❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal : Rasool-Allah Sallallahu Alahi wasallam ne kaunse amal ke liye farmaya goya kuch log aayenge aur woh usse is tarha durust karenge jaise teer durust kiya jata hai?
A: Namaz
B: Allah Subhanahu ka Zikr
C: Apne Aamal
D: Apne Akhlaq
E: Jihad karna
F: Quran padhna
G: Eman
H: Inmein se koi nahi
I: Sahi Jawab ka intezaar
Note agar apka jawab H hai toh sahi jawab likhiye
**************
Sahi Jawab - F✅
Anqareeb Quran ka padhna aisa hoga ke log duniya mein he jaza chahainge aur usse akhirat taq muakhir nahi karenge yani woh talabb duniya ke liye padhenge
Reference📚:
-----
Jabir RadiAllahu Anhu bayan karte hain, Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam hamaray paas tashreef laaye toh hum Quran padh rahe thy aur hum mein Arabi aur ajmi bhi they, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya :padho sab theek hai anqareeb aisay log ayenge jo usse is terhan (mubaligha ke saath) durust karenge jaisay teer durust kiya jata hai woh duniya mein he jaza chahainge aur usse akhirat taq muakhir nahi karenge.(yani woh talabb duniya ke liye padhenge )
-----
جابر بیان کرتے ہیں، رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ہمارے پاس تشریف لائے تو ہم قرآن پڑھ رہے تھے اور ہم میں اعرابی اور عجمی بھی تھے ، آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ پڑھو ، سب ٹھیک ہے ۔ عنقریب ایسے لوگ آئیں گے جو اسے اس طرح (مبالغہ کے ساتھ) درست کریں گے جیسے تیر درست کیا جاتا ہے ۔ وہ دنیا میں ہی جزا چاہیں گے اور اسے آخرت تک مؤخر نہیں کریں گے ۔‘‘ (یعنی وہ طلب دنیا کے لیے پڑھیں گے) ، رواہ ابوداؤد و البیھقی ۔
----
Sahih Hadees
Mishkat ul Masabeeh#2206