Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 3 February 2020

Aameen


















La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd wa huwa Ala kulli shayin qadir






Bismilahirrahmanirrahim 


لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
----------------
La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd  wa huwa Ala kulli shayin qadir
---------------
Tarjumah : Allah ke siwa koi sachch mabud nahi hai wo akela hai aur uska koi sharik nahi , usee ke liye baadshahat hai aur usee ke liye tarif hai wo hi zinda karta hai aur wa hi maarta hai aur wo har cheez par qadir hai

Ashhadu alla ilaha il-Allahu, wa ash-hadu anna Muhammadan Abduhu Wa Rasuluhu








Bismillahirahmanirrahim


أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ

Ashhadu alla ilaha il-Allahu, wa ash-hadu anna Muhammadan Abduhu Wa Rasuluhu
--------
Main gawahii deta hu ki Allah ke siwa koi maabood nahi aur Muhammad (Sallallahualaihi wasallam)Allah ke bande aur Rasool hain
-----
I bear witness that there is no God except Allah, and I bear 
witness that Muhammad is the slave and Messenger of Allah

SubhanAllah Alhumdulilah La ilaha ilalah Allah hu Akbar,








Bismillahirrhamanirrahim

سُبْـحَانَ اللَّهِ
 SubhanAllah
Glory be to Allah
Allah ki zaat paak hai
-----------
وَالْحَمْـدُ لِلَّهِ
Wal Alhumdulillah
Praise be to Allah
Tamam tarife Allah ke liye hain
----------
وَلاَ إِلَـٰهَ إِ لاَّ اللَّهُ
Wa La ilaha illAllah
There is no God except Allah
Allah ke siwa koi maabood nahi
-----------
وَا للَّهُ أَ كْبَـرُ
WalAllahu Akbar
Allah is the Greatest
Allah sabse bada hai

Iss ke Amal ko khushnuma bana diya hain.




Bismillahirrahmannirrahim

كَذَٰلِكَ زَيَّنَّا لِكُلِّ أُمَّةٍ عَمَلَهُمْ
----
Iss ke Amal ko khushnuma bana diya hain.
----
 اس کے عمل کو خوشنما بنا دیا ہے
----
इस के अमल को खुशनुमा बना दिया 
----
We have made their deeds appear good
----
Surah Al Anam: (06:108)

As Salamu Alekum and Walekum As Salam,





Nagahani Museebat yani achanak aane wali museebat se bachne ki dua





RABB ki Khushnodi aur Narazgi kis mein hain.


Mafhum e hadith ke mutabiq

Sawal: RABB ki Khushnodi aur Narazgi kis mein hain.

A: Dua
B: Sila rehami
C: Halal Maal
D: Aulad
E: Maa
F: Sadqa
G: Inmein se koi nahi 

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note agar jawab G hai toh sahi jawab likiye❗


Sahi Jawab - G (Walid) ✅

Reference📚:
-----
Abdullah bin Umro RadiAllahu Anhu Nabi Sallahu Alahi waSallam se bayan karte hai ke Aap Sallahu Alahi WaSallam ne farmaya RABB ki khushnodi Waalid ki khushnodi mein hai aur RABB ki narazgi waalid ki narazgi mein hain.
----------
عبداللہ بن عمرو رضی اللہ عنھما نبی صلی اللہ علیہ وسلم سے بیان کرتے ہیں کہ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: رب کی خوشنودی والد کی خوشنودی میں ہے اور رب کی ناراضگی والد کی ناراضگی میں ہے
-----------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 116

Ek Baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ek jung ke dauran mitti utha rahe thy tabhi uss mitti ne Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke seenay ko dhaanp diya tha?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

do Sawal hai aur pehele sawal mein jawab ek se ziyada hain!

Ek Baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ek jung ke dauran mitti utha rahe thy tabhi uss mitti ne Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke seenay ko dhaanp diya tha?

Sawal 1 : Aap Sallallahu Alaihi Wasallam uss waqt kuch ashaar padh rahe thy aur kuch zikr kar rahe thy? Wo kya farma rahe thy?

A. Seeda Rasta
B. Dilo ka Sukun
C. Hidayat 
D. Sadqa
E. Itminan
F. Namaz
G. Zulm
H. Sabit qadam
I. Maal e Ganimat 

J. Sahi jawab ka intezar hai

Sawal 2 : wo kaunsi Jung thi?

A. Ghazwa e Badr
B. Ghazwa e Ahzab 
C. Ghazwa e Hunain
D. Ghazwa e Uhad
E. Suleh Hudaibiyah
F. Ghazwa e Tabooq
G. Inmein se koi nahi

H. Sahi jawab ka intezar hai.
***************

Sahi Jawab - 1. ABCDEFGH/2.B✅

Reference📚:
-----------
Al-Bara RadiAllahu Anhu ne bayan kiya ke mein ny dekha ke Ghazwah Ahzaab mein (khandaq khodte huwe ) Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam khud mitti utha rahay they yahan taq ke seenah mubarak ke baal mitti se hatt gaye they. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke (jism mubarak par) baal bohat ghany they is waqt Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Abdullah bin Rawaha RadiAllahu Anhu ka yeh shair parh rahe they (tarjuma) ”Eh Allah ! agar teri hidaayat nah hoti to hum kabhi seedha rasta nah paate' nah sadqa kar satke aur nah namaz parhte ab to ya Allah ! hamaray dilon ko sukoon aur itminan ataa farma' aur agar (dushmanon se mud bhair ho jaye to hamein saabit qadam rakh' dushmanon ny hamaray oopar zayad-ti ki hai(yani Zulm. jab bhi woh hum ko fitnah fasaad mein mubtala karna chahtay hain to hum inkaar karte hain “. aap yeh shair buland aawaz se parh rahay they.
--------------
Narrated Al-Bara:I saw Allah's Messenger (ﷺ) on the day (of the battle) of the Trench carrying earth till the hair of his chest were covered with dust and he was a hairy man. He was reciting the following verses of `Abdullah (bin Rawaha): "O Allah, were it not for You, We would not have been guided, Nor would we have given in charity, nor prayed. So, bestow on us calmness, and when we meet the enemy. Then make our feet firm, for indeed, Yet if they want to put us in affliction, (i.e. want to fight against us) we would not (flee but withstand them)." The Prophet (ﷺ) used to raise his voice while reciting these verses
-------------
Sahih Hadees
Sahih al-Bukhari 3034

Rasool-Allah (ﷺ) ne ye kis ke bare mein irshad farmaya Allah Subahnahu ne usse zameen mein dhasa diya aur wo Qatamat tak us mein dhasta chala jayega.

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Rasool-Allah (ﷺ) ne ye kis ke bare mein irshad farmaya Allah Subahnahu ne usse zameen mein dhasa diya aur wo Qatamat tak us mein dhasta chala jayega.

A: Firoun
B: Abu Jahal
C: Abu Lahab
D: Shirk karne wala
E: Ahle bait se bughz rakhne wala
F: Zakat ada na karne wala
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likhe)

H: Sahi Jawab ka Intezaar

*********************
Sahi Jawab - G✅
{Libaas pehan kar uske latke huwe libaas ko takabbur se dehkne wala shaqs}

Reference📚:
---------
Kareeb Rehma Allah Aleh se riwayat hai kehte hain ke mein Abu Lahab ki gali mein Ibn Abbas RadiAllahu Anhu ko le kar ja raha tha yeh is waqt ki baat hai jab un ki benaye khatam ho gayi thi. Ibn Abbas Radi Allahu Anhu kehnay lagey mein ne apne waalid se suna woh keh rahay they ke , Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya ek aadmi apna libaas pehan kar is ke latkay huwe kinare (taqqabur se) dekh raha tha achanak Allah Subhanhu ta’ala ne usay zameen mein dhansa diya, aur woh qayamat taq is mein dhansta chala jaye ga.
--------------
کریب رحمۃ اللہ علیہ سے مروی ہے کہتے ہیں کہ میں ابو لہب کی گلی میں ابن عباسرضی اللہ عنہ کو لے کر جا رہا تھا۔ یہ اس وقت کی بات ہے جب ان کی بینائی ختم ہو گئی تھی۔ ابن عباس رضی اللہ عنہما کہنے لگے:میں نے اپنے والد سے سنا وہ کہہ رہے تھے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:ایک آدمی اپنا لباس پہن کر اس کے لٹکے ہوئے کنارے(تکبر سے)دیکھ رہا تھا اچانک اللہ تعالیٰ نے اسے زمین میں دھنسا دیا ،اور وہ قیامت تک اس میں دھنستا چلا جائے گا۔
------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3024

Kaun kaunse sahaba ne Fatema RadiAllahu Anhuma se shadi karne ke liye Rasool-Allah (ﷺ) ko paigaam behja tha?


❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hai!

Sawal: Kaun kaunse sahaba ne Fatema RadiAllahu Anhuma se shadi karne ke liye  Rasool-Allah (ﷺ)  ko paigaam behja tha?

A: Abu Huraira Radi Allahu anhu
B: Ammar Radi Allahu anhu
C: Abu Musa Ashri Radi Allahu anhu
D: Zaid Bin Khalid RadiAllahu anhu
E: Ali Radi Allahu anhu
F: Umar Radi Allahu anhu
G: Ibn Abbas Radi Allahu anhu
H: Abu Bakr Radi Allahu anhu

I: Sahi Jawab ka Intezaar?

****************

Sahi Jawab - EFH✅

Reference📚:
-----------
Bureda RadiAllahu Anhu bayan karte hain, Abubaker RadiAllahu Anhu o Umar RadiAllahu Anhu neh Fatima Radi Allahu Anhuma se shadi ka paigham bheja toh Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya woh to chothee (kum sin) hain. Phir Ali RadiAllahu Anhu ne inhen paigham bheja to Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne un ki shadi un se kar di.
------------
بریدہ ؓ بیان کرتے ہیں ، ابوبکر و عمر ؓ نے فاطمہ ؓ سے شادی کا پیغام بھیجا تو رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ وہ تو چھوٹی (کم سن) ہیں ۔‘‘ پھر علی ؓ نے انہیں پیغام بھیجا تو آپ نے ان کی شادی ان سے کر دی
------------
Sahih Hadees
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 6104

1. Sadqa dene se 2. Kisi ko maaf kar dena 3. Allah ke liye Narmee karne wala shaqs

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sahi Milan Kijiye!

Sawal: 

1. Sadqa dene se
2. Kisi ko maaf kar dena
3. Allah ke liye Narmee karne wala shaqs
------
A:  Izzat badhna
B: Jannat me aala muqaam
C: Maghfirat
D: Achchi sehat
E: Naik Aulad
F: Darja buland
G: Maal me barkat (kum nahi hota)

H: Sahi Jawab ka Intezaar

**************

Sahi Jawab - GAF✅

Reference📚
-------
Abu Hurairah Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah (ﷺ) ne farmaya sadqa dene se kabhi maal kam nahi hota. Jo banda kisi ko maaf kar deta hai to Allah Subhanahu uski ezzat badha deta hai, aur jo banda Allah Subhanahu ke liye aajizi (narmee) karta hai to Allah Subhanahu uska darja buland kar deta hai
--------
Sahih Muslim, Jild 6, # 6592
---------
Abu Huraira reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying: Charity does not in any way decrease the wealth and the servant who forgives, Allah adds to his respect,  and the one who shows humility Allah elevates him in the estimation (of the people).
-------------
Sahi Hadees
Sahih Muslim,Book 32, #6264

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne Inmein se kaunse kalimat ke liye farmaya ke yh kalimat unko saari kaiyenaat jis par Suraj tulu hota hai sabse ziada pasand hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain!

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne Inmein se kaunse kalimat ke liye farmaya ke yh kalimat unko saari kaiyenaat jis par Suraj tulu hota hai sabse ziada pasand hain?

A: Astagfirullah
B: Alhumdullilah
C: La ilaha illa Anta subhanaka inni kuntu min Az-zalimeen
D: La ilaha ilalaha 
E: Alhamdulillahi Rabbil Aalamin
F: SubhanAllah
G: Allah hu Akbar
H: Ya Muqallib Qulub thabbit Qalbi Ala Deenak 

I: Sahi Jawab ka Intezaar hain


******************

Sahi Jawab - BDFG✅

Reference📚:
-----------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya saari kaiyenaat se ke jis par Sooraj tulu hota hai mujhe yeh ziyada pasand hai ke mein «SubhanAllah, Alhumdullialh, La ilaha Ilalaha, Allah hu Akbar» ”Allah ki zaat paak hain, Tareef Allah ke liye hai aur Allah ke ilawa aur koi mabood barhaq nahi aur Allah hi sab se bada hai” kahoon .
----------
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ساری کائنات سے کہ جس پر سورج طلوع ہوتا ہے مجھے یہ زیادہ پسند ہے کہ میں: «سبحان الله والحمد لله ولا إله إلا الله والله أكبر» ”اللہ پاک ہے، تعریف اللہ کے لیے ہے اور اللہ کے علاوہ اور کوئی معبود برحق نہیں اور اللہ ہی سب سے بڑا ہے“، کہوں۔
----------
Abu Hurairah [may Allah be pleased with him] narrated that the Messenger of Allah (ﷺ) said: “That I should say: ‘Glory is to Allah (Subḥān Allāh).’ ‘All praise is due to Allah (Al-ḥamdulillāh),’ ‘None has the right to be worshipped by Allah (Lā ilāha illallāh),’ and ‘Allah is the greatest (Allāhu Akbar)’ is more beloved to me than all that the sun has risen over.” 
----------
Sahih Hadees
Jam e Tirmazi Hadees # 3597

Hadith Mukammal kjiye......Jannat mein sab ke dil ek jaise honge aur inke dil mein kya nahi hoga?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain!

Sawal: Hadith Mukammal kjiye......Jannat mein sab ke dil ek jaise honge aur inke dil mein kya nahi hoga?

A: Bughz 
B: Fasaad
C: Bad Ikhlaqi
D: Sakhti
E: Khayanat
F: Hasad
G: Ghurbat 

H: Sahi Jawab ka Intezaar

*************


Sahi Jawab - ABF✅

Reference📚:
---------
Sab se pehla giroh jo jannat mein daakhil hoga, un ke chehray chodhween raat ke chaand ki tarhan roshan honge. jo giroh is ke baad daakhil hoga unke chehray aasman par moti ki terhan chamaknay walay sitaron mein jo sab se ziyada roshan sitara hota hai is jaisay roshan honge, sab ke dil ek jaisay honge na un mein bughz o fasaad hoga aur na hasad, har janati ki do Hoore biwiyan hongi, itni Haseen ke un ki pindli ki haddi aur gosht ke andar ka gudaa bhi dekha ja sakega.
----------

 سب سے پہلا گروہ جو جنت میں داخل ہو گا، ان کے چہرے چودہویں رات کے چاند کی طرح روشن ہوں گے۔ جو گروہ اس کے بعد داخل ہو گا ان کے چہرے آسمان پر موتی کی طرح چمکنے والے ستاروں میں جو سب سے زیادہ روشن ستارہ ہوتا ہے اس جیسے روشن ہوں گے، سب کے دل ایک جیسے ہوں گے نہ ان میں بغض و فساد ہو گا اور نہ حسد، ہر جنتی کی دو حورعین بیویاں ہوں گی، اتنی حسین کہ ان کی پنڈلی کی ہڈی اور گوشت کے اندر کا گودا بھی دیکھا جا سکے گا۔ 
----------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 3254

Ek baar ek sahabi Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ke saath thy jab bhi koi samne se guzarta Raool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam uss shaqs ke baare mein kuch farmate thy jaise ki falah shaqs naik hai yh bura hai tabhi waha se ek sahabi guzre toh Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya yh Allah Subhanhu ka bahut acha banda hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Ek baar ek sahabi Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ke saath thy jab bhi koi samne se guzarta Raool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam uss shaqs ke baare mein kuch farmate thy jaise ki falah shaqs naik hai yh bura hai tabhi waha se ek sahabi guzre toh Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya yh Allah Subhanhu ka bahut acha banda hain?

Sawal: wo Sahabi kaun thy jinke bare mein Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya wo Allah Subahnahu ka bahut acha banda hain?

A. Muaaz Bin Jabal Radi Allahu Anhu
B. Aamir Bin Rabia Radi Allahu Anhu
C. Abdullah Bin Masood Radi Allahu Anhu
D. Zaid Bin Harith Radi Allahu Anhu
E. Umar Radi Allahu Anhu
F. Ali Radi Allahu Anhu
G. Khalid Bin Walid Radi Allahu Anhu 
H.  Inmein se koi nahi (apna jawab likhe)

I. Sahi Jawab ka intezar hain

************

Sahi Jawab - G✅

Khaled Bin Walid RadiAllahu Anhu ki Shaan

Reference📚:
------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hain kehte hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ke saath thy, (log) guzarnay lagey. Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam Abu Huraira RadiAllahu Anhu yeh kaun hai? Mein kehta falan Aap Sallallahu Alahih Wasallam farmatay falan Allah ka naik bandah hai phir koi guzarta to Aap Sallallahu Alahih Wasallam farmatay Abu Huraira yeh kaun hain? Mein kehta falan Aap Sallallahu Alahih Wasallam farmatay falan Allah ka bandah yeh to bura aadmi hai hatta ke Khalid Bin Waleed RadiAllahu Anhu guzre to mein ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alahih Wasallam yeh Khalid Bin Waleed RadiAllahu Anhu hain Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Khalid, Allah Subhanhu ka bohat achchca bandah hain. Allah Subahnahu ki talwaron mein se ek talwar hain.
----------
ابو ہریرہ‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے، کہتے ہیں کہ ہم رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے ساتھ تھے، (لوگ) گزرنے لگے ۔ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم فرماتے:ابو ہریرہ‌رضی اللہ عنہ ! یہ کون ہے؟ میں کہتا :فلاں ۔آپ صلی اللہ علیہ وسلم فرماتے :فلاں اللہ کا نیک بندہ ہے۔ پھر کوئی گزرتا تو آپ فرماتے: ابو ہریرہ! یہ کون ہے؟ میں کہتا فلاں۔ آپ فرماتے: فلاں اللہ کا بندہ یہ تو برا آدمی ہے۔ حتی کہ خالد بن ولید رضی اللہ عنہ  گزرے تو میں نے کہا: اے اللہ کے رسول صلی اللہ علیہ وسلم ! یہ خالد بن ولید رضی اللہ عنہ  ہیں۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: خالد، اللہ کا بہت اچھا بندہ ہے۔ اللہ کی تلواروں میں سے ایک تلوار ہے۔
-------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3597

Badar ki ladayi mein ek sahaba teer lagne se Shaheed hogaye thy toh unki walida bahut pareshan thi aur wo Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke khidmat mein hazir huwi tab Raool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne unka haal dehk kar kuch arz kiya?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do sawal hai!

Badar ki ladayi mein ek sahaba teer lagne se Shaheed hogaye thy toh unki walida bahut pareshan thi aur wo Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke khidmat mein hazir huwi tab Raool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam  ne unka haal dehk kar kuch arz kiya?

Sawal1: wo sahaba kaun thy joh Shaheed hogaye thy?

A: Muaaz Bin Jabal Radi Allahu Anhu
B: Aamir Bin Rabia Radi Allahu Anhu
C: Ammar Bin Yasir Radi Allahu Anhu
D: Harisa bin Suraqa Ansari Radi Allahu Anhu
E: Dihyah Al-Kalbi Radi Allahu Anhu
F: Musaib Ibn Umair Radi Allahu Anhu
G: Khalid Bin Walid Radi Allahu Anhu 
H:  Inmein se koi nahi 

Sawal2: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne un sahabhi ki walida se kya irshad farmaya?

A: wo Jannat ul Firdous mein hain
B: wo Jannat Darul Maqam mein hain
C: wo Jannat ul Naeem mein hain
D: wo Jannat ul Salam mein hain
E: wo Jannat ul Mawa mein hain
F: wo Jannat ul Darul Khuld mein hain
G: wo Jannat ul Adan mein hain
H: In mein se koi nahi 

I: Sahi Jawab ka intezaar

***************************

Sahi Jawab - DA✅

Reference📚:
----------
Harisa bin Suraqa Ansari RadiAllahu Anhu jo abhi nav umar ladke thy' Badar ke din shaheed hogaye they (pani peenay ke liye hauz par aaye thy ke ek teer ne shaheed kar diya) phir un ki walida (Rabiya Bint AlNaseer Anas RadiAllahu Anhu ki phuphi) Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat mein haazir huwien aur arz kiya ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam! Aap ko maloom hai ke mujhe Harisa se kitna pyar tha. agar woh ab Jannat mein hai to mein is par sabr karoon gi aur Allah Subhanahu taala ki umeed rakhon gi aur agar kahin doosri jagah hai to aap dekh rahay hain ke mein kis haal mein hon Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ”Allah Subhanhu tum par reham kare, kya dewaani ho rahi ho, kya wahan koi Ek Jannat hai? bohat si Jannaten hain aur tumhara beta Jannat Al Firdous mein hai.
------------
Sahih Bukhari Hadees # 3982- Sahih

Mafhum e hadith mukammal kare Inmein se wo kya hai Jo Rehman se nikla hai aur Allah Subhanahu taala se Juda huwa hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mafhum e hadith mukammal kare  Inmein se wo kya hai Jo  Rehman se nikla hai aur Allah Subhanahu taala se Juda huwa hai

A: Laa illaha illallaha
B: Anbiya Alahai Salam
C: ilm 
D: Haya
E: Sabr 
F: Rishtedari
G: Inmein se koi nahi

H:Sahi Jawab ka Intezaar

******************


Sahi Jawab - F✅

Reference📚: 
------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Reham Karne walo par Rehman (Allah Subhanahu) Reham karta hai tumlog Zameen walo par Reham Karo to Asman wala Reham karega Reham(Rishtedari) Rehman se nikla hai Jisne usko toda Allah Subhanahu usko apni Rehmat SE jodega aur jisne usko toda Allah Subhanahu usko apni Rehmat SE kat dega
--------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”رحم کرنے والوں پر رحمن رحم کرتا ہے، تم لوگ زمین والوں پر رحم کرو تم پر آسمان والا رحم کرے گا، رحم رحمن سے مشتق ( نکلا ) ہے، جس نے اس کو جوڑا اللہ اس کو ( اپنی رحمت سے ) جوڑے گا اور جس نے اس کو توڑا اللہ اس کو اپنی رحمت سے کاٹ دے گا“
------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said: The merciful are shown mercy by Ar-Rahman. Be merciful on the earth, and you will be shown mercy from Who is above the heavens. The womb is named after Ar-Rahman, so whoever connects it, Allah connects him, and whoever severs it, Allah severs him. 
------
Jamia Tirmidi Volume 2, 1294 Hasan

Allah Subhanahu ne Jahanam ko kitne baar saans lene ki ijazat di?


❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do Sawal hain!

Sawal: Allah Subhanahu ne Jahanam ko kitne baar saans lene ki ijazat di?

A: 01
B: 03
C: 05
D: 07
E: 02
F: 09
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar?

*******************

Sawal: jab jab Jahanam saas leti hai toh kya hota hai (apna jawab khud likhe)

H: Sahi Jawab ka Intezaar?

******************

Sahi Jawab: E/✅{Sardi ka saans Sardi ki Shiddat aur Garmi ka saans Garmi ki Shiddat hain}

Reference📚:
----------------------
Abu Huraira Radi Allahu Anhu se riwayat hai ke Rasool Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Jahannum ne apne RABB se shikayat ki aur kehnay lagi mere baaz hissay ne dosray ko kha liya hai to Allah Subhanahu taala ne usay do saans lainay ki ijazat di, ek saans sardi mein aur dosra garmi mein, is ka sardi ka saans sardi ki shiddat aur garmi ka saans garmi shiddat hai.
--------------
ابو ہریرہرضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جہنم نے اپنے رب سے شکایت کی اور کہنے لگی: میرے بعض حصے نے دوسرے کو کھا لیا ہے تو اللہ تعالیٰ نے اسے دو سانس لینے کی اجازت دی، ایک سانس سردی میں اور دوسرا گرمی میں، اس کا سردی کا سانس سردی کی شدت اور گرمی کا سانس گرمی شدت ہے۔
---------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3092

Quran aur Hadith ki roshni mein Allah Subhanahu ki rehamat se mutalliq kaunsi baate sahi hain?


❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗  

Jawab ek se ziada hai

Sawal : Quran aur Hadith ki roshni mein Allah Subhanahu ki rehamat se mutalliq kaunsi baate sahi hain?

A. Jo ek baar durud padhta hai us par Allah ki 100 rahmat nazil hoti hain
B. Allah ki rahmat uske gusse par ghalib hai
C. Allah ne uski rahmat ke 99 hisse duniya mein bhej diye aur ek hissa apne paas rakha 
D. Kaafir ko Allah ke paas mojud tamam Rahamt malum ho jaye jo wo jannat se na ummeed na ho
E.  Allah ki Rahmat ek palde mein rakhe aur duniya ki sari cheeze dusre mein to rahmat wala palda bhari hoga
F. Allah ki rehmat se wahi log naummed hote hain jo kafir hain
G. Allah ki rehmat se naummed hona kabira gunah hai

H. Sahi Jawab ka intezar hai

*************************

Sahi Jawab BDFG✅

Reference📚:
---------
✦ Al Quran : Aur Allah ki rahmat se naummed na ho beshak Allah ki rahmat se wahi log na ummed hote hain jo kafir hain
Surah Yusuf (12), 87
-----
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab ALLAH taala makhluq ko paida kar chuka to Apni kitab (lohey mehfooz) jo unkey paas arsh par mojud hai usmein likha  ki Meri Rahmat mere Ghazab( gussey) par ghalib hai
Sahih Bukhari, Vol 4, 3194
-----
✦  Ek Admee ne Kaha Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam kabira gunah kya hain to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu Ke sath Shirk Karna Allah Subhanahu ki Shafqat se na umeed hona aur Allah Subhanahu ki Rahmat se Mayus hona 
Al-Silsila-As-Sahiha 1050
------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki ALLAH subhanahu ne Rahmat ko jis din banaya to uske 100 hisse kiye aur apne pass unmein se 99 rakhe iske baad tamam makhluq ke liye sirf Ek hissa Rahmat ka bheja, agar kaafir ko wo tamam Raham malum ho jaye jo ALLAH subhanahu ke pass hai to jannat se na ummeed na ho, aur agar momeen ko wo tamam Azab malum ho jaye jo ALLAH ke pass hai to wo Dozakh se kabhi bekhauff na ho
Sahih Bukhari, Vol 7, 6469

Inmein se Momeen ko kya nahi hona chahaiye...?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zayda hain❗

Sawal: Inmein se Momeen ko kya nahi hona chahaiye...?

A: Chugali karne wala
B: Taane dene wala
C: Laanat karne wala
D: Mazaq udane wala
E: Gandi baate karne wala
F: Behayi karne wala
G: Badzubani karne wala
H: Bad Kalami karne wala

I: Sahi Jawab ka Intezaar

***********************

Sahi Jawab - BCEFGH ✅

Reference📚
-----
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne irshaad farmaya Momin taana dene waala, laanat karne waala, gandi baatein karne waala aur behaya nahin hota.

Jami` at-Tirmidhi 1977- Sahih
------'-
Abdullah Bin Masood Radi Allahu Anhu kehte hain ke RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallamne farmaya Momin bohat ziyada laanat karne wala, tane dainay wala, badzubaan aur bad kalaam nahi hota. 
-----
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 388-Sahih

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne ek baar farmaya main tumhe ek aisee baat batata hu jo kisi nabee ne apni qaum ko nahi batayee wo baat kaunsi thi ya kiske bare mein thi


❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne ek baar farmaya main tumhe ek aisee baat batata hu jo kisi nabee ne apni qaum ko nahi batayee wo baat kaunsi thi ya kiske bare mein thi 

A: Suraj ka mashreek se nikalna
B: Dajjal ke bare mein
C: Namaz aur Hajj ke bare mein
D: Jahannum ke bare 
E: Allah Subhanahu ke azab ke bare mein  
F: Qayamat ke bare mein  
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar?

************************

Sahi Jawab - B✅

Reference📚:
-----------
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya “kuy nah mein tumhe Dajjal ke mutaliq ek aisi baat bata doun jo kisi Nabi ne apni qoum ko ab taq nahi batayi woh kaana hoga aur Jannat aur Jahannum jaisi cheez laayega. pas jisay wo Jannat kahega dar haqeeqat wohi dozakh hogi aur mein tumhe is ke fitne se isi terhan darata hon, jaisay Noah Alehi Salam ne apni qoum ko daraya tha.
------------

 نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”کیوں نہ میں تمہیں دجال کے متعلق ایک ایسی بات بتا دوں جو کسی نبی نے اپنی قوم کو اب تک نہیں بتائی۔ وہ کانا ہو گا اور جنت اور جہنم جیسی چیز لائے گا۔ پس جسے وہ جنت کہے گا درحقیقت وہی دوزخ ہو گی اور میں تمہیں اس کے فتنے سے اسی طرح ڈراتا ہوں، جیسے نوح علیہ السلام نے اپنی قوم کو ڈرایا تھا۔“ 
------------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 3338

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne kis ke liye farmaya ke roz qayamat uss shakhs ke liye baais ruswai o nedamat hogi?


❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne kis ke liye farmaya ke roz qayamat uss shakhs ke liye baais ruswai o nedamat hogi?

A: Jaldbazi karne wala
B: Jhoot bolne wala
C: Bukhl karne wala
D: Aulad
E: Chugalkhor
F: logo ke Aib nikalne wala
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likhe) 

H: Sahi Jawab ka intezaar

*****************

Sahi Jawab – G ✅(Amel/Governor) joh apni zimmedari na nibha sake

Reference📚:

Abuzer RadiAllahu Anhu bayan karte hain, mein ne arz kiya, Allah ke Rasool Sallallahu Alahih Wasallam aap mujhe Amel (governor) kyun nahi muqarrar farma dete? woh bayan karte hain, Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne mere kandhay par haath maar kar farmaya Abuzer! Tum kamzor aadmi ho, jabkay woh ek amanat hai, jis shakhs ne usay is ke haq ke mutabiq nah liya aur nah is ki zimmedariyon ko nibhaya to woh rozِ qayamat is shakhs ke liye baais ruswai o nedamat hogi
----------------
ابوذر ؓ بیان کرتے ہیں ، میں نے عرض کیا ، اللہ کے رسول ! آپ مجھے عامل (گورنر) کیوں نہیں مقرر فرما دیتے ؟ وہ بیان کرتے ہیں ، آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے میرے کندھے پر ہاتھ مار کر فرمایا :’’ ابوذر ! تم کمزور آدمی ہو ، جبکہ وہ ایک امانت ہے ، جس شخص نے اسے اس کے حق کے مطابق نہ لیا اور نہ اس کی ذمہ داریوں کو نبھایا تو وہ روزِ قیامت اس شخص کے لیے باعث رسوائی و ندامت ہو گی
---------------
Sahi Hadees
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 3682

Mahfhum e hadith ke mutabiq Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne inemin se kaun se shaqs ko danishmand kaha hain?


❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mahfhum e hadith ke mutabiq Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne inemin se kaun se shaqs ko danishmand kaha hain?

A: Khamosh rehne wala
B: Raat ko sote waqt ki dua padh ke sone wala
C: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam par subha aur sham darood padne wala
D: Jihad karne wala
E: Witr ki namaz padke sone wala
F: Logo ko achchi baat ki naseehat karne wala
G: Inmein se koi nahi (Apna Jawab likhe)

H: Sahi Jawab ka Intezaar?

*******************

Sahi Jawab - E✅

Reference📚:
----------
Saad Bin Abi Waqqas RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke wo Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ki Masjid mein Isha ki namaz padha karte thy phir ek witr padhte, is se ziyada nahi padhte. Unse kaha jata Abu Ishaq aap ek witr padhte hain, is se ziyada nahi padhte? Woh kehte haan, mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam se suna farma rahe thy jo shaqs witr padh kar sota hain woh Danishmand hain.
----------------
سعد بن ابی وقاصرضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ وہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم كی مسجد میں عشاء كی نماز پڑھا كرتے تھے ۔ پھر ایك وتر  پڑھتے، اس سے زیادہ نہ پڑھتے۔ ان سے كہا جاتا: ابواسحاق   آپ ایك وتر پڑھتے ہیں، اس سے زیادہ نہیں پڑھتے؟ وہ كہتے ہاں، میں نے رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم سے سنا فرما رہے تھے جوشخص وتر پڑھ كر سوتا ہے وہ دانش مند ہے
-----------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 963

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...