Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 20 March 2022

Agar kisi musalman ke pass sadqe mein dene ke liye kuch na ho to usey kya karna chahiye

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 857❗

Ek Se Zyada Jawab

Sawal : Agar kisi musalman ke pass sadqe mein dene ke liye kuch na ho to usey kya karna chahiye

A. Chasht ki do rakaat ada kare
B. Kasrat se raat ko qiyam kare
C. Rasoolallah Sallelahu Alaihi Wasallam par durood bheje
D. Kasrat se astaghfar kare
E. Momino par durood bheje
F. Laa ilaha illalah kasrat se padhe
G. Roza rakhe
H. Sahi jawab ka Intezaar
****
Sahi jawab : ACE ✅

Reference : 📚
----------
Hazrat Abu Saeed Khudri  Radi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasoolallah Sallelahu Alaihi Wasallam ne farmaya , jis kisi musalman ke pas sadqa na ho to woh apni dua mai ye kahe 

 اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ عَبْدِكَ وَرَسُولِكَ ، وَصَلِّ عَلَى الْمُؤْمِنِينَ وَالْمُؤْمِنَاتِ ، وَالْمُسْلِمِينَ وَالْمُسْلِمَاتِ

Eh Allah rehmat nazil farma  (durood bhej) Muhammad   Sallelahu Alaihi Wasallam per jo tere banday aur Rasool hain  .  Aur tamaam momin mardon aur momin auraton aur musalman mardon or musalman auraton per rehmat nazil farma (durood bhej). Ye durood uski Zakat ho gi.
--------
’’حضرت ابو سعید خدری رضی اللہ عنہ روایت بیان کرتے ہیں کہ حضور نبی اکرم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا : جس کسی مسلمان کے پاس صدقہ نہ ہو تو وہ اپنی دعا میں یہ کہے : {اَللّٰهُمَّ، صَلِّ عَلٰی مُحَمَّدٍ عَبْدِکَ وَرَسُوْلِکَ، وَصَلِّ عَلَی الْمُؤْمِنِيْنَ وَالْمُؤْمِنَاتِ وَالْمُسْلِمِيْنَ وَالْمُسْلِمَاتِ} ’’یا اﷲ! تو اپنے بندے اور رسول حضرت محمد صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم پر درود بھیج، مؤمن مردوں اور مؤمن عورتوں اور مسلمان مردوں اور مسلمان عورتوں پر بھی درود بھیج.‘‘ سو اس کا یہ درود اس کی زکوٰۃ (یعنی روحانی و جسمانی پاکیزگی کا باعث) ہو گی۔‘‘
اسے امام ابنِ حبان نے اور بخاری نے الادب المفرد میں اور حاکم نے روایت کیا ہے۔ اور امام حاکم نے فرمایا : اس حدیث کی سند صحیح ہے۔
---------
Abū Sa‘īd al-Khudrī related that the Prophet said:
If a man is without anything to give in charity (sadaqa) let him say in his supplication, ‘O Allāh send prayers on Muhammad, your servant and Messenger. And send prayers on the Believers and the Muslims.’ Then it will be for him poor-due (zakah)
Ibn Hibban 903
Adab Al Mufrad (Bukhari) 640
Shuab Al imaan bayhaqi 7175
----------
mein ne rasool Allah sale Allah alaihi wasallam ko farmatay hue suna hai : insaan ke jism mein teen so saath jor hain aur insaan ko chahiye ke har jor ki taraf se kuch nah kuch sadqa day, logon ne arz kya : Allah ke nabi! itni taaqat kis ko hai? aap ne farmaya : masjid mein thook aur rent ko chhupa dena aur ( mozi ) cheez ko rastay se hata dena bhi sadqa hai, aur agar aisa ittafaq nah ho to chaasht ki do rakaatay hi tumahray liye kaafi hai
--------
 میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو فرماتے ہوئے سنا ہے: انسان کے جسم میں تین سو ساٹھ جوڑ ہیں اور انسان کو چاہیئے کہ ہر جوڑ کی طرف سے کچھ نہ کچھ صدقہ دے، لوگوں نے عرض کیا: اللہ کے نبی! اتنی طاقت کس کو ہے؟ آپ نے فرمایا:  مسجد میں تھوک اور رینٹ کو چھپا دینا اور  ( موذی )  چیز کو راستے سے ہٹا دینا بھی صدقہ ہے، اور اگر ایسا اتفاق نہ ہو تو چاشت کی دو رکعتیں ہی تمہارے لیے کافی ہیں ۔ 
-------
Narrated Abu Buraydah: I heard the Messenger of Allah صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وسلم say: A human being has three hundred and sixty joints for each of which he must give alms. The people asked him: Who is capable of doing this ? He replied: It may be mucus in the mosque which you bury, and something which you remove from the road; but if you do not find such, two rak'ahs in the forenoon will be sufficient for you.
--------
Sunnan e Abu Dawood#5242

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...