. 280 Hakim Albani-Sahih

wo kaunsa amal hai jo paida hone se lekar maut tak insaan ko thoda he lagega

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 798❗

Sawal: wo kaunsa amal hai jo paida hone se lekar maut tak insaan ko thoda he lagega

A: Allah ki raza ke liye sari zindagi Allah ka Zikr karne par 
B: tammam zindagi tahajud padne par bhi
C: Bewa aur miskeen ki parwarish karne par bhi
D: Allah ki raza ke liye muh ke bal ghaseetna
E: Allah ke raza ke liye sari umar roza rakhna
F: Allah ki rzaa ke liya sari zindagi sarhad par pehra dena
G: Inmein se koi nahi 
H: Sahi Jawab ka Intezaar
****
Sahi Jawab - D✅

Hadith: Banda Qayamat ke din iss aamal ko bhi bahut kum samjhega ke Allah ke raza ke liye....

Reference📚:
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya agar koi admi apni paidayeesh ke din se le kar intehayee kamzori aur budhape mein marne tak Allah Subhanahu ki raza ke liye muh ke bal ghaseeta jaye tab bhi wo Qayamat ke din iss aamal ko kum tar samjhega 
---
رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: اگر كوئی آدمی اپنی پیدائش كے دن سے لے كر انتہائی کمزوری ارو بڑھاپے میں مرنے تك اللہ كی رضا  میں منہ كے بل گھسیٹا جائے تب بھی وہ قیامت كے دن اس عمل كو كم تر سمجھے گا
---
Al-Silsila-tus-Sahiha - 1372-Sahih

Ek hadees ke muatbiq Momin gunah karna kab tak nahi chodega

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 797❗

Sawal: Ek hadees ke muatbiq Momin gunah karna kab tak nahi chodega ?

A: Jab tak wo kisi aazmaish mein mubtala nahi hota
B: Jab tak wo apne nafs par qabu nahi paa leta
C: Jab tak uski maali tangi durr nahi hoti
D: Jab tak usko maut na ajaye
E: Jab tak uski pasandeeda cheez usse durr nahi kar di jaati hain
F: Jab tak wo khud irada nahi kar leta ke wo gunah nahi karega
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - D✅

Hadith: Momeen apni maut aane tak gunah karna nahi chodhta

Reference📚:
----
Abdullah bin Abbas RadiAllahu Anhu se riwayat hain : har Momin aadmi (bhi) kisi gunah ka waqtan foqtan irteqaab karta rehta hain ya aisa gunah hota hai jis par wo dawam (yani hameshgi) rakhta hai jab tak faut na hojaye wo gunah nahi chodhta momin ko aazmaish mein mubtala, tauba karne wala, bhoolnay wala, paida kiya gaya hain jab usse yaad dehani karayi jaye to naseehat haasil karta hain
---
Abdullah bin Abbas RadiAllahu narrated that Every believing person (also) commits a sin from time to time. Or there is a sin on which he persists until he dies. The believer is created to be tempted, to repent, to forget and when he is reminded he listen to the advice.
---
عبداللہ بن عباس رضی اللہ عنہما سے مرفوعا مروی ہے : ہر مومن آدمی (بھی) کسی گناہ کا وقتا فوقتا ارتكاب كرتا رہتا ہے۔ یاایسا گناہ ہوتا ہے جس پر وہ دوام ركھتا ہے جب تك فوت    نہ ہو جائے وہ گناہ نہیں چھوڑ تا ۔ مومن كو آزمائش میں مبتلا، توبہ كرنے والا، بھولنے والا،پیدا كیا گیا  ہے۔ جب اسے یاد دہانی كرائی جائے تو نصیحت حاصل كرتا ہے
Al-Silsila-tus-Sahiha#1390-Sahih

inmein se kise Allah ka Qalaam kaha gaya hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 796❗

Do sawal hain!

Sawal1: inmein se kise Allah ka Qalaam kaha gaya hain?

A: Namaz
B: Roza
C: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam
D: Qalam
E: Musa Alaihi Sallam
F: Isa  Alaihi Salam
G: Inmein se koi nahi 
H: Sahi Jawab ka intezaar

Sawal2: Aakhirat mein wo kaun honge jo jhande ke neeche khade honge?

A: Tamam Anbiya Alaihi Sallam
B: Jhoot bolne wale
C: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam
D: Tamam Aadam ki Aulaad 
E: Zulm karne wale
F: Sood ka karobaar karne wale
G: Inmein se koi nahi 
H: Sahi Jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - FD✅

Hadith: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam wo pehle shakhs honge jis ke liye Jannat ke darwazay khole jayege..SubhanAllah

Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke sahaba ne kaha : Ibrahim Alaihi Sallam Allah ke dost, Isa Alaihi Sallam Allah ke qalme (qalam) hain aur Musa Alaihi Sallam ne Allah se guftagu ki hain Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam Aap ko kya diya gaya? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Qayamat ke din Aadam ki tamam aulaad mere jhande ke neechay hogi, aur mein pehla shakhs hon ga jis ke liye Jannat ke darwazay khole jayenge
-----
The companions of the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: Ibrahim Alaihi Sallam is the friend of Allah, Isa Alaihi Sallam is the word of Allah, and Musa Alaihi Sallam spoke to Allah. O Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam! What has been given to you? The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: On the Day of Resurrection, all the descendants of Adam will be under my banner, and I will be the first person for whom the gates of Paradise will be opened.
----
حذیفہ بن یمان كہتے ہیں كہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم كے صحابہ نے كہا: ابراہیم علیہ السلام اللہ كے دوست، عیسیٰ علیہ السلام اللہ كے كلمے ہیں اور موسیٰ علیہ السلام نے اللہ سے گفتگو كی ہے۔ اے اللہ كے رسول صلی اللہ علیہ وسلم آپ كو كیا دیا گیا؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: قیامت كے دن آدم كی تمام اولاد میرے جھنڈے كے نیچے ہوگی، اور میں پہلا شخص ہوں گا جس كے لئے جنت كے دروازے كھولے جائیں گے
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#1516-Sahih

Kaunsa amal Allah Subhanahu ke gusse ko durr karta hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 795❗

Sawal: Kaunsa amal Allah Subhanahu ke gusse ko durr karta hain

A: Qarz maaf karna 
B: apne gusse par qabu karna
C: logo ko maaf karna
D: sulah karana
E: logo ke aibo ko apne andar chupa lena
F: tauba astagfaar karna 
G: Inmein se koi nahi(apna jawab likho)
H: Sahi Jawab ka intezaar
***
Sahi Jawab – G✅

Hadith: Jo shaks poshida karke sadqa deta hain to wo Allah Subhanahu ke gusse ko durr karta hain

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya poshida sadqa Allah Tabarak o taala ke gusse ko durr karta hain.
----
The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: The hidden charity removes the wrath of Allah
----
رسول اللہ 
آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: پوشیدہ صدقہ اللہ تبارک و تعالیٰ کے غصے کو دور کرتا ہے
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#1840-Sahih

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...