Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 20 March 2022

ab Qayamat ke din Suraj bandon ke qareeb kar diya jayega yaha tak ki wo srif ek ya do mil ke faasley par reh jayega tab kya hoga?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 887❗

❗Jawab ek se zayda hain

Sawal: Jab Qayamat ke din Suraj bandon ke qareeb kar diya jayega yaha tak ki wo srif ek ya do mil ke faasley par reh jayega tab kya hoga?

A: kisi ko apni ediyon tak paseena aa raha hoga
B: kisi ko apni kamar tak paseena aa raha hoga
C: apne amal ke baqadar paseene mein ghark honge
D: kisi ko ghutno tak paseena aa raha hoga
E: koi paseene ke dariya mein tair raha hoga
F: jiske muh tak paseena hoga ussay paseene ki lagaam pehnayi jayegi
G: kisi ko muh tak paseena aa raha hoga
H: kisi ke hateliyon tak paseena aa raha hoga
I: Sahih jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - ABCDFG✅

Hadith: Qayamat ke din jab Suraj bandon ke qareeb kar diya jayega to logon ka ye alaam hoga

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Jab Qayamat ka din hoga to Suraj ko bundon ke qareeb kar diya jaye ga hatta ke wo Ek ya Do mil ke faasle par reh jayega to Suraj inhen jalaaye ga, is waqt wo apne aamaal ke baqadar paseene mein ghark honge, kisi ko ediyon tak, paseena aa raha hoga, kisi ko ghutnon tak, kisi ko kamar tak aur kisi ko mun tak mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko dekha ke Aap ne apne mun ki taraf ishara kiya, yani usay paseene ki lagaam pehnai jayegi.
---
مقداد  رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جب قیامت کا دن ہوگا تو سورج کو بندوں کے قریب کر دیا جائے گا حتی کہ وہ ایک یا دو میل کے فاصلے پر رہ جائے گا۔ تو سورج انہیں جلائے گا،اس وقت وہ اپنے اعمال کے بقدر پسینے میں غرق ہوں گے، کسی کو ایڑیوں تک،پسینہ آرہا ہوگا، کسی کو گھٹنوں تک،کسی کو کمر تک اور کسی کو منہ تک۔ میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو دیکھا کہ آپ نے اپنے منہ کی طرف اشارہ کیا، یعنی اسے پسینے کی لگام پہنائی جائے گی۔
---
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: When the Day of Resurrection comes, the sun will be brought closer to the slaves, even it is one or two miles away. So the sun will burn them, at that time they will be drenched in sweat as much as their deeds, some will be sweating up to heels, some up to knees, some up to waist and some up to mouth. I saw the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam pointing to his face, that is, he would be covered with sweat.
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#2520

In mein se kis amal ke zariye apne aapko Allah Subhanahu se khareed sakte hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 886❗

Sawal : In mein se kis amal ke zariye apne aapko Allah Subhanahu se khareed sakte hain?

A: Us maal se jo Allah ne usko diya hain
B: Allah ka Zikr karke
C: apna maal se kisi ka qarz adda karke
D: Ilm Allah ki raza ke liye hasil karke
E: Allah ke liye dusron ko muaff karke
F: Allah ke raste mein jihaad karke
G: In mein se koi nahi (apna jawab likiye)
H: Sahi jawab ka Intezaar
****
Sahih Jawab - A✅

Hadith: Allah Subhanahu ke maal se, apne aap ko Allah se khareed lo.
-----
Abu Qatadeh RadiAllahu Anhu kehte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Eh logo! Allah ke maal se, apne aap ko Allah se khareed lo, agar tum mein se koi bakheeli karen wo logon ko apna maal dene se, to pehle apne aap se shuru karen, Allah ke diye huyee maal mein se khud par Sadqa karen khaye aur pehne
------
ابو قتادہ كہتے ہیں كہ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: اے لوگو ! اللہ كے مال سے، اپنے آپ كو اللہ سے خرید لو، اگر تم میں سے كوئی بخیلی  كرے، وہ لوگوں كو اپنا مال  دینے سے،  تو پہلے اپنے آپ سے شروع كرے، اللہ كے دیئے ہوئے مال میں سے خود پر صدقہ كرے، كھائے اور پہنے
------
Al-Silsila-tus-Sahiha#1423-Sahih

Jab dozakhi jannat mein apna thikana dekhega to kya kahega

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 885 ❗

Ek se zyada jawab

Sawal : Jab dozakhi jannat mein apna thikana dekhega to kya kahega ?

A. Humne Quran ki khas pabandi ki hoti to hamara ye haal na hota
B. Kash hum mazaq udane walon mein na hote
C. Allah Subhanahu mujhe bhi hidayat de deta
D. Main apne mabudon par laanat bhejta hu
E. Allah Subhanahu mujhe par raham farma
F. Allah Subhanahu ke ehkamat mein kotahi na ki hoti
G. Khash humne namazon ki pabandi ki hoti to hamara ye haal na hota
H. Akhirat ke din ko jhutlaya na hota
I. Sahi jawab ka Intezaar
****
Sahi jawab : BCF ✅

Reference : 📚
----------
Abu Huraira Radi Allahu Anhu kehte hai ki Rasoolallah Sallelahu Alaihi Wasallam ne farmaya : har jahanumi jannat mein apna thikana dehkega aur kahega kaash Allah Taala mujhe bhi hidaayat de deta, tab yeh unki hasrat rahegi aur har janati jahannum mein apna thikana dehkega aur kahega, agar Allah Taala mujhe hidaayat nahi deta to (yeh mera thikana hota) yeh baat un ke liye bais shukar hogi phir Rasoolallah Sallelahu Alaihi Wasallam ne yeh aayat tilawat ki
اَنۡ تَقُوۡلَ نَفۡسٌ یّٰحَسۡرَتٰی عَلٰی مَا فَرَّطۡتُّ فِیۡ جَنۡۢبِ اللّٰہِ وَ اِنۡ کُنۡتُ لَمِنَ السّٰخِرِیۡنَ ﴿ۙ۵۶﴾
Tarjuma : Aisa na ho ke koi shakhs kahe haaye afsos! Iss baat par ke mein ne Alalh Taala ke ehkamaat mein kotahi ki balkay mein to mazaq udaney walon mein hi raha.
(Surah Zumar#56)
-----------
ابو ہریرہ كہتے ہیں كہ رسول اللہ ﷺ نے فرمایا: ہر جہنمی جنت میں اپنا ٹھكانہ دیكھے گا اور كہے گا: كاش اللہ تعالیٰ مجھے بھی ہدایت دے دیتا، تب یہ ان كی حسرت رہے گی اور ہر جنتی جہنم میں اپنا ٹھكانہ دیكھے گا اور كہے گا، اگر اللہ مجھے ہدایت نہ دیتا تو ( یہ میرا ٹھكانہ ہوتا ) یہ بات ان كے لئے باعث شكر ہوگی۔پھر رسول اللہ ﷺ نے یہ آیت تلاوت كی: 
 اَنۡ تَقُوۡلَ نَفۡسٌ یّٰحَسۡرَتٰی عَلٰی مَا فَرَّطۡتُّ فِیۡ جَنۡۢبِ اللّٰہِ وَ اِنۡ کُنۡتُ لَمِنَ السّٰخِرِیۡنَ( ازمر: ٥٦ )  
 جہنمی كہے گا ہائے حسرت ،جو ہم نے اللہ كے احكامات میں كوتا ہی کی بلکہ میں تو مذاق اڑانے والوں میں ہی رہا
---------
Al-Silsila-tus-Sahiha#1493

Zameen ki barkatein kya hai

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 884 ❗

Sawal : Zameen ki barkatein kya hai ?

A. Suraj ki roshni
B. Chand ki roshni
C. Barish ka paani
D. Hawa
E. Pahaad
F. Samndar
G. Baghichey
H. In mein se koi nahi to apna jawab likhein
I. Sahi jawab ka Intezaar
****
Sahi jawab : H. Duniya ki chamak dhamak ✅

Reference : 📚
--------
Rasoolallah Sallelahu Alaihi Wasallamllah ne farmaya ke mein tumahray mutaliq sab se ziyada is se khauf khata hon ke jab Allah Taala zameen ki barkatein tumahray liye nikaal dega. poocha gaya zameen ki barkatein kya hain? farmaya ke duniya ki chamak dhamak, is par aik sahabi ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se poocha kya bhalai se burayee paida ho sakti hai? Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam is par khamosh ho gaye aur hum ne khayaal kiya ke shayad Aap par wahi nazil ho rahi hai. is ke baad apni peshani ko saaf karne lagey aur daryaft farmaya, poochnay walay kahan hain? poochnay walay ne kaha ke haazir hon. Abbu Saeed Khudri Radi Allahu Anhu ne kaha ke jab is sawal ka hal hamaray samnay aa gaya to hum ne un sahib ki tareef ki. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke bhalai se to sirf bhalai hi paida hoti hai lekin yeh maal sirsabz aur Khushgawar ( ghaas ki terhan ) hai aur jo cheez bhi Rabiy ke mausam mein ugti hain woh hiras ke sath khanay walon ko halaak kar deti hain ya halakat ke qareeb pouncha deti hain. siwaye is janwar ke jo pait bhar ke khaye ke jab is ne kha liya aur is ki dono kookh bhar gayeen to is ne Sooraj ki taraf mun kar ke jagali kar li aur phir pakhana pishaab kar diya aur is ke baad phir lout ke kha liya aur yeh maal bhi bohat sheree hai jis ne usay haq ke sath liya aur haq mein kharch kiya to woh behtareen zariya hai aur jis ne usay najaaiz tareeqa se haasil kiya to woh is shakhs jaisa hai jo khata hai lekin aasooda nahi hota .
--------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ میں تمہارے متعلق سب سے زیادہ اس سے خوف کھاتا ہوں کہ جب اللہ تعالیٰ زمین کی برکتیں تمہارے لیے نکال دے گا۔ پوچھا گیا زمین کی برکتیں کیا ہیں؟ فرمایا کہ دنیا کی چمک دمک ، اس پر ایک صحابی نے نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم سے پوچھا کیا بھلائی سے برائی پیدا ہو سکتی ہے؟ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم اس پر خاموش ہو گئے اور ہم نے خیال کیا کہ شاید آپ پر وحی نازل ہو رہی ہے۔ اس کے بعد اپنی پیشانی کو صاف کرنے لگے اور دریافت فرمایا، پوچھنے والے کہاں ہیں؟ پوچھنے والے نے کہا کہ حاضر ہوں۔ ابو سعید خدری رضی اللہ عنہ نے کہا کہ جب اس سوال کا حل ہمارے سامنے آ گیا تو ہم نے ان صاحب کی تعریف کی۔ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ بھلائی سے تو صرف بھلائی ہی پیدا ہوتی ہے لیکن یہ مال سرسبز اور خوشگوار (گھاس کی طرح) ہے اور جو چیز بھی ربیع کے موسم میں اگتی ہیں وہ حرص کے ساتھ کھانے والوں کو ہلاک کر دیتی ہیں یا ہلاکت کے قریب پہنچا دیتی ہیں۔ سوائے اس جانور کے جو پیٹ بھر کے کھائے کہ جب اس نے کھا لیا اور اس کی دونوں کوکھ بھر گئیں تو اس نے سورج کی طرف منہ کر کے جگالی کر لی اور پھر پاخانہ پیشاب کر دیا اور اس کے بعد پھر لوٹ کے کھا لیا اور یہ مال بھی بہت شیریں ہے جس نے اسے حق کے ساتھ لیا اور حق میں خرچ کیا تو وہ بہترین ذریعہ ہے اور جس نے اسے ناجائز طریقہ سے حاصل کیا تو وہ اس شخص جیسا ہے جو کھاتا ہے لیکن آسودہ نہیں ہوتا۔
--------
Narrated Abu Sa`id Al-Khudri: Allah's Apostle said, The thing I am afraid of most for your sake, is the worldly blessings which Allah will bring forth to you. It was said, What are the blessings of this world? The Prophet said, The pleasures of the world. A man said, Can the good bring forth evil? The Prophet kept quiet for a while till we thought that he was being inspired divinely. Then he started removing the sweat from his forehead and said, Where is the questioner? That man said, I (am present). Abu Sa`id added: We thanked the man when the result (of his question) was such. The Prophet said, Good never brings forth but good. This wealth (of the world) is (like) green and sweet (fruit), and all the vegetation which grows on the bank of a stream either kills or nearly kills the animal that eats too much of it, except the animal that eats the Khadira (a kind of vegetation). Such an animal eats till its stomach is full and then it faces the sun and starts ruminating and then it passes out dung and urine and goes to eat again. This worldly wealth is (like) sweet (fruit), and if a person earns it (the wealth) in a legal way and spends it properly, then it is an excellent helper, and whoever earns it in an illegal way, he will be like the one who eats but is never satisfied.
---------
Sahih Bukhari#6427

Kafir ka dum kis aaza se nikalta hain aur uski misaal (yani dum nikalne ki) kis ki terah dum nikalne se di gayi hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 883❗

Do sawal hain❗

Sawal1️⃣: Kafir ka dum kis aaza se nikalta hain?

A: Aankhen
B: Sir se
C: Pairo se
D: Hathon se
E: Pindiliyon se
F: bazuo se
G: Inmein se koi nahi (to apna jawab likho)
H: Sahih Jawab ka intezaar

Sawal2️⃣: aur uski misaal (yani dum nikalne ki) kis ki terah dum nikalne se di gayi hain

A: Murdaar
B: Khinzeer
C: Gadha
D: Sanobar
E: Bandar
F: Ghoda
G: inmein se koi nahi (to apna jawab likhiye) 
H: Sahih Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab -1 G- Banchon se 2-C✅
Hadith: Momeen ki rooh paseene ka katra tapakne ki terhan narmi se niakl jaati hain jabke kafir ki rooh unke bachon se nikalti hain jaise ghada saanse leta hain
Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya apne mardon ko La ilaha illAllah ki Talqeen karo, kuyke Momeen ki rooh paseene ka katra tapakne ki terhan narmi se nikal jati hain jabke Kafir ki saanse (yani rooh) iske bachon se niklta hain jis terhan gadhe ka saans niklta hain.
---
عبداللہ رضی اللہ عنہ  سے مرفوعا مروی ہے كہ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اپنے مردوں كو”لااله الااللہ“كی تلقین كرو، كیوں كہ مومن كی روح پسینے کاقطرہ ٹپکنے کی طرح  نرمی سے نكل جاتی ہے۔ جب كہ كافر  كا سانس اس كی باچھوں سے نكلتا ہے۔ جس طرح گدھے كا سانس نكلتا ہے۔ 
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said encourage your men to say “La ilaha illAllah”, because the soul of a believer comes out gently like a drop of sweat. Whereas the soul of the disbeliever comes like breath of a out of his calves. The same way a donkey breathes.
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#3294

Kaunse shakhs ke liye farmaya ke wo ek murde ki tarha hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 882❗

Sawal: Kaunse shakhs ke liye farmaya ke wo ek murde ki tarha hain

A: Sadqa nahi dene wale
B: Allah ka Zikr nahi karne wale
C: Dua nahi mangne wala
D: Roza nahi rakhne wale
E: ilm hasil nahi karne wale
F: Namaz nahi padhne wale
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezaar
****
Sahi Jawab B✅

Hadith: Allah Subhanahu ke Zikr karne wala Zinda ki tarha hai aur jo Zikr nahi karte wo Murde ki tarha hain

Reference : 📚
-------
Hazrat Abu Musa Radi Allahu Anhu bayan karte hai, Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya, "Wo shakhs jo apne RABB ka zikr karta hain wo zinda ki tarah hain aur wo shakhs jo zikr nahi karta Murde ki tarah hain".
---------
حضرت ابوموسی   ؓ  بیان کرتے ہیں ، رسول اللہ صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا :’’ وہ شخص جو اپنے رب کا ذکر کرتا ہے وہ زندہ کی طرح ہے اور وہ شخص جو ذکر نہیں کرتا مردہ کی طرح ہے ۔‘‘ متفق علیہ ، رواہ البخاری (۶۴۰۷) و مسلم
-----
Narrated Abu Musa: The Prophet said, The example of the one who celebrates the Praises of his Lord (Allah) in comparison to the one who does not celebrate the Praises of his Lord, is that of a living creature compared to a dead one. 
-------
Sahih BhukhariHadees#6407
Mishkat ul Masabeeh#2263-Sahih

Taqwa ikhtyar karne ke liye kaunsi cheez farz hain Surah baqrah ki roshni mein jawab dijiye

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 881❗

Al Quran

Sawal: Taqwa ikhtyar karne ke liye kaunsi cheez farz hain Surah baqrah ki roshni mein jawab dijiye

A: Hajj
B: Zakat
C: Namaz
D: Shahadat
E: Quran
F: Roze
G: inmein se koi nahi (to apna jawab likhiye)
H: Sahih jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - F✅

Al Quran: Roze tumpar Farz kiye gaye hai taaki tum taqwa ikhtiyaar karo

Reference📚:
---
Eh Imaan walo! Tum par Roze rakhna Farz kiya gaye hain jis terhan tumse pehle logon par farz kiye gaye thy taaki tum taqwa iktiyaar karo

Bismillahirrahmannirrahim

یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا کُتِبَ عَلَیۡکُمُ الصِّیَامُ کَمَا کُتِبَ عَلَی الَّذِیۡنَ مِنۡ قَبۡلِکُمۡ لَعَلَّکُمۡ تَتَّقُوۡنَ
----
 اے ایمان والو !تم پر روزے رکھنا فرض کیا گیا جس طرح تم سے پہلے لوگوں پر فرض کئے گئے تھے تاکہ تم تقویٰ اختیار کرو ۔
---
O you who have believed, decreed upon you is fasting as it was decreed upon those before you that you may become righteous -
---
Surah Al Baqrah: (02: 183)

Dozakh mein kis wajah se log aundhe muh dale jayege? Tamam baton ka jis par dar o madar hain wo kya hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 880❗

❗2 sawal hain

Sawal1️⃣: Dozakh mein kis wajah se log aundhe muh dale jayege?

Sawal2️⃣: Tamam baton ka jis par dar o madar hain wo kya hain

A: Dil
B: Gunah
C: Sila Rehami
D: Zuban
E: Sharamga
F: Aamaal
G: Nekiyan
H: Inmein se koi nahi
I: Sahih jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - DD✅
Hadith: Tamam baton ka jis par dar o madar hain wo Zuban hain aur aksar Dozak mein log aundhe muh apni Zaban ke wajah se daale jayege..
Reference📚:
----
Hazrat Mu'adh bin Jabal RadiAllahu Anhu se rivayat hain Ek Safar mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath thy, ek din Subha ko Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se kareeb huwa, aur ham chal rahe thy maine Arz kiya Allah ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Aap mujhe koi ammal bataye Jo mujhe Jannat mein dhakil ker de aur Jahannum se durr rakhen Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaye tumne ek bahut badi cheez ka sawal kiya hain aur beshaq ye ammal us Shaks ke liye asan hai jis ke liye Allah Subhanahu asaan kar de tum Allah Subhanahu ki ibadat karo uske saath kisi ko shariq mat karo, Namaz qayam karo, Zakat do, Ramzan ke roze rakho aur Bait Ullah ka Hajj karo, phir Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaye kya mein tumhein bhalayi ke darwaze na batau?
Roza dhaal hain, Sadqa gunahon ko aise he mitata hai jaise pani aag ko bhujata hain, aadhi raat mein Aadmi ka Namaz (Tahajjud) adaa karna. Phir Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne iss aayat ko tilawat farmaya 
Surah As-Sajdah 16-17
Phir farmaya kya mein tumhe Deen ki asal, is ka sutoon aur is ki chooti na bata du? Wo Allah Subahnahu ki raah mein Jihaad hain Phir farmaya kya un tamam baton ka jis cheez par dar-o-madar hain wo na bata du? Mein ne Arz kiya : Jee haan zaroor bataiye, to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne apni Zabaan Mubarak pakadi aur farmaya usay apne Qaabu mein rakho, Mein ne Arz kiya : Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi wasallam kya hum jo bolte hain is par bhi hamari pakad hogi? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Maaz! Teri Maa tujh par roye! Log apni zabanon ki karastaniyon ki wajah se he aundhe mun Jahannum mein daaley jayen ge.
----
میں ایک سفر میں نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کے ساتھ تھا، ایک دن میں صبح کو آپ سے قریب ہوا، اور ہم چل رہے تھے، میں نے عرض کیا: اللہ کے رسول! آپ مجھے کوئی عمل بتائیے جو مجھے جنت میں داخل کر دے، اور جہنم سے دور رکھے، آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  تم نے ایک بہت بڑی چیز کا سوال کیا ہے، اور بیشک یہ عمل اس شخص کے لیے آسان ہے جس کے لیے اللہ تعالیٰ آسان کر دے، تم اللہ تعالیٰ کی عبادت کرو، اس کے ساتھ کسی کو شریک مت کرو، نماز قائم کرو، زکاۃ دو، رمضان کے روزے رکھو اور بیت اللہ کا حج کرو ، پھر آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  کیا میں تمہیں بھلائی کے دروازے نہ بتاؤں؟ روزہ ڈھال ہے، صدقہ گناہوں کو ایسے ہی مٹاتا ہے جیسے پانی آگ کو بجھاتا ہے، اور آدھی رات میں آدمی کا نماز  ( تہجد )  ادا کرنا ، پھر آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے یہ آیت:تتجافى جنوبهم عن المضاجع  ( سورة السجدة: 16 )  تلاوت فرمائی یہاں تک کہ جزاء بما كانوا يعملون تک پہنچے، پھر فرمایا:  کیا میں تمہیں دین کی اصل، اس کا ستون اور اس کی چوٹی نہ بتا دوں؟ وہ اللہ کی راہ میں جہاد ہے ، پھر فرمایا:  کیا ان تمام باتوں کا جس چیز پر دارومدار ہے وہ نہ بتا دوں ؟ میں نے عرض کیا: جی ہاں ضرور بتائیے، تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے اپنی زبان مبارک پکڑی اور فرمایا:  اسے اپنے قابو میں رکھو ، میں نے عرض کیا: اللہ کے نبی! کیا ہم جو بولتے ہیں اس پر بھی ہماری پکڑ ہو گی؟، آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  معاذ! تیری ماں تجھ پر روئے! لوگ اپنی زبانوں کی کارستانیوں کی وجہ سے ہی اوندھے منہ جہنم میں ڈالے جائیں گے ۔
----
It was narrated that Mu’adh bin Jabal RadiAllahu Anhu said: “I was with the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam on a journey. One morning I drew close to him when we were on the move and said: ‘O Messenger of Allah, tell me of an action that will gain me admittance to Paradise and keep me far away from Hell.’ He said: ‘You have asked for something great, but it is easy for the one for whom Allah makes it easy. Worship Allah and do not associate anything in worship with Him, establish prayer, pay charity, fast Ramadan, and perform Hajj to the House.’ Then he said: ‘Shall I not tell you of the means of goodness? Fasting is a shield, and charity extinguishes sin as water extinguishes fire, and a man’s prayer in the middle of the night.’ Then he recited: “Their sides forsake their beds” until he reached: “As a reward for what they used to do.”[32:16-17] Then he said: ‘Shall I not tell you of the head of the matter, and its pillar and pinnacle? (It is) Jihad.’ Then he said: ‘Shall I not tell you of the basis of all that?’ I said: ‘Yes.’ He took hold of his tongue then said: ‘Restrain this.’ I said: ‘O Prophet of Allah, will we be brought to account for what we say?’ He said: ‘May your mother not found you, O Mu’adh! Are people thrown onto their faces in Hell for anything other than the harvest of their tongues?’”
---
Sunan Ibn e Maja 3973

kis ki taraf lagataar dehkne se mana farmaya hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 879❗

Sawal: kis ki taraf lagataar dehkne se mana farmaya hain

A: Aag ki taraf
B: Suraj ki taraf
C: Aasman ki taraf
D: Beemar shakhs ki taraf
E: Taaon ki beemari mein mubtala shakhs ko
F: Kodh ke mareez ko 
G: Inmein se koi nahi (to apna jawab likhiye)
H: Sahih Jawab ka intezaar
**
Sahih Jawab - F✅

Reference📚:
---
Abdullah bin Abbas RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke kodhi (juzami shakhs) ki taraf musalsal na dehko
---
عبداللہ بن عباس رضی اللہ عنہ  سے مرفوعا مروی ہے رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا كہ كوڑھی لوگوں كی طرف مسلسل نہ دیكھو۔
---
'Abdullah ibn' Abbas RadiAllahu Anhu narrates that Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said that one should not look at lepers (leprosy person) constantly.
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#2346

Namaz ke dauran kisi ka wazu toot jaye to wo inmein se kaunsa amal karen?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 878❗

Sawal : Namaz ke dauran kisi ka wazu toot jaye to wo inmein se kaunsa amal karen?

A: Apna haath muh par rakh kar waha se nikal jaye
B: Apne sir par haath rakh kar waha se nikal jaye
C: Apni namaz khatam karke waha se nikal jaye
D: Apne seene par haath rakh kar waha se chala jaye
E: Apna haath naak par rakh kar waha se nikal jaye
F: Apni Namaz tode ke waha se chale jaye
G: Sajda Sahu karke dobara wazu karke aaye
H: Inmein se koi nahi
I: Sahih jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - E✅

Hadith: Namaz ke dauran kisi ka Wazu toot jaye to wo apne naak par haat rakh kar waha se nikal jaye

Reference📚:
----
Ayesha RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jab tum mein se koi shakhs Namaz padh raha ho aur wo be wazu ho jaaye to apni Naak par haat rakh kar nikal jaye
----
عائشہ rسے مروی ہے كہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جب تم میں سے كوئی شخص نماز پڑھ رہا ہو اور وہ بے وضو ہو جائے تو اپنی ناك پر ہاتھ ركھ كر نكل جائے
---
Aisha RadiAllahu Anha narrated that Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said When one of you is praying and his wudhu breaks during his prayer then he should put his hand on his nose and go out.
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#2372

Jo shakhs wazu karke ghar se masjid ki taraf srif issi niyat se Namaz padhne nikale to uske liye kya sawab hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 877❗

❗Jawab ek se zyada hain

Sawal: Jo shakhs wazu karke ghar se masjid ki taraf srif issi niyat se Namaz padhne nikale to uske liye kya sawab hain

A: uske baye kadam ke badle 10 neki likh di jaati hai
B: uske khata aise khatam hojate hai jaise darakth se sukke patte jhad jaate hain
C: uska baya pav gunah mitaata rehta hain
D:  uska daya pav neikiya likhte rehta hain
E: uske har kadam par faristey uske liye dua karte rehte hain
F: uske har neikiyan 10 gunah badah di jaati hain
G: uske daye kadam ke badle 10 gunah maaf kar diya jate hain
H: Sahih Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - CD✅

Hadith: Jo shakhs wazu karke ghar se masjid ki taraf srif iss niyat se Namaz padhne nikale to uska baya pav gunah mitaata rehta hain aur...

Reference📚:
---
Abdullah bin Umar RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jab tum Mein se koi shakhs Wudu karen aur wo achchi terhan wadu karen phir Masjid ki taraf chale, sirf namaz he usay ghar se nikale to baaye pav gunah mitata rahega aur dayan pav nekiya likhta rahega hatta ke Masjid mein daakhil hojaye
----
عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جب تم میں سے كوئی شخص وضو ءكرے اور وہ اچھی طرح وضوكرے پھر مسجد كی طرف چلے، صرف نماز ہی اسے گھر سے نكالے تو بایاں پاؤں گناہ مٹاتا رہے گا اور دایاں پاؤں نیكی لكھتا رہے گا، حتی كہ مسجد میں داخل ہو جائے
---
Abdullah bin Umar RadiAllahu Anhu narrates that Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said When one of you performs wudu 'and he performs wudu' properly and then goes to the mosque, the only reason of going out of the house is to pray, then the left foot will continue to erase sins and the right foot will continue to write good deeds, until he enters the mosque.
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#2363

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ek ghazwe mein farma rahe thy ek cheez zyada istemaal karne ko wo cheez kya thi?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 876❗

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ek ghazwe mein farma rahe thy ek cheez zyada istemaal karne ko wo cheez kya thi?

A: Paani
B: Chadaar
C: Teer
D: Lathi
E: Jooto
F: Miswaak
G: Inmein se koi nahi (to apna jawab likhiye)
H: Sahih jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - E✅

Hadith: Ghazwa ke dauran jooton ka istemaal zayda karne ko farmaya gaya hain

Reference📚:
-----
Jabir RadiAllahu Anhu se riwayat hain unhone ne kaha ke mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se suna Aap Sallallahu Alaihi wasallam Ek gazwah mein farma rahe thy Joote zyada pehna karo, kyunke aadmi is waqt tak sawaar hain jab tak wo jooton pehne rahe
----
جابر‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے انہوں نے کہا کہ میں نے نبی صلی اللہ علیہ وسلم سے سنا، آپ صلی اللہ علیہ وسلم ایک غزوے میں فرما رہے تھے : جوتے زیادہ پہنا کرو، کیونکہ آدمی اس وقت تک سوار ہے جب تک وہ جوتا پہنے رہے
----
Jabir RadiAllahu Anhu narrated that I heard the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam used to say during the battle: Wear more shoes, because a man rides as long as he wears shoes.
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#258

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Hauz ke bare mein kya kya baatein farmayi hain?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 875❗

❗Jawab ek se zayda hain

Sawal : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Hauz ke bare mein kya kya baatein farmayi hain?

A: Paani Barf se zyada safed
B: Shahed mein mile huwe doodh se zyada sheree
C: Paani barf se zyada thanda
D: Iski bartanein sitaro  ki tadad se zyada 
E: Aila aur Adan ke darmiyan musafat se zyada musafat wala
F: Khushbu musk se zyada achchi hain
G: 30 din ki musafat ke barabar
H: Paani doodh se zyada safed
I: Khushbu kastoori se zyada achchi hain
J: Shahed mein mile huwe paani se zyada meeta 
K: Sahi jawab ka Intezaar
***
Sahih Jawab - ABCDEFGHI✅

Hadith: Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ke Hauz e Mubarak ki khasiyat

Reference📚:
---
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Mera Hauz Ek maah (30 din) ki Masafat ke barabar hain, is ke ehtraaf barabar hain is ka pani doodh se zyada safaid hain, is ki khushbu kastoori se ziyada achchi hain aur is ke pyaale Aasman ke sitaron ki terhan hain, jis shakhs ne is se pi liya wo phir kabhi (Maidan Hashar mein) piyasa nahi hoga.
---
حضرت عبداللہ بن عمرو ؓ بیان کرتے ہیں ، رسول اللہ ﷺ نے فرمایا :’’ میرا حوض ایک ماہ کی مسافت کے برابر ہے ، اس کے اطراف برابر ہیں ۔ اس کا پانی دودھ سے زیادہ سفید ہے ، اس کی خوشبو کستوری سے زیادہ اچھی ہے اور اس کے پیالے آسمان کے ستاروں کی طرح ہیں ، جس شخص نے اس سے پی لیا وہ پھر کبھی (میدان حشر میں) پیاسا نہ ہو گا ۔‘‘ متفق علیہ ۔
---
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: “My Cistern is equal to the distance of one month, its sides are equal. Its water is whiter than milk, its fragrance is better than musk, and its cups are like the stars in the sky. Whoever drinks from it will never be thirsty again (on the Day of Judgment) 
----
Mishkat ul Masabeeh#5567-Sahih
**
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Mera Hauz Aila se Adan tak ke faasle se zyada wasee hain aur (is ka pani) barf se zyada safaid aur shehad miley doodh se ziyada sheree (zaiqedaar) hai aur is ke bartan sitaron ki tadaad se ziyada hain, (ye khalstan (khass taur par) meri ummat ke liye hain, is liye) mein (ummat ke ilawa dusre) logon ko is se rokunga, jaise aadmi apne hauz se logon ke oonton ko rokta hain Sahaba karaam ne poocha : Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam kya is din Aap hamein pehchanege? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Haan, tumhari Ek alamat hogi jo dusri kisi ummat ki nahi hogi, tum wudu ke assar se chamakate huyee chehre aur haath paon ke saath mere paas aaoge
----
مروان نے ابومالک اشجعی سعد بن طارق سے ، انہوں نے ابوحازم سے اور انہوں نے حضرت ابوہریرہ رضی اللہ عنہ سے روایت کی کہ رسول اللہ ﷺ نے فرمایا :’’ میرا حوض عدن سے ایلہ تک کے فاصلے سے زیادہ وسیع ہے اور ( اس کا پانی ) برف سے زیادہ سفید اور شہد ملے دودھ سے زیادہ شیریں ہے اور اس کے برتن ستاروں کی تعداد سے زیادہ ہیں ، ( یہ خالصتاً میری امت کے لیے ہے ، اس لیے ) میں ( امت کے علاوہ دوسرے ) لوگوں کو اس سے روکوں گا ، جیسے آدمی اپنے حوض سے لوگوں کے اونٹوں کو روکتا ہے ۔‘‘ صحابہ کرام نے پوچھا : اے اللہ کے رسول ! کیا اس دن آپ ہمیں پہچانیں گے ؟ آپ نے فرمایا :’’ ہاں ، تمہاری ایک علامت ہو گی جو دوسری کسی امت کی نہیں ہو گی ، تم وضو کے اثر سے چمکتے ہوئے چہرے اور ہاتھ پاؤں کے ساتھ میرے پاس آؤ گے ۔‘‘
----
Abu Huraira reported: Verily Allah's Messenger Sallallahu Alaihi wasallam said: My Cistern has its dimensions wider than the distance between Aila and Adan, and its water is whiter than ice and sweeter than the honey diluted with milk, and its cups are more numerous than the numbers of the stars. Verily I shall prevent the (faithless) people therefrom just as a man prevents the camels of the people from his fountain. They said: Messenger of Allah, will you recognize us on that day? He said: Yes, you will have distinctive marks which nobody among the peoples (except you) will have; you would come to me with blazing forehead and bright hands and feet on account of the traces of ablution.
---
Sahih Muslim#581
***
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ”Mera hauz Ek mahine ki masafat ke barabar hoga is ka pani doodh se ziyada safaid aur is ki *khushbu Mushk se zyada achchi hogi aur is ke koze aasman ke sitaron ki tadaad ke barabar honge. Jo shakhs is mein se Ek martaba pi le ga wo phir kabhi bhi (Maidan Mahshar mein) piyasa nahi hoga.
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”میرا حوض ایک مہینے کی مسافت کے برابر ہو گا۔ اس کا پانی دودھ سے زیادہ سفید اور اس کی خوشبو مشک سے زیادہ اچھی ہو گی اور اس کے کوزے آسمان کے ستاروں کی تعداد کے برابر ہوں گے۔ جو شخص اس میں سے ایک مرتبہ پی لے گا وہ پھر کبھی بھی  ( میدان محشر میں )  پیاسا نہ ہو گا۔“ 
Sahih Bukhari#6579
----
 “Syedna Sayedna Abu Huraira Aslami Radi Allahu Anhu se riwayat hai, Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya : Akhirat mein mera Ek hauz hoga, is ki wusat is qad rahegi jaise Aila se Sanaa tak ki masafat hai, is ki choraai is ki lambai jitni hogi, is mein Jannat se anay wale pani ke do parnaaley gir rahe honge, Ek parnala chandi ka hoga aur dusra sone ka, is ka pani shehad se ziyada sheree, barf se ziyada thanda, doodh se ziyada safaid hoga, jis ne is se ek dafaa pi liya wo jannat mein jane tak pyaas mehsoos nahi kare ga, is ke aabkhoron ki tadaad aasman ke taron jitni hogi.
---
سیدنا ابوبرزہ اسلمی ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  سے روایت ہے ، رسول اللہ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  آخرت میں میرا ایک حوض ہوگا، اس کی وسعت اس قد رہوگی جیسے ایلہ سے صنعاء تک کی مسافت ہے، اس کی چوڑائی اس کی لمبائی جتنی ہو گی، اس میں جنت سے آنے والے پانی کے دو پرنالے گر رہے ہوں گے، ایک پرنالہ چاندی کا ہوگا اور دوسرا سونے کا، اس کا پانی شہد سے زیادہ شیریں، برف سے زیادہ ٹھنڈا، دودھ سے زیادہ سفید ہوگا، جس نے اس سے ایک دفعہ پی لیا وہ جنت میں جانے تک پیاس محسوس نہیں کرے گا، اس  کے آبخوروں کی تعداد آسمان کے تاروں جتنی ہوگی۔  
----
Musnad Ahmed#13128

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne kis ka naam tabdil kiya aur farmaya ke tum Jamila ho

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 874❗

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne kis ka naam tabdil kiya aur farmaya ke tum Jamila ho

A: Asiya
B: Arwa
C: Zainab
D: Juveriya
E: Asma
F:  Hafsah
G: Inmein se koi nahi (to apna jawab likhiye)
H: Sahih Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - A✅

Hadith: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne Asiya naam ko tabdeel karke Jamila naam rakha

Reference📚:
---
Abdullah bin Umar RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasaallam ne Asiya (Nafarmani karne wali) naam tabdeel kiya aur farmaya : Tum Jamila ho
---
عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہما سے مرفوعا مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے عاصیہ(نا فرمانی کرنے والی)نام تبدیل کیا اور فرمایا: تم جمیلہ ہو
---
Abdullah bin Umar RadiAllahu Anhu narrated that the Messenger of Allah (may peace be upon him changed the name of Asiya (disobedient) and said: You are Jamila (beautiful).
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#305

Ek hadees ke mutabiq majlis ka sardar kis shakhs ko kaha gaya hai ?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 873❗

Sawal : Ek hadees ke mutabiq majlis ka sardar kis shakhs ko kaha gaya hai ?

A: Jiski taraf log muh karke baithte hain
B: Jiski log zayda izzat karte hain
C: Jisko Quran ka ilm zayda hain
D: Jo umar mein sabse bada ho
E: Jis ne majlis ki dawat di
F: Jis zayda hadeese yaad ho
G: Inmein se koi nahi (to apna jawab likiye)
H: Sahih jawab ka intezaar
***
Sahih jawab - A✅

Hadith: Majlis ka sardar wo hota hain jiski taraf log rukh karke baithte hain

Reference📚:
----
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya yaqeenan har cheez ka sardar hota hain aur majlis ka sardar wo hain jo jis ki taraf rukh karke sharkaye majlis baithy ho (yani majlis mein aaye huyee log jis ki tarah rukh karke baithte hain)
---
ابو ہریرہ رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: یقیناً ہر چیز کا سردار ہوتا ہےاور مجالس کا سرداروہ ہے جو جس کی طرف رخ کرکے شرکائے مجلس بیٹھے ہوں
---
Abu Huraira RadiAllahu Anhu narrated that Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said Surely he is the head of all things and the head of the councils is the one to whom the participants face while they are sitting.
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#294

Sabse bada gunah inmein se kise kaha gaya hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 872❗

Sawal: Sabse bada gunah inmein se kise kaha gaya hain

A: Apne maal ki numaish karna
B: kabron ko sajda gah banana
C: kisi ki izzat kharab karna 
D: kisi ki burai karna 
E: kisi ka haq marna
F: kisi ka maal hadap lena
G: Inmein se koi nahi (to apna jawab likhiye)
H: Sahih jawab ka intezaar
***
Sahih Jawab -  C✅

Hadith: Sabse bada gunah hain logon ki izzaton ko kharab karna

Reference📚"
---
Saeed bin Ziyad RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne faramaya sab se bada Gunah izzatoon ka kharab karna hain
----
سعید بن زید‌رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے : سب سے بڑا گناہ عزتوں کا خراب کرنا ہے
---
Saeed bin Ziyad RadiAllahu Anhu narates that Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said The greatest sin is to spoil one's honor.
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#255

Insaan ke andar Imaan ki kharabi kis tarah se hoti hai iski misaal in mein se kiske jaisi di gayi hai ?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz  871❗

Sawal : Insaan ke andar Imaan ki kharabi kis tarah se hoti hai iski misaal in mein se kiske jaisi di gayi hai ?

A. Jaise lohe ko zang lag jata hai
B. Jaise dhoop barf ko pigla deti hai
C. Jaise hawa se patte jhad jate hai
D. Jaise dhoop se paani sukh jata hai
E. Jaise hawa se mitti udti hai
F. Jaise aasman se bijli girti hai 
G. Jaise barish se tofaan ata hai
H. In mein se koi nahi to apna jawab likhein
I. Sahi jawab ka Intezaar
****
Sahi jawab : Jis tarah kapda bosida hojata hai ✅

Reference : 📚
----------
Abdullah Bin Umro Bin Aas Radi Allahu Anhuma se marwi hai ke Rasoolallah Sallelahu Alaihi Wasallam ne farmaya : Imaan tumhare pait (dil) mein is tarah qaraab hote rahta hai jis tarah kapda bosida hojata hai. Is liye Allah se sawal karo ke wo tumhare dilon mein imaan ki tajdeed karta rahe.
-----------
عبداللہ بن عمروبن عاص رضی اللہ عنہما سے مروی ہے كہ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: ایمان تمہارے پیٹ (دل)میں اس طرح خراب ہوتارہتا ہے جس طرح كپڑا بوسیدہ ہوجاتا ہے ۔ اس لئے اللہ سے سوال كروكہ وہ تمہارے دلوں میں ایمان كی تجدید كرتا رہے۔( )
----------
Al-Silsila-tus-Sahiha#988

Sahih Milaan kijiye A: Momeen kaun hain B: Musalman kaun hain C: Mujahid kaun hain D: Muhajir kaun hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 870❗

❗Sahih Milaan kijiye

A: Momeen kaun hain
B: Musalman kaun hain
C: Mujahid kaun hain
D: Muhajir kaun hain
******
1. jinse uska padosi mehfooz rahe
2. jinhe dehk kar Allah ki yaad aa jaye
3. jinse logon ka amwaal aur jaan mehfooz rahe
4. Allah ki itaiat karne wala
5. jo gunah karna chordh de
6. jiske haath aur zuban se dusra musalman mehfooz rahe
7. Inmein se koi nahi (to apna jawab likiye)
8. Sahih Jawab ka intezar
***
Sahih Jawab - A3/B6/C4/D5✅

Hadith: Momeen wo hain jissay logon ki jaan mehfooz rahe aur...

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne Hajjatul Alvidah ke mauqe par farmaya : Kya mein tumhe Momeen ke bare mein na bataun? Jis se logon ke Amwaal aur Jaanein mehfooz rahen (wo Momeen hain), aur Musalman wo hain jis ke haath aur zabaan se dusre Musalman mehfooz rahen, aur Mujahid wo hain jo Allah ki ita'at mein apne nafs se Jihaad karta hain aur Muhajir wo hain jo khataain aur gunah chodh de
------
فضالہ بن عبید‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے حجۃ الوداع کے موقع پر فرمایا: کیا میں تمہیں مومن کے بارے میں نہ بتاؤں؟ جس سے لوگوں کے اموال اور جانیں محفوظ رہیں (وہ مؤمن ہے)، اور مسلمان وہ ہے جس کے ہاتھ اور زبان سے دوسرے مسلمان محفوظ رہیں ، اور مجاہدوہ ہے جو اللہ کی اطاعت میں اپنے نفس سے جہاد کرتا ہے اور مہاجر وہ ہے جو خطائیں اور گناہ چھوڑ دے 
-------
Fudhalah bin Ubaid radhi Allahu anhu narrated that at the occasion of Hajjat alvida the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: Shall I not inform you about a Momin From whom people’s lives and wealth are secured is a Momin; A Muslim is the one from whose tongue and hand the people are safe; And a true Mujahid is one, who subdues his inner self and forces it into Allah’s obedience; And a Muhajir is the one who abandons sins, and everything that Allah has disapproved.
-------------
Al-Silsila-tus-Sahiha-Hadith#270

Allah Subhanahu inmein se kaunse amal karne wale se bughz rakhta hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 869❗

Sawal: Allah Subhanahu inmein se kaunse amal karne wale se bughz rakhta hain

A: Jahalat karne walo se
B: bahut zayda bolne wale se
C: Padosi se iktelaaf karne walo se
D: Napaki ki halat mein raat guzarne walo se
E: Miya biwi mein talaq karwane walo se
F: Zayda sawal karne walo se
G: Inmein se koi nahi (to apna jawab likhiye)
H: Sahih Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - B✅

Hadith: Allah Subhanahu charb zabaan walon se bughz rakhta hain

Reference📚:
----
Abdullah bin Amr RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke yaqeenan Allah Azzwajal charb Zabaan (yani bahut zayda bolne walo) se bughz rakhta hai wo shakhs jo apni zabaan ko is terhan ghumata hai jis terhan gaaye (jugali karte huyee) apni zabaan ghumaati hai
--
عبداللہ بن عمرو   رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ: یقیناً اللہ عزوجل چرب زبان سے بغض رکھتا ہے۔ وہ شخص جو اپنی زبان کو اس طرح گھماتا ہے جس طرح گائے (جگالی کرتے ہوئے) اپنی زبان گھماتی ہے
---
Abdullah bin Amr RadiAllahu Anhu narrates that: Surely Allah Almighty hates excesive talking. A person who moves his tongue in the same way as a cow moves its tongue
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#284

isne Rasoolallah Sallelahu Alaihi par jhoot bola uske liye Rasoolallah Sallelahu Alaihi Wasallam ne kya farmaya hai ?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 868❗

Ek Se Zyada Jawab

Sawal : Jisne Rasoolallah Sallelahu Alaihi par jhoot bola uske liye Rasoolallah Sallelahu Alaihi Wasallam ne kya farmaya hai ?

A. Us par sab logon ki laanat 
B. Us par Allah ki laanat
C. Wo aag mein hoga
D. Wo jhuton mein sabse bada jhuta hai
E. Qayamat ke din Rasoolallah Sallellahu Alaihi Wasallam ki shaffat naseeb nahi hogi
F. Wo apna tikhana dozakh mein tayyar karle
G. Us par farishton ki laanat
H. Qayamat ke din Rasoolallah Sallelahu Alaihi Wasallam uske khilaf gawahi denge
I. Sahi jawab ka Intezaar
***
Sahi jawab : CDF ✅

Reference : 📚
----------
Sayyedna Qais Bin Sayeed Bin Abaada Ansari Radi Allahu Anhu se marwi hai ke Rasool Allah Sallelahu Alaihi Wasallam ne farmaya  : jis ne jaan boojh kar mujh par ek dafa jhoot bola, pus wo apna thikana aag se ya ghar jahannam me tayyar kar lein
 ۔ سیدنا قیس بن سعد بن عبادہ انصاری ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا: جس نے جان بوجھ کر مجھ پر ایک دفعہ جھوٹ بولا، پس وہ اپنا ٹھکانہ آگ سے یا گھر جہنم میں تیار کر لے۔

Musnad Ahmed#9909
-------
 (Dusri sanad) Rasool Allah Sallelahu Alaihi Wasallam  ne farmaya : jis ne mujh se koi hadees bayaan ki,  jabke iska kayaaliya ho ke woh jhoot hai to wo jhuton mein se bada jhuta hoga

 ۔ (دوسری سند) رسول اللہ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: جس نے مجھ سے کوئی حدیث بیان کی، جبکہ اس کا خیالیہ ہو کہ وہ جھوٹ ہے تو وہ جھوٹوں میں سب سے بڑا جھوٹا ہو گا۔
Musnad Ahmed#9903
---------
Sayyedna Umar Bin Khattab se marwi hai ke Rasool Allah Sallelahu Alaihi Wasallam ne farmaya : jisne mujh par jhoot bola, pus wo Aag me hoga
---------
 ۔ سیدنا عمر بن خطاب  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ سے مر وی ہے کہ رسول اللہ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا: جس نے مجھ پر جھوٹ بولا، پس وہ آگ میں ہو گا۔
---------
Musnad Ahmed#9899


Ek martaba Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke samne kuch khajure rakhi gayi to sahaba ne khajure khayi aur kuch gutliya aur bekaar khajure chodh di

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 867❗

❗Jawab ek se zayda hain

Ek martaba Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke samne kuch khajure rakhi gayi to sahaba ne khajure khayi aur kuch gutliya aur bekaar khajure chodh di

Sawal: Is waqiye par Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke tum jaante ho ye kya alamat hain

A: Ummat ke sache log ek ek karke khatam hojayege
B: Ummat ke badtareen log bach jayege
C: Tum mein se behtareen aadmi ek ek kar ke chale jayege
D: bache huyee khajur ki tarah bekaar log bach jayege
E: bache huyee khajur aur bekaar khajur se muraad islam mein log murtaad hojayege
F: iss ummat par aise he bekaar log hukumat karenge
G: tumhare aulaad mein se ek Khalifa banega jo badtareen logon ka khatma karnege
H: Sahih Jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab CD✅

Hadith: Ummat ke Behtareen log ek ek karke chale jayege aur bache huyee khajur aur gutliyon ki tarah bekaar log bach jayege

Reference📚:
---
Rafi bin Thabit Ansari RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ke samne khushk ya tar khajure paish ki gayi, Sahaba RadiAllahu Anhuma ne khaye aur siwaye gutliyon aur bekaar khajuron ke kuch nahi bachaya. Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Tum jante ho ye kya hain? Tum mein se behtareen Aadmi Ek Ek kar ke chale jayenge hatta ke tum mein se is gutlyon aur bekaar khajur ki terhan bachchen ge
---
رویفع بن ثابت انصاریرضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ نبی  صلی اللہ علیہ وسلم کے سامنے خشک یا تر کھجوریں پیش کی گئیں۔ صحابہ نے کھائیں اور سوائے گٹھلیوں اور بے کار کھجوروں کے کچھ نہیں بچایا، رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: تم جانتے ہو یہ کیا ہے؟ تم میں سے بہترین آدمی ایک ایک کر کے چلے جائیں گے حتی کہ تم میں سے اس گٹھلی اور بے کار کھجور کی طرح بچیں گے
---
Rafi bin Thabit Ansari RadiAllahu Anhu said that In front of Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam some dried or wet dates were presented. The companions ate and left nothing but seeds and useless dates. The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: Do you know what this is? The best of you will go away one by one and from among you some of them will survive who will be like this useless dates and seeds.
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#2594


Inmein Wo kaunse Sahabi hain jinhone Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki Nawasi (Grand daughter) se Nikah kiya tha?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 866❗

Sawal: Inmein Wo kaunse Sahabi hain jinhone Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki Nawasi (Grand daughter) se Nikah kiya tha?

A: Uthman RadiAllahu Anhu
B: Zaid bin Harith RadiAllahu Anhu
C: Talha RadiAllahu Anhu
D: Umar RadiAllahu Anhu
E: Abu Ubaida RadiAllahu Anhu
F: Abu Sufiyan RadiAllahu Anhu
G: Inmein se koi nahi (apna jawwb likhiye)
H: Sahih Jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - D✅

Hadith: Umar RadiAllahu Anhu, Ali RadiAllahu Anhu ke daamad thy unka nikah Umm Kulthum binte Ali RadiAllahu Anhu se huwa tha

Reference📚:
---
Umar bin Al-Khattab RadiAllahu Anhu ne Madina ki khawateen mein kuch chaadrein taqseem ki Ek nayi chaadar bach gayi to baaz Hazraat ne jo aap ke paas he thy kaha YA Ameer Al Momineen! Ye chaadar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki Nawasi ko de dijiye, jo Aap ke ghar mein hain. Un ki murad (Aap ki Biwi) Umm Kulthum Bint Ali Radi Allahu Anhu se thi lekin Umar RadiAllahu Anhu ne jawab diya ke Umm Salit RadiAllahu Anha is ki ziyada Mustahiq hain ye Umm Salit RadiAllahu Anha un Ansari khawateen mein se thee jinhon ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se bait ki thi. Umar RadiAllahu Anhu ne farmaya ke Aap Uhad ki ladai ke mauqe par hamare liye mashkeza (pani ke) utha kar laati thee. 
---
عمر بن خطاب رضی اللہ عنہ نے مدینہ کی خواتین میں کچھ چادریں تقسیم کیں۔ ایک نئی چادر بچ گئی تو بعض حضرات نے جو آپ کے پاس ہی تھے کہا یا امیرالمؤمنین! یہ چادر رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی نواسی کو دے دیجئیے، جو آپ کے گھر میں ہیں۔ ان کی مراد  ( آپ کی بیوی )  ام کلثوم بنت علی رضی اللہ عنہ سے تھی لیکن عمر رضی اللہ عنہ نے جواب دیا کہ ام سلیط اس کی زیادہ مستحق ہیں۔ یہ ام سلیط رضی اللہ عنہا ان انصاری خواتین میں سے تھیں جنہوں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے بیعت کی تھی۔ عمر رضی اللہ عنہ نے فرمایا کہ آپ احد کی لڑائی کے موقع پر ہمارے لیے مشکیزے  ( پانی کے )  اٹھا کر لاتی تھیں۔ ابوعبداللہ  
----
Narrated Tha`laba bin Abi Malik: `Umar bin Al-Khattab distributed some garments amongst the women of Medina. One good garment remained, and one of those present with him said,   O chief of the believers! Give this garment to your wife, the (grand) daughter of Allah's Apostle.   They meant Um Kulthum, the daughter of `Ali. `Umar said, Um Salit has more right (to have it).   Um Salit was amongst those Ansari women who had given the pledge of allegiance to Allah's Apostle.' `Umar said,   She (i.e. Um Salit) used to carry the water skins for us on the day of Uhud.
---
Sahih Bukhari#2881

Kounsa aamaal hai jis mein Allah Subhanahu bande ko muaaf karega ?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 865 ❗

Sawal : Kounsa aamaal hai jis mein Allah Subhanahu bande ko muaaf karega ?

A. Kasrat se durood padhne par
B. Sharmgah ki hifazat karne par
C. Sabr karne par
D. Jumma ke liye chal kar jane par
E. Zuban ki hifazat karne par
F. Muafi mangne par
G. In mein se koi nahi to apna jawab likhein
H. Sahi jawab ka Intezaar
****
Sahi jawab : F ✅

Reference : 📚
----------

Anas bin Malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai jis Shaks ne Apne Gusse par qabu paa liya, Allah Taala issey apne azaab rok lega aur jis shaks ne apni Zuban ki hifazat ki Allah Taala iski parda poshi karega aur Jo shaks Allah Taala se mazrat karega Allah Taala iski mazrat qubool karega.
---------
انس بن مالک‌رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ جس شخص نے اپنے غصےپر قابوپالیا، اللہ تعالیٰ اس سے اپنا عذاب روک لے گا اور جس شخص نے اپنی زبان کی حفاظت کی اللہ تعالیٰ اس کی پردہ پوشی کرے گا اور جو شخص اللہ سے معذرت کرے گا اللہ اس سے اس کی معذرت قبول کرے گا۔
----------
Al-Slisila-tus-Sahiha#418

Mahfum e hadith ke mutabiq zameen ko kuyn chune ke liye kaha gaya hain yani tayamum ya sajda karna

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 864❗

Sawal: Mahfum e hadith ke mutabiq zameen ko kuyn chune ke liye kaha gaya hain yani tayamum ya sajda karna

A: kuyke ye akhirat mein tumhare liye gawahi degi
B: kuyke ismein jism ke liye shifa hain
C: kuyke ye akhirat mein nijaat ka bayas hogi
D: kuyke ye qabr ke azab se nijaat dilayegi
E: kuyke ye hashar ke maidaan mein gawahi degi
F: kuyke ye Shafqat karne wali hain 
G: Inmein se koi nahi (to apna jawab likhiye)
H: Sahih Jawab ka intezaar
***
Sahih Jawab - F✅

Hadith: Zameen par sajda kiya karo kuynke ye shafqat karne wali hain

Reference📚:
----
Salman RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke zameen ko chuwa karo (tayammum kiya karo, baaz ne Sajda bhi murad liya hain) kyunke ye tumahre liye shafqat karne wali hain
---
سلمان رضی اللہ عنہ  سے مرفوعا مروی ہے كہ زمین کو چھوا کرو (تیمم کیا کرو ،بعض نے سجدہ بھی مراد لیا ہے )کیونکہ یہ تمہارے لئے شفقت کرنے والی ہے 
----
Salman RadiAllahu Anhu narrates that Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said Touch the ground (do tayammum, some have even said prostration) because it is Condescension towards you.
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#2387

Jo shakhs maaldaar ho aur wo qarz ki adaigi mein dairi kare ya bahane banaye to iske saath kaisa suluq karna jayaz hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 863❗

Jawab ek se zayda hain

Sawal: Jo shakhs maaldaar ho aur wo qarz ki adaigi mein dairi kare ya bahane banaye to iske saath kaisa suluq karna jayaz hain

A: uski muhalat kam kar de
B: uski be izzati kare
C: uska qarz maaf kare
D: usko saza de
E: uski shikayat kare
F: usper bharosa na kare
G: uske saat sila rehami kare
H: usay dosti na rakhe
I: Sahih Jawab ka intezaar
***
Sahih Jawab - BD✅

Hadith: Jo Shakhs maaldaar ho aur qarz ki adaigi mein bahane banaye to usay saza dena jayaz hain

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Maaldaar shakhs (adaigi mein) heelay bahane kare to is ki be izzati karna aur usay saza dena jayaz aur halal hain
--
حضرت شرید رضی اللہ عنہ سے منقول ہے کہ رسول اللہ  ﷺ  نے فرمایا :’’ مالدار شخص ( ادائیگی میں ) حیلے بہانے کرے تو اس کی بے عزتی کرنا اور اسے سزا دینا جائز اور حلال ہے ۔‘‘ 
--
"Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said If one who can afford it delays repayment, his honor and punishment become permissible."
---
Sunnan e Nisai#4694-Sahih

Ek sahabi ki Maa ka inteqal ho gaya unhone Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se unki taraf se kuch amal karne ke silsile mein pucha jisse unki Maa ko nafa pahuchega...

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 862❗

Ek sahabi ki Maa ka inteqal ho gaya unhone Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se unki taraf se kuch amal karne ke silsile mein pucha jisse unki Maa ko nafa pahuchega...

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne kaun sa amal karne ko farmaya tha?

A: Padosi ko takleef na dena
B: Raste se takleef de cheez hatao
C: Logon ko ilm ki dawat do
D: 10 miskeen ko khana khilao
E: Logon ke liye pani ka bandobast karwao
F: Musafir ko rasta batao
G: Logo ko buri baat se rokna
H: inmein se koi nahi (to apna jawab likho)
I: Sahih jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - E✅

*Mafhum e Hadith : Pani Marhum logon ke liye behatreen sadqa e jariya hain

Reference📚:
--- 
Anas RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Saad RadiAllahu Anhu Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ke paas aaye aur kehnay lage Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam meri walida faut ho gayeen lekin koi wasiyat nahi kar saken agar mein is ki taraf se sadqa karu to kya usay fahida pahuche ga? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Jee haan, tum logon ke liye pani ka intezaam kardo
---
انس‌رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ سعد‌رضی اللہ عنہ  نبی صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس آئے اور کہنے لگے: اے اللہ کے رسول! میری والدہ فوت ہو گئیں لیکن کوئی وصیت نہیں  کرسکیں۔ اگر میں اس کی طرف سے صدقہ کروں تو کیا اسے فائدہ پہنچے گا؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:جی ہاں،تم لوگوں کے لئے پانی کا انتظام کردو
---
Anas RadiAllahu Anhu narrated that Saad RadiAllahu Anhu came to the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam and said: O Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam! My mother died but could not make a will. If I give charity on her behalf, will she benefit? The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: Yes, arrange water for the people
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#1864

Kiski misaal Janwaron ki tarah hai jo apne charwahe ki sirf pukar aur awaz ko hi sunte hai (samajhte nahi) wo bahre gunge andhe hai

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 861❗

Al Quran

Sawal: Kiski misaal Janwaron ki tarah hai jo apne charwahe ki sirf pukar aur awaz ko hi sunte hai (samajhte nahi) wo bahre gunge andhe hai

A: Munafiq
B: Kufr
C: Murtad
D: Jahil
E: Badbakht
F: Mutakabbir
G: Inmein se koi nahi (to apna jawab likhe)
H: Sahih jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - B✅

Al Quran: Kufr karne wale  ki misaal aisi hai jaise  wo beharay goonge andhay hain

Reference📚: 
----
Kufr ki misaal in janwaron ki terha hain jo apni charwaha ki srif pukaar aur aawaz he ko sunte hain (samajhte nahi) wo beharay goongay aur andhay hain, unhe akal nahi

Bismillahirrahmannirrahim

وَ مَثَلُ الَّذِیۡنَ کَفَرُوۡا کَمَثَلِ الَّذِیۡ یَنۡعِقُ بِمَا لَا یَسۡمَعُ اِلَّا دُعَآءً  وَّ  نِدَآءً ؕ صُمٌّۢ  بُکۡمٌ عُمۡیٌ  فَہُمۡ  لَا  یَعۡقِلُوۡنَ
 کفار کی مثال ان جانوروں کی طرح ہے جو اپنے چرواہے کی صرف پکار اور آواز ہی کو سُنتے ہیں  ( سمجھتے نہیں )  وہ بہرے گونگے اور اندھے ہیں ،  انہیں عقل نہیں ۔ 
---
The example of those who disbelieve is like that of one who shouts at what hears nothing but calls and cries cattle or sheep - deaf, dumb and blind, so they do not understand. 
----
Surah Al Baqrah: (02: 171)

Azd qoum ke mutalliq kaun kaun si baatein farmayi gayi hain?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 860❗

❗Jawab ek se zyada hain

Sawal : Azd qoum ke mutalliq kaun kaun si baatein farmayi gayi hain?

A: Behtareen qaum
 B: Pakeeza baatein karne wale
C: Qasmon ki tarjeeh karne wale
D: Parhezgaar
E: Sabse milkar rehne wale
F: Neik kaam karne wale
G: Tawakkal karne wale
H: Saaf dil wale
I: Insaaf pasand
J: Sahih Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - ABCH✅

Hadith: Banu Azd behtareen qaum hain jo pakeeza guftugu karne wale aur....

Reference📚:
---
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Azd (Yani Banu Azd) behtareen qoum hai, pakeeza guftagu wale, qasmon ki pasdari karne wale aur dilon ke saaf
---
ابو ہریرہ‌رضی اللہ عنہ سے مرفوعاً مروی ہے کہ: ازد بہترین قوم ہے، پاکیزہ گفتگو والے، قسموں کی پاسداری کرنے والے اور دلوں کے صاف 
---
Abu Huraira RadiAllahu Anhu narrates that Banu Azd is a very good nation, with pure speech, keeping its oaths and pure of heart
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#3598
https://en.wikipedia.org/wiki/Azd

Ek shakhs Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huwa aur sawal pucha

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 859❗

Ek  shakhs  Rasool-Allah Sallallahu Alaihi  wasallam  ki khidmat mein hazir huwa aur sawal pucha

Sawal:  Kaunsa shakhs Allah Subhanahu ki raah mein Jihad ke lehaz se qabile maqbool hain

A: Wo aadmi jo apne hasab ke khatir awaaz buland karta hain
B: Wo aadmi jo Maal e ghanimat ki khatir qitaal karta hain
C: Wo aadmi jo shoharat ke khatir ladayee karta hain
D: Wo aadmi jo apna Mukaam o Martaba dikhane ki khatir ladta hain
E: Wo aadmi jo apne Ahle wa Ayyal ke huqooq ke liye sar buland karta hain 
F: Wo aadmi jo apne padosi ki hausla afzayee karta hain
G: In mein se koi nahi (to Aap apna jawab likhe)
H: Sahi jawab ka intezar hain
****
Sahih Jawab G✅

Hadith: Jo shakhs Allah ke kalme ki sir-bulandi ke liye ladta hain wahi Alalh ki raah mein qabile maqbool hain

Reference📚:
----
Hazrat Abu Musa RadAllahu Anhu bayan karte hain ek Aadmi Nabi Sallallahu Alaihi  wasallam ke khidmat mein hazir huwa aur us ne Arz kiya Ek aadmi Maal e ganimat ke khatir qitaal karta hain, dusra aadmi shoharat ke khatir karta hain to un mein se Allah Subhanahu ki raah mein kaun maqbool hain? Aap Sallallahu Alaihi wasallam  ne farmaya "'Jo shakhs Allah Subhanahu ke Kalme ki sir bulandi ke liye ladta hain wahi Allah Subhanahu ki raah mein hain
-----
حضرت ابوموسی ؓ بیان کرتے ہیں، ایک آدمی نبی ﷺ کی خدمت میں حاضر ہوا اور اس نے عرض کیا: ایک آدمی مال غنیمت کی خاطر قتال کرتا ہے، دوسرا آدمی شہرت کی خاطر لڑتا ہے، کوئی آدمی اپنا مقام و مرتبہ دکھانے کی خاطر لڑتا ہے تو ان میں سے اللہ کی راہ میں کون (مقبول) ہے ؟ آپ ﷺ نے فرمایا: "جو شخص اللہ کے کلمے کی سر بلندی کے لیے لڑتا ہے وہی اللہ کی راہ میں ہے"۔ 
متفق علیہ ۔
(مشکوٰۃ المصابیح ٣٨١۴).
------
Miskhat ul Masabeeh#3814-Sahih

Wo kaunse sahabi thy jinhe Allah Subhanahu ne achchi aawaz se nawaza tha aur inki taraf ek sahabi hamesha pehgaam bejte thy ki unhe wo quran ki tilawat sunaye

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 858❗

Sawal: Wo kaunse sahabi thy jinhe Allah Subhanahu ne achchi aawaz se nawaza tha aur inki taraf ek sahabi hamesha pehgaam bejte thy ki unhe wo quran ki tilawat sunaye

A: Uthman RadiAllahu Anhu
B: Talha RadiAllahu Anhu
C: Alqama bin Qais RadiAllahu Anhu
D: Abu Sufiyan RadiAllahu Anhu
E: Barrah RadiAllahu Anhu
F: Saeed bin Ziyad RadiAllahu Anhu
G: Inmein se koi nahi (to apna jawab likhiye)
H: Sahih jawab ka intezaar
***
Sahih Jawab - C✅

Hadith: Achchi aawaaz se Quran ki tilawat karna Quran ki zeenat hain

Reference📚:
---
Alqama bin Qais RadiAllahu Anhu se rivayat hain ke mein aisa aadmi tha jisay Allah Subhanahu ne achchi aawaz se (tilawat) Quran se nawaza tha Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu meri taraf pehgaam bhejte to mein tilawat karta, jab mein apni Qiraat se farigh hota to kehte humein mazeed sunao kyunke mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se suna farma rahe thy achchi aawaz Quran ki zeenat hain
----
علقمہ بن قیس سے مروی ہے کہتے ہیں کہ میں ایسا آدمی تھا جسے اللہ تعالیٰ نے اچھی آواز سے (تلاوت) قرآن سے نوازا تھا۔ عبداللہ بن مسعود رضی اللہ عنہ  میری طرف پیغام بھیجتے تو میں تلاوت کرتا، جب میں اپنی قراء ت سے فارغ ہوتا تو کہتے: ہمیں مزید سناؤ ،کیوں کہ میں نے رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم سے سنا فرما رہے تھے: اچھی آواز قرآن کی زینت ہے
---
Alqamah bin Qais RadiAllahu Anhu narrates that he said: I was a man who was blessed by Allah with a good voice (recitation) of the Qur'an. Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu used to send a message to me to recite the Qur’an and I would recite it. When I finished my recitation, he would say continue to recite more, because I heard from Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam: A good voice is an adornment of the Qur'an.
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#2848

Agar kisi musalman ke pass sadqe mein dene ke liye kuch na ho to usey kya karna chahiye

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 857❗

Ek Se Zyada Jawab

Sawal : Agar kisi musalman ke pass sadqe mein dene ke liye kuch na ho to usey kya karna chahiye

A. Chasht ki do rakaat ada kare
B. Kasrat se raat ko qiyam kare
C. Rasoolallah Sallelahu Alaihi Wasallam par durood bheje
D. Kasrat se astaghfar kare
E. Momino par durood bheje
F. Laa ilaha illalah kasrat se padhe
G. Roza rakhe
H. Sahi jawab ka Intezaar
****
Sahi jawab : ACE ✅

Reference : 📚
----------
Hazrat Abu Saeed Khudri  Radi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasoolallah Sallelahu Alaihi Wasallam ne farmaya , jis kisi musalman ke pas sadqa na ho to woh apni dua mai ye kahe 

 اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ عَبْدِكَ وَرَسُولِكَ ، وَصَلِّ عَلَى الْمُؤْمِنِينَ وَالْمُؤْمِنَاتِ ، وَالْمُسْلِمِينَ وَالْمُسْلِمَاتِ

Eh Allah rehmat nazil farma  (durood bhej) Muhammad   Sallelahu Alaihi Wasallam per jo tere banday aur Rasool hain  .  Aur tamaam momin mardon aur momin auraton aur musalman mardon or musalman auraton per rehmat nazil farma (durood bhej). Ye durood uski Zakat ho gi.
--------
’’حضرت ابو سعید خدری رضی اللہ عنہ روایت بیان کرتے ہیں کہ حضور نبی اکرم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا : جس کسی مسلمان کے پاس صدقہ نہ ہو تو وہ اپنی دعا میں یہ کہے : {اَللّٰهُمَّ، صَلِّ عَلٰی مُحَمَّدٍ عَبْدِکَ وَرَسُوْلِکَ، وَصَلِّ عَلَی الْمُؤْمِنِيْنَ وَالْمُؤْمِنَاتِ وَالْمُسْلِمِيْنَ وَالْمُسْلِمَاتِ} ’’یا اﷲ! تو اپنے بندے اور رسول حضرت محمد صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم پر درود بھیج، مؤمن مردوں اور مؤمن عورتوں اور مسلمان مردوں اور مسلمان عورتوں پر بھی درود بھیج.‘‘ سو اس کا یہ درود اس کی زکوٰۃ (یعنی روحانی و جسمانی پاکیزگی کا باعث) ہو گی۔‘‘
اسے امام ابنِ حبان نے اور بخاری نے الادب المفرد میں اور حاکم نے روایت کیا ہے۔ اور امام حاکم نے فرمایا : اس حدیث کی سند صحیح ہے۔
---------
Abū Sa‘īd al-Khudrī related that the Prophet said:
If a man is without anything to give in charity (sadaqa) let him say in his supplication, ‘O Allāh send prayers on Muhammad, your servant and Messenger. And send prayers on the Believers and the Muslims.’ Then it will be for him poor-due (zakah)
Ibn Hibban 903
Adab Al Mufrad (Bukhari) 640
Shuab Al imaan bayhaqi 7175
----------
mein ne rasool Allah sale Allah alaihi wasallam ko farmatay hue suna hai : insaan ke jism mein teen so saath jor hain aur insaan ko chahiye ke har jor ki taraf se kuch nah kuch sadqa day, logon ne arz kya : Allah ke nabi! itni taaqat kis ko hai? aap ne farmaya : masjid mein thook aur rent ko chhupa dena aur ( mozi ) cheez ko rastay se hata dena bhi sadqa hai, aur agar aisa ittafaq nah ho to chaasht ki do rakaatay hi tumahray liye kaafi hai
--------
 میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو فرماتے ہوئے سنا ہے: انسان کے جسم میں تین سو ساٹھ جوڑ ہیں اور انسان کو چاہیئے کہ ہر جوڑ کی طرف سے کچھ نہ کچھ صدقہ دے، لوگوں نے عرض کیا: اللہ کے نبی! اتنی طاقت کس کو ہے؟ آپ نے فرمایا:  مسجد میں تھوک اور رینٹ کو چھپا دینا اور  ( موذی )  چیز کو راستے سے ہٹا دینا بھی صدقہ ہے، اور اگر ایسا اتفاق نہ ہو تو چاشت کی دو رکعتیں ہی تمہارے لیے کافی ہیں ۔ 
-------
Narrated Abu Buraydah: I heard the Messenger of Allah صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وسلم say: A human being has three hundred and sixty joints for each of which he must give alms. The people asked him: Who is capable of doing this ? He replied: It may be mucus in the mosque which you bury, and something which you remove from the road; but if you do not find such, two rak'ahs in the forenoon will be sufficient for you.
--------
Sunnan e Abu Dawood#5242

Jis shakhs ko Jihaad karne se khauf mehsoos ho aur tahajjud padhna mushaqqat lage to kaunsa amal karna chahiye

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 856❗

Sawal: Jis shakhs ko Jihaad karne se khauf mehsoos ho aur tahajjud padhna mushaqqat lage to kaunsa amal karna chahiye

A: Kasrat se Allah ka zikr karen
B: Kasrat se Durood padhe
C: Har Namaz ke baad 100 baar Asragfaar padhe
D: Nafil Roze rakhe
E: Sadqa de
F: Humsayo ke saat husn sulook karen
G: Jamat se jude rahe
H: Inmein se koi nahi (to apna jawab likhiye)
I: Sahih Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - H✅

Hadith: Jo maal karch karne mein Jihaad aur Tahajjud padhne mein mushaqqat karen wo kasrat se SubhanAllah Alhumdullulah La ilaha illAllah Allahu Akbar padha karen

Reference📚:
---
Syedna Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke jo shakhs maal kharch karne mein kanjus ho aur dushman se Jihaad karne se darta ho aur raat ko namaz mein khade ho kar takleef uthane ki himmat na rakhta ho, usay chahiye ke kasrat se La ilaha illAllah, SubhanAllah, Alhumdullilah aur Allah hu Akbar ka vird karen.
----
سیدنا عبداللہ بن مسعود ؓ سے روایت ہے کہ جو شخص مال خرچ کرنے میں کنجوس ہو اور دشمن سے جہاد کرنے سے ڈرتا ہو اور رات کو نماز میں کھڑے ہو کر تکلیف اٹھانے کی ہمت نہ رکھتا ہو ، اسے چاہیے کہ کثرت سے لا الہ الا اللہ ، سبحان اللہ ، الحمد للہ اور اللہ اکبر کا ورد کرے
---
Syedna Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu narrates that a person who is stingy in spending money and is afraid of Jihad against the enemy and does not dare to stand in prayer at night (Qayam ul Lail) He should recite La ilaha illa Allah, Subhan Allah, Alhamdulillah and Allah Akbar frequently.
----
Adab Al Mufraad Hadees#275-hasanpart 
Hakim Albani- Sahih

Jo shakhs hasiyat hone ke baad bhi ajizi ikhtiyaar karte huwe ache kapde nahi pahanta akhirat ke din Allah Subhanahu aise shakhs ke saat kaisa mamla farmayenge ?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 855❗

Mafhoom E Hadith

Sawal : Jo shakhs hasiyat hone ke baad bhi ajizi ikhtiyaar karte huwe ache kapde nahi pahanta akhirat ke din Allah Subhanahu aise shakhs ke saat kaisa mamla farmayenge ?

A. Us ko logon mein mehboob bana denge
B. Arsh ke saye mein jagah ata karenge
C. Apni rahmat nazil farmayenge
D. Salamati ke saat naam e amal haat mein denge
E. Gunahon par parda dal diya jayega
F. Jannat ka rasta asaan farma denge
G. Noor ka mimber ata karenge
H. In mein se koi nahi to apna jawab likhein
I. Sahi jawab ka Intezaar
*****
Sahi jawab : H. Tamaam makhlooq ke samne layenge aur usey ikhtiyaar denge ke wo imaan ka jo libaas chahe pahne ✅

Reference : 📚
----------
Muaz Bin Anas Jahni Radi Allahu Anhu se marwi hai ke Rasoolallah Sallelahu Alaihi Wasallam ne ; Jis shakhs ne istetaat (haisiyat) rakhne ke bawajood (Tawazah ikhtiyaar karte huwe) behtareen libaas na pahna, Qayamat ke din Allah Taala usey tamaam makhlooq ke samne layenge aur usey ikhtiyaar denge ke wo imaan ka jo libaas chahe pahne.
----------
معاذ بن انس جہنی رضی اﷲ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اﷲ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: جس شخص نے استطاعت رکھنے کے باوجود (تواضع اختیار کرتے ہوئے) بہترین لباس نہ پہنا، قیامت کے دن اﷲ تعالیٰ اسے تمام مخلوق کے سامنے لائیں گے اور اسے اختیار دیں گے کہ وہ ایمان کا جو لباس چاہے پہنے۔
--------
Al-Silsila-tus-Sahiha#3062

Wo kaunsi cheez hai jisse Allah Subhanhu pasand karen usay bhi deta aur jisse na pasand karen usay bhi deta

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 854❗

Sawal: Wo kaunsi cheez hai jisse Allah Subhanhu pasand karen usay bhi deta aur jisse na pasand karen usay bhi deta

A: Shohrat
B: Izzat
C: Bulandi
D: Maal
E: Achcha Akhlaq
F: Tauba karne ki taufeeq
G: Allah ki Rahmat
H: Inmein se koi nahi (to apna jawab likhiye)
I: Sahih Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - D✅

Hadith: Allah Subhanahu Emaan sirf usay he deta hain jisse wo Mohabbat karta hain lekin Maal to usay bhi deta hai jisse wo pasand nahi karta

Syedna Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke beshak Allah Subahnahu Maal usay bhi deta hai jisse pasand karta hai aur usay bhi jisse pasand nahi karta, aur Emaan sirf usay deta hain jis se wo Mohabbat karta hain.
----
سیدنا عبداللہ بن مسعود ؓ سے روایت ہے کہ بےشک اللہ تعالیٰ مال اسے بھی دیتا ہے جسے پسند کرتا ہے اور اسے بھی جسے پسند نہیں کرتا ، اور ایمان صرف اسے دیتا ہے جس سے وہ محبت کرتا ہے ۔ 
---
Syedna Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu narrates that Allah gives wealth to whom He likes and also to whom He does not likes, and he gives Faith only to whom He loves.
---
Adab Al Mufraad Hadees#275-hasanpart 
Hakim Albani- Sahih

Jis tarah logon ko Allah Subahanhu ne rizq taqseem kiya hain ussi tarah aur kaunsi cheez logon ko taqseem ki hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 853❗

Sawal: Jis tarah logon ko Allah Subahanhu ne rizq taqseem kiya hain ussi tarah aur kaunsi cheez logon ko taqseem ki hain

A: Nasab
B: Aulaad
C: Izzat
D: Narm Dil
E: Achchi Soch
F: Akhlaq
G: Inmein se koi nahi (to apna jawab likhiye)
H: Sahih Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - F✅

Hadith: Allah Subhanahu ne tumhare darmiya achcha Akhlaq taqseem kiya hain jis tarah usne rizaq taqseem kiya hain

Reference📚:
---
Syedna Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke bilashuba Allah Subhanahu ne tumhare darmiyan Akhlaq ki bhi isi terhan taqseem ki hain jis terhan rizaq tumahre darmiyan taqseem kiye hain beshak Allah Subahnahu maal usay bhi deta hai jisse pasand karta hai aur usay bhi jisse pasand nahi karta, aur Emaan sirf usay deta hain jis se wo Mohabbat karta hain jo shakhs maal kharch karne mein kanjus ho aur dushman se Jihaad karne se darta ho aur raat ko namaz mein khade ho kar takleef uthane ki himmat na rakhta ho, usay chahiye ke kasrat se La ilaha illAllah, SubhanAllah, Alhumdullilah aur Allah hu Akbar ka vird karen.
----
سیدنا عبداللہ بن مسعود ؓ سے روایت ہے کہ بلاشبہ اللہ تعالیٰ نے تمہارے درمیان اخلاق کی بھی اسی طرح تقسیم کی ہے جس طرح رزق تمہارے درمیان تقسیم کیے ہیں ۔ بےشک اللہ تعالیٰ مال اسے بھی دیتا ہے جسے پسند کرتا ہے اور اسے بھی جسے پسند نہیں کرتا ، اور ایمان صرف اسے دیتا ہے جس سے وہ محبت کرتا ہے ۔ جو شخص مال خرچ کرنے میں کنجوس ہو اور دشمن سے جہاد کرنے سے ڈرتا ہو اور رات کو نماز میں کھڑے ہو کر تکلیف اٹھانے کی ہمت نہ رکھتا ہو ، اسے چاہیے کہ کثرت سے لا الہ الا اللہ ، سبحان اللہ ، الحمد للہ اور اللہ اکبر کا ورد کرے ۔
---
Syedna Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu narrates that Allah has distributed among you morals in the same way as He has distributed among you provisions. Indeed Allah gives wealth to whom He likes and also to whom He does not likes, and he gives Faith only to whom He loves. And a person who is stingy in spending money and is afraid of Jihad against the enemy and does not dare to stand in prayer at night (Qayam ul Lail) He should recite La ilaha illa Allah, Subhan Allah, Alhamdulillah and Allah Akbar frequently.
---
Adab Al Mufraad Hadees#275-hasan 
Hakim Albani- Sahih

Mahfhum e hadith ke mutabiq Allah Subhanahu ka haath kis par hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 852❗

Sawal: Mahfhum e hadith ke mutabiq Allah Subhanahu ka haath kis par hain

A: Halal kamayee karne walo par
B: Jamaat se jude rehne walo par
C: Sadqa dene walo par
D: Masjid tameer karne walo par 
E: Allah ke raha mein karch karne walo par
F: Jihad mein shamil hone walo par
G: ilm hasil karne ke khatir mehnat karne walo par
H: Inmein se koi nahi (to apna jawab likhiye)
I: Sahih jawab ka intezaar

Sahih jawab - B✅

Hadith: Allah Subhanahu ka haat jamaat ke saath jude rehne walon par hain

Reference📚:
---
Arfajah bin Shuraih Al-Ashja’l RadiAllahu Anhu kehte hain ke mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko minbar par logon ko khutba dete dekha, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ”Mere baad fitnah o fasaad hoga, to tum jisay dekho ke wo jamaat se alag hogaya hain ya Ummat e Mohammadiya mein iftiraaq wa ikhtilaaf chahata hain, to khuwa wo koi bhi ho usay qatal kar do, is liye ke Allah Subhanahu ka haath jamaat par hai aur jo jamaat se alag huwa is ke saath shaitan daudta hain
---
 عرفجہ بن شریح اشجعی ؓ کہتے ہیں کہ میں نے نبی اکرم ﷺ کو منبر پر لوگوں کو خطبہ دیتے دیکھا ، آپ نے فرمایا : ” میرے بعد فتنہ و فساد ہو گا ، تو تم جسے دیکھو کہ وہ جماعت سے الگ ہو گیا ہے یا امت محمدیہ میں افتراق و اختلاف ڈالنا چاہتا ہے ، تو خواہ وہ کوئی بھی ہو اسے قتل کر دو ، اس لیے کہ اللہ تعالیٰ کا ہاتھ جماعت پر ہے اور جو جماعت سے الگ ہوا اس کے ساتھ شیطان دوڑتا ہے
----
It was narrated that 'Arfajah bin Shuraih Al-Ashja'I said: I saw the Prophet [SAW] on the Mimbar addressing the people. He said: 'After me there will be many calamities and much evil behavior. Whoever you see splitting away from the Jama'ah or trying to create division among the Ummah of Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam, then kill him, for the Hand of Allah is with the Jama'ah, and the Shaitan is with the one who splits away from the Ummah, running with him.' 
---
Sunnan e Nisai#4025-Sahih

****

Allahumma Ballighna Ramadan






 Bismillahirrahmanirrahim

اَللّهُمَّ بَلِّغْنَا رَمَضَان 

Allahumma Ballighna Ramadan

‎---

Ya Allah humko Ramadan tak pahucha de

--

اے اللہ ہم کو رمضان تک پہنچا دے

--

Oh Allah help us to Reach Ramadan

https://pin.it/1x8lI7l

https://www.youtube.com/DailyAzkars

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...