❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 734❗
Sawal : Jo shakhs ye chahat rakhta hai ke wo Allah se musalman ki haisiyat se mile to usko kounsa amal karna chahiye ?
A : Apne sharmgaah ki hifazat kare
B : Tangi aur khushhaali mein Allah subhanahu ka shukr ada kare
C : Apni zabaan mein narmi laye
D : Qarzdaar ko mohlat de
E : Masjid mein farz namazon ka ehtamaam kare
F : Jo Apne liye pasand kare wahi dusron ke liye bhi pasand kare
G : In mein se koi nahi
H : Sahi jawab ka Intezaar
********
Sahi Jawab E✅
Reference : 📚
---------
Syedna Abdul Allah Bin Masood Radi Allahu Anhu kehte hain : Jis ko yeh baat khush karti hai ke wo kal Allah Taala ko ba-hasiat musalman miley to is ko chahiye ke woh farz namazon ki hifazat is maqam par kere jahan un ke liye bulaya jata hai, kyunkay yeh hadaayat ke tareeqon mein se hain aur beshak Allah ne apne Nabi ke liye hidayat ke tareeqay muqarrar kiye hain. Tum mein se har aik ki is ke ghar mein masjid honi chahiye aur agar tum apne ghar mein namaz parhna shuru kar do ge, jaisa ke yeh peechay rehne wala ghar mein namaz ada karta hai to tum apne Nabi ki sunnat ko tark kar do ge aur agar tum ne apne Nabi ki sunnat chore di to tum gumraah ho jao ge. Mein ne dekha ke namaz se wohi peechay rehta tha jis ka nifaq wazeh hota tha aur mein ne dekha ke aik aadmi ko do admion ka sahara de kar ( masjid ki taraf ) laya jata, yahan tak ke is ko saf mein khara kardiya jata. Rasool Allah Sallelahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya : jo aadmi wudu karta hai aur achi terhan wudu karta hai, phir masjid ki taraf aata hai to woh jo qadam uthata haj, is ke aiwaz is ka aik darja buland kardiya jata hai ya is ka aik gunah mita diya jata hai aur is ke liye aik neki likh di jati hai. ( hamari sorat e haal to yeh thi ke hum masjid ki taraf atay waqt ) qareeb qareeb qadam rakhtay thy ( taakay kasrtat qadam ki wajah se naikiyan ziyada ho jaien ) aur be shak aadmi ki jamaat ke sath parhi hui namaz akailey parhi hui namaz se pachees guna ziyada fazeelat wali hoti hai .
---------
سیّدنا عبد اللہ بن مسعود رضی اللہ عنہ کہتے ہیں: جس کو یہ بات خوش کرتی ہے کہ وہ کل اللہ تعالیٰ کو بحیثیت ِ مسلمان ملے تو اس کو چاہیے کہ وہ فرض نمازوں کی حفاظت اس مقام پر کرے جہاں ان کے لیے بلایا جاتا ہے، کیونکہ یہ ہدایت کے طریقوں میں سے ہیں اوربے شک اللہ نے اپنے نبی کے لیے ہدایت کے طریقے مقرر کیے ہیں۔تم میں سے ہر ایک کی اس کے گھر میں مسجد ہونی چاہیے اور اگر تم اپنے گھر وںمیں نماز پڑھنا شروع کر دو گے، جیسا کہ یہ پیچھے رہنے والا گھر میں نماز ادا کرتاہے تو تم اپنے نبی کی سنت کو ترک کر دو گے اور اگر تم نے اپنے نبی کی سنت چھوڑ دی تو تم گمراہ ہوجاؤ گے۔ میں نے دیکھا کہ نماز سے وہی پیچھے رہتا تھا جس کا نفاق واضح ہوتا تھا اور میں نے دیکھا کہ ایک آدمی کو دو آدمیوں کا سہارادے کر (مسجد کی طرف) لایا جاتا، یہاں تک کہ اس کو صف میں کھڑا کردیا جاتا۔رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: جو آدمی وضو کرتا ہے اور اچھی طرح وضو کرتا ہے، پھر مسجد کی طرف آتا ہے تو وہ جو قدم اٹھاتاہے، اس کے عوض اس کا ایک درجہ بلند کردیا جاتا ہے یا اس کا ایک گناہ مٹا دیا جاتاہے اور اس کے لیے ایک نیکی لکھ دی جاتی ہے۔ (ہماری صورتحال تو یہ تھی کہ ہم مسجد کی طرف آتے وقت) قریب قریب قدم رکھتے تھے(تاکہ کثرتِ قدم کی وجہ سے نیکیاں زیادہ ہوجائیں) اور بے شک آدمی کی جماعت کے ساتھ پڑھی ہوئی نماز اکیلے پڑھی ہوئی نماز سے پچیس گنا زیادہ فضیلت والی ہوتی ہے۔
---------
Musnad Ahmed#2441
No comments:
Post a Comment