Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
Monday, 3 February 2020
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne kis ke liye farmaya ke roz qayamat uss shakhs ke liye baais ruswai o nedamat hogi?
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne kis ke liye farmaya ke roz qayamat uss shakhs ke liye baais ruswai o nedamat hogi?
A: Jaldbazi karne wala
B: Jhoot bolne wala
C: Bukhl karne wala
D: Aulad
E: Chugalkhor
F: logo ke Aib nikalne wala
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likhe)
H: Sahi Jawab ka intezaar
*****************
Sahi Jawab – G ✅(Amel/Governor) joh apni zimmedari na nibha sake
Reference📚:
Abuzer RadiAllahu Anhu bayan karte hain, mein ne arz kiya, Allah ke Rasool Sallallahu Alahih Wasallam aap mujhe Amel (governor) kyun nahi muqarrar farma dete? woh bayan karte hain, Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne mere kandhay par haath maar kar farmaya Abuzer! Tum kamzor aadmi ho, jabkay woh ek amanat hai, jis shakhs ne usay is ke haq ke mutabiq nah liya aur nah is ki zimmedariyon ko nibhaya to woh rozِ qayamat is shakhs ke liye baais ruswai o nedamat hogi
----------------
ابوذر ؓ بیان کرتے ہیں ، میں نے عرض کیا ، اللہ کے رسول ! آپ مجھے عامل (گورنر) کیوں نہیں مقرر فرما دیتے ؟ وہ بیان کرتے ہیں ، آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے میرے کندھے پر ہاتھ مار کر فرمایا :’’ ابوذر ! تم کمزور آدمی ہو ، جبکہ وہ ایک امانت ہے ، جس شخص نے اسے اس کے حق کے مطابق نہ لیا اور نہ اس کی ذمہ داریوں کو نبھایا تو وہ روزِ قیامت اس شخص کے لیے باعث رسوائی و ندامت ہو گی
---------------
Sahi Hadees
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 3682
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmanirrahim Jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma ----------------- Rasool-Al...
-
Bismillahirahmanirrahim Wa antum fa JazakAllahu khairan --- Aur aapko bhi Allah aapko bhi achcha Sila ataa farmaye --- And you ...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmannirrahim اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَتِي وَآمِنْ رَوْعَاتِي Allahummastur awrati, wa amin raw'ati ----- Eh Allah Mere A...
No comments:
Post a Comment