❗Only-Quran-Hadith-Quiz 866❗
Sawal: Inmein Wo kaunse Sahabi hain jinhone Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki Nawasi (Grand daughter) se Nikah kiya tha?
A: Uthman RadiAllahu Anhu
B: Zaid bin Harith RadiAllahu Anhu
C: Talha RadiAllahu Anhu
D: Umar RadiAllahu Anhu
E: Abu Ubaida RadiAllahu Anhu
F: Abu Sufiyan RadiAllahu Anhu
G: Inmein se koi nahi (apna jawwb likhiye)
H: Sahih Jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - D✅
Hadith: Umar RadiAllahu Anhu, Ali RadiAllahu Anhu ke daamad thy unka nikah Umm Kulthum binte Ali RadiAllahu Anhu se huwa tha
Reference📚:
---
Umar bin Al-Khattab RadiAllahu Anhu ne Madina ki khawateen mein kuch chaadrein taqseem ki Ek nayi chaadar bach gayi to baaz Hazraat ne jo aap ke paas he thy kaha YA Ameer Al Momineen! Ye chaadar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki Nawasi ko de dijiye, jo Aap ke ghar mein hain. Un ki murad (Aap ki Biwi) Umm Kulthum Bint Ali Radi Allahu Anhu se thi lekin Umar RadiAllahu Anhu ne jawab diya ke Umm Salit RadiAllahu Anha is ki ziyada Mustahiq hain ye Umm Salit RadiAllahu Anha un Ansari khawateen mein se thee jinhon ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se bait ki thi. Umar RadiAllahu Anhu ne farmaya ke Aap Uhad ki ladai ke mauqe par hamare liye mashkeza (pani ke) utha kar laati thee.
---
عمر بن خطاب رضی اللہ عنہ نے مدینہ کی خواتین میں کچھ چادریں تقسیم کیں۔ ایک نئی چادر بچ گئی تو بعض حضرات نے جو آپ کے پاس ہی تھے کہا یا امیرالمؤمنین! یہ چادر رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی نواسی کو دے دیجئیے، جو آپ کے گھر میں ہیں۔ ان کی مراد ( آپ کی بیوی ) ام کلثوم بنت علی رضی اللہ عنہ سے تھی لیکن عمر رضی اللہ عنہ نے جواب دیا کہ ام سلیط اس کی زیادہ مستحق ہیں۔ یہ ام سلیط رضی اللہ عنہا ان انصاری خواتین میں سے تھیں جنہوں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے بیعت کی تھی۔ عمر رضی اللہ عنہ نے فرمایا کہ آپ احد کی لڑائی کے موقع پر ہمارے لیے مشکیزے ( پانی کے ) اٹھا کر لاتی تھیں۔ ابوعبداللہ
----
Narrated Tha`laba bin Abi Malik: `Umar bin Al-Khattab distributed some garments amongst the women of Medina. One good garment remained, and one of those present with him said, O chief of the believers! Give this garment to your wife, the (grand) daughter of Allah's Apostle. They meant Um Kulthum, the daughter of `Ali. `Umar said, Um Salit has more right (to have it). Um Salit was amongst those Ansari women who had given the pledge of allegiance to Allah's Apostle.' `Umar said, She (i.e. Um Salit) used to carry the water skins for us on the day of Uhud.
---
Sahih Bukhari#2881
No comments:
Post a Comment