❗Only-Quran-Hadith-Quiz 873❗
Sawal : Ek hadees ke mutabiq majlis ka sardar kis shakhs ko kaha gaya hai ?
A: Jiski taraf log muh karke baithte hain
B: Jiski log zayda izzat karte hain
C: Jisko Quran ka ilm zayda hain
D: Jo umar mein sabse bada ho
E: Jis ne majlis ki dawat di
F: Jis zayda hadeese yaad ho
G: Inmein se koi nahi (to apna jawab likiye)
H: Sahih jawab ka intezaar
***
Sahih jawab - A✅
Hadith: Majlis ka sardar wo hota hain jiski taraf log rukh karke baithte hain
Reference📚:
----
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya yaqeenan har cheez ka sardar hota hain aur majlis ka sardar wo hain jo jis ki taraf rukh karke sharkaye majlis baithy ho (yani majlis mein aaye huyee log jis ki tarah rukh karke baithte hain)
---
ابو ہریرہ رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: یقیناً ہر چیز کا سردار ہوتا ہےاور مجالس کا سرداروہ ہے جو جس کی طرف رخ کرکے شرکائے مجلس بیٹھے ہوں
---
Abu Huraira RadiAllahu Anhu narrated that Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said Surely he is the head of all things and the head of the councils is the one to whom the participants face while they are sitting.
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#294
No comments:
Post a Comment