Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 3 February 2020

Mahfhum e hadith ke mutabiq Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne inemin se kaun se shaqs ko danishmand kaha hain?


❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mahfhum e hadith ke mutabiq Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne inemin se kaun se shaqs ko danishmand kaha hain?

A: Khamosh rehne wala
B: Raat ko sote waqt ki dua padh ke sone wala
C: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam par subha aur sham darood padne wala
D: Jihad karne wala
E: Witr ki namaz padke sone wala
F: Logo ko achchi baat ki naseehat karne wala
G: Inmein se koi nahi (Apna Jawab likhe)

H: Sahi Jawab ka Intezaar?

*******************

Sahi Jawab - E✅

Reference📚:
----------
Saad Bin Abi Waqqas RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke wo Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ki Masjid mein Isha ki namaz padha karte thy phir ek witr padhte, is se ziyada nahi padhte. Unse kaha jata Abu Ishaq aap ek witr padhte hain, is se ziyada nahi padhte? Woh kehte haan, mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam se suna farma rahe thy jo shaqs witr padh kar sota hain woh Danishmand hain.
----------------
سعد بن ابی وقاصرضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ وہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم كی مسجد میں عشاء كی نماز پڑھا كرتے تھے ۔ پھر ایك وتر  پڑھتے، اس سے زیادہ نہ پڑھتے۔ ان سے كہا جاتا: ابواسحاق   آپ ایك وتر پڑھتے ہیں، اس سے زیادہ نہیں پڑھتے؟ وہ كہتے ہاں، میں نے رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم سے سنا فرما رہے تھے جوشخص وتر پڑھ كر سوتا ہے وہ دانش مند ہے
-----------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 963

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...