Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Thursday, 8 April 2021

Musalman ke khane ki ashiyayon ko jo jama karke rakte hai un ke liye kya kya saza hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

❗Jawab ek se zyada hain

Sawal: Musalman ke khane ki ashiyayon ko jo jama karke rakte hai un ke liye kya kya saza hain

A: Museebat
B: Pareshani
C: Azmaish
D: Faqeeri
E: Kode
F: Gum
G: Zillat
H: Sahi Jawab ka intezaar
********
Sahi Jawab - DE✅

Hadith: Musalmano ke khane ki cheezon ki zakheera karne walo ki saza

Reference📚:
----
Umar bin khataab RadiAllahu Anhu kehte hain ke mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko farmate suna jo musalmano ke khane ki cheezon ki zakheera andozi (yani jama karke rakhne wala), Allah Subahnahu taala usse juzam (kode) ya iflaas (fiqr/faqeeri) mein mubtala kar dega.
----
عمر بن خطاب رضی اللہ عنہ کہتے ہیں کہ میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو فرماتے سنا:  جو مسلمانوں کے کھانے کی چیزوں کی ذخیرہ اندوزی کرے گا، اللہ تعالیٰ اسے جذام  ( کوڑھ )  یا افلاس  ( فقر )  میں مبتلا کر دے گا
---
It was narrated that 'Umar bin Khattab said: I heard the Messenger of Allah (ﷺ) say: 'Whoever hoards food (and keeps it from) the Muslims, Allah will afflict him with leprosy and bankruptcy. ' 
----
Sunnan e Ibn e Maja#2155-Sahih

Ek janwar ke saath kisi ne aisa sulook kiya ke jahannum mein usse azab diya ja raha tha aur us janwar ne bhi us ko saza di

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Ek janwar ke saath kisi ne aisa sulook kiya ke jahannum mein usse azab diya ja raha tha aur us janwar ne bhi us ko saza di

Sawal: Us janwar ne us ke saath kya kiya

A: Usko khinchkar dozakh ki taraf dhakail raha tha
B: Uske kaan me zor zor se chilla rahi thi
C: Daanton se paaon ko kaat ne laga
D: Nochne lagi
E: kuchalne laga
F: Daanton se haathon ko kaatne lagi
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
********
Sahih Jawab -D✅

Hadith: Billi ko bhuka rakhne aur usko azaad na chodhne par azab

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ke zamane mein Sooraj ko girhan lag gaya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz ke liye khade huwe, hum bhi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ke saath khade hogaye, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne itna lamba qiyam kiya ke hamein ye gumaan hone laga ke Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ruku he nahi karna, bil akhir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ruku kiya aur qareeb nahi tha ke ruku se sir uthayen, phir sir uthaya aur sajde mein gir gaye, qareeb nahi tha ke is se bhi sir uthatay, bil akhir sir uthaya aur (jalsa mein) baith gaye (aur itni dair ke liye baithe rahe ke) qareeb nahi tha ke dosra sajda karen ge, phir sajda kiya aur qareeb nahi tha ke sajda se sir uthayen ge ,phir dusri rakaat bhi pehli rakaat ki terhan ada ki, jab dusri rakaat ka sajda kar rahe thy to zameen mein phonkna aur rona shuru kar diya aur ye kehna shuru kar diya Eh RABB! tu un ko azaab kyun de raha hai, halaanke mein un mein majud hu, Eh RABB! tu hamein azaab kyun deta hain, halaank hum tujh se bakhshish talab kar rahe hain phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apna sir uthaya aur Suraj saaf hochuka tha, phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne namaz mukammal karne ke baad Allah ki hamd wa Sana bayan ki aur farmaya : Eh logo! beshak Suraj aur Chaand Allah ki nishano mein se do nishaniya hain, pus jab tum un mein se kisi ko be noor hota dekho to dar kar masjid ki taraf panah lo is zaat ki qasam jis ke haath mein meri jaan hai! tehqeeq mere upar Jannat paish ki gayi (aur itni qareeb ki gayi ke) agar mein chahta to iski tehni ko pakad leta aur mujh par aag ko bhi paish kiya gaya (aur itna qareeb kiya gaya ke) is darr se mein usko bujha raha tha ke Wo kahi tumko apni lapet mein na le le. Maine is mein hameer qabile ki ek siyah rang ki taweel Aurat dekhi Isko ek billi ki wajah se azaab diya jaa raha tha isne isko bandh diya tha na isko khud khilati pilati thi na isko chodti thi ke wo zameen ke hashraat khaa sake (azaab ki kaifiyat ye thi ke) wo jab aag ki taraf aayi to wo billi iski (samne se nochti) aur jab wo wapis jati to wo usko (piche se) nochti Maine aag mein Banu Dayda ka ek fard ko bhi dekha aur is mein lathi wale ko bhi dekha wo aag mein apni laathi par taik lagaye huwa tha (Is Ka jurm ye tha ke) wo apni laathi ke saath hajiyon ki chori kiya karta tha. Pus jab logon ko is ka pata lag jata to wo kehta main chori to nahi kar raha waise ye cheez laathi ke saath latak gayi hain.
----
سیّدنا عبد اللہ بن عمرو بن عاص ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  کہتے ہیں: رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  کے زمانے میں سورج کو گرہن لگ گیا، آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نماز کے لیے کھڑے ہوئے، ہم بھی آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم کے ساتھ کھڑے ہوگئے،آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے اتنا لمبا قیام کیاکہ ہمیں یہ گمان ہونے لگا کہ آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے رکوع ہی نہیں کرنا، بالآخر آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے رکوع کیا اور قریب نہیں تھا کہ رکوع سے سر اٹھائیں، پھر سر اٹھایا اور سجدے میں گر گئے، قریب نہیں تھا کہ اس سے بھی سر اٹھاتے، بالآخر سر اٹھایا اور (جلسہ میں) بیٹھ گئے (اور اتنی دیر کے لیے بیٹھے رہے کہ) قریب نہیں تھا کہ دوسرا سجدہ کریں گے، پھر سجدہ کیا اور قریب نہیں تھا کہ سجدہ سے سر اٹھائیں گے، پھر دوسری رکعت بھی پہلی رکعت کی طرح ادا کی، جب دوسری رکعت کا سجدہ کر رہے تھے تو زمین میں پھونکنا اور رونا شروع کر دیا اور یہ کہنا شروع کر دیا:  اے رب! تو ان کو عذاب کیوں دے رہا ہے، حالانکہ میں ان میں موجود ہوں، اے رب! تو ہمیں عذاب کیوں دیتا ہے، حالانکہ ہم تجھ سے بخشش طلب کر رہے ہیں۔  پھر آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے اپنا سر اٹھایا اور سورج صاف ہوچکا تھا، پھر آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے نماز مکمل کرنے کے بعد اللہ کی حمدو ثنا بیان کی اور فرمایا:  اے لوگو! بے شک سورج اور چاند اللہ کی نشانیوں میں سے دو نشانیاں ہیں، پس جب تم ان میں سے کسی کو بے نور ہوتا دیکھو تو ڈر کر مساجد کی طرف پناہ لو۔ اس ذات کی قسم جس کے ہاتھ میں میری جان ہے!تحقیق میرے اوپر جنت پیش کی گئی (اور اتنی قریب کی گئی کہ) اگر میں چاہتا تو اس کی ٹہنی کو پکڑ لیتا اورمجھ پر آگ کو بھی پیش کیا گیا (اور اتنا قریب کیا گیا کہ) اس ڈر سے میں اس کو بجھا رہا تھا کہ وہ کہیں تم کو اپنی لپیٹ میں نہ لے لے۔میں نے اس میں حمیر قبیلے کی ایک سیاہ رنگ کی طویل عورت دیکھی،اس کوایک بلی کی وجہ سے عذاب دیا جا رہا تھا، اس نے اس کو باندھ دیا تھا، نہ اس کو خود کھلاتی پلاتی تھی اور نہ اس کو چھوڑتی تھی کہ وہ زمین کے حشرات وغیرہ کھا سکے، (عذاب کی کیفیت یہ تھی کہ) وہ جب آگے کی طرف آتی تو وہ بلی اس کو (سامنے سے) نوچتی اور جب وہ واپس جاتی تو وہ اس کو (پیچھے سے) نوچتی، میں نے آگ میں بنو دعدع کے ایک فرد کو بھی دیکھا اور اس میں لاٹھی والے کو بھی دیکھا، وہ آگ میں اپنی لاٹھی پر ٹیک لگائے ہوئے تھا، (اس کا جرم یہ تھا کہ) وہ اپنی لاٹھی کے ساتھ حاجیوں کی چوری کیا کرتا تھا، پس جب لوگوں کو اس کا پتہ لگ جاتا تو وہ کہتا: میں چوری تو نہیں کر رہا، ویسے یہ چیز لاٹھی کے ساتھ لٹک گئی ہے۔ 
----
Musnad Ahmed#2896-Sahih

Ek shakhs kisi cheez me milawat kar raha tha ye dekhkar ek janwar ne uski sari raqam ke adhe adhe hisse kar diye

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Ek shakhs kisi cheez me milawat kar raha tha ye dekhkar ek janwar ne uski sari raqam ke adhe adhe hisse kar diye

Wo shakhs kis cheez me milawat kar raha tha 

A: Zaitoon ke tail mein
B: Shahad mein
C: Naaptol mein
D: Gaay ke doodh mein
E: Kalonji ke daano mein
F: Sharab mein
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezar
******
Sahi Jawab - F✅

Hadith: Milawaat karne wale ke liye ibratnaak saza...

Reference📚:
-----
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke kisi kashti mein ek aadmi Sharaab beich raha tha aur Sharaab mein pani mila raha tha is ke paas ek bandar baitha huwa tha is ne theli pakdi aur badbaan ki lakdi par chad gaya aur ek dinar samandar mein aur ek dinar kasthi mein pehkna shuru kar diya. hatta ke inhen do hisson mein taqseem kar diya
----
ابو ہریرہ  رضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ كسی كشتی میں ایك آدمی شراب بیچ رہا تھا اور شراب میں پانی ملا رہا تھا۔ اس كے پاس ایك بندر بیٹھا ہوا تھا۔ اس نے تھیلی پکڑی اور بادبان کی لکڑی پر چڑھ گیا اور ایك دینار سمندر میں اور ایك دینار كشتی میں پھینكنا شروع كر دیا۔ حتی كہ انہیں دو حصوں میں تقسیم كر دیا
----
It is narrated on the authority of Abu Huraira RadiAllahu Anhu that a man was selling wine in a boat and water was being mixed in it. There was a monkey sitting next to him. He grabbed the bag of money and climbed onto the sail and began throwing one dinar into the sea and one dinar into the boat. Until he divided them into two parts
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#1226-Sahih

Ek Hadith mein Rasool Allah sallellahu alaihi wasallam ye dua kis waqt padha karte the. "Rabbigfirli watub alaiyya innaka antat tawwabur raheem"

 ❗Only-Quran-Hadith-  Quiz❗ 

Sawal: Ek Hadith mein Rasool Allah sallellahu alaihi wasallam ye dua kis waqt padha karte the.
"Rabbigfirli watub alaiyya innaka antat tawwabur raheem"

A. Sote waqt 
B. Fajar ki namaz k waqt
C. Safar k waqt
D. Pareshani k waqt
E. Asar aur magrib k darmiyan
F. Bimari k waqt
G. Inmen se koi nahin
H. Sahi jawab ka intezar
********
Sahi Jawab - G✅
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam kisi Majlis mein 100 martaba ye dua pada karte they

Reference 📚
-----
RasoolAllah sallellahu alaihi wasallam majlis mein

رَبِّ اغْفِرْ لِي وَتُبْ عَلَيَّ،‏‏‏‏ إِنَّكَ أَنْتَ التَّوَّابُ الرَّحِيمُ

'Rabbighfirli wa tub `alayya innaka Antat-Tawwabur-Rahim
 Eh Mere RABB! Mujhe bakhash de, Meri tauba qubool farma le, tu hi tauba qubool farmane wala aur raham karne wala hain 100 baar kehte they
----
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم مجلس میں «رب اغفر لي وتب علي إنك أنت التواب الغفور»  اے میرے رب! مجھے بخش دے، میری توبہ قبول فرما لے، تو ہی توبہ قبول فرمانے والا اور رحم کرنے والا ہے  سو بار کہتے تھے۔ 
----
It was narrated that Ibn `Umar said:
"We used to count that the Messenger of Allah (ﷺ) said one hundred times in a gathering: 'Rabbighfirli wa tub `alayya innaka Antat-Tawwabur-Rahim (O Allah forgive me and accept my repentance, for You are the Accepter of repentance, the Most Merciful).'"
----
Sunnan e Ibn e Maja#3814-Sahih

Ek aisa amal jo din bhar mein 7 martaba karne wale shaks ko usse nijaat de di jaati hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Ek aisa amal jo din bhar mein 7 martaba karne wale shaks ko usse nijaat de di jaati hain

A:Alhamdulillahil-ladhi Kafani Wa Awani, Alhamdulillahil-ladhi At'amni wa saqani, Alhamdulillahil-ladhi manna Alayya wa Afzal, Allahumma inni Asaluka Bi-izzatika An Tunjiyani Minan Naar
B:Allahumma inni Asaluka Jannat-Al-Firdaus
C:A'udhu billahi wa qudratihi min sharri ma ajidu wa uhadhiru
D:Allahumma Ajirni Minan Naar
E: Rabbana Aatina fid-dunya hasanatan wa fil Aakhirati Hasanatan Wa Qina Azabann naar
F:As'alullah Al-'Azeem Rabbal Arshil Azeem an Yashfik
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezar
**********
Sahi Jawab - D✅

Hadith: Din bhar mein 7 martaba Jannat mein dhakil hone aur 7 martaba dozak se panah mangne ki fazilat...

Reference📚:
----
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo bandah ek din mein 7 martaba Jahannum se panah mangta hain to Jahannum kehti hai : Eh RABB! tere falan bande ne mujhse panah mangi hain, usse panah de de aur jo bandah ek din mein 7 martaba Jannat ka sawal karta hain to Jannat kehti hain Eh Mere RABB! tere falan bande ne mera sawal kiya hain usse Jannat mein daakhil karde
----
ابو ہریرہ‌رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: جو بندہ ایک دن میں سات مرتبہ جہنم سے پناہ مانگتا ہے تو جہنم کہتی ہے: اے رب! تیرے فلاں بندے نے مجھ سے پناہ مانگی ہے، اسے پناہ دے دے۔ اور جو بندہ ایک دن میں سات مرتبہ جنت کا سوال کرتا ہے تو جنت کہتی ہے: اے میرے رب! تیرے فلاں بندے نے میراسوال کیا ہے، اسے جنت میں داخل کردے
----
It is narrated on the authority of Abu Huraira RadiAllahu Anhu that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: If a servant seeks refuge from Hell 7 times a day, Hell will say: O Lord! Your so-and-so servant has sought refuge in me, give him refuge. And the servant who asks for Paradise 7 times a day, Paradise says: O My Lord! Your servant has asked me to enter Paradise so admit him in Paradise
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2927-Sahih

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne ye kis ke liye farmaya ke jo inhe qatl karega wo haq ke nazdik honge?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne ye kis ke liye farmaya ke jo inhe qatl karega wo haq ke nazdik honge?

A: Yahudi 
B: Gheebat karne wale 
C: Allah ke nizam mein tabdili karne wale 
D: Aise mard jo farz namaz ghar mai padhte ho 
E: Waledain ki na farmani karne wale
F: Qaum e Loot ka amal karne wale 
G: Inmein se koi nahi 
H: Sahi jawab ka intezar hai
*******
Sahi Jawab - G✅

Hadith: Qaum Khawarij ummat ki badtareen qaum hongi jinka wo log qatl karenge jo Haq ke nazdeek honge..
 
Reference📚:
--------------
Abu Saeed Khudri Radi Allahu anhu se riwayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne ek qaum (Khawarij) ka zikr kiya jo aapki ummat mein hongi aur wo log us waqt niklenge jab logo mein phoot hogi aur unki nishani sir mundwana hogi aur Aap Sallallahu Aalahi wasallam ne farmaya ki wo badtareen makhluq hain, unko wo log qatl karenge jo Haq ke nazdeek honge. 
--------
ابو سعید خدری رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے ایک قوم (خوارج) کا ذکر کیا تو جو آپ کی امت میں ہونگے اور وہ لوگ اس وقت نکلنگے جب لوگوں میں پھوٹ ہوگی اور ان کی نشانی سر منڈوانا ہوگی اور آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا وہ بدترین مخلوق ہے، اُن کو و لوگ قتل کرینگے جو حق کے نزدیک ہونگے -
----
Sahih Muslim, Vol 3, 2457-Sahih

Mafhum e hadith ke mutabiq Ek Qaum aur uss mein mukhbari karne wale ki misal kis tarah di hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mafhum e hadith ke mutabiq Ek Qaum aur uss mein mukhbari karne wale ki misal kis tarah di hain

A: Neiki aur Buraie
B: Duniya aur Akhirat
C: Rasool-Allah Sallelahu Alaihi Wa Sallam aur sahaba
D: Din aur Raat
E: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam aur Qayamat 
F: Momin aur Kafir
G: In mein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezar
***********
Sahi Jawab - E✅

Hadith: Qayamat aur Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki misal

Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Mujhe aur Qayamat ko is terhan bheja gaya hain Aap ne Shahadat aur darmiyani ungli ko milaya aur farmaya Meri aur Qayamat ki misaal do daudne wale ghodon ki terhan hain phir farmaya Meri aur Qayamat ki Misaal is shakhs ki terhan hai jaise is ki Qoum ne Jasoos bana kar bheja, jab usse darr huwa ke dushman mujhse pehle pahonch jaye ga to is ne apna kapda hilla kar ishara kiya aur shore machane laga tum dushman ke samne aagaye, tum dushman ke samne aagaye mein wohi hu mein wohi hu
----
سہل بن سعد ساعدی‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: مجھے اور قیامت کو اس طرح بھیجا گیا ہے، آپ نے شہادت اور درمیانی انگلی کو ملایا اور فرمایا: میری اور قیامت کی مثال دو دوڑنے والے گھوڑوں کی طرح ہے،پھر فرمایا: میری اور قیامت کی مثال اس شخص کی طرح ہے جسے اس کی قوم نے جاسوس بنا کر بھیجا،جب اسے ڈر ہوا کہ دشمن مجھ سے پہلے پہنچ جائے گا۔ تو اس نے اپنا کپڑاہلاکر اشارہ کیا اور شور مچانے لگا: تم دشمن کے سامنے آگئے، تم دشمن کے سامنے آگئے۔ میں وہی ہوں میں وہی ہوں
----
The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: This is how I and the Hour have been sent. He put his index finger and his middle finger together and said: The likeness of me and the Hour is like two running horses. The example of me and the Day of Resurrection is like that of a man sent by his people as a spy, when he feared that the enemy would arrive before me. So he waved his robe and made a noise: You have come before the enemy, you have come before the enemy. I am the same i am the same
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2586-Sahih

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam jab kisi ke liye khas taur par dua farmate to kya alfaaz istemaal karte

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam jab kisi ke liye khas taur par dua farmate to kya alfaaz istemaal karte

A: Allah tum par neik logo ki rahmat farmaye
B: Allah tumhare naik amal mein izafa farmaye
C: Allah tumko neik bando mein shamil farmaye
D: Allah tumhe sehat aur afiyat aata farmaye
E: Allah ki khass rehmat aur barkat tum par nazil ho
F: Allah tumhari umar daraaz farmaye
G: Inmein se koi nahi 
H: Sahi Jawab ka intezaar
********
Sahi Jawab - A✅

Hadith: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam jab kisi ke liye sanjeedgi se dua farmate to ye kehte...

Reference📚:
----
Anas RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Aap Sallallahu Alaihi wasallam jab kisi ke liye intehai sanjeedgi se dua karte to farmate Allah Subhanahu tum par naik logon ki rahmat farmaiye, jo raat ko qiyam karte hain aur din ko roza rakhte hain, na gunahgaar hain na fasik wa fajir hain.
----
انس‌رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ آپ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌جب کسی کے لئے انتہائی سنجیدگی سے دعا کرتے تو فرماتے :اللہ تعالیٰ تم پر نیک لوگوں کی رحمت فرمائے ،جو رات کو قیام کرتے ہیں اور دن کو روزہ رکھتے ہیں ،نہ گنہگارہیں نہ فاسق وفاجر ہیں
----
It is narrated on authority of Anas RadiAllahu Anhu that when the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam use to make supplication (Dua) with sincerity for someone, he would say: May Allah have mercy on you of the righteous who stay up at night and fast during the day. They are neither sinners nor wicked.
-----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2878-Sahih

Wo kaun hain jinhe aakhirat mein Allah Subhanahu awaz denge to wo kahenge Labbaik wa Sa'daik

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Wo kaun hain jinhe aakhirat mein Allah Subhanahu awaz denge to wo kahenge Labbaik wa Sa'daik 

A: Hajj ke dauran faut hone wale
B: Jung ke dauran Shaheed hone wale
C: Ibrahim Alaihi Sallam
D: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam
E: Tauon mein faut hone wale
F: Ayub Alaihi Sallam
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar

***********
Sahi Jawab - G✅

Hadith: Qayamat ke din Adam Alaihi Sallam ko hukum diya jayega ki wo unki nasal mein se dozakh ka lashkar nikale

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya "Allah Subhanahu farmayega", Eh Adam wo kahenge ke
لبيك وسعديك‏
Labbaik wa Sa`daik
Har buland awaz se nida dega ke Allah tumhe hukum deta hain ke apni nasal mein se dozak ka lashkar nikaal
----
Narrated Abu Sa`id Al-Khudri: The Prophet said,   Allah will say (on the Day of Resurrection), 'O Adam!' Adam will reply, 'Labbaik wa Sa`daik! ' Then a loud Voice will be heard (Saying) 'Allah Commands you to take out the mission of the Hell Fire from your offspring.' 
----
 نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”اللہ تعالیٰ فرمائے گا، اے آدم! وہ کہیں گے «لبيك وسعديك‏.‏» پھر بلند آواز سے ندا دے گا کہ اللہ تمہیں حکم دیتا ہے کہ اپنی نسل میں سے دوزخ کا لشکر نکال۔“ 
----
Sahih Bukhari#7483

Allah Subhanahu ka Zameen mein bartan kise kaha gaya hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Allah Subhanahu ka Zameen mein bartan kise kaha gaya hain

A: Naik bando ka sadqa dena
B: Naik bando ki Zabaan
C: Naik bando ka sajda karna
D: Naik bando ka ilm seekhna
E: Naik bandon ka Allah ka Zikr karna
F: Naik bandon ka Dil
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezaar

************
Sahi Jawab - F✅

Hadith: Zameen mein Allah Subhanahu ka bartan naik bandon ka Dil hain

Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Allah ke liye Ahal Zameen mein bartan hain, aur tumahre RABB ke bartan is ke naik bandon ka dil hain, un mein Allah ko sab se ziyada mehboob sab se naram aur sab se raqeeq dil hain
----
ابو عنبہ خولانی نبی صلی اللہ علیہ وسلم سے مرفوعا بیان کرتے ہیں: اللہ کے لئے اہل زمین میں برتن ہیں، اور تمہارے رب کے برتن اس کے نیک بندوں کے دل ہیں، ان میں اللہ کو سب سے زیادہ محبوب سب سے نرم اور سب سے رقیق دل ہیں۔
----
The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: There are vessels in the earth for Allah, and the vessels of your Lord are the hearts of His righteous servants.
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#80-Sahih

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...