Bismillahirrahmannirrahim
Hadith: Jannat wajib karne wala Surah
---‐---
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat haibke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne ek aadmi ko Surah Ikhlas padhte huwe suna to farmaya :' ' Wajib ho gayi.' ' Mein neh arz kiya, kya Wajib ho gayi? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya :' "Jannat"
❗Ek baar sabhi Surah Al Ikhlas padh lijiye
بسم الله الرحمن الرحيم
قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ اللَّهُ الصَّمَدُ لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ
Qul Hu Wallahu Ahad, ALLAHus-Samad, Lam Yalid walam Yulad, Walam Yakul-lahu Kufuwan Ahad
-------
Kah do Wo ALLAH Ek hai, ALLAH beniyaz hai, Na uski koi Aulad hai aur na wo kisi ki Aulad hai, Aur uskey barabar ka koi nahi hai
------
Say He is ALLAH , the One and Only ALLAH , the Eternal, He begets not, nor was He begotten.And there is none like unto Him.
Surah Al-ikhlas (112)
------
ابوہریرہ ؓ سے روایت ہے کہ نبی صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے ایک آدمی کو سورۂ اخلاص پڑھتے ہوئے سنا تو فرمایا :’’ واجب ہو گئی ۔‘‘ میں نے عرض کیا : کیا واجب ہو گئی ؟ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ جنت ۔‘‘ ، رواہ مالک و الترمذی و النسائی ۔
-----
Mishkat ul Masabeeh#2160-Sahih